Raaz...the_vampire

  • Work-from-home

vamp545

Ì míśš ůř šťůpîđ fâćë
TM Star
Nov 29, 2012
2,278
722
413
Searching.....
"Nahi ghar ko dekh kar toh aisa bilkul nahi lagta par sawal phir bhi uthta hai ke uske baap ne 20 saal guzara kiya kaise?" Maine jawab diya.

"Vaise Sir ab yahan dhoondhna kya hai?" Negi ne ghar mein chaaron taraf nazar daudate hue kaha.

Kanha ka ghar ek typical middle class gaon ki family ki tarah tha. Main door drawing room mein khulta tha jahan ham log us waqt khade the.

Drawing room ke dono taraf do darwaze the jo ghar ke andar ki taraf jaate the. Furnitre ke naam par Drawing room mein mehaz 2 kursiyan aur
ek purani si table rakhi hui thi.

"Exactly toh mujhe bhi nahi pata ke dhoondh kya rahe hain" Maine jawab diya.

"Phir?"

"Phir ye ke aap us taraf dekho aur main is taraf" Maine drawing room se lage dono darwazon ki taraf ishara karta hua kaha, "Kuchh bhi aisa dikhe jo case se juda ya kuchh kaam ka lage toh nikal kar rakh lena"

"Theek hai" Negi ne kaha aur right side bane darwaze ko khol kar andar chala gaya. Maine left side ka darwaza khola aur andar aa gaya.

Ghar zyada bada nahi tha. Main jis taraf aaya vo darwaza ghar ke pichhe ki taraf aangan mein khulta tha. Vahan ugi hui jhaadiyan aur ghaas ko dekh kar hi andaza hota tha ke jo bhi is ghar mein rehta tha, use kisi cheez ki koi parwah nahi tha.

Vahan kuchh nahi tha. Anagan mein hi ek taraf washrooms bane hue the. Main darwaza band karke phir drawing room mein aaya aur Negi jis darwaze se andar gaya tha us taraf badha.

Negi kamre ke andar khada chaaron taraf dekh raha tha jaise andaza laga raha ho ke kahan se shuru kiya jaaye.

"Ajeeb banavat hai is ghar ki yaar" Main uske saath aakar khada hota hua bola, "Aangan ghar ke pichhe ki taraf hota hai, is ghar mein side ki taraf hai"

"Pahadon mein aksar ghar banavat ko lekar nahi balki maujood jagah ko dekh kar banaye jaate hain Sir" Negi ne jawab diya.

"Matlab?"

"Matlab jo main door hai sadak usi taraf hai toh majbooran darwaza usi taraf rakhna padega. Ghar ke pichhe ki taraf jagah nahi hai isliye aangan udhar nahi ho sakta. Ab darwaza sadak ki taraf rakho toh jahan jagah hai aur jahan se khet ki taraf jaaya ja sakta hai vo jagah side mein ho jaati hai"

"Samajh gaya" Maine kaha.

Jis kamre mein ham khade the vo ek aur chhota sa living room jaisa hi tha. Usmein ek taraf kitchen bana hua tha aur uske saath lage do kamre aur the.

"Shayad inmein se ek Kanha ka aur doosra uske baap ka hoga" Negi ne kaha

"Correct"

Us chhote se living room mein bhi bas ek kursi aur table rakhe the, jinhein dekh kar lagta tha ke shayad vo khana khane ke liye use hote the. Aur us kamre mein kahin kuchh bhi nahi tha. Kitchen mein bhi bas ek gas stove aur chaar paanch dabbe rakhe hue the.

"Zaroorat bhar ka saman hai bas yahan" Negi ne kaha.

"Sahi hai, ham logon ko zyada talashi nahi leni padegi. Tum vo kamra dekho aur main ye wala"

Ham dono darwaza khol kar ek ek kamre mein andar aaye. Jis kamre mein main aaya vo Kanha ke baap ka tha. Andar ek purani si charpai aur kuchh chadaren padi hui thi. Deewar par ek sheesha rakha hua tha aur ek taraf ek lakdi ki almari rakhi hui thi.

Maine almari kholi.

Talashi lene mein zyada waqt nahi laga. Poore kamre ki khaak chhan-ne mein bamushkil 10 min hi lage par haath kuchh nahi aaya. Almari mein bas kuchh purane se kapde tange hue the aur kuchh zaroorat ka saman tha.

"Kuchh mila Sir?" Main haath jhadta hua kamre se bahar aaya aur doosre kamre mein ghusa toh Negi ne puchha.

"Nahi vahan kuchh nahi hai, sala lagta hi nahi ke yahan koi rehta bhi tha. Khaali pada hai poora ghar"

"Is kamre ka bhi yahi haal hai, kuchh nahi hai yahan"

"Kuchh nahi mila?"

"Nahi bas Kanha ki purani zaroorat ki kuchh cheezen hai"

Maine kamre mein nazar daudayi. Is kamre ki banavat bhi doosre kamre jaisi hi thi. Ek purani charpai thi jispar chadar vagerah kuchh nahi tha. Deewar par ek sheesha tanga hua tha aur ek taraf ek purani almari rakhi hui thi.

"Almari mein kuchh?" Maine almari ki taraf dekhte hue puchha

"Nahi kuchh nahi" Negi ne kaha.

"Ye kya hai?" Maine uske haath mein pakde kuchh papers ki taraf dekhte hue puchha.

"Ye asal mein Almari ki uper rakhe hue the. Andar kuchh tha nahi toh maine almari ke pichhe aur uper nazar maari toh ye kuchh kagaz mile"

Maine uske haath se kagaz lekar unpar nazar daudayi. Unmein se zyadatar property ke papers the jo ke maine bina dekhe hi andaza laga liya tha ke is ghar ke hi ho sakte the. Baaki papers Kanha ke school ke passing certificates the.

Par jis cheez ne meri nazar pakdi vo ek visiting card tha aur ek Bus ka ticket.

"Bas yahan yahi mila Sir, aur kuchh nahi" Negi ne kaha.

"Hmmm" Maine haami bhari aur us card ko dekhne laga.

Vo ek "Arora Jewellers" ke naam se kisi Jewellery showroom ka card tha. Card ki halat dekh kar hi lag raha tha ke vo bahut purana hai. Kinare thode mude aur halke ghise hue the jaisa ke aksar cards ko jeb mein rakhne se ho jata hai. Rang takreeban poora hi ud chuka tha jisse ye andaza hota tha ke ye card kaafi purana hai aur jaane kabse us almari ke uper rakha hua tha.

Card chhod kar maine us Bus ticket ki taraf dekha. Ticket Shimla se Delhi tak ka tha. Ticket par travel karne wale ka naam toh nahi tha par Date April 1993 ki thi, yaani ke Ravi ke gayab hone se takreeban 2 mahine pehle aur Kanha ki maut se 3 mahine pehle ki.

Maine nazar ek baar phir visiting card par daali. Jewellery showroom ka address bhi Delhi ka tha aur uper likha phone number bhi.

"Kanha ki aukaat ke bahar tha Sir ye" Negi ne bus ticket mere haath se lete hue kaha.

"Matlab?"

"Matlab ye jis travel agency ka ticket hai vo Shimla ki sabse purani Travel agency hai jo ab bhi business mein hai. Bade mehenge hain ye log"

"Ye abhi tak business mein hain?"

"Haan Sir"

"Tumhein kaise pata ye kis travel agency ka ticket hai?" Maine uske haath se Ticket vaapis liya aur gaur se dekha. Ticket par kahin bhi agency ka naam nahi tha. Sirf Shimla to Delhi likha hua tha, travel ki date aur time, total kiraya aur neeche paid in cash likha hua tha.

