Round-2 (debate Round)!

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

HuriYa

(¯`★´¯)I'll Always Be Daddy's Doll(¯´★`¯)
Super Star
Aug 8, 2011
14,920
7,014
713
D!amOnd CastLe
Ab main aak aise Logic pe baat kernay lagi hOn Jis se Koi bhi Disagree nahi ker sakta..! :p

Jab Larkay ki Mother apnay bethay k liye bahu dekhnay jati hain tuo un ka andaz aisa hota hay Jaisay Larki ki asal Maa wahi hain aur Real Mother se bhi zyda us Larki pe Haq Jitaya Jata hay..! Yah meri Bahu nahi beti ho ge..! Main is ki Saas nahi Maa Hon etc Jaisay Emotional setences sunanay ko miltay hain..! wOh aisa is liye kerti hain ta k un ka Impression Larki aur us k ghar walon pe acha paray..!

After Marriege kia Hota hay k wahi Saas us Chand se bahu se 100, 100 keeray nikal rahe hote hay...! wahi Saas Doseron k samnay us ki buriyan ker rahe hote hay..! Khair aisa bOhat kcuh ho jata hay Jo Insan wahm-o-Guman main bhi na Hoo..!

tuo wOh log Jo is statement pe Yaqeen rakhtay hain K "first Impression is the Last Impression" woh is k baray main kia kahen gay? Yahan Impression First and Last same kyun nahi rehta?

wOh is liye kyun k Insan ki Fitrat Uljhi hue hay..! Us ki Tasveer ka sirf aak rukh nahi..! wOh selfish ho ga tu kuch aur hota hay, Ghusay main ho ga tu kuch aur, Khush ho ga tu kuch aur, apno main ho ga tu kuch aur, Ghairon main ho ga tu kuch aur..! In shOrt Jaisay Jaisay Humain Life se juri Priorities aur rishtay badltay hain waise hi us ki soch aur Impression badltay hain..! aur Insan Impressions ka Pahaar hay..! aak Ashraf-ul-Makhloqat ko Just "FIRST IMPRESSION" tak mehdod ker dena Khud Insani Fitrat k against hay...!
 
kingnomi

Doctor
Super Star
Jan 7, 2009
12,873
10,849
1,313
Owsum , Superb , Very Nice :P
hahahahaha....{(laugh)}koi haal nahi hey...
game mey tu thori deir sudhar ja @kool~nomi
Oye haan jani sun ab tu apna misaal hi lele jab tum aaye thay new toh humien laga kay tum aik serious member ho but hum nay usay pathar per lakeen nhn maan liya kuch din me tumhay dekhaaa aur phr yeh faisla kiya kay tum Aik talented , funny aur situation kay hisab se chalnay walay banday ho :D >. :p .. :p >>:P
toh is se yeh sabit huwa kay First Impression He Last impression nhn hota Sir ji :p

@hoorain @HuriYa @Nelly @Maheen_Hassan
 
HuriYa

(¯`★´¯)I'll Always Be Daddy's Doll(¯´★`¯)
Super Star
Aug 8, 2011
14,920
7,014
713
D!amOnd CastLe
u ka impression change ho raha hai aur acha ho raha hai meri nazar me :D keep it up hheh :p

Hum Loug sirf batien nhn kartay hain show bhi kar rahay hain kay First impression kuch nhn hotaa Insan Ki Fitrat aur nature aur waqt kay hisab se insan ka pata chalta hai ...

@hoorain @Nelly
Lolxx Ho yah na hoo who Cares..! :p
 
Mahen

Alhamdulillah
VIP
Jun 9, 2012
21,845
16,877
1,313
laнore
Ab main aak aise Logic pe baat kernay lagi hOn Jis se Koi bhi Disagree nahi ker sakta..! :p

Jab Larkay ki Mother apnay bethay k liye bahu dekhnay jati hain tuo un ka andaz aisa hota hay Jaisay Larki ki asal Maa wahi hain aur Real Mother se bhi zyda us Larki pe Haq Jitaya Jata hay..! Yah meri Bahu nahi beti ho ge..! Main is ki Saas nahi Maa Hon etc Jaisay Emotional setences sunanay ko miltay hain..! wOh aisa is liye kerti hain ta k un ka Impression Larki aur us k ghar walon pe acha paray..!

