Shab E Qadr Ki Ehmiyat Qayamat Tak Rahegi

  • Work-from-home

Urdutotke

Newbie
Apr 16, 2017
12
0
1
Shab e qadr aur Taaq raaton ki Maloomat:
Hazrat Abuzar R.A farmate hain ke mai ne Huzoor Peace Be Upon Him arz kia ke shab e qadr nabi ke zamana ke saath khas rehti hai ya baad mai bhi hoti hai? huzoor peace be upon him ne farmaya qayamat tak rahegi mai ne gharz kia Ramzan ke kis hisse mai hoti hai?

Aap Peace Be Upon Him ne farmaya kay ashra awwal aur ashra akhir mai talash karo, phir huzoor peace be upon him baaton mai mashghool hogae, mai ne moqa pa kar arz kia huzoor! ye batla dijiye ke ashra ke kon se hisse mai hoti hai. Huzoor Peace Be Upon Him itne naraz hue ke na is se qabal mujh par itne khafa hue the aur na baad mai hue aur farmaya ke agar Allah Jal Shana ka ye maqsood hota to batla na dete, akhir ki 7 raaton mai talash karo, bas is ke baad kuch na pucho.
 
Top