Tm Members Review By Shehr-e-tanhayi

  • Work-from-home

zehar

VIP
Apr 29, 2012
26,600
16,301
1,313
w slaaam wr wb

@Hoorain v{()|eq3 ki bachi dal dal kachi apko zra tras nhi aya meri itni pyari si @shehr-e-tanhayi ko itna lamba task detey huey :bigtears

itna zyada likhney k baad tou unki finger dukh rhi ho gi :( ({smilestar)}

Bohot acha likha ap ney aur bohot achey trikey sey muhawrey use kiye {(giveheart)}
 
  • Like
Reactions: shehr-e-tanhayi

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
w slaaam wr wb

@Hoorain v{()|eq3 ki bachi dal dal kachi apko zra tras nhi aya meri itni pyari si @shehr-e-tanhayi ko itna lamba task detey huey :bigtears

itna zyada likhney k baad tou unki finger dukh rhi ho gi :( ({smilestar)}

Bohot acha likha ap ney aur bohot achey trikey sey muhawrey use kiye {(giveheart)}
unhe is se double b likhna prta to wo yaqeenan nhi thakti,,,stamina aur interest dekh k task deti hu :p
 

Aks_

~ ʍɑno BɨLii ~
Hot Shot
Aug 2, 2012
44,916
17,651
1,113
lakin meri ek guzarish hy k Tm din time blk baaz time raat ko bh nh opn hota koi bta skta hy aisi kya problem hy ?? [USERGROUP=86][USERGROUP=86]@TM_STAFF[/USERGROUP][/USERGROUP] ??
jhooty log jhooti baaten hota tou hy
 