After Marriege kia Hota hay k wahi Saas us Chand se bahu se 100, 100 keeray nikal rahe hote hay...! wahi Saas Doseron k samnay us ki buriyan ker rahe hote hay..! Khair aisa bOhat kcuh ho jata hay Jo Insan wahm-o-Guman main bhi na Hoo..!

tuo wOh log Jo is statement pe Yaqeen rakhtay hain K "first Impression is the Last Impression" woh is k baray main kia kahen gay? Yahan Impression First and Last same kyun nahi rehta?

wOh is liye kyun k Insan ki Fitrat Uljhi hue hay..! Us ki Tasveer ka sirf aak rukh nahi..! wOh selfish ho ga tu kuch aur hota hay, Ghusay main ho ga tu kuch aur, Khush ho ga tu kuch aur, apno main ho ga tu kuch aur, Ghairon main ho ga tu kuch aur..! In shOrt Jaisay Jaisay Humain Life se juri Priorities aur rishtay badltay hain waise hi us ki soch aur Impression badltay hain..! aur Insan Impressions ka Pahaar hay..! aak Ashraf-ul-Makhloqat ko Just "FIRST IMPRESSION" tak mehdod ker dena Khud Insani Fitrat k against hay...!
lolxxxxxxxx well said hahahha (sa) @sherry2112 ans pls abi thak phli ka ans nhi diya :oops:
 
  • Like
Reactions: kool~nomi

HuriYa

(¯`★´¯)I'll Always Be Daddy's Doll(¯´★`¯)
Super Star
Aug 8, 2011
14,920
7,014
713
D!amOnd CastLe
Oye haan jani sun ab tu apna misaal hi lele jab tum aaye thay new toh humien laga kay tum aik serious member ho but hum nay usay pathar per lakeen nhn maan liya kuch din me tumhay dekhaaa aur phr yeh faisla kiya kay tum Aik talented , funny aur situation kay hisab se chalnay walay banday ho :D >. :p .. :p >>:P
toh is se yeh sabit huwa kay First Impression He Last impression nhn hota Sir ji :p

@hoorain @HuriYa @Nelly @Maheen_Hassan
True...!
 
  • Like
Reactions: kool~nomi

Shiraz-Khan

Super Magic Jori
Hot Shot
Oct 27, 2012
18,264
15,551
1,313
First Impression is nOt the Last Impression..!

Ager aak bacha schOol Jana shuro kerta hay tuo usay apna acha Impression bananay k liye aak waqt chahiye..! shuro main wOh Confuse ho ga Hesitate ho ga mager Koi bhi us k is Impression ko Last Impression nahi samjhay ga..! Jab koi Building tyar hote hay tu wOh Base to Top same nahi hote yahe Insan k sath Hota hay wOh zindagi main waqt k sath badlta rehta hay aur us k Impressions bhi.

Samandar Jaisa Oper se nazer aata hay andar se waisa nahi Hota..! Samandar k baray main aap ka First Impression yah ho sakta hay k yah Gahra nahi Laken Last Impression Yaqeenan ult ho ga.

First Impression se aap kise Insan k baray main apni raye qaim nahi ker saktay kyun k ho sakta hay Jab aap usay milay hon wOh achay mood main na Hoo aap ne us ka ghusa dekh k andaza laga lia yah Bohat ghusay wala hay aur Jab wOh Normal mood main hO tu aap ko apnay Compliments Change kerna paren..! Kyun k Insan apni nature k mutabiq hi react kerta hay aur yah reaction us k Impressions ban jatay hain..! Jo k hamesha badltay rehtay hain..! sO first Impression is Not the Last Impression..!
hm Huriya g... bacha b impression rakhta hey.... bt bacha hota hey datsy us ka impression b usi had tak ka hota hey... ab jese k aap ko pata hey k alag alag nature k bachey hotey hein kuch ghabratey bht hein kuch rotey bht hein kuch shararti hotey hein tu miss unk impressions dekh ker un ko category mey divide kerdeyti hein... k kis bachey ko kis tarah sey deal kerna hey... or ye faisla kese kerti hein unk first expression jo mis per akhri banker zehen mey ajata hey sey hi dekh ker ye faisla kerti hein. . or wo miss baqaeda jab taq aap us school mey hotey us wakt taq yaad b dilaati hein k shoro sey hi tum asay ho.. jab pehley din aey the tu asay hi harkatein ker rahey the... etc etc.

hamey tu apney village mey ghotno taq wali jaga b gheri maalom hoti hey... or logon k impressions ney b ye zehen mey bithaya howa k deep ka kahin b pata nahi chalta..... tu paani k lok sey b wo deep hi ka tassur deyta hey zehn mey

