Zindagi

  • Work-from-home

Pari

(v)i§§· ßµølï ßµð£ï¨
VIP
Mar 20, 2007
46,142
19,780
1,313
Toronto, Canada
"Zindagi mein hamaaray saath chalnay waala har shakhs is liay nhi hota k hum thhokar kha kar girein aur woh hamein sambhaal lay haath thaam kar,girnay say pehlay ya baazu khaynchh kar girnay k baad. ba'az loog zindagi k is safar mein hamaaray saath sirf yeh daykhnay k liay hotay hein k hum kab kahaan aur kaysay girtay hein.lagnay waali thhokar hamaaray ghhutnoon ko zakhmi karti hay ya haathoon ko ,khaak hamaaray chehray ko ganda karti hay ya kaproon ko."
"Hum mein say har shakhs apni zindagi mein ik jung larta hay aur woh jung har ek ko khud hi larni parti hay.koi doosra aap k liay larta hay nah aapko kissi doosray say yeh tawaqooh honi chaahiay."
"thhokar lagnay par girnay k baad sirf ik kaam karna chahiay,doobara kharay ho jaana chahiay.har baar girnay par yeh hi karna chahiay. yahan tak k aap wahan pohnch jaaien jahaan aap pohnchna chahtay hein."
 
Top