لیلی پھر سے۔۔۔ (حیدر صاحب کے لیے)۔

  • Work-from-home

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
well well..

itni izzat afzai ka pehly to Shukriyaa.. :p

aur doosri baat.. yeh Team-up kyun huaa jaa raha he.. meri to abi tak Zarra-e-Baktar b SIL ke nahi aai..

khair Sard ho ya Garm .. abhi Jung ke Mah'roozi halaat nahi hen :p wo b Mah-e-Siyaam me to.. Bilkul bhi nahi..

han EID ke hungaam me agar ronaqen badhani huin to Dil e Ma-deeda, Chashm e Mashaad :p

kyunke ek to Ramadan ki Fazeelat ki waja se Shaitaan wese hi qaid he.. doosrey Walida Mohterma is back in town (@Hoorain to un ki aas paas mojoodgi hi Ehtiyaat ki mutaqazi he.. aur phir hamarey Ander ka Shaitaan ke liye un ki Jootion ki aawaz Manand-e-Soor-E-Israfeel he..
aur @DesiGirl @Hoorain @Shizu jaisee hastion ke sath Muqabley ke liye jis qadar chaak o choband Shaitaano ki zaroorat padey gi to wo aaj kal sarey ke sarey aisey soye padey hen jaisey Mazkoora Shayar Mosoof itni lambi Miannaton aur Aajzion ke baad Laila ki shab e wasal ki Subha Madhosh padey thy.

so .. thoda waqt dijiye.. inshAllah umeed bar zaroor aaey gi..

aur Poem par Tabsara .. Agli Post me :D
Well writen :-bd

par aadhi baaten upr se chali gayin mere =))
 
DesiGirl

TM Star
Dec 14, 2013
2,291
935
113
34
Faisalabad
@h@!der aap ki post mein itna kuch jo likha hy us ki summary b bata dain ;;)

wesy aap ny likha hy ky "chaaq-o-choband shaitanon" zaroorat hy..

aap ko tu sirf "chaaq o choband" hony ki he kami reh gai na phir
 
H@!der

Super Star
Feb 22, 2012
8,413
3,070
1,313
کسی خونی قبیلے کی سپہ سالار ہے لیلیٰ
کبھی دَشنہ ، کبھی خنجر ، کبھی تلوار ہے لیلیٰ
بدن پہ وُہ غضب ڈھاتا ہے ، یہ جذبات کی قاتل
ستم کے بادشہ کی ، حاشیہ بردار ہے لیلیٰ

یہ کشتِ زَعفرانی ہے ، فقط آغازِ اُلفت میں
جو دِل دے دو تو پھر دِن رات کشتِ زار ہے لیلیٰ

کبھی اِس نے وَفا کی ہو تو پھر اِنسان سوچے بھی
رُخِ معصوم نہ دیکھ ، آخری عیار ہے لیلیٰ

ترا کردار ہی ، گفتار کا ، حامی نہیں ظلمی!
تُو لاکھ اِقرارِ اُلفت کر ، ہمیں اِنکار ہے لیلیٰ

تری آنکھوں کا نیلا پن ، یہ تیرا ماتمی جُوبَن
جو تجھ پہ مر مٹے ، مجنوں ، یہ کیا کردار ہے لیلیٰ؟

کوئی ہَدیہ بہ مسجد تو کوئی مے خانے کو بخشا
شکایت پر کہے قاضی سے ، خود مختار ہے لیلیٰ

ہُوئی کھیتی جواں دِل کی ، گرانے آ گئی بجلی
چمک پہ نہ مرو صاحب! ، چمکتی دھار ہے لیلیٰ

ستم کی ملکہ ، ظلمت گر ، کِرائے کی کوئی قاتل
بزورِ حُسن قبضہ گر ، بہت فنکار ہے لیلیٰ

اَگر تم نہ ملیں تو اِس غزل کو ’’ٹھیک‘‘ سے پڑھ لو!
اَگر ہو قیس کی تو ، توبہ اَستغفار ہے لیلیٰ