Ab hamarey ik teacher the jin ka isi tarah ka impression para tha... wo deeni mamlat sey taulluq rakhtey the or hum sey bht achey andaz mey baat kertey the... bt hum sub k dil mey aaj taq unka wo first day wese ka wesa hi hey.. or jab hum saamney jaatey hein tu usi impression ka khauf haawi hojata hey.sirf mey nahi hamari takriban pori class is ki gawahi deysakti hey..
@Maheen_Hassan @Abidi @Star24 @Aunty_Nasreen
 
apni taraf sey bongiyan maar raha k mey serious tha :D hahaha.... {}{456
 
Bachay Impressions rakhtay hain main ne is se Kab inkaar kia? Laken kia aap is baat se Inkaar keran gay K Jaisay jaisay insan bara hota hay us ki soch badalti hay, us ki pasand na pasand, Friend list, Priorities and everything..! tuo kia yah sab cheezain aap ko Human Impressions se Juri nazer nahi atin? Teacher Bachon k attitude ko dekhtay huye unhain Diffrent categories main divide kertay hain laken Main ne aisa koi Teacher nahi dekha Jis ki apnay student k baray main shuro din se aak hi raye rahi hOo ager Nalaik student achee progess show keray ga tu Tecaher ka Point of view foran badlay ga aur woh usay kuch na kcuh reward day ga..! aur ager aak Intelligent student acha result show nahi keray ga tu us k baray main bhi teacher ki Opinion badlay ge..!

aur yah soch aur Opinion ka badlna hi Impressions ka Badlna hay Jo k hamesha badltay rehtay hain..! Kabhe zyda Kabhe kam.
 
  • Like
Reactions: kool~nomi

KhobSorat

Banned
May 19, 2013
549
260
63
First Impression is nOt the Last Impression..!
Ager aak bacha schOol Jana shuro kerta hay tuo usay apna acha Impression bananay k liye aak waqt chahiye..! shuro main wOh Confuse ho ga Hesitate ho ga mager Koi bhi us k is Impression ko Last Impression nahi samjhay ga..! Jab koi Building tyar hote hay tu wOh Base to Top same nahi hote yahe Insan k sath Hota hay wOh zindagi main waqt k sath badlta rehta hay aur us k Impressions bhi.
Samandar Jaisa Oper se nazer aata hay andar se waisa nahi Hota..! Samandar k baray main aap ka First Impression yah ho sakta hay k yah Gahra nahi Laken Last Impression Yaqeenan ult ho ga.
First Impression se aap kise Insan k baray main apni raye qaim nahi ker saktay kyun k ho sakta hay Jab aap usay milay hon wOh achay mood main na Hoo aap ne us ka ghusa dekh k andaza laga lia yah Bohat ghusay wala hay aur Jab wOh Normal mood main hO tu aap ko apnay Compliments Change kerna paren..! Kyun k Insan apni nature k mutabiq hi react kerta hay aur yah reaction us k Impressions ban jatay hain..! Jo k hamesha badltay rehtay hain..! sO first Impression is Not the Last Impression..!
huriya jee apne baaten achi ki hain lekin points ache nahi dye apne bache ki misaal di hai jabke bache ka apna impression hota hi nhi bachen to kore kaghaz ki tarha hote hain aap unper wohi kuch likha hoa parh sakti hain jo kuch ap un pe likh deti hain koi bacha school jata hai to usko uske parents jo kuch samjha ker bhejte hain woh bacha wahan jaa ker wohi kuch show kar rha hota actuall main woh impression us bache ka nhi hota balke us bache ke parents ka hota hai jo unho ne apne bachen ko sikha ke bheja hota hai ke kaise bethna hai kis tarha baat krni hai waghera waghera warna yaqin karen ap bachon ko yeh samjah ker bhejengi ke ap school jain class main bethen miss jo b work karne ko bolen aap wo work na karen to yaqin ki jiye woh bacha school ja ker yehi sab kuch kare ga kyunke woh bacha hai seekh rha hota hai sikha nhi rha hota
iske ilava apne building ke impression ki baat ki hai jabke building bejaan ashiya main shamil hoti hai or uske impression ke peeche ek nahi balke kaafi sare enginiours ka zehen hota hai so enginiours chahen to us building ko base to top ek jesa b bana sakte hain han insan waqt ke sath badal jata hai lekin waqt badal jane ki wajah se hi to insaan badalta bhi hai aj hum log jawan hain 2013 chal rha hai 2030 main hum javan nhi honge ya ho sakta hai duniya main hi na honge to kya sirf insan ko hi ilzam denge ke insan badal gaya?waqt nhi badla?
or muje yeh batain ke aap samandar ka naam le rahi hain kisi jheel ya naddi ka naam nhi le rahin ook?
to duniya ka koi aisa samandar batain jiske baare main yeh peshan goi ki ja sakti hai ya yeh socha ja sakta hai ke woh gehra nhi hoga? samandar hai lekin gehrayi nhi aisa samandar ashiqon ke lye sanf e nazuk ki aankhon main hi paya jata hai hooria jee zameen per aisa koi samandar nhi
first mulaqat main hum insan ki adaat ka andaza nahi laga sakte lekin uski baton se uski baaton ke andaaz se hum uski fitrat ka andaza zarur laga sakte hain jabke adaat waqt ke sath change hojati hain lekin insani fitrat kabi change nhi hoti
hum uske ghussa hone per yeh soch sakte hain ke woh ghusse ke mood main hain to yeh kyun nhi soch sakte ke woh fitratan ghusse per qabu kar lene wala insan nhi? warna kisi se milte hain to mood jesa b ho mood or raviya acha bana ker hi to milte haina?lekin woh shaks kisi se milte time b apne ghusse per qabu na paa saka to iska matlb kya yeh nhi hoa ke ghusse per qabu pana uski fitrat main shamil nhi?
or apne last main b ek ajib baat ki hai ke insan apni nature ke hisab se re act karta rehta hai or yeh waqt ke sath sath badalte rehte hain to kya ap is baat se agree karti hain ke insan ki nature yani fitrat waqt ke sath sath badalti rehti hai?
 