"Palatkar dekhiye"

Maine ticket palta. Kagaz purana hone ki vajah se dhundhla pad chuka tha par pichhe chhapi hui Ganesh ji ki tasveer ab bhi nazar aa rahi thi.

"Ganpati Travels ke naam se hai ye agency. Ab bhi inke tickets par pichhe Ganesh ji ki tasveer hoti hai" Negi ne kaha.

"Nice catch" Maine tareef karne wale andaaz mein kaha, "Par tumne ye kyun kaha ke ye Kanha ki aukaat ke bahar tha?"

"Kyunki 20 saal pehle Shimla mein bas yahi ek travel agency thi jo Air Conditioned bus chalati thi Delhi aur Shimla ke beech. Services kaafi achhi hain inki aur aaj ki tareekh mein bhi Shimla ki sabse mehengi Travel agency hai ye. Doosri travel agencies se inke charges takreeban double hi hain"

"Aur phir bhi ye business mein hain?"

"Purani hone ki vajah se ye yahan ke local ameeron mein kaafi popular hai. Iska maalik bhi yahan ka hi ek local crorepati hai toh zaahir si baat hai ke sab ameeron mein uska uthna bethna hai. Bus aur cars jo ye ab provide karte hain vo zyadatar imported hoti hain"

"Imported Bus?"

"Ji haan"

"Pehli baar suna yaar" Maine haste hue kaha, "Toh obvious hai ke jiske paas bhi paisa hai vo isi company ki bus mein travel karta hai. Status symbol"

"Bus toh khair ab inki itni nahi chalti. Ab ye thoda ek level uper uth gaye hain. Zyadatar cab services hi provide karte hain, imported cars aur helicopter service"

"Helicopter?"

"Haan" Negi ne haste hue kaha.

"Sahi hai yaar. Kanha ka aisi travel agency ke through jaane ka ek hi matlab banta hai. Ticket Ravi ne leke di hogi"

"Bilkul. Vo yahan ke sabse ameer ghar ka ladka tha, toh zaahir si baat hai ke uski family isi company ke through travel arrange karegi"

"Hmmmmm"

Maine bas itna hi kaha par dimag mein sirf sawal ye tha ke Kanha Delhi gaya kyun tha. Aur iska jawab bhi jaise dimag ne khud hi de diya.

Uska khud toh Delhi jaane ka koi matlab banta hi nahi tha toh Ravi ke kehne par ya Ravi ke kisi kaam se hi gaya hoga. Par aam taur par Bus tickets vagerah ko yun sambhal kar rakha nahi jata. Par usne toh is ticket aur visiting card ko apne certificates ke saath sambhal kar rakha hua tha. School certificates jinhein insaan bahut ehtiyaat ke saath rakhta hai. Aisi kya khaas baat thi is bus ticket mein jo isko itne dhyaan se rakha gaya tha.

Aur phir mere dimag ki batti jali.

"Vo chair lana zara" Maine Negi ko kamre ke bahar kitchen ke saamne rakhi ek chair laane ko kaha.

Kamre mein rakhi lakdi ki almari thodi oonchi thi. Saamne khade hokar sirf uper haath se chhu kar hi dekha ja sakta tha jaisa ke Negi ne kiya tha.

Negi kursi utha kar laya toh main kursi par chadha aur almari ke uper dekha. Mera andaza sahi nikla. Almari ke pichhe ki taraf 2 papers aur the jahan tak ke Negi ka haath nahi pahunch paya tha. Main vo papers utha kar kursi se neeche utra.

Pehle toh sirf ek bada sa kagaz ka envelope tha jise dekh kar yahi lagta tha ke ye saare certificates uske andar rakhe hue the. Vo ek taraf se poora khul chuka tha aur isi vajah se saare papers bahar aa gaye aur envelope thoda pichhe ko khisak gaya tha.

Aur doosra paper ek aur Bus ticket tha. Same company ka hi. Travel ki date July ki thi. Jis din Ravi gayab hua tha uske 3 din baad ki.
 
  • Like
Reactions: Chaya

vamp545

Ì míśš ůř šťůpîđ fâćë
TM Star
Nov 29, 2012
2,278
722
413
Searching.....
Usi din shaam ko main aur Kamini guest house mein bethe dinner karte hue case discuss kar rahe the.

"Tumhein kya lagta hai, Ravi yahan se Bus mein bethkar nikla" Kamini ne sawal kiya.

"Honestly, i dont think so" Maine jawab diya.

"Why not? Bus ka ticket toh usne kara hi rakha tha"

"Vo Bus ka ticket uske liye nahi tha"

"Matlab?"

"Matlab ye ke agar vo us Bus se nikla hai toh ticket bhi apne saath hi leke jaata. Ticket uske saath uski jeb mein hota, Kanha ke ghar mein almari ke uper nahi"

"Point" Kamini boli.

"Plus a Bus is too public aur uper se aisi Bus jismein yahan ke zyadatar bade log travel karte hain, vo travel agency jiske maalik ke saath uske gharwale family friends jaise hain. Pehchan jata koi na koi use"

"Ye bhi hai"

"Phir bhi 2 baatein ho sakti hai is mamle mein ..."

"Kya?"

"Pehli toh ye ke Ravi ne yahan se nikalne ke liye hi vo Bus Tickets karayi thi, apne aur Kanha dono ke liye. Ho sakta hai ke 2 tickets hon, uski apni tickets uske paas thi aur Kanha wali Kanha ke paas"

"Aur us din Ravi yahan se apni Ticket par nikal gaya aur Kanha ko baad mein aane ke liye kaha, taake kisi ko shak na ho" Kamini ne meri baat poori ki.

"Yep" Maine sehmati jatayi.

"Is theory mein bahut saare loop-holes hain, i dont think it will stick"

"Jaise ke?"

"Jaise ke sabse pehle toh ye ke why would he need a Bus? He was the son of a frigging millionaire, he was filty rich. He could have just taken his own car and drive his way out of here"

"Valid point"

"Doosri baat ye ke uske gayab hone ke baad yahan shor mach gaya tha toh aisa hi hi nahi sakta ke vo us Bus mein bethkar nikla aur kisi ne use pehchana nahi, kisi ne use dekha nahi"

"True"

"Doosri theory kya thi?"

"Doosri theory ye thi ke doosra koi ticket tha hi nahi"

"Matlab?"

"Matlab ye ke tickets sirf Kanha ke liye hi liye gaye the. Pehla wala aur doosra wala bhi. Dono tickets par Kanha hi Delhi gaya"

"Aur vajah?"

"Koi aisa kaam jismein risk bahut involved tha. For example, bahut keemti koi cheez lekar jana jiski vajah se vo koi normal Bus ya Train se Delhi nahi ja sakta tha. Ek aisi Bus service se hi gaya jo ke zyadatar bade log hi use karte the, jo ke Rana Khandan ke jaan pehchan walo ki thi, jispar ke bharosa kiya ja sakta tha"

"Tumhara ishara us 15 Crore ki taraf hai?"

"Aur is visiting card ki taraf, Arora Jewellers"

"Tumhein lagta hai ke Kanha 15 crore lekar is jeweller se milne gaya tha?"

"Itna toh pakka hai ke vo paisa Ravi ne apne aur Kanha ke yahan se nikalne ke liye hi ek taraf rakha tha. Aur ek bade aadmi ke liye itni moti rakam ke saath gayab ho pana thoda sa mushkil kaam hai"

"Aur is kaam mein madad usne is Arora Jewellers walo ki li?"

"Exactly"

"Hai kaun ye Arora Jewellers?"

"Hain nahi the" Maine kaha.

"The?"

"Yep. Maine ye phone number try kiya, disconnect kar diya gaya hai. Jis jagah ka address hai uspar pehle koi jewellery shop bhale rahi ho par ab ek bahut bada Mall hai"

"Mall?" Kamini ne card ko gaur se dekha.