Aks_

~ ʍɑno BɨLii ~
Hot Shot
Aug 2, 2012
44,916
17,651
1,113
shehrooo me isko kyaaa smjhun yara u akhir kya kehna chahti wesy rab di soun me koyi bura nhe keya aho menu parh k bht hasa hi gya kuriye saa kliya si k nhe :s
tteri narazgi ty sir ankhaan ty par me busy bht :p
chalo kisi nu ptqa me bht masoom :D
aap hi k haathoN ki ungliya Chabanay par majboor na kar diya to naam badal dijiay ga.
Biriyani wali baat to jaise humaray kalejay ko chhalni hi kar gayi hai ... lakin kis kis ka shikwa kareN yahan to aaway ka aawa hi bigRa huva hai. koyi humeiMN jhootay munh bhi nahi poochta .Maana k humeiN yahaN aaey juma juma 8 din huvay haiN lakin ab aa hi chukay haiN aur vapni gardan yaahN phansa hi chukay haiN to aap logoN ko bhi gallay paRa yeh Dhool bajana hi paRay ga. Aakhir bakray ki maaN kab tak khair manaaey gi aik din to churi k neeche aaey gi. Ab to jo ho ga dekha jaey ga. Aap log apnay teer aazmaiay , hum apna zor e baazu aazmatay haiN. Himmat e mardaaN madad e Khuda k teht jab tak dam meiN dam hai, hum kheencha taani to kartay hi raheN gay aur is kheencha taani meiN bhagtay chor ki langoTi ki tarah chahay biriyani ki aik booTi hi kyun na haath lagay. Aakhir ko muftm ki booTi shehr-e-tanhayi k liay bhi halal hi ho gi na :D
Umeed par hi duniya qaayem hai aur hum bhi issi umeed k k dam se houslay qaayem rakhay huvay haiN ... waise bhi ab le de se kaam nahi chalne waala. Jab sab aik hi thaali k chaTay baTay haiN to hum kaahay ko murawat se kaam leiN hum bhi aankheN maathay par rakh lete haiN aur dosroN ka rang pakaRtay huvay tota chashm ban jatay haiN.Tootay k zikar se yaad aaya k yahaN humaray aik pyaray se bhai bhi haiN jo humein miyaN miTThu jaise achay lagtay haiN . agar ab bhi nahi pehchanay to hum btaaey detay haiN k hum apnay pyaray se achay se @Fanii bhai ka zikar kar rahay haiN.Kehne ko yeh humaray bhai lakin lakin yeh bhi dushmanoN ki qitaar meiN humaray khilaaf hamesha mourcha lagaey bethay rehtay haiN.KahiN @AnadiL , kahiN @Aaylaaaaa kahiN @Sweeta aur kahiN @Bird-Of-Paradise k saath DeRh einT ki masjid banaey Khush gapiyoN meiN masroof rehtay haiN. Lakin jab hum apnay hum-Mizaaj logoN k sath Khush Mizaji ka muzahira kareN to kuch na kuch jalli kaTTi suna hi Daltay hhay bhi to humeiN kiya...hum aisi waisi baatoN ko ehmiyyat detay hi nahi. Tou asal zarorat is baat ki hai k hum jo kehna chah rahay haiN , ussay damm saadhay sun lijiay aur palluu mein baandh lijiay. Abhi kuch bigRa nahi hai to hosh k naakhun lijiay balkay apnay hawaasoN ka sadqa dijiay. ab zaroor aap humeiN dil hi dil meiN bura bhala kehtay huvay tilmila rahay hoN gay k humari billi humhi se
rahay. Kehnay ka maqsad yeh hai k humatri yeh behn iss baat se achi tarah waaqif haiN kwD miN oiN awr as ka sehra humari piyari behna @Hoorain k sar hai jinhoN ne chingari ko hava di balkay shooloN ko bhaRkaya hai. To kehna yeh tha k aap mahavaroN k is hajoom meiN apnay hawaas na choR dijiay ga. Jaantay haiN k yahaN til Dharnay ko jaga nahi lakin aap jahaN seeng samaayeN us tarf bhagnay ki bajaey apni gardan oonT ki tarah Khaimay meiN karne ki fikar kijiay baaqi jaga khud hi mil jaaey gi. Ab in baatoN ko palluu se baandh kar amal ka tahiyya bhi kar lijiay warna baat haath se nikal gayi to naiki to barbaad ho gi hi, gunaah bhi laazim ho jaey ga. jido johad karne se hi kamyaabi qadam choomti hai.
Hum kabhi bhi aankh oojhal pahaaR oojhal wali kahawat par yaqeen nahi kartay kyunkay humara maan-na hai k koyi moujood ho ya aankh se oojhal , agar woh aap k dil mein jagah rakhta hai to aap zaroor uski ghair moujodagi men bhi uska zikar kartay haiN. Ab yeh alag baat k humaray iss zikar se humaray piyaray bhai @zaryaab aur humarin achi si behnoN @Aaylaaaaa @Parisa_@whiterose aur @Syeda-Hilya ko aik saath cheenkheiN shuruu ho jaayeN . Yeh billi k bhaagoN cheenka Toota wala cheenkein na samjh lijiay ga. Humara matlab hai k humaray yaad karne se unheN jo cheenkeiN aayeN gi, hum un ka zikar kar rahay haiN. In LogoN ko dekhne k liay

]
 

shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
shehrooo me isko kyaaa smjhun yara u akhir kya kehna chahti wesy rab di soun me koyi bura nhe keya aho menu parh k bht hasa hi gya kuriye saa kliya si k nhe :s
tteri narazgi ty sir ankhaan ty par me busy bht :p
chalo kisi nu ptqa me bht masoom :D
Aaho jee ...ek tusi masoom tay ek assi masoom....

na na narazgi to bilkul nahi behna...aap humari fav. siso hain yahan. :D
 
Aug 12, 2014
2,157
965
263
Aslaamo allaykum
Lijiay @Hoorain siso hum aap k diay gay Task ko poora karne ki maqdoor bhar koshish karne lagay hain.Aap hi btaaiay ga k humeiN kis had tak kamyaabi huyi hai, ya phir wohi baat k jo garjtay hain woh barstay nahi k misdaaq hathi k daan khanay k aur dikhanay k aur waala maamla ho gaya hai. {(jccoffe)}

