The Dark Girl-(suspence Story)

  • Work-from-home

Silent_lyf

Heart's Raaz
TM Star
Sep 20, 2013
4,932
2,021
713
@vamp545..actually abhi office work zyada hai islye..waise ur stories r awesome...kya dimagh lagte hai aap..amazing n creative :)
 

zindagi82

Newbie
Oct 18, 2015
2
0
1
"Yeah right" Maine tana maarne wale andaaz mein hasa "Aur vo maan gayi?"

"Khush bhi bahut hui ke uska boyfriend ek bahadur policewala hai, jasoos type"

"Phir?"

"Phir ham milte rahe. Ek jhooth ko chhupane ke liye maine hazaar jhooth bole. Main janta tha ke meri asliyat ka vo sabse bada loop hole hai isliye hamesha use fake IDs par registered number hi deta jin par vo mujhe call karti par aakhir asliyat kab tak chhupti. Zamane se chhupa sakta tha par us aurat se kaise chhupata jo mere saath so rahi thi. Ek din use sab pata chal gaya"

"Ke tu drug mafia hai?"

"Haan ke mera asli naam Khan hai aur Raghuvanshi ke naam se drug racket chala raha hoon"

"Phir?"

"Phir mujhe laga tha ke samajh jaayegi par bahut hi sachi sharafat ki moorti nikli. Mujhe dhamki dene lagi ke main sab chhod doon varna mujhe pakadva degi. Shayad vo ye ummeed kar rahi thi ke mujhe darayegi toh main is sabse bahar nikal jaoonga aur use phir se apna hero boyfriend vaapis mil jaayega"

"Yeah i can understand. Jisko vo bhagwan maan rahi thi vahi shaitan nikla toh samajh sakta hoon ke use kaisa laga hoga. Toh kya uski ye bhagwan phir se vaapis paane ki koshish rang laayi?"

"Nahi, tab tak main bahut aage nikal chuka tha aur shayad use bhi ye ehsaas hone laga tha ke main badloonga nahi"

"Mara kyun use?"

"Vo eklauti thi jo meri asliyat jaanti thi aur us waqt vo mujhe chhodne ki soch rahi thi. Main itna bada chance nahi le sakta tha aur shayad use bhi apni jaan ka khatra mehsoos hone laga tha"

"Is sab mein main kahan fit hota hoon?"

"Mil chuka tha tu usse" Khan ne kaha.

"Seriously, kab? I dont remember at all"

"Ek baar party mein mila tha, nashe mein dhut tha tu us waqt. Main Saanwli ke saath ek pub mein gaya aur vahan tu akela betha pi raha tha. Tu mujhe dekhte hi mere gale pad gaya. Ye us waqt ki baat hai jab vo meri asliyat nahi jaanti thi. Kahin tu mera asli naam uske aage na bol de is darr se main vahan se to uske saath jaldi nikal aaya par phir mujhe use tere baare mein batana pada"

"Aisa kya bataya tune use ke usne apni behan ko mere paas bhej diya?"

"Usne bheja tha?"

"Haan Saloni ne mujhe bataya ke usne khud phone karke apni behan ko mere paas aane ko kaha tha"

"Aur kya bataya?"

"Aur baat kar hi rahe the ke tune mere sar pe vaar kar diya"

"Maine sirf ye kaha tha ke tu ek jasoos hai, private detective. Jab main vahan se aise jaldi jaldi tujhse bachkar nikla toh vo puchhne lagi ke ham aise bhaag kyun aaye. Toh maine baat taalne ke liye keh diya ke tu ek jasoos hai aur bada imandaar aadmi hai , kaafi pehchan hai teri aur agar mujhe yun tere saath dekha jata toh mera undercover hone ka bhada phoot jata. Uske baad tune koi bahut bada haath mara tha, koi case resolve karne mein aur newspapers mein teri kaafi badha chadha kar tareef ki gayi thi. Aur yahin shayad mujhse bhi galti ho gayi thi. Usne newspaper mujhe dikhaya toh maine haste hue keh diya tha ke agar tu toh aisa hai ke agar waqt pada toh mujhe bhi pakadva dega, agar maine kuchh galat kiya toh"

"Aur isi bharose usne marnse se pehle apni behan ko shayad keh diya tha ke agar use kuchh ho jaaye toh vo sidhi mere paas aa jaaye. Vaise laash ka kya kiya uski?"

"Yahin bahar dafan hai" Khan ne khidki se bahar ki taraf ishara kiya.