"Yep, The Heritage"

"Oh yes" Usne aankhen phelate hue kaha, "Yahan par toh ab Heritage Mall bana hua hai. Same jagah ka address hai"

"Purani market hoti thi yahan pehle phir use todkar ek naya Mall bana diya gaya tha. Maine internet par search karne ki koshish ki, ek do Arora Jewellers mile par koi apne matlab ka nahi dikha"

"Ho sakta hai us jagah se hatkar kahin aur shift ho gaye hon"

"Yep" Maine kaha aur apna phone uthaya.

"Kise call kar rahe ho?"

"Akram" Kehkar maine number milaya.

Thodi der baad doosri taraf se Akram Ballebaaz ki jaani pehchani aawaz sunai di.

"Salam Bhaijaan. Itni raat ko kaise yaad kiya?"

"Walaikum Assalam" Maine haskar kaha, "Ek kaam aan pada hai"

"Hukum kariye. Vaise ho kahan aajkal?"

"Shimla ki taraf aaya hua hoon kaam se kuchh, ek case ke silsile mein"

"Ok. Kahiye kaam tha?"

"Tujhe pata hai The Heritage Mall kahan hai?"

"Haan pata hai"

"Vahan par 20 saal pehle ek purani market hoti thi jismein ek Arora Jewellers ke naam se dukaan thi. Ab nahi hai. Mujhe pata karna hai ke ye dukaan ab bhi exist karti hai kya aur agar haan toh kahan"

"Ho jaayega. Internet try kiya?"

"Haan search maara par kuchh haath nahi laga"

"Theek hai, main ek do din mein pata karke batata hoon aapko" Akram ne jawab diya.

Usse baat karne ke baad maine Raj Rana ka number dial kiya.


Jaisa ke mujhe ummeed bhi thi, uske kamre ka phone Liyaqt ne hi uthaya.

"Liyaqat main bol raha hoon. Rana Sahab so gaye ya jaag rahe hain?"

"Jaag rahe hain" Liyaqat ne jawab diya.

"Speaker pe daal" Maine kaha.

Kuchh seconds ki khamoshi ke baad phir Liyaqat ki aawaz aayi.

"Aap Speaker par hain"

"Raj Sahab der se phone karne ke liye maafi chahunga. Kuchh kaam tha" Maine kaha.

"Kahiye" Phir se Liyaqat ki hi aawaz aayi.

Mujhe andaza tha ke shayad aisa hi kuchh intezaam Raj ke kamre mein hoga. Jab pehli baar main Guest house mein aaya tha toh har Ranas ke ghar ke har kamre ka extension aur direct # kamre mein rakhi ek chhoti si booklet mein tha. Mujhe kaafi hairat hui thi ye dekh kar ke usmein ek number Raj Rana ka bhi tha aur main soch mein pad gaya tha ke ek goonga behra aadmi phone par kya baat karega, kaisa karega?

Jawab ab samajh aa gaya tha. Liyaqat meri baat sun raha tha aur aage Rana ko ya toh ishare se bata raha tha ya Rana uske lips read kar raha tha aur Liyaqat ko ishare, ya lip movement se hi bata raha hoga ke kya bolna hai.

"Sir pehla toh ye ke mujhe ek scanner chahiye"

"Scanner?" Liyaqat ki aawaz aayi.

"Ji haan, colored. Jaisa ke aksar photographers use karte hain photos scan karne ke liye"

"Mil jaayega" Liyaqat ki aawaz aayi, "Kal subah aapke paas pahuncha doonga. Kuchh mila hai kya?"

"Ek do baatein hain. Agar kal aapke paas time ho toh mil kar baat kar lete hain"

"Theek hai. Kal subah breakfast saath karte hain. Same place, jahan ham lawn mein pehli baar mile the"

"Sure, thank you Sir"

Raj se baat karne ke baad maine phone rakha toh Kamini ne sawaliya nazar se meri taraf dekha.

"Scanner?"

"Haan vo photo jo Sunanda ke ghar se mili thi, aisi toh kuchh samajh nahi aa raha. Maine socha ke computer mein scan karke agar thoda bahut edit kiya jaaye toh shayad kuchh samajh aa jaaye"

"Nice thought" Vo boli.

Ham kuchh der aur drawing room mein bethe TV dekhte rahe aur idhar udhar ki baatein karte rahe. Mujhe need aayi toh main uthkar apne kamre ki taraf chala.

"Suno" Kamini ki aawaz aayi toh main palta.

"Sunao"

"What you said today, about me being your fiancee, you are sure about this right"

Ye pehli baar tha ke us message ke baad ham dono ne is topic par baat uthayi thi. Shaam se ham dono saath the par is baare mein na Kamini kuchh boli thi aur na hi main.

"You always wanted this" Maine jawab diya, "And now when its happening toh doubt kar rahi ho?"

"Doubt nahi kar rahi hoon" Usne muskura kar jawab diya, "Bas yakeen sa nahi ho raha hai. I have wanted this for so long and so desperately that its like a dream come true aur ab dar rahi hoon ke ye sach mein hi dream toh nahi"

"No its not" Main palat kar uske kareeb aaya. Vo Sofa par bethi thi, main uske saamne rakhi table par aakar beth gaya aur uske haath apne haathon mein liye, "Fact is Kamini that you have always been there for me and I have always took you for granted. Vo kehte hain na ke ghar ki murgi daal barabar, aisa hi kuchh tha"

"Main murgi hoon?" Usne shikayat magar pyaar bhari nazar se dekhte hue kaha.

"You know what i mean yaar. Tu hamesha mere saath thi aur kahin mere dil mein ye yakeen beth gaya tha ke tu hamesha hi rahegi, no matter what aur isi ke chalte main har kadam par tujhe for granted leta raha. But now i realise this, if there is anyone who can understand me then its just you"

"Der aaye durust aaye" Vo hasti hui boli.

"I know. I realize my mistake now. The time that i wasted with Renuka ....." Maine kehna shuru hi kiya tha ke Kamini ne meri baat kaat di.

"Dont say that, you loved her and she loved you. She gave you a beautiful son and now she is dead. Uski yaadon ko aise kharab mat karo. Jo bhi bura waqt tha use yaad karne se behtar hai ke us achhe waqt ko yaad karo jo tumne uske saath guzara tha. Dont speak bad about someone who cant even defend herself or rectify her errors now"

"Isi liye tu perfect hai" Maine kaha, "Tune ham dono ke saath hi apna rishta nibhaya hai aur aaj bhi nibha rahi hai"

Maine aage badhkar uska matha chooma aur phir uthkar jaane laga.

"Ek baat aur" Phir uski aawaz aayi toh main ruk gaya, "Main janti hoon ke tum chahe jitna bura bolo Renuka ke baare mein but she will always be your first love, your first wife, mother of your first child. Tum jo bhi bura bolte ho sab gussa hai par haqeeat mein you still love her and I have no problem with her. I never tried to take her place and even now i do not intend to do so. Ye baat main sirf isliye keh rahi hoon ke mere saamne hamesha vaise hi rehna jaise ke the. Kabhi ye zaroorat mehsoos mat karna that you need to hide your feelings about Renuka in front of me. I understand your love for her and i always will. Just be yourself"

"Thanks" Maine palat kar kaha aur apne kamre mein aa gaya.