Haan to hum kehna yeh chaah rahay thay k aap ne humaray
khon paseena aik kar k chun chun kar jama kiay huvay mahavaroN ka rukh humari tarf phair diya hai.YooN to humari toupoN ka rukh humari tarf kar k aap k dil mein laDuu phooT rahay hoN gay aur aap be-chaini se yeh dekhnay ki fikar mein hon gi k aakhir yeh oontni kis karwat bethay gi.Yaad raahy k oontni hum ne seegha e mounas k tor par istmaal ki hai warna asali mahavara to aap janti hi hain k oonT kis karwat bethay ga.(sa)
Haan to hum baat kar rahay thay k jaise hum ne aap ki
gardan phansayi thi , aap ne bhi aao dekha na taao jaisa kaam kartay huvay humein lag bhag bhi nahi, saaray k saaray wohi mahavaray de diay. aray BB yeh to oonT k munh mein zeera dene wali baat kar di aap ne {(cherry)}. Aap ne jab koyi oonch neech nahi dekhi to hum bhi aankheN maathay par rakh lete hain aur aik aik kar k aasteen k saray saanp bahir nikal detay hain.lakin aik baat saaf saaf sun lijiay , bolein to kaan khol kar sun lijiay agar taish aur josh e Khitabat mein humk kisi ki dil azaari ka sabab ban beThein anjaanay mein to abhi teh-e-dil se maazrat khvaa haiN.yooN to humari zuban k aagay koyi Khandaq nahi hai lakin banda bashar haiN, koyi bhool chuuk ho hi jati hai.Aur yeh jo @Ally @Shiraz-Khan @STAR24 @saviou @Fanii @AnadiL @Bird-Of-Paradise Aag laga kar tamasha dekh rahay hain, inn sab ko bhi hum aaRay haathoN lein gay k poochiay hi mat. :mad:Aakhir ko hum nay apnay jalay dil k phapholay bhi to kahiN phoRhnay haiN na!!! Chaliay ab jo Dhool aap ne humaray gallay mein Daal diya hai , uss ko bajanay ki koshish kartay hain kyunkay hath par hath dharay rehne se to kuch honay wala nahi.Aakhir ko hum bhi Thehray jalebi ki tarah seedhay... in mahavaroN ki aisi ki taisi kar deiN gay.Hum jo waziyah tor par mahavaroN ka zikar kar rahay haiN to vaja yeh hai k naam dehindgaan mein se koyi is baat ko dil par na le le k kahin un ka zikar e khair to nahi ho raha.hum ba waja e khouf nahi balkay ba waja e narm-dilli is baat ka zikar kar rahay haiN warna kiya pidi aur kiya pidi ka shorba :mad:huuunh

waise Khuda lagti kahen k jo kaam aap ne humein diya hai iss se humara dil baagh baagh ho gaya hai , humari murda rooh mein jaise jaan paR gayi hai. bilkul waise hi jaise barish k barsne se sookhay dhaanoN par paani paR jaaey. Ab is mein humara to koyi qasoor nahi k humari har baat aap k ooper se guzar rahi hai . Achaaa is se bhi asaan lafzoN mein samjhaaey detay hain k bilkul aisay jaise baarish k cheentay jab murjhaey huvay sabzay par paRtay hain to woh sarsabz ho kar lehranay lagta hai.Theek waisay hi aap k diay is kaam ne hum par asar kiya hai.Hum bhi taza dam ho gay haiN k kuch to karne ko mila.{(book)}
upload_2015-10-4_21-9-16.jpeg


