Regarding Zakat

  • Work-from-home

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Assalamoalaikum wrwb....umeed hai sab theek hogein...hum aik naye sawal ke saath hazir hein..umeed hai iske bare mei jhan kar ap sab ke ilm mei izada ho inshaAllah...
agar kisi ne karza na jhukaya hoo..aur hamein maloom hai ke woh karza nai jhuka sakta hamein....to kia usey hum zakat mei include karsakte hein.....
jaise humne kisi ke saath business mei share kiye the paise..aur woh doob gae..aur pher jinko diya hai..unho ne hamein 15 lacks pay karna ho..magar woh pay off nai karsakte hamein..aur hamare hi relative hein..to kia hum usey apne zakat mei include karsakte hein?...
 
  • Like
Reactions: Aara'af and saviou

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Wa Alaykum Assalam Wrwb :)
bohot hi ahem sawal kiya hai apne janab jazakallah khair


Allah tala ne khud Quran me zakat kis kis ko aada ki jaye bayan kar chuka hai
{إِنَّمَا الصَّدَقَاتُ لِلْفُقَرَاء وَالْمَسَاكِينِ وَالْعَامِلِينَ عَلَيْهَا وَالْمُؤَلَّفَةِ قُلُوبُهُمْ وَفِي الرِّقَابِ وَالْغَارِمِينَ وَفِي سَبِيلِ اللّهِ وَابْنِ السَّبِيلِ فَرِيضَةً مِّنَ اللّهِ وَاللّهُ عَلِيمٌ حَكِيمٌ} (سورة التوبة: 60)
" صدقے (زکاۃ )صرف فقیروں کیلئے ہے اورمسکینوں کیلئے اورانکے اصول کرنے والوں کیلئے اورانکے لئے جن کے دل پرجائے جاتے ہوں اورگردن چھڑانے میں اورقرض داروں کیلئے اوراللہ کی راہ میں اورراہرومسافروں کیلئے ,فرض ہے اللہ کی طرف سے اوراللہ علم وحکمت والا ہے"-


to isse wazeh hogaya ke qarzdaar bhi zakat ke mustahiq hain aur ham unhe zakat de kar unka qarz aada karsakte hain

lekin agar wo hame hi qarz dena hai to ham apni zakat se us qarz ko qatam nahi karsakte yane apni zakat ko saqit nahi karsakte ke uskw qarz ki maafi hi mera zakat hai aise ye jayez nahi hai balke zakat ki raqam se unke qarz ka jitna paisa banta ho wo unko desakte hain jisse wo apna qarz aada karsake

aur zakat ki poori raqam ek me hi khatam na karen balke jaise Quran me hukm hua in 8 masarif me bhi apni raqam jaye to zyada behtar hai wallau aalam

mazeet zakat ke bare me janne k liye in threads par nazar dalen

http://www.tafrehmela.com/zakat/167079-ahkaam-e-zakat.html

http://www.tafrehmela.com/zakat/99397-zakah-sadaqah.html


Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen :)
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
ameen sume ameen bro...hum apke threads par jald hi nazar dalein gein...agar sawal howa to apse karlegein inshaAllah..
JazakaAllah khair bro
 
Top