~*Wo Chahta To Mere Sath Chal Bhi Sakta Tha*~

  • Work-from-home

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513





Udasiyon ka ye mosam badal bhi sakta tha.
Wo chahta to mere sath chal bhi sakta tha.

Wo shakhs k jise tu ne chorne min jaldi ki.
Tere mizaj k sanche min dhal bhi sakta tha.

Wo jaldbaz khafa ho k chal dia warna.
Tanaze ka koi hal nikal bhi sakta tha.

Anna ne hath uthane nhi diye warna.
Meri dua say wo pathar pighal bhi sakta tha.

Tamam umar tera muntazir raha Mohsin.
Ye aur bat k mei rasta badal bhi sakta tha.
 
Top