Tum bari hokar zaroor kuch banogi,
upload_2015-10-4_21-21-22.png
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
lakin meri ek guzarish hy k Tm din time blk baaz time raat ko bh nh opn hota koi bta skta hy aisi kya problem hy ?? [USERGROUP=86][USERGROUP=86]@TM_STAFF[/USERGROUP][/USERGROUP] ??
agar TM open nahi ho raha to ye try karen
Press Ctrl refresh and it'll work. In Sha Allah :)
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Ab choonkay baat shuruu ho gayi hai to koyi na koyi fitna sar uThata hi rahay ga aur aik aik kar k saray hi lapaiT mein aatay jaayeN gay . dair ya ba dair sab ko churi talay aana hi hai aakhir ko bakray ki maaN kab tak khair manaaey gi. Bakray se yaad aaya k yeh jo @Shiraz-Khan haiN , kab se tarah tarah k khanay share kar k humaray sabar ka imthaan le rahay haiN. Aakhir kab tak koyi in tasweeroN se dil behlaaey , kisi roz to milo humeiN shaam Dhalay taa k hum paiT bhar k khana khaayen aur sath sath in dishes k naam bhi yaad kar sakeN kyunkay abhi to saara dehaan khanay ki tarf hi hota hai.Hum ne to aap ko cake bnaa kar khilanay ki naiki ki lakin aap ne us ko bhi daryaa meiN daal diya.... cake ko nahi naiki ko....aag laga kar tamasha dekhna isi ko to kehtay haiN.Ab choonkay humari toupoN ka rukh in ki tarf ho gaya hai to aik baat saaf saaf keh dena chahtay haiN k hum ne maana k nadaan dost se daaana dushman behtar hota hai magar aisa bhi kiya k sar par hi chaRh kar naachnay lagay. Aik tarf mazay mazay k khaanay aur doosri tarf itnay khoobsorat muqamaat ki tasaweer paish kartay hai k hum to dekh kar dekhtay hi reh jatay hain.Qudrat k khobsorat manaazir humari kamzori haiN lakin ab aap aik baat zehan nasheen kar lijiay k humaray sabar ka pemaana labrez to ho hi chuka ab chhalknay ko bhi beqaraar hai.Hum apnay munh miyaaN miThu nahi bantay lakin Dankay ki choT par btaaey detay haiN k agar ghee seedhi ungliyoN se na niklay to humeiN TeRhi ungliyoN se nikalna bhi aata hai. Ab issay geedaRh bhabki mat samjh lijiay ga. Hum jo kehtay haiN kar k bhi dikhatay haiN .Darne waalay to hum haiN nahi kyunkay jo Dar gaya woh mar gaya..... hum abhi na darne k mood meiN haiN aur na marnay k... Baa shart e kay Allah Taala Ne humara yehi waqat muqarar na kiya ho.:">
Aur @saviou Mohtram yaqeenan soch rahay hoN gay k hum ne apnay turkash k saaray teer @Shiraz-Khan par chala diay aur woh baal baal bach gay, to yeh sara sar in ki ghalat fehmi hai. hum ne har teer par uska nishana ban-nay walay ka naam zehan nasheen kar rakha hai. humeiN aap se bhi hisaab chukaana hai. nahi nahi gaRay murday nahi ukhaaRnay. yeh to abhi taza tareen wardaat ka zikar e khair karne lagay hain.... kuch dil meiN khaTka? ... Nahi?...... Hum yaad karwaaey detay haiN. biriyaani ka poora degcha... aur kisi aik daanay par bhi humara naam na tha ... kaise kaise saanp na looutay humaray dil e naa-tawaN par =((... aap kaise andaza kar saktay haiN bhala...hadh hoti hai sitam-gari ki bhi ...Hum jalebi jaise seedhay sahi lakin ab aise bhi seedhay nahi k har koyi humaray hi dil e natawaaN ko mashq-e-sitam bnaaey. Iss maamlay meiN STAR24 bhi kisi se kam nahi haiN.Woh bhi aap logoN k shana ba shaana khaRi haiN. lakin un se to hum unki baari par nimaTeiN gay pehle aao se to do do haath kar leiN. Jis jis ne jo jo boyaa hai , ussay kaaTna hi ho ga. Hum billi choohay k iss khel ko yooN khatam nahi honay deiN gay. HaaN To Humara itni lambi taqreer jhaaRhne ka maqsad yeh hai k ab koyi mazeed biriyani shiriyani share kar k humara sabar mat aazmaaiay ga. aur koyi bhi niya fitna uThanay se parhez kijiay ga. Bas yaad rakhiay to itna k 4 din ki chandni k baad andheri raat hoti hai. Sada aap hi ka jhanDa ooncha nahi rahay ga. Humaray bhi din phireN gay. Humari is bijli k choolhay se jaan chooTne ki dair hai bas... phir hum bhi nit naey pakwaan paish kar k aap ko aap hi k haathoN ki ungliya Chabanay par majboor na kar diya to naam badal dijiay ga.
Biriyani wali baat to jaise humaray kalejay ko chhalni hi kar gayi hai ... lakin kis kis ka shikwa kareN yahan to aaway ka aawa hi bigRa huva hai. koyi humeiMN jhootay munh bhi nahi poochta .Maana k humeiN yahaN aaey juma juma 8 din huvay haiN lakin ab aa hi chukay haiN aur vapni gardan yaahN phansa hi chukay haiN to aap logoN ko bhi gallay paRa yeh Dhool bajana hi paRay ga. Aakhir bakray ki maaN kab tak khair manaaey gi aik din to churi k neeche aaey gi. Ab to jo ho ga dekha jaey ga. Aap log apnay teer aazmaiay , hum apna zor e baazu aazmatay haiN. Himmat e mardaaN madad e Khuda k teht jab tak dam meiN dam hai, hum kheencha taani to kartay hi raheN gay aur is kheencha taani meiN bhagtay chor ki langoTi ki tarah chahay biriyani ki aik booTi hi kyun na haath lagay. Aakhir ko muftm ki booTi shehr-e-tanhayi k liay bhi halal hi ho gi na :D
Aur aaj to hum saaray kaam kaaj kal par daal kar aasteeneiN chaRha kar maidaan e jung meiN utray hain Tou kisim ko humeiN aankheN nikal kar dekhnay ki zarorat nahi hai. Koyi dekhay bhi to humeiN kiya...hum aisi waisi baatoN ko ehmiyyat detay hi nahi. Tou asal zarorat is baat ki hai k hum jo kehna chah rahay haiN , ussay damm saadhay sun lijiay aur palluu mein baandh lijiay. Abhi kuch bigRa nahi hai to hosh k naakhun lijiay balkay apnay hawaasoN ka sadqa dijiay. ab zaroor aap humeiN dil hi dil meiN bura bhala kehtay huvay tilmila rahay hoN gay k humari billi humhi se miyaow miyaow kiay ja rahi hai. Aap ko jo sochna hai, sochiay kyunkay hum par to koyi asar nahi honay wala... chiknay ghaRay jo thehray.:D