"My love for Renuka?" Maine dil hi dil mein socha, "Was there love really between us? Agar haan toh kyun aisa hua ke maine apne hi haathon apni biwi ki jaan li?
 

vamp545

Ì míśš ůř šťůpîđ fâćë
TM Star
Nov 29, 2012
2,278
722
413
Searching.....
any guess kaun hai is mein crimnal kaun kar raha hai ye sab?

ravi kaha ho ga ya zindaa bhi hai ya nahi ?

sunanda b kaha hogi o bhi zinda hai ya nahi ?

and who is the aashiq renuka ?

aur koi aapke dimaag mein sawaal chal raha to jarur puhcein plzzz

@monimona_1990
 
  • Like
Reactions: Chaya

vamp545

Ì míśš ůř šťůpîđ fâćë
TM Star
Nov 29, 2012
2,278
722
413
Searching.....
Chapter 22 - Ganpati Travels


Agle din subah darwaze par knock hua toh meri aankha khuli. Bahar Liyaqat khada tha.

"Haan bolo" Maine ankhein malte hue kaha.

"Raj Sahab ne bheja hai"

"Ok" Maine ghadi ki taraf dekhte hue kaha, mujhe ummeed nahi thi ke vo itni subah bulva bhejega, "10 minute do, aata hoon abhi"

"Nahi vo asal mein Sahab ne ye kehelvaya hai ke vo aapse aaj mil nahi sakenge" Liyaqat ne fauran kaha.

"Oh" Main ruk kar phir Liyaqat ki taraf palta.

"Unhein subah subah London ke liye nikalna pada, abhi bas car gayi hi hai unki"

"Theek hai"

"Vo bole ke aapse aakar milenge"

"Kab tak aayenge?"

"Ye toh kehkar nahi gaye"

"Ye kya hai?" Mera dhyaan darwaze ke paas neeche rakhe ek cardboard box ki taraf gaya.

"Sahab ne mujhe kaha ke ye main aapko de doon"

"Kya hai ismein?"

"Pata nahi"

"Theek hai, yahin table par rakh do"

Liyaqat ke jaane ke baad main box khola toh usmein ek scanner tha.

"Mil gaya Scanner?" Pichhe se Kamini ki awaz aayi toh main palta. Vo angdaai leti apne kamre ke darwaze par khadi thi.

"Hey, Good morning" Maine muskurate hue kaha.

"Good morning. Kaafi jaldi demand meet ho gayi aapki"

"Haan i guess he must have had the scanner at home, which is not quite surprising considering that he handles most of his business from home"

"True" Vo mere saath aakar khadi ho gayi, "You going to meet him now"

"Nope"

"I thought he invited you to breakfast"

"He did but then he cancelled. Abhi Liyaqat bata kar gaya"

"Hmmm. I dont really trust this guy"

"Who? Liyaqat?"

"No, Raj"

"Raj?"

"Yep" Vo sofe par jaakar let gayi, "I mean he was there that night when Ravi vanished. He very well could have done it"

"How do you mean?" Main uske saamne bethte hue bola.

"I am surprised that you are putting your blind faith in the guy, there are so many things that he is actually suspect # 1"

"I dont trust him blindly its just that i dont think he had anything to do with his brother's disappearance"

"Why not, sochkar dekho. Who was to benefit the most out of Ravi death or disappearance"

Kamini ne kaha toh main soch mein pad gaya.

"Jaaydad ka akela vaaris" Maine sochte sochte kaha, "Agar Ravi nahi toh sab kuchh Raj ka"

"Sunanda was in love with a guy, a rich guy that we assumed to be Ravi" Kamini ne baat aage badhayi, "Par ek aur insaan bhi toh hai"

"Raj, Ravi ka hamshakal" Maine kaha, "Ravi gay tha toh Sunanda ke saath involve hone ka chance hi nahi"

"Which leaves us with person # 2. Ek aisa insaan jo sirf naam mein hi alag tha. Chehra bhi vahi, ghar bhi vahi, khandaan bhi vahi aur daulat bhi vahi"

"You are right. I dont know why i never though of him as a suspect" Maine apna sar pakadte hua bola, "He was right there in front of my eyes"

"Liyaqat ne tumhein bataya ke Sunanda gayab hone wale din shayad is ghar mein thi. Hamne sidha maan liya ke use Ravi uthake laya tha"

"Par ye kaam Raj ka bhi kiya ho sakta hai. Us din subah jis insaan ko Liyaqat ne Sunanda ke picche jaate dekha vo Ravi nahi Raj bhi toh ho sakta tha. Shahal toh ek hi hai"

"Aur sabse badi baat" Kamini uthkar bethi, "Liyaqat ko ye sab police ko batane se kisne mana kiya tha?"

'Raj" Mere dimag ki batti jali, "Khandan ki izzat ki aad mein Liyaqat ko hidayat di ki kisi se na kahe par sach ye tha ke us din subah Sunanda ka pichha Raj kar raha tha"


"Right" Kamini ne meri haan mein haan milayi, "Khandaan toh sirf ek bahana ho sakta hai. Possible hai ke vo sirf Liyaqat ki baat se fauran hi sehmat ho gaya taaki kisi ka shak uski taraf na jaaye, Liyaqat yahi sochta rahe ke usne Ravi ko dekha hai aur Raj ke instructions ke hisaab se kisi ko kuchh na bataye"

"Point toh hai teri baat mein lekin ek baat phir samajh nahi aa rahi"

"Kya?"

"Agar us din pichha Raj kar raha tha Sunanda ka toh Liyaqat use pehchan jaata. Dono bhaiyon ki shakal ek jaisi thi par Raj handicapped hai, Ravi nahi tha"

"Haan toh Liyaqat ne kab bola ke usne Ravi se koi baat ki thi"

"Ek aur physical disability bhi toh hai Raj mein"

"Vo ek taang se langdata hai" Kamini samajhte hue boli.

"Correct. Agar vo Raj hota toh langda raha hota aur Liyaqat jisne un dono ko bachpan se bade hote dekha tha, saari zindagi yahin guzari thi usse ye baat chhupi nahi rehti"

"True. Ye ek loophole hai is theory mein"

"Agar ham ek pal ke liye ye baat maan bhi lein ke Liyaqat ki nazar kisi tarah us ek detail par nahi padi and it was indeed Raj that morning, phir bhi it doesnt explain the missing 15 crore. Vo paisa kahan gaya. Raj ko us 15 crore ke liye apne Bhai ko maarne ki zaroorat nahi thi, vo is jaaydad ka barabar ka waris tha us waqt"

"I agree vaise on the other hand it can also explain the money"

"How?"

"Ho sakta hai Raj ne mara ho apne bhai ko aur 15 crore vaapis vahin rakh diye jahan se nikale the"

"Matlab?"

"Matlab ke hazaron crore ki property hain inki yaar. Usmein se jis tarah se 15 crore gayab hone par kisi ka dhyaan nahi gaya vaise hi 15 crore vaapis aane par bhi toh ho sakta hai ke kisi ka dhyaan na gaya ho. Inki har month ki income crores mein hain"

"Oh man this confuses" Main apna sar pakadte hue bola, "Haal filhal mein hi kuchh hua ho toh sunne samajhne mein aasani hoti hai, ye 20 saal pehli ki kabar khodna ek bawal ban gaya hai. 20 saal, jis kisi ne bhi ye kiya tha uske paas 20 saal the apne gunaah ko dhakne ke liye"

"True. Vaise ek baat aur sochi hai tumne?"

"Ab kya?"

"Ek aur insaan jiski baat par tum kuchh zyada hi yakeen kar rahe ho par possible hai ke vo khud hi jhooth bol raha ho"

"Tera Ishara Liyaqat ki taraf hai na?" Maine fauran uski baat pakadte hue kaha.