@h@!der
یہاں پر شاعر نے بھی لیلی سے توبہ کر لی ہے۔۔ صرف اور صرف آپ یعنی حیدر صاحب کی حاشیہ آرائی کی وجہ سے
{(thinkg)}{(thinkg)}{(thinkg)}{(thinkg)}{(thinkg)}{(thinkg)}{(thinkg)}
sab se pehly to.. Qais sahab ki Zarkhaizi par waqi me rashk aata he.. Allah kare zor e qalam aur zyada..
aur itni misaali shayri ko yahan hamare sath share karne par @DesiGirl ka Shukriyaa to banta he.. so .. a polite Thank You to begin with :D

1st poem padh kar jitna maza aaya thaa us se zyada is baar ki pareshani thi ke Majnoo sahab ko to US waqt kuch aur soojha nahi.. to mardangi dikhaney ke liye Tesha pakda aur chal padey muscles bananey..

magar aaj kal ke Majno'on ko kitny papad bailney padty hen.. kitni degrees leni padti hen aur kitni kitabon se sar khapana padta he.. aur wo b Maqsad koi itna Tah'meeri nahi hota balke laila ko impress karna maqsood hota he Andaz e biyaan ki Jadoogari se.. (aksar yehi jadoo-gari aap ko aaj kal ke late night sms packages par mustaqil daira jamaey mily gi)
i wonder ke agar Majnoo ko yeh sab karna padta to.. wo mere khyal me bajaey Laila ke qaseedey padhney ke apni kisi taya zaadi ya chacha zadi yaa for most common mamu zaadi se biyaah racha kar Mumlekatt-e-Khuda-daad ki aabadi badhaa raha hota. aur HUM b aaj kal ke Majno'on ki in Gul-Afshanion se mehfooz rehty .. Khair.. wo kisi ne kaha he na ke "Magar yeh Ho na Saka, aur Ab YEH aalam hey..:p yahan YEH par emphasis he :p aap samaj to gye hon ge :D

Mazkoora ghazal mere khyaal me is silsiley ki 2nd last ghazal honi chhye.. kyunke is ghazal se yeh Tasur liya jaa sakta he ke AB ..Qais sahab apny kiyee ki ... Bhugat rahy hen..

yaa to abhi tak neend se baidaar nahi hue.. yaa fir Laila ne in ki Jolaani-e-Tabha dekhty hue aakhir kaar Shadi ka faisla kar liya aur ab Mosoof ke seeny par Mong dall rahi he.. :p

apni baat ko support karney ke liye Mazkoora shair phir se paish karon ga :p

یہ کشتِ زَعفرانی ہے ، فقط آغازِ اُلفت میں

جو دِل دے دو تو پھر دِن رات کشتِ زار ہے لیلیٰ
aur mere khyaal me ab Qais bhai( Az rah e Hamdardi bhai kehn apad raha he) ko b Aatey daal ka bhao achi terha se pata chal chuka he.. is liye ab aankhon se Ishq ki Patti utar rahi he aur Marham Patti par aaney wala Kharcha zyada matter karney lag gya he.. is ke ilawa tooti phooti hadion ke sath Chehrey ki soojan ne bhi kahin monh dikhaney ke laeq nahi chora.. is liye ab Dil ke Phapholey apny Talkh o tursh Alfaz me hi phodtey nazar aa rahy hen..

aur yehi nahi .. apney ooper honey waley Mazalim ko duniya ke sath share b kar rahy hen.. magar un ko ek baat ka pata nahi shayad.. yaa for AB lag gya ho ga... ke Duniya ki 75% Nazuk Andaam Lailaaen Shadi ke baad kahin Jhansi ki Rani, kahin the Alexander's Women aur kahin Queen Shamsi ke Rang o Roop me Paai jaati hen... so Qais Sahab ke dil ka asal dukh ek Shohar bakhoobi samaj sakta he..