Aur aik yeh haiN humari saggi wali... @STAR24 siso... itni saada dil haiN k koyi bhi sheeshay meiN utaar lay. Halankay kisi ko sheeshay meiN utarna koyi Khala jee ka ghar nahi hai. yahan sara qasoor in ki saada mizaji ka hai jaise lakk thirkda jaaey meiN saara qasoor uchi addi (High Heel) ka hai. Yeh bhi apnay naam ki aik haiN. Jab Aalam e kaayinaat k saaray anaasir sonay ko hotay haiN, yeh TimTimati huyi aa jati haiN . Kabhi kabhi yeh bhi humeiN dushmanoN ki saff meiN khari nazar aati haiN jaisa k haal hi meiN inhoN ne qisam qisam k muragan khaanoN ki tasaweer paish ki haiN k humaray ilawa baaqi mohtarmeen ki bhi raal tapknay lagi. Naam le kar hum kisi ko sharminda nahi kareN gay Kyunkay sabhi aaqal o zaheen haiN yahaN. Aur woh apnay girebaan meiN khud hi jhaank kar dekh saktay haiN ko hum kisi qisam ki mubaligha araayi se kaam nahi le rahay. Kehnay ka maqsad yeh hai k humatri yeh behn iss baat se achi tarah waaqif haiN k
Jis k haath meiN doyii uss ka har koyi
lakin behn jee kisi bhool meiN na rahiay ga kyunkay hum bhi ba-khoobi jaantay haiN k jis k haath laaThi to bhains bhi usi ki...ab hum nay alfaaz ki jo laaThi sambhaal li hai to jo bhi zad mein aey, hum andha dhund barsatay jaayeN gay.Kyunkay apna to aik hi asool hai k jab tak hum par kisi k johar na khuleioN, hum kisi ko sar aankhoN par nahi bithaya kartay. Aur yeh baat to kabhi bardasht hi nahi kar saktay k koyi humeiN aankheN dikhaey . YooN bhi koyi hum se TU TU MAIN MAIN karne ki sochay bhi to hum usay chuTkiyoN meiN uRa diya kartay haiN.HumeiN neecha dikhana koyi Khala jee ka ghar nahi hai. Khala jee k zikar se zehan meiN aik aur member ka khyaal aaya hai aur woh haiN @Ha In se humari Takar @STAR24 k karwaey aik Muqabla MeiN huyi jis meiN yeh bhi humaray mukhalif khel rahay thay. chalay thay hum se muqabla karne.... aray bhai hum to kaheN gay kiya pidi aur kiya pidi ka shorba.. balkay yeh kehna zyada munasib lag raha hai
kaise kaise log humaray dil ko jalanay aa jatay haiN
Dil par mat lijiay ga lakin Khuda lagti kehtay haiN k yeh koyi GuRiya Guday ka khel nahi hai jis ko har eraa ghaira khailnay lagay,,, baRay daao paich Aazmanay paRtay haiN. Yoon kahiay k mout ko dawat dene k barabar hai. Zara ghalat samjha to matlab hi ulTa paR gaya. Ajji hum to kehtay haiN k jaan hai to jahaan hai. Aap ko shayed is baat ka zooam ho ga k TM par zyada haq aap ka hai to is gumaan ko zehan se nikaal dijiay. Maana k aap hum se pehle aaey lakin kuch aisa farq bhi nahi ho ga. Ab bhala unees bees ka farq bhi bhala koyi farq hai jisay qaabil e tavaja gardaana jaaey. Albata qaabil e tavaja yahaN ki mezbaan @AnadiL HaiN Jo Talk Shalk meiN bulati to haiN lakin chai ka aik cup aur aik cup cake samnay rakh kar jaise mehmaanoN k sabar ka imthaan leti haiN k jo taqatwar ho ga, us k hisay meiN yeh iklota cup aa jaey ga. Sach btaaiay kabhi aap ne sher aur bakri ko aik ghaaT pani peete dekha hai? To phir apnay Thread ko kyun maidaan e karzaar bnanay ki nakaam sayi karti haiN? YooN to hum kisi bhi baat ka gilla shikwa nahi kartay lakin jab baat chai ki chaah ki ho to hum kisi bhi qisam ka samjhota