Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya

  • Work-from-home

dream girl

Khwabon se bahre Naina
VIP
Jul 30, 2008
20,331
11,629
0
ITALY

Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya
woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya

kuch din to mera aks raha aina naqsh
phir yoon huwa k khud mera chehra badal gaya

jab apne apne haal pe ham tum na reh sake
to kiya huwaa jo ham se zamana badal gaya

kadmon talay jo rait bichi thi woh chal pari
us ne churaya haath to sehra badal gaya

koi bhi cheez apni jagah par nahin rahi
jaate hi aik shakhs ke kiya kiya badal gaya

ik sarkhoshi ki moj ne kaise kiya kamal
wo be niaaz saara ka saara badal gaya

uth kar chala gaya koi wakfay ke darmiaan
parda utha to saara tamaasha badal gaya

hairat se saaray lafz use dekhte rahe
baaton main apni baat ko kaise badal gaya

kehne ko ik sehan main deewar hi bani
ghar ki fiza makaan ka naqsha hi badal gaya

shayad wafa ke khel main uktaa gaya tha woh
manzil ke paas aa ke jo rasta hi badal gaya

qayam kisi bhi haal pe dunyaa nahin rahi
tabeer kho gayee kabhi sapna badal gaya

manzar ka rang asal main saaya tha rang ka
jis ne use jidhar se bhi dekha badal gaya

andar ke mousamon ki khabar us ko ho gayi
us no bahaar naaz ka chehra badal gaya

aankhon main jitne ashaq the jugnoo se ban gaye
woh muskuraaya aur meri dunyaa badal gye

apni gali main apna hi ghar dhoondte hain log
amjad yeh kon shehar ka naqsha badal gaya

 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top