Some Wonderful Dialogues Of Hit Drama "pyarai Afzal"

  • Work-from-home

Fanii

‎Pяiиcε ♥
VIP
Oct 9, 2013
61,263
16,095
1,313
Moon

Some Wonderful dialogues of HIT Drama
"Pyarai Afzal"

Round of Applause for Khalil ur Rehman for penning down this amazing story and dialogues

So let’s remember Pyaray Afzal through some great dialogues of this drama:
  • =“Meri Auqaat nahi hai ke mein Farah se Muhabbat kar sakun lekin us se Muhabbat karne ka Haq hai m1ujhe”- Afzal
  • “Muhabbat ko ghussa ajaina Farah to tum jeson ko bhi hojaati hai”- Lubna
  • “Jab koi Naya Naya Musalman hota hai to kuch zayada hi Musalman hota hai”- Lubna
  • “Mere abba kaha karte thay ke mardon mein se asal mard ko phechaana aisa hai jese saare tarboozon mein se lal tarbooz phechaana”- Sheikh Ibrahim
  • “Dil ki Saari baatein dil walon ke pass amanat hoti hain aur who amanat mein khayanat nahi kya karte”- Afzal
  • “Mein Maulvi Subhanallah ka beta hun Wali aur who mujhe bataya karte that ke maut Zindagi ki hifazat karti hai is se mat darna zindagi se darna yeh wahan maarti hai jahan paani bhi nahi milta”- Afzal
  • “Pata hai yeh goli mujhe pheli baar nahi lagi aik goli mujhe Hyderabad mein bhi lagi thi dil ko cheerkar nikal gai thi mene khud operation kiya tha khud taanke lagai thay magar toota hua dil zayada solid nahi hota sirf zinda rakhne ke liye kaam ata hai”- Afzal
  • “Mera naam badal diya jai Abba mujhe nahi pata yahan Afzal kon hai jo begunhai mein maare jaate hain ya jinko mene maara hai”- Afzal
  • “Farah ke sirf moun per ghussa hota hai andar se to who bilkul mombatti hai zara si aanch dikhao pighal jai gi” – Lubna
  • “Muhabbat agar cricket hoti to mein jeet gaya hota”- “Afzal
  • “Is tarah milo jese bin bulaye gham se milte hain, pass bulaya dil mein rakha aur phir kaha tumhaari to aisi ki taisi”- Lubna
  • “Jaag jao Farah is keemat per ke tumne kayion ki neendein haram kardi hain”- Yasmeen
  • “Yeh akhri akhri badtameeziyan hain pyaray phir tum kahan aur mein kahan”- Yasmeen
  • “Marne se dar nahi lagta yaar magar jeene ka buhat dil karta hai”- Babu Hameed
  • “Tumhaari Kasam Afzal chahe uske gham mein jalte rehna magar in khaton ko nahi jalana”- Yasmeen
  • “Apko kasam hai meri shadi hojai to dua nahi dijiyega mera naam le kar khaiyega jao Farah humne tumhe maaf kya”- Farah
  • “Main Afzal ban jaata lekin mujhe koi batai to sahi ke Afzal aisa hota hai”- Afzal
  • “Mein tumhaara baap hun Farah koi channe bechne wala nahi”- Sheikh Ibrahim
  • “Khat kyn likhongi phone mene mirchein peesne ke liye thori rakha hai”- Lubna
  • “Mehboob ke sar ke aagey behen ka sar tarbooz hota hai”- Lubna
  • Kya muhabbat main bewafai karna zaruri hai, hum Bichar Bhi tou saktey hain..
  • Us sey ro ker mangtey hain...mang ker nahi rotey...
  • Suna hai maa jab darr jaye..to aam logon ko bhi dar hi jaana chahiye..
  • Bara Aadmi agar tumharay andar Nahi hai tou woh phir bahir kahi nahi milay ga.
  • Karachi main dekha hai na...badal aajatey hain barish nahi hoti...buss yehi howa hai mere sath..Badal aaye...barish nahi hoi..
  • Ishq ko choriye sir...Ishq jab aya tha na Duniya main..us waqt paisay nahi the...
  • Woh nahi milta to dhond'ti ho usay...aur is tarhan dhond'ti ho k phir woh kissi ko nahi milta..
  • Dekha jab se murder ker ne lagey ho..jaan lene k naye naye tareekey seekh liye hain tumne...ab ja ker likh lena k aaj Yasmeen ko bhi maar dia..
  • Muhabbat main bohat taqat hoti hai...woh to cho' ker zinda ker deti hai...
  • Tu hansta ha na to dar lagta ha
  • Kissi din tujhe b bad'dua de donga k ja..tujhe b Muhabbat hojai!
  • Dil ki batain dil walon k pass amanat hoti hain..aur amanat main khayanat nahi kerte...
  • Usko buss tum chahiye ho...usko torr dene wali...
  • Zindagi se darna ye wahan marti hai jahan ek gho'nt paani bhi nhi milta.
  • Dil tornay waley ko dil cheer ker nahi dete Abba..
  • Pehli Muhabbat mein yahi hota hai k kabhi khat nahi milta, tou kabhi khat likney wali nahi milti..
  • Jo mujhse Muhabbat kerte hain...main unsay darta hoon....bohat darta hoon..
  • Pass bulaya,Dil mein rakha aur phir bola..tumhari to aisee kii tesi..!
  • Dua mang ker bhi dartey rahoge to lagega k qubool ker ne wale per aitbar nahii..
  • Tumhari tarah murder karnay lagi hai....Baat karti hai aur maar deti hai..!
  • Usko dekh ker laga k pyar agar one-sided ho to pyar se kuch ziada hota ha..per yeh nai pata chalta k pyar, pyar se ziada ho to kia hota ha
  • Ek tha Afzal...jaan se bhi pyara Bhai..per Jaan pyari nahi thi usay.. :(
  • Ab last main woh shair jo asal main Sahir Ludhyanvi ki nazam Taj Mehal ka hai...but PA main Afzal k dost ne kaha tha..
Ek Shahen'Shah Ne Daulat Ka Sahara Le Kar..
Hum Ghareebon Ki Muhabbat Ka Uraya Hai Mazak...
 

Dua_

Anmol Angel
TM Star
May 14, 2013
3,238
1,928
363
Late noTE="Fanii, post: 2808161, member: 74549"]sb urdu me hi hai smjh kyunn nai aai ?[/QUOTE]
Pata no:p
 
Top