"Joshi ko bhi tune mara tha?"

"Haan"

"Kyun?"

"Shak ho gaya tha use mujhpar. Usne bhi vahi trail pakad li thi jo tune padki thi. Shuru shuru ke dino mein Saanwli ne mere asli number par calls ki thi, vo call records Joshi ne pull karva liye the"

"Aur jinke baare mein vo mujhse bhi baat karna chah raha tha?"

"Haan"

"Toh tune usko mara par case phir tere paas kaise aa gaya?"

"Itni toh pehchan hai meri bhi yaar. Use chalta kiya, ek do phones kiye aur uski jagah par apna transfer kara liya"

"Aur itna panic kisliye?"

"Kyunki mere hazaar baar kehne par bhi tu ye case se haath khinchne ko taiyyar nahi tha"

"Geetanjali?"

"Vahi photo jo tu dekh raha tha. Usne mujhe Saanwli ke saath dekh liya tha"

"Ye usne tujhe kyun bataya?"

"Nahi bataya tha, pehle tujhe phone kiya tha par tune uthaya nahi. Phir usne mujhe phone kiya ye batane ke liye tu meri girlfriend ko dhoondhta phir raha hai"

"Toh tu uske ghar ja pahuncha aur use chalta kar diya?"

"Haan"

"Kyun?"

"Risk nahi le sakta tha, use pata kuchh nahi tha par main loose end chhodna nahi chahta tha"

"Bijli?"

"Sharafat ki vajah se vo jaanti thi ke main Raghuvanshi hoon. Der sawer use toh marna hi tha par filhal mere kaam aa rahi thi isliye maine zinda chhod rakha tha. Par phir jab tune usse phone karke mere baare mein puchha toh uska number bhi lag gaya"

"Nisha aur uska mangetar?"

"Chahta nahi tha ke maar doon par us din hostel ke bahar main uska pichha kar raha tha aur usne mujhe dekh liya"

"Phir?"

"Phir use bhi vahi kahani sunayi jo Saanwli ko sunayi thi ke main undercover hoon aur ye sara maut ek natak hai jiske baare mein tujhe bhi nahi pata. Behla phusla kar apne saath le gaya aur phir ....." Usne baat adhuri chhod di.

"Use nahi marna chahiye tha tujhe, use nahi marna chahiye tha" Main gusse mein daant piste hue bola.

"Meri galti nahi hai, mere uper mat daal. Tere haath jod raha tha shuru se ke ye case chhod de, agar tune meri baat maan li hoti toh aisa kuchh nahi hota"

"Sahi hai. Sala drugs beche tu, gundagardi kare tu, khoon kare tu aur galti meri nikal raha hai? Ye jo phone tune mujhe diya tha ismein tracking on kar rakhi thi na? Meri calls sun raha tha? Tabhi tujhe pata chala ke maine Bijli se kya baat ki, Nisha se kya kaha?" Maine us phone ke baare mein puchha jo Khan ne mujhe dekar purana phone mujhse le liya tha.

"Haan"

"Ab? Ab kya karna hai?"

"Tere uper hai"

"Matlab?"

"Matlab ke bhool ja sab kuchh, apna munh band rakh"

"Aur acting karun ke kuchh hua hi nahi, koi mara hi nahi?"

"Haan"

"Aur mere uper jo khoon ke ilzaam hain vo?"

"Main sambhal loonga"

"Kaise? Tu toh khud mar chuka hai? Vaise ek baat bata, apni maut ka natak kaise kiya?"

"Simple tha yaar, us din sab acting chal rahi thi tujhe ye yakeen dilvane ke liye ke maine Sharafat ko uksaya aur usne mujhe goli maar di"

"Marne ka natak kyun?"

"Dohri zindagi jeete jeete pareshan ho gaya tha aur uper se tu bhi pichha nahi chhod raha tha"

"To apni asli pehchan chhodkar tune Raghuvanshi banna behtar samjha?"

"Fayda zyada Raghuvanshi bankar jeene mein tha"

"Vo laash jo samundar se mili?"

"Meri kad kaathi ka tha ek aadmi, shakal buri tarah se bigaad di thi aur post-mortem reports mein thodi hera pheri karva kar saabit kara diya ke vo laash meri hi thi"

"Tere boodhe maan baap?"

Is baat ka Khan ne koi jawab nahi diya.

"Chipku kahan hai?" Maine puchha toh usne uper ki taraf anguli uthayi ke vo bhi mar chuka hai.