karne se qaasir hotay haiN. yeh humari dukhti ragg ko chaiRhnay wali baat hai. Dukh se yaad aaya k hum ne EID k mouqa par aik EID MEHFIL sajayi hai aur iss meiN humeiN bahot saaray dukh dard se bharpoor ashaar paRhnay ko milay haiN. Hairaan mat hoN kyunkay ashaar dukh dard se Khaali hoN to chai ki piayaali bhi maza nahi deti. Haan to hum btaanay ja rahay thay k yeh Khoobsorat maarka Sar-anjaam diya hai humaray aik bhai @muttalib ne. Inn se humaray bhai charay ki buniyaad bhi issi thread meiN paRi. Bahot shukria bhai humari Mehfil ko 4 chaand laganay ka. Aray bhai hairaan pareshaan nahi hoN. hum nay inn logoN k baRh chaRh kar bolne ki vaja se apnay munh par laga chup ka qufal toRa hai warna hum to bahot kam-go haiN.Khuda-ra aap yahaN bhaant bhaant ki boliyaN bolne waaloN ki takraar se ghabra kar bhaag na jaana warna hum kahaN khaak chaantay phireN gay aap ki talash meiN.
Abhi humein apnay aik aur piyaray bhai @@fahadhassan ka bhi zikar e khair karna hai . Yeh humaray woh bhai haiN jinhoN maheena bhar pehle TM se izhaar e mohab karne par aik Titel se nawaza tha.. yad hai na?aAj om aik bar phr wisy oi mwD miN oiN awr as ka sehra humari piyari behna @Hoorain k sar hai jinhoN ne chingari ko hava di balkay shooloN ko bhaRkaya hai. To kehna yeh tha k aap mahavaroN k is hajoom meiN apnay hawaas na choR dijiay ga. Jaantay haiN k yahaN til Dharnay ko jaga nahi lakin aap jahaN seeng samaayeN us tarf bhagnay ki bajaey apni gardan oonT ki tarah Khaimay meiN karne ki fikar kijiay baaqi jaga khud hi mil jaaey gi. Ab in baatoN ko palluu se baandh kar amal ka tahiyya bhi kar lijiay warna baat haath se nikal gayi to naiki to barbaad ho gi hi, gunaah bhi laazim ho jaey ga. jido johad karne se hi kamyaabi qadam choomti hai.
Hum kabhi bhi aankh oojhal pahaaR oojhal wali kahawat par yaqeen nahi kartay kyunkay humara maan-na hai k koyi moujood ho ya aankh se oojhal , agar woh aap k dil mein jagah rakhta hai to aap zaroor uski ghair moujodagi men bhi uska zikar kartay haiN. Ab yeh alag baat k humaray iss zikar se humaray piyaray bhai @zaryaab aur humarin achi si behnoN @Aaylaaaaa @Parisa_@whiterose aur @Syeda-Hilya ko aik saath cheenkheiN shuruu ho jaayeN . Yeh billi k bhaagoN cheenka Toota wala cheenkein na samjh lijiay ga. Humara matlab hai k humaray yaad karne se unheN jo cheenkeiN aayeN gi, hum un ka zikar kar rahay haiN. In LogoN ko dekhne k liay hum ungliyoN par din shumaar kartay rehtay haiN . jab yeh log ghaayeb hotay haiN to dinoN tak jaise rasta hi bhool jatay haiN yahaN ka... woh sab to apnay gharoN meiN chain ki baansuri baja rahay hoN gay aur hum haiN k unki yaad meiN umeed k diay jalaey beThay haiN k woh hotay to aisa hota woh hotay to waisa hota . humaray is woh woh ka matlab humaray ooper biyaan karda Moazzaz bhai behn haiN.Yeh loag hotay to humaray sath hotay to humaray kandhay se kanda mila k kharay hotay , humari housla afzaayi kartay huvay humaray sath mil kar mourchay sambhaal kar dushmanoN k daant khaTay karne meiN humari madad kartay. Jin ko lagay k hum ne un ka shumaar dushmanoN meinN kiya hai, hum un se maazrat khvaa haiN.

