Rubaru Mehfil-e-sukhan With-- P@ssoin

  • Work-from-home

H@!der

Super Star
Feb 22, 2012
8,413
3,070
1,313

Musannif ya Shayer banney ke liye Khoobiyan..

Mera nahi khyaal ke koi Khud se ban sakta he Musannif ya Shayer.. is it?? Yeh to sab hi kehty hen ke apney ird gird se ba khabar hona chhye ,. Hassas hona chhye.. me kehta hon sath sath Parha Likha hona aur Ikhlaqiyaat ka acha Miyaar rakhna bahut zaroori he.. kisi bhi baat ko aisey pairaye me kaha jana chhye ke kisi ki Dil Aazari b na ho aur paigham b ponch jaey.. Dana o Beena hona Lazmi shart he..

Tehreer/Ghazal likhney ka Shouq kab se he..

Bas Abhi Abhi develop hona chhta he.. jab ho gyaa to bata don gaa :p

Koi Mazahiya Ghazal / Tehreer share karen..

Recently parhi hui kuch cheezen share karta hon.. :)

پنجاب کے مشہور قانون دان چودھری شہاب الدین علامہ کے بے تکلف دوستوں میں سے تھے۔ان کا رنگ کالا اور ڈیل ڈول زیادہ تھا۔ایک روز وہ سیاہ سوٹ پہنے ہوئے اور سیاہ ٹائی لگائے کورٹ میں آئے تو اقبال نے انہیں سر تا پا سیاہ دیکھ کر کہا:ارے چودھری صاحب، آج آپ ننگے ہی چلے آئے۔

کسی مشاعرے میں ایک نو مشق شاعر اپنا غیر موزوں کلام پڑھ رہے تھے۔اکثر شعراء آدابِ محفل کو ملحوظ رکھتے ہوئے خاموش تھے لیکن جوش صاحب پورے جوش و خروش سے ایک ایک مصرعے پر دادو تحسین کی بارش کیے جا رہے تھے۔گوپی ناتھ امن نے ٹوکتے ہوئے پوچھا: قبلہ، یہ آپ کیا کر رہے ہیں؟جوش صاحب نے بہت سنجیدگی سے جواب دیا: منافقت۔اور پھر داد دینے میں مصروف ہو گئے۔

Aur Shayri me ek Pathan Nama padh kar bahut hansa.. paish he.

ام تم کو کرے پیار یا پِر چوڑ کے جائے
خوچہ بری مشکل اے یہ ام کیسے بتائے

ام آتی اے ملنے کے لیے تم نئیں ملتا
یہ کیسا محبت اے جو دم پخت بنائے

رکشہ بی امارا اے جمعہ رات سے خالی
ام کیوں کسی بدبخت سواری کو بِٹائے

ام اس کو پشاور میں کبی نر نئیں بولا
جو مرد کا بچہ کبی نسوار نہ کائے

یارا کوئی دیدار کا وعدہ تو کرو ناں
گل خان کا وعدہ اے کہ ار سال نہائے

Pehli Tehreer kis Mozoo par likhi he..

Bachpan me mere ek Czn se meri ladai ke nateejey me kafi dant piti.. nateejatan hamarey Safarti Tahaluqat Munqatah ho gye. muje lagta tha ke kyunke ghalti us ki zyada he is liye mere sath Insaaf nahi hua aur dant muje zyada piti.. dil ka ghubaar nikalney ke liye Mosoof ne tooty phooty alfaaz me Shiddat e Jazbaat ka izhaar kiya.kuch na-qabal e isha'hat alfaaz bhi nok e qalam se guzre..:p. aur jo Khat Mudaha iliha ko likha Shamat e Ahmaal se wo ghalat address par ponch gyaa.. means Ghar walon tak.. magar khair hui ke us ko ek Adab Naama samajha gya aur Jaan bakhshi hui.. aur ba-ru-e Hukm-e-Hakam aaenda is terha ki Jasarat na karney ke ehed naama par dast-khat karney par khalasi hui :p ab wo me yahan share kar nahi sakta.. magar aap samaj len ke Na-Qabal e Isha’at honey ki waja se wo Ba-Haq e Sarkaar Zabt kyun kiya gya tha :p.. usi ko apa meri Pehli aur Aakhri Tehreer consier kar lijiye aur Mozoo b khud hi Samaj lijiye :D

Urdu ke ilawa kis zuban ke Mula’hla ka Irada he.

Arabi aur Persian ka.. bahut strong hen dono.. especially Persian.. aur Adab doni ka bahut bahut zarkhaiz he.. inshAllah jab bhi is qabil hua.. zaroor istafada karon ga..

Apni likhi Pehli Tehreer kisey dikhai aur Pazeerai kitni Mili..

Yeh Ahwaal to me ooper likh chukka hon.. aur Pazeerai.. poochen mat.. wo hui ke.. aaenda likhney se Toba kar li.. aura bi tak us par qaem hon :p

Anna lafz par koi Tehreer..