"Exactly. Ghar ka naukar hai, aur 15 crore koi chhoti rakam nahi hoti"

"Nahi ispar toh mujhe shak tha hi hamesha se"

"Aur agar gaur se dekho toh ek theory aur banti hai" Vo haste hue boli, "Udi chidiya ke par ginne jaisi baat hai par is poore maamle mein ek theory aisi bhi hai jo sunkar bahut hi vaahiyat lage par possible hai"

"O meri maan, maaf kar. Subah subah ye thories mat suna, jo kuchh mujhe ab tak samajh aaya hai vo bhi sab bekaar lagne laga hai"

"Chaai piyoge?" Vo haskar sofe se uthi aur Kitchen ki taraf jaate hue boli.

"Haan" Maine kaha aur usi jagah par jakar let gaya jahan thodi der pehle Kamini leti hui thi.

Lete lete mujhe pata hi nahi chala ke kab meri aankh lag gayi. Kamini ne mera kandha hilaya toh aankh khuli.

"Akram ko phone hai" Vo mera cell mujhe thamate hue boli.

Min Jab sofe par leta tha toh aise hi let gaya tha par ab mere uper ek blanket tha. Use ek taraf karte hue main uthkar betha.

"Haan Akram"

"Bhai vo aapne kal Jeweller ke baare mein pata karne ko kaha tha na, kuchh information mili hai"

"Itni jaldi?"

"Haan vo main idhar Mall ki taraf aaya tha. Ek pehchan wala hai mera jiski pehle purani market mein bhi dukaan thi aur phir mall banne ke baad ek dukaan use di gayi. Usse baat kari toh usi ne sab kuchh bata diya"

"Tu itni subah subah mall kahan pahunch gaya?"

"Subah subah? Bhai dopahar ke 2 baj rahe hai. Kabse so rahe ho?"

"What?" Kehte hue maine ghadi par nazar daali. Sahi mein dopahar ke 2 hi baj rahe the. Main pichhle 6 ghante se pada so raha tha.

"Raat bhar soye nahi lagta hai?" Akram bola.

"Tujhe kaise pata ke main so raha tha?"

"Vo abhi Kamini ne bataya ke aap so rahe ho"

"Kaafi lambi neend ho gayi yaar" Maine ubaasi lete hue kaha, "Vo jeweller ka kya pata chala?"

"Aapne Humraaz ka naam suna hai?"

"Haan dekhi hai maine" Maine jawab diya.

"Kya dekhi hai?"

"Humraaz"

"Aapne Humraaz kahan dekh liya?"

"Ghar pe"

"Ghar pe?"

"Haan"

"Kaise?"

"Kaise kya, TV pe aa rahi thi"

"TV pe aa rahi thi?" Vo confuse sa aata hua bola, "Bhai aap kis baare mein baat kar rahe ho?"

"Humraaz, movie na? Bobby Deol wali?"


"Arrey nahi" Uske andaaz se maine andaaza laga ke doosri taraf vo apna sar pakad kar bol raha tha, "Main Humraaz heere ki baat kar raha hoon"

"Hera, diamond?"

"Haan"

"Humraaz naam ka diamond bhi hai?"

"Hai ya nahi ye toh pata nahi par tha zaroor"

"Ok, and?"

"Kehte hain ke Hindustan ke sabse keemti heeron mein se ek tha vo. Kisi nawab khandan ki milkiyat tha"

"Ok" Mujhe andaz ho gaya tha ke vo aage kya kehne wala hai.

"20 saal pehle yahan Delhi mein ek private exhibition ke waqt vo heera chori ho gaya tha. Bahut dhoondh hui, kaafi magaz maari ki gayi par
aaj tak us heere ka pata nahi chala. Na toh vo phir Hindustan mein dobara kabhi dikhai diya aur na hi duniya mein kahin aur"

"Kabki baat hai ye?"

"December 1992 mein chori hua tha"

Yaani Ravi ke gayab hone se takreeban 7 mahine pehle, maine dil hi dil mein socha.

"Kehte hain ke vo heera aisa tha ke agar uspar nazar gadaye use dekhte raho toh vo aankhon ke saamne saamne hi rang badal leta tha. Ye bhi kaha jata hai ke use ghoorte rehne se insaan pagal tak ho jaate the, kuchh aisi ajeeb si kaifiyat thi us heere mein. Kuchh logon ka toh yahan tak maanna tha ke us heere mein roohani takat thi aur vo aapke dimag tak mein jhaank kar dekha sakta tha. Aur bhi kayi aisi pagalon wali kahaniyan thi uske baare mein"

"Aur isi liye uska naam aisa ajeeb sa pad gaya, Humraaz"

"Bilkul. Short mein us heere ko Raaz naam se bulaya jata tha"
 
  • Like
Reactions: NiRaaLi_Man0

vamp545

Ì míśš ůř šťůpîđ fâćë
TM Star
Nov 29, 2012
2,278
722
413
Searching.....
"Toh ek heera juse Humraaz ke naam se bulaya jata tha 20 saal pehle chori hua tha"

"Correct" Akram ne kaha.

"Aur ham iske baare mein baat kar rahe hain kyunki .....?"

"Kyunki us heere ki chori mein ye Arora Jewellers wale prime suspect the"

"Really?"

"Haan. Ab unka naam kaise is chori se juda ya vo suspect list mein kaise aaye ye toh main filhal nahi janta par police ko poora yakeen tha ke us chori mein Sunil Arora ka haath tha"

"Sunil Arora?"

"Arora Jewellers ke malik Ramprasad Arora ka beta. Jahan tak mujhe pata chala hai, Delhi ke kaafi purane jewellers mein se ek the ye log. Us heere ki chori ke baad police ne Sunil Arora ko arrest kar liya par koi saboot na hone ki vajah se use bari kar diya gaya. Sunil toh chhut gaya par iska sidha asar unke dhandhe par pada aur saal bhar mein hi Arora Jewellers par tala lag gaya"

"Hmmmm, interesting. Phir?"

"Phir uske kuchh saal bhar baad Sunil Arora ne khudkushi kar li. Apne ghar mein pankhe se latak kar. Apne pichhe usne ek suicide note chhoda tha jismein usne apne khandan ke naam par lage kalank ke liye apne aapko doshi thehraya aur apne marne ki vajah vo sharmindi batayi jo uski vajah se uske baap ko uthani padi"

"Pakka suicide tha? Any chance of foul play?"

"Ab ye toh filhal keh nahi sakte. Main toh suni sunayi bata raha hoon"

"Ok, phir?"

"Phir bete ki maut ke sadme se Ramprasad Arora toot gaya aur kuchh arse baad vo bhi chal basa. Chapter closed"

"Aur koi family members?"

"I am not sure, shayad dhoondhne se mil jaaye koi par mere source ke hisaab se bas ek baap beta hi tha. Ramprasad ki biwi kaafi pehle chal basi thi aur bas dono baap beta hi ghar mein akele rehte the"

"Ok. Humraaz ke baare mein aur kuchh?"

"Nahi. Uske baad vo heera chori hua toh phir kabhi kisi ko mila nahi aur na hi uske baad kahin dekha gaya"

"Keemat kya rahi hogi us heere ki?"

"Exactly toh idea nahi hai par jahan tak mera andaza hai, itna keemti heera kaafi mehenga hi hoga"

"Ok, ek kaam kar. Ye Arora family se dekh agar kisi aur family member ki koi information milti hai toh"

"Theek hai Bhai"

Akram se baat karne ke baad main kuchh der tak betha uski batayi baaton par gaur karta raha. Mujhe pata hi nahi chala ke kab Kamini chup chap aakar mere pichhe khadi ho gayi.

"Good Morning sleepy head" Uski aawaz par mera dhyaan toota.

"Good morning" Maine muskura kar jawab diya, "Itni der tak mujhe sone kyun diya yaar, utha dena tha"

"Well i guessed you must be pretty tired. You were sound asleep isliye maine jagana theek nahi samjha"

"Yeah, and now i have a headache because i overslept"

"Akram kya keh raha tha?"