"Use kyun mara?"

"Bahar khada hua tha vo gate par, aur mujhe tujhe utha kar bahar le jana tha. Use marta nahi toh kya karta?"

Kamre mein phir kuchh pal ke liye khamoshi chha gayi.

"Ab tu bol ke tune kya decide kiya hai" Thodi der baad usne mujhse puchha.

"Karna kya hai, bandook tere haath mein hai. Tu bata ke kya karna hai"

"Vahi jo maine kaha, munh band rakh apna"

"Theek hai" Maine jhooth bolte hue kaha. Is waqt agar main usse behas karta toh vo mujhe bhi maar sakta tha "Haath khol mere"

"Koshish mat karna kuchh" Kehkar vo utha aur mere haath kholne laga. Maine kamre mein chaaro taraf nazar daudayi, kuchh aisa dhoondhne ke liye jise main hathyaar ke taur par istemaal kar sakun. Vo mera dost sahi par jo usne kiya tha uske liye main use maaf nahi kar sakta tha, apna munh band nahi rakh sakta tha.

Usne rassiyan khol kar mere haath chhuda diya. Main apni kalaiyan malta hua uth khada hua aur uski aankhon mein aankhen dalkar dekha.

"Tu mera bhai nahi hai, tu vo hai hi nahi jo mera eklauta dost tha. Tu toh koi aur hai jise main maaf nahi kar sakta"

Ye kehkar maine ek saath se uska vo haath pakad liya jismein pistol thi aur doosre haath se uski gardan. Vo ek pal ke liye chaunka par phir sambhal kar mujhse bhid pada. Kad kaathi mein ham dono hi barabar the isliye kisi ek ka doosre par kaabu pana mushkil tha.

Thodi der tak ham yun hi ek doosre se bhide rahe. Vo apne pistol wala haath chhudane ki koshish kar raha tha aur main uske haath se pistol chhudane ki koshish. Ham dono ka poora dhyaan us pistol ki taraf tha aur isi khincha-taani mein vahi hua jo hona tha aur jaisa ke aksar hamari hindi movies mein hota hai, goli chal gayi.

Aur mere pet mein ja dhansi. Khan par meri pakad dheeli pad gayi aur ladkhada kar main neeche gir pada.

Main ummeed kar raha tha ke vo shayad mujhse sambhalne ki koshish karega ya kam se kam mujhe goli lagne par thoda pareshan hoga par aisa hua nahi. Maine bejaan sa neeche ja gira aur vo khada mujhe dekhta raha. Vo shayad is baat ke liye taiyyar hokar aaya tha ke agar maine uski baat nahi maani toh vo mujhe maar dega isliye mera yun goli kha kar girna uske liye koi achambhe ki baat nahi thi.

"You should have listened to me man" Kehte hue uske apni gardan inkaar karne ke andaaz mein hilayi aur palat kar kamre ki khidki se bahar dekhne laga, shayad ye pakka karne ke liye ke goli ki aawaz sunkar koi bahar is taraf aa toh nahi raha.

Maine apne haath neeche ki taraf le jakar apne joote mein phasi hui pocket pistol nikali jo ab tak vahin thi aur jo ke shayad Khan ki nazar se bach gayi thi.

"Khan" Maine himmat karke thodi oonchi aawaz mein kaha.

Vo palta, mere haath mein pistol dekhi jo uski taraf uthi hui thi aur isse pehle ke vo kuchh kar pata, maine ghoda khinch diya. Goli sidhe uske maathe se thoda neeche uski naak ke paas jakar lagi. Uska shareer jhatka kha kar pichhe deewar se takraya aur neeche ja gira.

Aur ab mein yahan pada uski laash ki taraf dekh raha hoon. Jab usne marne ka natak kiya tha tab bhi goli yun hi uske sar par lagi thi, farq sirf itna tha ke tab vo natak kar raha tha, beh raha khoon nakli tha aur uska chehra theek tha par ab maut asli hai, khoon asli hai aur uska chehra bigad chuka hai. Jo ke shayad uske zinda rehte hi bigad gaya tha, Khan se badal kar Pratap Raghuvanshi ka ho gaya tha.

Goli mere pet mein lagi hai aur black blood behkar shareer se bahar aa raha hai jiska matlab ye hai ke mere paas zyada waqt nahi hai.
Lekin ek baat bolu to sach me iska Kuch +ve end hona chahiiye tha ... Like ADI ki innocence nd khan ka real face ....
 
Top