بسـم الله الرحمـن الرحيـم
السـلام و عليـكم دوسـتو
السـلام و عليـكم دوسـتو
Is dunya me jiski population 7 billion k qareeb qareeb hai.yahan har tarha aur qism k kayi mazahib k manne wale log rahte aur baste hain.aur baaz to mulhid(secular) hain.aur qaas baat ye k har mazhab k pairo apne mazhab ko dunya k dosre tamam mazahib se baalatar samjhte hain aur yahi yaqeen rakhte hain k usi ka mazahab huq par hai.
jinme mashhoor(famous) mazahib ye hain..Islam , chrischianity , Judaism , Hinduism , Buddhism , Shinto , shikkism , etc.
Aise me ek sawal jo aksar zahnaon me aata hai wo ye k.
kia hamara faith sahih hai?
Kia hum hi huq par hain?.
Kia hamari muqaddas kitab us haqeeqi khuda ne hi utaari(revealed) hai ? Etc
Dunya k baaqi dosre mazahib me jab hum dekhte hain to iska jawab hame nahi mil paata chahe unho ne laakh mantiq istemal karli ho.laikin agar koi aapse hi ye sawal karde to hum iska kia jawab denge ?Aayiye hum iska jawab talash karne ki koshish karte hain.
Hum jis mazhab k pairokaar hain.wo islam hai.aur hum yahi kahte hain k yahi wo dunya ka saccha mazhab hai jo dosre addiyaan par ghalib aayega.iske saccha hone ki daleelein ye hain.
Quran k bayan ka tazaad se paak hona : is dunya me na jaane kitne log aur kitni kitaabein aayin aur har ksi ye daawa kia k ye kalam e ilaahi hai.laikin jab uske kalam ko humne dekha to usme hame kaafi ikhtelaaf nazar aaya.hum ek missal yahan dete hainkarl marks ki jisne ek inqelab (revolution) barpa kia tha isne kayi qawaneen banaye uska kahna hai k jis tarha ek aalamgeer kasish se sitaare harkat kar rahe hain isi tarha kuch nagazeer taareeqi qawaneen hain jo samaji tabdeeliyaon ka sabab bante hain.ye qawaneen musalsal taur par apna kaam kar rahe hain.aur isi k mutabeq insaani zindagi me inqelabaat aate hain.laikin wo ye kahne k baad hi ye naara bhi lagata hai k " dunya k mazdooraon muttahid hojaao."Zahir hai k ye dono baatein ek dosre ki zid hain.agar samaji tabdeeliyaon ka koi taareeqi qanoon hai to fir siasi jaddo jahad ki zaroorat hi nahi.Iske bar aks quran kahta hai k zindagi me jo waqiyaat pesh aate hain wo insaan ki apni koshishaon ka natija hote hain.aur yahi wo kalaam hai k jisme koi tazzad nahi hai.Aur ye quran ka mojaza hai k zindagi k baare me jo nazaryaat isne pesh kiye.wo aaj bhi naato purana hua hai.aur nahi isme koi ghalti ki nishandahi ki jasakti hai.is dauran me kitne falsafe paida hue aur margaye kitne nizam bane aur bigar gaye magar quran ki sadaqat aur uski sacchayi aaj bhi barqarar hai.Main yahan aur 2 misalein (examples) pesh karunga.
aaj k daur jadeed me ye qarar dedia gaya hai k aurat aur mard ka darmiyan masawaat honi chahiye aur zindagi har shobe me dono ko eksan kaam karne ka mauqa dia jaana chahiye.agar hum biology k hisab se dekhenge to dono me masawaaat nahi hain.aur ye mumkin nahi hai k dono eksan bojh utha saken.iske bar aks quran ne hamari zindagi me murd aur aurat ka jo maqam mutayyun kia hai wo dono ki paidaayesh ki saaqt k ain mutabeq hai.is tarha is maamle me yahan koi tazzaad nahi hai.
theek isi tarha Quran ne kaha k is dunya ka bananey wala ek zahan hai jo isse harkat de raha hai.aur wo hasti Allah hi ki zaat hai.iske bar aks uropean scientist ne dawa kia k kaayenat ek maddi machine hai jo khud bakhud harkat kar rahi hai.is daawe k baad fir inhone apni baat ko radd kia aur famous scientist sir jemez janes apni kitab me likhta hai k "jadeed maalomaat humko majboor karti hai k kaayenat ek aisi taaqat (dising or controlling power ) ka sabot faraham kar rahi hai jo hamare shaqsi zahan se bahot milti julti hai."(modern scientific thoughts)
Ab ayyiye hum dekhte hain k kia mohammed(pbuh) hi wo aakhri nabi aur rasool hain jo Allah ki taraf se logaon ki hidayat keliye bheje gaye hain ?
Agar hum unki dawat aur jo baatein unho ne kahi dekhenge to pata chalta hai k waqayi isme kitni sacchayi hai.wo kahte hain k " dunya isi tarha zaalim aur mazloom ko liye qatam nahi hojaayegi.balke iska ek anjam bhi hoga ( jisse qayamat se tabeer kia gaya).us waqt zalim aur mazloom ko alag kardia jaayega aur unme sahih faisla kardia jaayega."Ye baat wo yunhi kah kar nahi chor dete .wo kahte hain k wo waqt k aane me itni hi der hai k ye muhallat tumhari qatam hojaaye.us din Allah apne farmabardaraon ko izzat dega aur na frmanaon ko zaleel karega.isi tarha meri zindagi me bhi iska ek namoona dikha dia jaayega.Challenge wo is waqt dete hain.jab k wo tanha hai poori qaom unki dushman hogayi hai.khud apna mulk inko jagah dene keliye tayyar nahi.inke dost rishtedaar bhi inka saath chor kar chale gaye.unki mayishat tabah kardi gayi aisa ye shaqs poore yaqeen k saath ye ilaan karta hai k main ghalib rahunga aur mere zarye khuda ka hukum is dunya me naafiz hoga.
aur isi tarha nihayat sanjeedgi k saath wo apna kaam karte chale jaate hain.inhe mitaane keliye dunya k log apni saari taaqat laga dete hain.laikin sub be asar hojati hain.ek taraf maamooli aqliat hoti hai to dosri taraf zabardast aksariyat.ek taraf bahetreen hatyaar to dosri taraf pahenne ko kapra tak nahi.aise waqt me wo challenge karte hain.aur unke challenge par 20 saal bhi guzar nahi paate k wo challenge inki zindagi me poora hojata hai.aur tareeq ka wo wahid waqiya zahoor me aata k ek shaqs ne jin dawaon k saath apne kaam ka aaghaaz kia tha theek usi shakl me uska dawa poora hua.aur mohammed(pbuh) ne saare ilaaqe ko apne control me karlia.
Wo kaunsi aisi taaqat thi jo inke saath thi wo kaunsi sacchayi thi jiske bharam par wo shru me akele hi ye dawa kar baithe thei ? is dunya me lakhaon insaan aaye aur har ek ne bahot bare bare daawe kiye laikin aisa waqiya pahla hai k jo tanha apna kaam shru karta hai aur is daawe k saath k wo ghalib rahega.aur apni zindagi me hi wo din aajata hai jab k wo is zameen par hukumat karta hai.subhanAllah.Yahi wo chund ek baatein hain jo islam k saccha aur Allah k ek khuda hone ki daleel hai.
فان حـزب الله هـم الغالـبون. المائدة - 56
beshak Allah ka groh hi ghalib rahega.
beshak Allah ka groh hi ghalib rahega.