Maine Kamini ko apne aur Akram ki baaton ke baare mein bataya.

"It changes everything you know, everything. Ab tak jo information hamare paas hai, ab tak jo ham soch rahe hain, jo bhi theory hai, iske baad sab kuchh badal jata hai"

"So you think Ravi had anything to do with that diamond?"

"Quite possible. Kayi saari baatein ho sakti hain"

"Jaise ki?"

"Jaise ki ho sakta hai Ravi ne vo heera khud chori karaya ho, Sunil Arora sirf ek mohra raha ho sakta hai. Quite possible ke saara khel hi Ravi ka ho"

"Why would he do that, he had plenty of money already?"

"Aur paise ki khwahish kise nahi hoti, plus he was an art lover, we all know that. Ho sakta hai apne collection mein jodna chahta ho"

"And that explains the 15 crore?"

"Quite right. Ya ye bhi ho sakta hai ke Ravi yahan se nikalna chahta tha isliye usne us 15 crore ko ek chhoti si cheez mein convert kiya jo aasani se carry ki ja sake, chhupayi ja sake aur 15 crore se kahin zyada keemat ki ho"

"Yani ke chori ka maal saste mein khareed kar aage becha ja sake"

"Right. Ya toh usne chori khud hi karayi ho sakti hai ya use is chori ka maal saste mein baad mein offer kiya gaya and he accepted it"

"Toh it is possible ke vo kahin zinda ho?"

"Slim chances, hota agar vo kahin zinda toh vaapis aa jata. Vo gay tha aur Kanha ke saath yahan se nikalna chahta tha. Ab Kanha hi nahi raha toh use yahan se bhaagne ki zaroorat nahi thi. Uske khud ke paas itni daulat thi ke vo aise aur na jaane kitne heere khareed sakta tha toh Humraaz ke chakkar mein bhi yahan se bhaagne ka koi logic nahi"

"Oh man this is confusing. So what do you think?"

"I think ke usne vo heera 15 crore ki ek sasti deal mein khareeda taaki jab vo Kanha ke saath yahan se nikle toh us heere ko aage bech kar aur paise bana sake. Par aisa ho nahi saka"

"Aur vo heera hi uski maut ki vajah ban gaya?"

"Correct" Maine sochte hue jawab diya.

"Ab aage kya karna hai?" Kamini ne puchha.
"Not sure really. Kahin se kuchh banta dikhai nahi de raha. Ab tak toh main yahi soch raha tha ke ye jo bhi hua usmein Sunanda kahin na kahin involve rahi ho sakti hai par ab ye Heere wali baat ne aur zyada confusion create kar diya hai. Ab ye bhi possible hai ke jo hua vo us heere ke chakkar mein hua aur Sunanda ka us waqt is tarah gayab ho jana was just a coincidence"

"But a coincidence cant explain why she was here"

"True. Quite possible ke vo shayad Raj ke chakkar mein thi aur uske gayab hone ke pichhe Raj ka haath tha. Par is poore mamle ka kahin Ravi wale case se koi involvement nahi tha"

"Dekho ek baat toh zaahir hai" Kamini sochte hue boli, "Ye jo kuchh bhi hua, yahin pariwaar ke beech hi hua, ismein outsider toh koi ho nahi sakta"

"Matlab?"

"Matlab kise fayda tha uske yun gayab ho jaane se. Agar socho toh sabse zyada fayda Raj ka hi tha jo ke ham discuss kar chuke hain"

"Right"

"Doosre number pe aate hain Miyan Liyaqat. Hamein sirf usne bataya tha ke us subah usne Sunanda ko yahan se bhaagte dekha aur uske pichhe Ravi ko jaate dekha. Par ye kahani bani banayi bhi toh ho sakti hai, apne aapko bachane ke liye"

"Aur vo aisa kyun karega?" Maine puchha.

"Kya lagta hai umar kitni hogi iski?"

"Yahi koi 50 - 55"

"Yani aaj se 20 saal pehle 30 - 35. Ek jawan aadmi" Usne apni aankhen ko samjhane wale andaaz mein phailate hue kaha.

" Ek jawab aadmi jo khud bhi Sunanda ke saath involve raha ho sakta hai"

"Right"

"Aur Sunanda ghar par kuchh isliye nahi bata rahi thi kyunki vo Hindu thi aur Liyaqat musselman"

"Now you are talking" Kamini muskurayi.

"But that still doesnt explain the diamond and 15 crores"

"Hamein pata hi kahan hai ke heera Ravi ke haath mein aaya tha, sirf guess hi toh kar rahe hain ek visiting card aur bus ticket ki bina par"

"True"

"Sakshi Rana ke baare mein bhi soch sakte ho vaise. Ravi se pyaar karti thi, shaadi karna chahti thi par use haasil na kar saki. Hell hath no fury like a woman scorned. Ho sakta hai gusse mein usi ne kar diya ho Ravi ka kaam"

"Quite true"

"Ya ye bhi ho sakta hai ke Kanha ne hi apne lover ka kaam tamam kar diya ho"

"Ab ye Kanha aisa kyun karega?"

"15 crore bahut hote hain"

"Come on, vo 15 crore toh anyways Ravi uske saath hi share karne wala tha hamari theory ke hisaab se"

"But kya zaroori hai ke Kanha asal mein gay tha? Ho sakta hai ke 15 crore ke chakkar mein Ravi ka lallu bana raha ho. Aur Sunanda jis ladko ko chahti thi vo asal mein Kanha tha"

"Wow" Main itna hi keh saka.

"Ho sakta hai ke un dono ka hi plan ho Ravi ko thikane lagane ka paise lene ke baad aur phir yahan se bhaag nikalne ka. Isi liye shayad Sunanda tab ghar se gayab thi aur subah yahan haweli ke paas hi dekhi gayi. Ye bhi toh ho sakta hai ke Ravi asal mein uska pichha nahi kar raha tha par uski batayi jagah par uske saath ja raha tha"

"Oh come on , if that was the case then how come Sunanda's blouse was missing? Why would she be topless?"

"Maybe she was seducing him"

"You know what, tu kuchh zyada hi dimag laga rahi hai" Main kehta hua uthne laga.

"Or maybe Ravi's father killed him himself" Vo haste hue boli.

"Shut up" Maine bina palte hi jawab diya aur kitchen ki taraf badha, "Chaai aur bachi hai kya?"

"Haan hai, ruko main garam kar deti hoon" Vo mere pichhe uthte hue aayi, "Vaise ek aur aadmi hai jiske baare mein ham bhool hi chuke hain lagbhag"

"Ab aur kaun hai?"

"Aadesh" Vo chaai ka bartan stove par rakhte hue boli.

"Oh yeah, i totally forgot about him"

"Vo jis tarah se us din hamse bachkar bhaga tha, kuchh na kuchh toh gadbad hai. I need to investigate that guy" Maine jawab diya.

"Achha ek baat seriously batao"

"Kya?"

"Raj aur Ravi judwa hain. Shakal bhi ek jaisi hai, dono bilkul same to same copy hain, exact copy ek doosre ki"

"Except for the physical disabilities, yes"

"How do you know that it was Ravi who died"

"Matlab?"

"Matlab ye bhi toh ho sakta hai ke jo mara vo Raj tha aur jo saamne hai vo Ravi hai" Chaai garam ho gayi toh vo stove band karte hue boli
 
  • Like
Reactions: NiRaaLi_Man0

vamp545

Ì míśš ůř šťůpîđ fâćë
TM Star
Nov 29, 2012
2,278
722
413
Searching.....
"What are you talking about?" Main Kamini ki baat sunkar hairani se uski taraf dekhta hua bola.

"Think about it, it is quite possible" Usne ek doosre cup mein chaai daali.

