Aaj ki shab to kisi taur guzar jayegi

  • Work-from-home

Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
Aaj ki shab to kisi taur guzar jayegi
Raat gehri hai magar chaand chamakta hai abhi
Mere maathe pe tera pyar damakta hai abhi
Meri saanson mein tera lums mahekta hai abhi
Mere seene mein tera naam dharakta hai abhi
Zeest karne ko mere paas bahot kuchh hai abhi

Teri aawaz ka jaadu hai abhi mere liye
Tere malboos ki khushbu hai abhi mere liye
Teri baahein tera pehlu hai abhi mere liye
Sab se barhkar meri jaan tu hai abhi mere liye
Zeest karne ko mere paas bahot kuchh hai abhi

Aaj ki shab to kisi taur guzar jaayegi
Aaj ke baad magar rang e wafaa kya hoga
Ishq hairaan hai sare shaher e saba kya hoga
Mere qaatil tera andaaz e jafaa kya hoga
Aaj ki shab to bahot kuchh hai magar kal ke liye
Ek andesha e benaam hai aur kuchh bhi nahin
Dekhna ye hai ke kal tujh se mulaqaat ke baad
Rang e ummeed khilega ke bikhar jaayega
Waqt parwaaz karega ke thaher jaayega
Jeet ho jaayegi ya khel bigar jaayega
Khwaab ka shaher rahega ke ujar jaayega...
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top