@Don @RedRose64 @saviou @Pari @Aks_ @STAR24 @Shiraz-Khan @Fanii @AnadiL @Bird-Of-Paradise @Parisa_ @Zahabia @Guriya_Rani
@Abidi @Ahmad-Hasan @Aayat @aishagull @AR @Akaaaash @Afsaan @Aina_ @Armaghankhan @Angel_A @Amaanali @Ajnabhi @-Anna-
@amerzish_malik @Arz0o @Arzoomehak @Aqsh_Arch @Asheer @attiya @Atif-adi @Awadiya @Aaylaaaaa @Ayesha-Ali @Afnan_ @A7if @Ajnabee_Hoon
@Adorable_Pari @Barkat_ @Babar-Azam @Blue-Black @Bela @Baarish @Brilliant_Boy @Binte_Hawwa @bilal_ishaq_786 @badsha_
@Chief @chai-mein-biscuit @CuTe_HiNa @Cheeky @Charming_Deep @colgatepak
@Danee @Dard-e-Dil @Dua001 @DevilJin @Dua_ @Dreamy Boy @dur-e-shawar @diya. @errorsss @Dil_A_Nadan
@Fahad_Awan_Huh @Faiz4lyf @Flower_Flora @Fizaali @fahadhassan @furkaan @Fatima- @FatimaJee @France-Boy
@genuine @gullubat @Gul-e-lala @gulfishan @huny @H@!der @H0mer @H!N@ @Hoorain @hania7012 @Hoorainn @HWJ @hariya @Haider_Mk
@Iceage-TM @i love sahabah @italianVirus @illusionist @Island_Jewel @ijazamin
@junaid_ak47 @Justin_ @Jahanger @Just_Like_Roze @jimmyz @kaskar @lovely_eyes @LaDDan @Lost Passenger @Lightman @LUBABA
@Mano_Doll @Mahen @Meerab_ @maanu115 @Mantasha_Zawaar @Manxil @Marah @Mas00m-DeVil @marib @Menaz @minaahil @Mehar_G786
@Meekaeel @MSC @Minal @mrX @MukarramRana @MumS @Muhammad_Rehman_Sabir @Mawaa_Khan @maryoom
@Nadaan_Shazie @Naila_Rubab @namaal @NamaL @Nikka_Raja @nighatnaseem21 @Noor_Afridi @Noorjee @nizamuddin @Noman-
@Ocean-of-love @onemanarmy @p3arl @Panchii @Pari_Qrakh @Poetry_Lover @Prince-Farry @Princess_Nisa @Princess_E @pyaridua
@Raat ki Rani @raaz the secret @Rahath @Ramsha_Cat @raji35 @Ramiz @RaPuNzLe @reality @REHAN_UK @Robina_Rainbow
@seemab_khan @Sameer_Khan @Syeda-Hilya @S_ChiragH @sweet-c-chori @ShehrYaar @sikander1111 @shailina @Shahzii_1 @Shoaib_Nasir
@shineday11 @Sabeen_27 @shzd @S_Me3R @Sunny_ @Silent_tear_hurt @sweet bhoot @sona_monda @silent_heart @shehr-e-tanhayi
@SpectativeSchahzaad @soul_of_silence. @Stylo_Princess @Shona619 @SUMAIKA @soul_snatcher @sweet_lily @sweet_c_kuri @Sweeta
@Toobi @Twinkle Queen @Tanha_Dil @Tariq Saeed @ujalaa @Umeed_Ki_Kiran @Umm-e-ahmad @umeedz @unpredictable2
@Vasim @Wafa_Khan @wajahat_ahmad @X_w @yoursks @Yuxra @Zia_Hayderi @zaryaab @Ziddi_anGel @zonii @Z-4-Zahid @zealous @Zaad

