Zikar-e-Shab-e-Furaq

  • Work-from-home

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi

Ziker -e- Shab -e- Faraq Say Wehshat Usay Bhi Thi
Meri Tarah Kesi Say Mohabbat Usay Bhi Thi

Mujh Ko Bhi Bohat Shouq Tha Naey Chehron Kay Deed Ka
Rasta Badal Kay Chalnay Ki Adat Usay Bhi Thi

Us Raat Dair Tak Wo Raha Maho Guftago
Masroof Main Bhi Kam Tha Faragat Usay Bhi Thi

Sunta Tha Wo Bhi Sab Say Purani Kahaniyaan
Taza Rafaqaton Ki Zarorat Usay Bhi Thi

Wo Mujh Say Barh Kay Zabt Ka Aadi Tha, Jee Gia
Warna Har Ak Saans Qayamat Usay Bhi Thi

Mujh Say Bichar Kay Shaher Main Ghul Mil Gia Wo Shaks
Hala-Keh Shaher Bhar Say Adawat Usay Bhi Thi

Tanha Howa Safar Main Tu Mujh Per Khula Yeh Bhaid
Saaey Say Pyaar , Dhoop Say Nafrat Usay Bhi Thi

Kaash Na Jaan Khud Ko Nakaam Keh Badd Zauq
Wo Mana Nahi Per Tujh Say Mohabbat Usay Bhi Thi

Mohsin Main Us Say Keh Na Saka Yoon Bhi Haal -e- Dil
Darpesh Ak Taza Musebat Usay Bhi Thi

 
Top