magar @DesiGirl
me ne to khair Behes karna chorr hi diya tha aap se aap ki Pichli request ke baad..
jaisey wo kehty hen naa..
"teri Har baat Maan Jata Hon..
Yeh Bhi Andaaz he Shikayat Ka.." :p

magar aap ke pur zor israr par kehta chalon ke muje to kabhi kabhi shak padney lagta he ke aap b Qais sahab ki terha Laila se obsessed hen.. :p ya akahin Khuda Na Khawasta jis Laila ka ahwaal AB qais sahab biyaan farmaa rahy hen wo kahin aap ke khwab o khyaal me as a role model to nahi saraiyat kar gyee..

khuda ka wasta he aisee kisi b soorat se bachiye ga.. kyunke Ek mosoof already Tah-e-Khaak jaa shuky hen yeh sab Rola daal ke.. aur doosry ho aaj kal zer e behes hen un ke b Mental Asylum ponchney me koi kasar baki nahi reh gyee.. ab Aap ke liye koi Teesra aaya to pata nahi kya Gul khileey gaa :D

aur jahan tak bat he @Hoorain aur @Shizu ki to UN ka episode b in the making he :D
 
agreed agreed!!!

baaki time nikaal ky parhoon gi is post ko {(cofee)}
 
H@!der

Super Star
Feb 22, 2012
8,413
3,070
1,313
@h@!der aap ki post mein itna kuch jo likha hy us ki summary b bata dain ;;)

wesy aap ny likha hy ky "chaaq-o-choband shaitanon" zaroorat hy..

aap ko tu sirf "chaaq o choband" hony ki he kami reh gai na phir

aji Mohterma abhi kahan.. ab to "Baat chal nikli he , ab Daikhen kahan tak ponchey.. :p
 
MATlab Aadhe ghantay se aap Isi Post Pe kaam Kar Rahe the ?? :D LOLL =)) :dumb
 
H@!der

Super Star
Feb 22, 2012
8,413
3,070
1,313
agreed agreed!!!

baaki time nikaal ky parhoon gi is post ko {(cofee)}
ek baat aur b he .. ke aaj ka Moarakh (Historian) jahan Kal ke Qais k afsaney biyaan akr raha he.. ab wo afsaney Qissa e Pareena banty jaa rahy hen.. magar KAL ka Moa'rakh jahan Shahzad Qais sahab ka ziker Golden words me karey gaa wahin aap ka zikr e khair b kam s ekam Chandi ke alfaaz me zaroor aaey ga..
us ki 2 wajoohaat hen.. ek to .. Sona kafi mehnga he .. aur.. Ek naam likhney ke liye mil jaaey to b badi baat he..
aur doosra yeh ke.. Qais sahab ko Shayad itny log Pehly na janty hon jitny AB janty hen.. wo b AAP ki waja se..
to aap barmalaa Qais bhai ko yeh keh sakti hen ke..

"mere Ishq se mili he Tere Husan ko yeh Shohrat..
Tera ziker hi kahan thaa Meri dastaan se pehly.. "

:p
 
H@!der

Super Star
Feb 22, 2012
8,413
3,070
1,313
MATlab Aadhe ghantay se aap Isi Post Pe kaam Kar Rahe the ?? :D LOLL =)) :dumb

jab aap logon ne ITNI izat afzai ki he to .. mera b to kuch farz he naa..

haan magar ek baat he.. tumharey zariye kehna chahon ga ake @DesiGirl ko agar ek lafz b BURA lagey to please muje bata dijiye gaa.. me apna Qalam-daan samait kar kahin aur rakh don gaa.. Dil-Aazari maqsood nahi.. Tafreeh zaroor he :)
 
AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
jab aap logon ne ITNI izat afzai ki he to .. mera b to kuch farz he naa..

haan magar ek baat he.. tumharey zariye kehna chahon ga ake @DesiGirl ko agar ek lafz b BURA lagey to please muje bata dijiye gaa.. me apna Qalam-daan samait kar kahin aur rakh don gaa.. Dil-Aazari maqsood nahi.. Tafreeh zaroor he :)
wo sab to thk hai:cigar par aap itna saara saara kyun likh rahe :-??
 