Ashfaq Ahmad Sahab ki hi tehreer he.. ooper neechy ho to nok palak darust kar lijiye gaa :p

"Apni anna aur nafs ko aik insan k samny pamal krnay ka naam ishq e majazi hay aur apni anna aur nafs ko sab k samny pamal krny ka naam ishq e haqeeqi hay asal main dono aik hain....ishq e haqiqi aik darakht hay aur ishq e majazi uski shaakh hay....."

"jab insan ka iishq lahasil rehta hay tu woh darya ko chor kar smandar ka pyasa ban jata hay.....choty rasty say hatt kar bday madar ka musafir ban jata hay uski talab bdal jati hay"

Apni Shaksiyat ke munasib koi Shair..

Well.. aap muje Khud hi Choori khaney ko keh rahy hen.. magar yeh kehta chalon key eh Choori Shouq se nahi Majbooran khaa raha hon :p

یہ درسِ اوّلیں مجھ کو مِلا میرے بزرگوں سے
بہت چھوٹے ہیں وہ اوروں کو جو چھوٹا سمجھتے ہیں

نہ جانے کیوں‌ ہماری اُن کی اک پَل بھی نہیں بنتی
جو اپنا قبلہءِ دل ، دولتِ دُنیا سمجھتے ہیں

اُمیدِ التّفاتِ دوستاں نے راز یہ کھولا
ہم اُن کو کیا سمجھتے ہیں وہ ہم کو کیا سمجھتے ہیں

Zindagi ke Mojooda halaat ki munasibat se Shair..

صاف کب امتحان لیتے ہیں
وہ تو دم دے کے جان لیتے ہیں

اپنے بسمل کا سر ہے زانو پر
کس محبت سے جان لیتے ہیں

وہ جھگڑتے ہیں جب رقیبوں سے
بیچ میں مجھ کو سان لیتے ہیں

Ab Xplanation na mangiye gaa :p
 
H@!der

Super Star
Feb 22, 2012
8,413
3,070
1,313
Mera nahi khyaal ke koi Khud se ban sakta he Musannif ya Shayer.. is it?? Yeh to sab hi kehty hen ke apney ird gird se ba khabar hona chhye ,. Hassas hona chhye.. me kehta hon sath sath Parha Likha hona aur Ikhlaqiyaat ka acha Miyaar rakhna bahut zaroori he.. kisi bhi baat ko aisey pairaye me kaha jana chhye ke kisi ki Dil Aazari b na ho aur paigham b ponch jaey.. Dana o Beena hona Lazmi shart he..

bohat bohat ziada impressive :-bd
Shukriya :p
 
H@!der

Super Star
Feb 22, 2012
8,413
3,070
1,313
wasie aik minute maine impressive overall replies pe bola tha jo ooper aik reply quote kiya tha us pe sawal poochna tha,,ijazat hy?:p
lolzz.. acha me samjha 9 sawal pe 9 stars milen ge :p

poochen poochen .. abi toi aap ke poochney ke din hen :p
 
Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
lolzz.. acha me samjha 9 sawal pe 9 stars milen ge :p

poochen poochen .. abi toi aap ke poochney ke din hen :p
first Q k reply may aap ne bola k sath may parha likha hona b zaruri hay
maazi may aise bohat se shayer hain specially punjabi aur soofi shayer jin k paas formal education nhi thi is k bawajud unki soch aur batain bohat gehri hain aaj tk waise shayer nhi aaye,,,to aisa nhi hy k ye formal education se hat k aik alag hi hunar hy jis may khayalat k izhaar k liye sirf kisi zuban se aagahi zaruri hy aur hasas tabiyat aur kuch ho ya na ho??
ya aap k apne views kia hain?
 
u very much said my views.. as i said.. Dana-O-Beena hona Lazmi Shart he..
purany waqton me Formal education chahey na hoto ho.. magar Deeni taleem o tarbiyat aise ehoti thi jis ki misaal nai.. phir sirf taleem hi nahi.. us ki implementation bhi nazar aati thi.. Dana'i kisi ki meeras nahi.. skill set to thy magar un ko polish Tab bhi aur AB bhi mahol aur tarbiyat dono mil kar karty hen.. hamary jitny bhi Soofi Shoh'ra ka kalaam jo me ne parha he.. yaa Soofi na bhi ho magar jo bhi legends hen un ki shayri me koi Sathi-pan aap ko nahi mily ga.. chahey wo kisi b language ke hon.. written hon ya unwritten.. Shayri sirf Husn o Ishq ke gird nahi ghoomti thi.. Majazi mah'nawiyat ke sath sath Haqiqi mah'naviyat se bhari hoti thi.. aur mostly jo Local shayar thy wo to baat hi Mohasharti masael ki karty thy.. aur wo log degree holders chahey na hon magar Ba-Shaoor zaroor hoty thy..
aaj kal problem yeh he ke kyunke Urban aabadi zyada ho rahi he.. logon ke pas wo Purana Pindon Mohallon wala mahol he na aproach.. apney padosi ka pata nahi hota ke kon he kahan he.. to is liye Urban culture me Adeeb ya Shayar ke liye ek hi rasta he.. Formal aur Informal dono grounds high hone chhyen.. i may b rong but this is wht i think :)
 