"You mean to say ke jo mara ya gayab hua vo Raj tha aur jo asal mein hamare saamne hai vo Ravi hai?"

"Right. I know its doesnt make much sense....."

"It doesnt make any sense at all" Maine uski baat beech mein kaati, "Why would Ravi want to kill his own brother and then disguise himself as Raj?"

"Ek baat batao" Kamini ne apni baat jaari rakhi, "Isne ab tak shaadi nahi ki, right?"

"Right"

"Agar isse puchhoge toh shayad ye apni physical disabilities ko shaadi na karne ki vajah batayega"

"Yes he may"

"But socho yaar, jitni daulat iske paas hai, I mean he is one of the richese guys in India. Itni daulat hone ke baad toh Hindustan mein ye jis ladki pe haath rakhe vo haste haste isse shaadi karegi"

"Tu kehna kya chah rahi hai yaar?"

"Yahi ke ye Ravi hai, Gay hai isliye shaadi nahi kari"

"Thats nonsense" Main hasta hua bola, "Hindustan mein ladke ladki ka ratio vaise hi barabar nahi hai. 100 mein se 4-5 ladko ko toh ladki milti hi nahi, kunware hi marte hain bechare. Iska matlab ye thode hi ke vo saare gay hain"

"Main un sabki nahi iski baat kar rahi hoon"

"Pagal hai tu" Maine haskar uski baat taal di par sachchai toh ye thi ke kahin ek ye baat mere dimag mein bhi ghar kar chuki thi.

Usi din shaam ke waqt main akela Shimla pahuncha. Kamini bhi mere saath aana chahti thi par ain waqt par use Mrs. Rana ne bulva bheja jiski vajah se mujhe akela hi aana pada.

Address puchhta hua main Ganpati Travels ke office pahuncha.

Reception par Rana family ka naam bolte hi mujhe fauran Royal treatment diya gaya. Pehle pehal toh mujhe thodi jhijhak hui ke Ranas ka naam loon ya nahi kyunki ab tak is baare mein na toh maine baat Raj hi se ki thi aur na hi Mrs. Rana se par iske alawa mere paas aur koi chara bhi nahi tha. Is tarah ki high class jagahon par jo sirf ameer aur high profile logon ko serve karti hain, mujhe experience se maalum tha ke customer detail confidential hoti hai aur aasani se share nahi ki jaati.

Mujhe ek office mein le jakar bethaya gaya aur coffee serve ki gayi. Koi 10 minute ke intezaar ke baad ek 40-45 saal ki moti si aurat office mein daakhil hui.

"So, how can I help you Sir?" Mujhse milne ke baad vo desk ke doosri taraf apni jagah par ja bethi aur muskurati hui boli.

"Actually main Mrs. Rana ke behalf par kuchh information chah raha tha"

"Sure bataiye" Usne jawab diya.

Main bina kuchh kahe jeb se vo do tickets nikale jo mujhe Kanha ke kamre se mile the aur uski taraf badha diya.

"Wow, I havent seen these in a long timee" Usne tickets uthate hue kaha, "Kahan se mile aapko ye"

"Inke baare mein hi actually mujhe kuchh jaankari chahiye thi" Maine uske sawal ko nazar andaaz karte hue apni baat jaari rakhi, "Its related to her son actually"

"You mean Raj Rana?"

"No actually her other son, Ravi Rana. Main unki disappearance ko lekar investigate kar raha hoon"

Vo kuchh pal tak khamoshi se kabhi tickets ki taraf toh kabhi meri taraf dekhti rahi.

"Who did you say were?" Kuchh der baad vo shak bhari nigahon se mujhe dekhte hue boli.

"Dont worry. I am neither a policeman, nor a journalist looking for a spicy story" Maine uski nigah aur baat ka matlab samjhte hue apni jeb se apna cell phone nikala, "Aap chahen toh Mrs. Rana se baat kar sakti hain"

Vo kuchh der aur khamosh rahi jaise decide karna chah rahi ho ke phone kare ya na kare.

"That wont be necessary" 1 minute mujhe dekhte rehne ke baad vo chehre par phir vahi pehle wali smile laate hue boli, "Kahiye kya jaanna chahte hain"

"In tickets par kisne travel kiya tha?" Maine pehla sawal kiya.

"Oh I am sorry" Usne mayusi ka andaaz chehre par laate hue kaha, "That i can not tell you"

"Why not?"

"Because jabke ye tickets hain ham tab itni badi travel company nahi the"

"Matlab?"

"Matlab ye ke aapne Road Transport run buses mein travel kiya hai kabhi? Government owned"

"Ji haan"

"Toh jaisa ke unka system hota hai, aaiye, counter se ticket lijiye aur bus mein jakar beth jaaiye, Aisa hi kuchh system tab hamara hota tha" Vo samjhate hue boli, "Naam vagerah ka records us waqt ham maintain nahi karte the. Jisne travel karna hai vo on the spot ticket print karate, payment dete aur bus mein bethkar chale jaate"

"Matlab on the spot booking?"

"Ji haan"

"Par ye on the spot booking ki tickets toh nahi lagti, ispar dates likhi hui hain" Maine ticket par likhi hui travel date ki taraf ishara karte hue kaha.

"Vo toh by default print hoti thi" Usne meri baat ka jawab diya, "On the spot tickets bhi jo book hoti hain unpar us din ki date hoti hai"

"Hmmm" Maine sochte hue kaha, "Kuchh bhi bata sakti hain aap mujhe inke baare mein?"

"Let me see" Usne tickets utha kar ek baar phir dekhna shuru kiya.

"Anything at all" Maine baat poori uspar chhod di kyunki mujhe samajh hi nahi aa raha tha ke travel karne wale ke naam ke alawa aur kya sawal puchh sakta tha main.

"3 baatein" Vo kuchh der tickets ko ulat pulat kar dekhne ke baad vaapis table par rakhte hue boli.

"Kya?" Mere dil mein ummeed ki kiran jaagi.

"Ek toh ye A.C. bus ki tickets hain, kiraye ki amount dekh kar bata rahi hoon"

"Ok" Maine haami bhari, ye baat toh main khud bhi samjh hi chuka tha.

"Doosra ye dono advance booking tickets hain"

"Par abhi toh aap keh rahi thi ke on the spot booking system tha aapka"

"Right par usi mein advance booking bhi hoti thi"

"OK" Maine samajhte hue kaha, "Matlab counter par aaiye, jis din jana hai us din ka ticket le jaaiye aur us din aakar sidha bus mein beth jaaiye"

"Correct"

"Aapko kaise pata ke ye advance mein book ki gayi thi?"

"Ye dekh rahe uper" Usne ticket ke kone mein like A ki taraf ishara kiya, "Ye advance booking ki tickets par print hota tha"

"Ok, aur teesri baat?"

"Teesri baat ye ke is pehle wale ticket par trave kiya gaya tha" Usne May wale ticket ki taraf ishara kiya, "Par ye doosra ticket jo hai August ka, ispar travel nahi kiya gaya. Book hua tha par no-one actually used it"

"How do you know that?"

"Guar se dekhiye" Usne table par rakhe lamp ka munh tickets ki taraf ghumaya, "Time ke saath ink gayab ho gayi hai par is pehle ticket ke kono par ye halka neele rang ka nishan hai, par doosra wala saaf hai"

"Matlab Bus mein bethne ke baad ya bethte waqt ticket par koi stamp laga deta tha?"

"Exactly. Is pehle ticket par travel kiya gaya par doosra ticket kabhi use hua hi nahi"

Shimla se lautkar jab tak main vaapis Chail pahuncha tab tak andhera ho chuka tha.

"Itna late kahan kar diya?" Kamini ne mujhe dekhte hi sawal kiya, "Main phone kar rahi thi toh not reachable ja raha tha"

"Tujhe badi fikar ho rahi hai meri?" Maine haste hue kaha.