H@!der

Super Star
Feb 22, 2012
8,413
3,070
1,313
@h@!der aap ki post mein itna kuch jo likha hy us ki summary b bata dain ;;)

wesy aap ny likha hy ky "chaaq-o-choband shaitanon" zaroorat hy..

aap ko tu sirf "chaaq o choband" hony ki he kami reh gai na phir

aap apney aap ko Under-Estimate kar rahi hen.. =))

Mohterma aap ke muqabil khada honey ke liye to Shaitanon ki ek poori brigade chhye ho gi
so dekhta hon jitny b Allies mil jaaen .. Kam hen

=))
 
DesiGirl

TM Star
Dec 14, 2013
2,291
935
113
34
Faisalabad
aap apney aap ko Under-Estimate kar rahi hen.. =))

Mohterma aap ke muqabil khada honey ke liye to Shaitanon ki ek poori brigade chhye ho gi
so dekhta hon jitny b Allies mil jaaen .. Kam hen

=))
jitny b iblees mil jaain.. aap sy waqai kam hein :p
 
DesiGirl

TM Star
Dec 14, 2013
2,291
935
113
34
Faisalabad
ek baat aur b he .. ke aaj ka Moarakh (Historian) jahan Kal ke Qais k afsaney biyaan akr raha he.. ab wo afsaney Qissa e Pareena banty jaa rahy hen.. magar KAL ka Moa'rakh jahan Shahzad Qais sahab ka ziker Golden words me karey gaa wahin aap ka zikr e khair b kam s ekam Chandi ke alfaaz me zaroor aaey ga..
us ki 2 wajoohaat hen.. ek to .. Sona kafi mehnga he .. aur.. Ek naam likhney ke liye mil jaaey to b badi baat he..
aur doosra yeh ke.. Qais sahab ko Shayad itny log Pehly na janty hon jitny AB janty hen.. wo b AAP ki waja se..
to aap barmalaa Qais bhai ko yeh keh sakti hen ke..

"mere Ishq se mili he Tere Husan ko yeh Shohrat..
Tera ziker hi kahan thaa Meri dastaan se pehly.. "

:p
saari baatain apni jaga sher barha mazy ka tha end wala
 
Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
well well..

itni izzat afzai ka pehly to Shukriyaa.. :p

aur doosri baat.. yeh Team-up kyun huaa jaa raha he.. meri to abi tak Zarra-e-Baktar b SIL ke nahi aai..

khair Sard ho ya Garm .. abhi Jung ke Mah'roozi halaat nahi hen :p wo b Mah-e-Siyaam me to.. Bilkul bhi nahi..

han EID ke hungaam me agar ronaqen badhani huin to Dil e Ma-deeda, Chashm e Mashaad :p

kyunke ek to Ramadan ki Fazeelat ki waja se Shaitaan wese hi qaid he.. doosrey Walida Mohterma is back in town (@Hoorain to un ki aas paas mojoodgi hi Ehtiyaat ki mutaqazi he.. aur phir hamarey Ander ka Shaitaan ke liye un ki Jootion ki aawaz Manand-e-Soor-E-Israfeel he..
aur @DesiGirl @Hoorain @Shizu jaisee hastion ke sath Muqabley ke liye jis qadar chaak o choband Shaitaano ki zaroorat padey gi to wo aaj kal sarey ke sarey aisey soye padey hen jaisey Mazkoora Shayar Mosoof itni lambi Miannaton aur Aajzion ke baad Laila ki shab e wasal ki Subha Madhosh padey thy.

so .. thoda waqt dijiye.. inshAllah umeed bar zaroor aaey gi..

aur Poem par Tabsara .. Agli Post me :D
hahaha aapki walida mohtarma ki wapsi par muj dili khushi hay :D
matlab training period start ho chukka hy?;))
 
  • Like
Reactions: DesiGirl

Naila_Rubab

عمر بھر ادھوری محبت کا پورا سفر
Hot Shot
May 27, 2014
17,600
1,701
363
Sharjah
Do Din Ki Zindagi Hai Kia Karo Gay Ulaj Kar

Raho Tu Phol Ki Manind Bhikro Tu Khusbo Ban Kar
 
Top