Zia_Hayderi

TM Star
Mar 30, 2007
2,468
1,028
1,213
Half right baat ki he aap ne .. Greeb Qabil e rehem ho na ho.. Shadi Shudda zaroor Qabil e rehem hota he :p
yeh alag baat he ke Shadi Shuda b ek terha se Greeb hi hota he.. aur Akser Green bhi Shadi Shudda hoty hen :)
آپ کا کیا خیال ہے- ہر شادی شدہ ہوتا غریب ہوتا ہے مگر ہر غریب شادی شدہ نہیں ہوتا ہے:D
 
Zia_Hayderi

TM Star
Mar 30, 2007
2,468
1,028
1,213
aji Mohterma.. Me nahi.. is forum par to aaj kal Chacha jee hen ek Wohi bol rahy hen..
aur yeh jo 7 pages ka kissa he.. is me mera hissa to koi 5-7% hi ho ga... yeh jo 2 adad khawateen Sawal kar rahi hen .. asal kaam to un ki waja se pada he :p
aur age.. zahir omer ka poocha he ya Batini ka.. Dimagh se to kafi Umer raseeda ho chuka hon.. usi ka asar he ke Baal gir gye hen ooper se.. bas ek Jhalar si baki reh gyee he.. dant b aksar daag e mafarqat de chuky hen.. aur jo do chaar reh gye hen wo b Shaheedon me naam likhwany ko tyaar bethy hen.. han Technology ka shuker guzaar hon jis ki waja se AB bhi Akhrot tod ke kehta hon.> Dekha mere Miswaak ka Kamaal.. Jhuriyan is qadar zaroor hen ke Paseeny ko behney ke liye Rasta nahi banana padta.. khud hi kuch Gravity aur kuch Slop ki waja se manzal e maqsood tak ponch jata he.. haan agar Mah o Saal ki baat karen to 29 ka hue kuch din guzar chukey hen :p magar as like Meera.. GoogleS me ghalat ho sakta he magar hon to abhi bhi 30 se neechy :p
@Rubi @Hoorain @ShiXu_MiXu
کیا آپ کی کلاس فیلو آپ کو اب دیکھ کر پہچان سکتی ہے
 
Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
u very much said my views.. as i said.. Dana-O-Beena hona Lazmi Shart he..
purany waqton me Formal education chahey na hoto ho.. magar Deeni taleem o tarbiyat aise ehoti thi jis ki misaal nai.. phir sirf taleem hi nahi.. us ki implementation bhi nazar aati thi.. Dana'i kisi ki meeras nahi.. skill set to thy magar un ko polish Tab bhi aur AB bhi mahol aur tarbiyat dono mil kar karty hen.. hamary jitny bhi Soofi Shoh'ra ka kalaam jo me ne parha he.. yaa Soofi na bhi ho magar jo bhi legends hen un ki shayri me koi Sathi-pan aap ko nahi mily ga.. chahey wo kisi b language ke hon.. written hon ya unwritten.. Shayri sirf Husn o Ishq ke gird nahi ghoomti thi.. Majazi mah'nawiyat ke sath sath Haqiqi mah'naviyat se bhari hoti thi.. aur mostly jo Local shayar thy wo to baat hi Mohasharti masael ki karty thy.. aur wo log degree holders chahey na hon magar Ba-Shaoor zaroor hoty thy..
aaj kal problem yeh he ke kyunke Urban aabadi zyada ho rahi he.. logon ke pas wo Purana Pindon Mohallon wala mahol he na aproach.. apney padosi ka pata nahi hota ke kon he kahan he.. to is liye Urban culture me Adeeb ya Shayar ke liye ek hi rasta he.. Formal aur Informal dono grounds high hone chhyen.. i may b rong but this is wht i think :)
very well said :-bd
 
H@!der

Super Star
Feb 22, 2012
8,413
3,070
1,313
آپ کا کیا خیال ہے- ہر شادی شدہ ہوتا غریب ہوتا ہے مگر ہر غریب شادی شدہ نہیں ہوتا ہے:D
pehly to mujh greeb ko Greeb ka matlab samjha den .. jo aap ke khyaal me ho.. tab hi is sawal ka aap ki mansha' ke mutabiq jawab de sakon ga :)
 
H@!der

Super Star
Feb 22, 2012
8,413
3,070
1,313
کیا آپ کی کلاس فیلو آپ کو اب دیکھ کر پہچان سکتی ہے
han jee.. kyun nahi.. agar apny glasses kahin rakh ke bhool na gyeen hon gi to zaroor pehchaan len gi.. aur agar aisa hua bhi.. to jo door hen un ko mere paseeney ki Mehek yaad dilaa de gi.. aur jo nazdeek se xamin karna chahen to.. Aashirbaad ke liye jhukey sar par hath phairty hi un ko Pata chal jan ahe ke Mosoof kon hen :p
 
Top