KhobSorat

Banned
May 19, 2013
549
260
63
Bachay Impressions rakhtay hain main ne is se Kab inkaar kia? Laken kia aap is baat se Inkaar keran gay K Jaisay jaisay insan bara hota hay us ki soch badalti hay, us ki pasand na pasand, Friend list, Priorities and everything..! tuo kia yah sab cheezain aap ko Human Impressions se Juri nazer nahi atin? Teacher Bachon k attitude ko dekhtay huye unhain Diffrent categories main divide kertay hain laken Main ne aisa koi Teacher nahi dekha Jis ki apnay student k baray main shuro din se aak hi raye rahi hOo ager Nalaik student achee progess show keray ga tu Tecaher ka Point of view foran badlay ga aur woh usay kuch na kcuh reward day ga..! aur ager aak Intelligent student acha result show nahi keray ga tu us k baray main bhi teacher ki Opinion badlay ge..!

aur yah soch aur Opinion ka badlna hi Impressions ka Badlna hay Jo k hamesha badltay rehtay hain..! Kabhe zyda Kabhe kam.
hooria waqt ke sath sath insan ki soch uski adat uski pasand na pasand sab change hoti rehti hai
lekin uski fitrat bhi change hojati hai? first impression se aap agar sirf uski adat uski pasnd uski soch ko hi notify karti hain to yeh sab change bhi ho sakti hain lekin first impression main ap kisi ki nature ko notify karti hain to baad main ya last impression main uski nature ko kaise change kr dengi?
 
Shiraz-Khan

Super Magic Jori
Hot Shot
Oct 27, 2012
18,264
15,551
1,313
mey apni b ik misaal paish kerta howa chalta hoon.. mujhey jaldi suna tha medicine ki waja sey bt tum log ney ghair liya hey....
ye batao sub Afridi ko tu jaantey hogey... us ka first impression b pata hoga... jo k pori dunya per qaemo daem hey us ka impression... tu haan mey apney ik dost ki hi misaal ley leta hoon k hamari bari debate hoti hey or wo hamesha afridi k against bolta hey... bt jab afridi ki batting aati hey tu wo itna excited hota hey k mujhey msg kerdeyta hey.... or itni bar zero per out honey k baad b first impression ki waja sey lgo full time omeed rakhey bethey hotey hein :D
@Maheen_Hassan @HuriYa @kool~nomi @Star24 @Don @hoorain @Abidi
 
  • Like
Reactions: Abidi and kool~nomi

HuriYa

(¯`★´¯)I'll Always Be Daddy's Doll(¯´★`¯)
Super Star
Aug 8, 2011
14,920
7,014
713
D!amOnd CastLe
hooria waqt ke sath sath insan ki soch uski adat uski pasand na pasand sab change hoti rehti hai
lekin uski fitrat bhi change hojati hai? first impression se aap agar sirf uski adat uski pasnd uski soch ko hi notify karti hain to yeh sab change bhi ho sakti hain lekin first impression main ap kisi ki nature ko notify karti hain to baad main ya last impression main uski nature ko kaise change kr dengi?
Already replied many Times..! Kindly read all replies then mOve On..!
 
Status
Not open for further replies.
Top