Wa Alaykum Assalam Wrwb :)
Ma Sha Allah

waiqai me bohot acha likha apne
itna kuch wo bhi ek sath likhne k liye bohot patient chahiye
bande parh kar hi thak jaate hain lekin aap to likh diye aur wo bhi itna mazedar
ek teer teen nishan kya baat hai aam ke aam guthliyon k bhi daam :p
 

zehar

VIP
Apr 29, 2012
26,600
16,301
1,313
  1. jo garjtay hain woh barstay nahi
  2. hathi k daan khanay k aur dikhanay k aur
  3. khon paseena aik kar k
  4. chun chun kar jama kiay
  5. humari toupoN ka rukh humari tarf kar k
  6. dil mein laDuu phooT rahay hoN gay
  7. oontni kis karwat bethay gi.
  8. gardan phansayi thi ,
  9. oonT k munh mein zeera
  10. oonch neech nahi dekhi
  11. aankheN maathay par rakh lete hain
  12. aik aik kar k
  13. aasteen k saray saanp
  14. kaan khol kar sun lijiay
  15. zuban k aagay koyi Khandaq nahi
  16. Aag laga kar tamasha dekh rahay hain,
  17. aaRay haathoN lein gay
  18. jalay dil k phapholay bhi to kahiN phoRhnay haiN
  19. Dhool aap ne humaray gallay mein Daal diya hai ,
  20. hath par hath dharay rehne se
  21. jalebi ki tarah seedhay...
  22. aisi ki taisi
  23. dil par na lekiya pidi aur kiya pidi ka shorba
  24. dil baagh baagh ho gaya
  25. murda rooh mein jaise jaan paR gayi
  26. ooper se guzar rahi
  27. baarish k cheentay jab murjhaey huvay sabzay par paRtay hain
  28. taza dam ho gay haiN
 
  • Like
Reactions: Hoorain
Top