"Nahi honi chahiye?" Vo zara sanjeeda hote hue boli.

Main kuchh der tak khamoshi se uski taraf dekhta raha.

"Bilkul honi chahiye, tujhe nahi hogi toh kise hogi" Kuchh pal baad main bhi sanjeeda aawaz mein bola.

"Chaai loge?" Meri baat sunte hi uska chehra aise chamak utha jaise koi lottery lag gayi ho.

"Haan" Maine haami bhari toh vo kitchen ki taraf chali gayi.

"Kuchh pata chala?" Kitchen se hi usne zor se puchha.

"Khaas kuchh nahi, matlab ki ek hi baat pata chali"

"Kya?"

Maine Ganpati travels walo ke saath hui apni mulaqat ke baare mein use bataya.

"What do you think?" Maine baat khatam ki toh Kamini boli.

"Actually sach kahun toh is baat ka andaza mujhe khud bhi tha, bas vahan jakar confirmation mil gayi. Tu bata, Mrs. Rana ke saath teri mulaqat kaisi rahi?"

"Theek thaak hi thi, we just sat and talk. Totally women's talk you know. Bas idhar udhar ki baatein hoti rahi" Vo kitchen se ek cup mein chaai dalkar laayi.

"Case ke baare mein kuchh?"

"Nahi, she was more interested in our personnal lives"

"Matlab?"

"Matlab ke mujhse keh rahi thi ke ham log shaadi kab kar rahe hain"

"Really? Aur tune kya kaha?"

"Maine keh diya ke murga phasa liya hai, bas halal karna baaki hai" Vo muskurati hui boli.

"Yeah right. Ye nahi bataya ke murga khud hi halal hone ko chala aaya?" Maine bhi hasi mein uska saath deta hua bola.

"Aur puchh rahi thi ke If I had slept with you yet"

Ye baat sunkar chaai ka cup mere haath se girte girte bacha.

"Seriously, she asked that?"

"Haan aur nahi toh kya. Bhale hi kitni bhi ameer ho, hain toh aakhir vo bhi ek aurat hi na aur vo bhi purane zamane ki. Baaton baaton mein sab kuchh puchh bethi"

"Aur tu kya boli?"

"Maine bhi keh diya ke haan, main toh tumhare bachche ki maan bhi banne wali hoon"

"Bakwaas" Maine uski baat sunkar sirf itna hi kaha.

Raat ko dinner ke baad main betha TV dekh raha tha par Kamini ka jaagne ka koi irada nahi tha. Vo uthkar apne kamre ki taraf chali aur darwaze par khadi hokar meri taraf palti.

"You know what?"

"What?" Maine sawaliya nazar se uski taraf dekha.

"Agar Mrs. Rana wali baat ko sach karna chaho toh mujhe koi etraaz nahi hai" Kehte hue usne aankh maari.

"Apne kamre mein ja aur chup chap jaake so ja" Maine anguli se uske kamre ki taraf ishara kiya.

Usne munh banate hue mujhe good night kaha aur kamre mein chali gayi.

Uske jaane ke baad kuchh der tak main aur betha TV hi dekhta raha aur phir phone utha kar Akram ka number milaya.

"Bhaijaan main aapko phone karne hi wala tha" Usne phone utha kar kaha.

"Kya hua?"

"Vo Jewellers ke baare mein pata chala hai kuchh"

"Kya?"

"Chori Sunil Arora ne hi karayi thi ye usne khud police ke saamne confess kiya tha khud aur jahan se chori hui thi vahan ek camera laga hua tha jismein uski tasveer bhi aa gayi thi. Un dino CCTV cameras itne zyada use mein hote nahi the toh chori karte waqt is pehlu ki taraf usne dhyaan hi nahi diya aur ek baar paseena ponchhne ke liye apna mask halka sa uthaya. Bas vahin CCTV mein uska chehra aa gaya aur police ne trace kar liya"

"Police ko kya bataya tha usne?"

"Yahi ke chori ka plan uska hi tha aur vo phir heere ko bechne ki taak mein tha. Records ke mutaabik usne ek buyer ki confirmation hone ke baad hi chori plan out ki thi. Heera chori karke usne kisi aur ko delivery deni thi" Akram bola.

"Matlab chori kisi aur ne karaya tha?"

"Nahi Chori usne khud hi ki thi par chaalu tha. Jaanta tha ke is tarah ka heera chori karke chup chap bechna mushkil kaam tha, police ke darr se isliye usne chori ko anjaan dene se pehle hi ek buyer dhoondh rakha tha"

"Kaun tha buyer?"

"Ye nahi pata lag saka. Sunil ke hisaab se usne ek middle man ke through hi baat ki thi, asal khareed-daar saamne aaya hi nahi. Chori se pehle use kuchh advance bhi mil gaya tha"

"Hmmmmm" Maine ek pal ke liye sochne laga, "Kitne mein becha tha usne heera?"

"15 Crore" Akram ne jawab diya aur mera shak sahi saabit ho gaya.

"Heera handover kar diya tha usne?"

"Haan. Bayaan ke hisaab se kahin ISBT ke paas kisi bekaar khaali si jagah par use jaana tha. Jis jagah ki vo baat kar raha tha vo aaj se 20 saal pehle badi sunsaan si thi aur vajah koi aata jaata nahi tha, ab toh khair vahan DDA colony basi hui hai. Vo vahan pahucnah, vahan ek kude-daan ke paas bade bade kaale bags mein use cash mil gaya, usne deal ke hisaa se heera batayi hui jagah par chhod diya aur cash lekar vaapis aa gaya. Uske kuchh din baad ih police ne use arrest kar liya"

"Aur cash?"

"Cash kabhi recover ho nahi paya. Sunil yahi kehta raha ke usne vo paise apne debts chukane ke liye use kiya the par obviously vo jhooth bol raha tha"

"Toh phir vo bach kaise gaya agar khud usne confess kiya tha toh?"

"Ye uska initial statement tha police ke dande khaane ke baad jisse vo baad mein mukar gaya. Court mein keh diya ke police ne zabardasti maar peet kar likhvaya hai. 15 crore uske paas the toh vakeel bhi mehanga wala hire kiya, best in class aur case se vo saaf bach nikla. Vakeel ne court mein saare saboot circumstantial bata kar jhutla diye, tape par uske chehre ki bas ek jhalak hi thi jise vakeel ne court mein galat saabit kar diya, police koi strong case bana nahi paayi aur Sunil chhut gaya"

"Aur kuchh din baad sucicide kar li?"

"Haan" Akram ne jawab diya.
 

vamp545

Ì míśš ůř šťůpîđ fâćë
TM Star
Nov 29, 2012
2,278
722
413
Searching.....
"Suicide mein koi gadbad ka chance?" Maine sochte hue Akram se puchha.

"Nahi Suicide confirmed tha. Ye maine bhi socha tha ke kuchh foul play ka chance ho sakta hai par aisa tha nahi. Usne lagbhag apne baap ke saamne hi suicide kiya tha" Akram ne jawab diya.

"Matlab?"

"Matlab ke uska baap shareef aadmi tha bechara, vahi purane zamane ka aadmi jo zindagi bhar aur kuchh kamayen ya na kamayen, izzat khoob kamate hain society mein"

"Aur is incident ke baad Izzat ki toh leni deni ho gayi hogi uski" Maine baat jodi.

"Bilkul. Sunil case se bari toh ho gaya par iske baad baap bete mein anban ho gayi. Mujhe toh lagta hai ke shayad uske baap ko pata tha ke ye kaam Sunil ka hi karaya hua hai. Jo kuchh bhi tha, ek shaam baap bete mein khoob jhagda hua jiske baad Sunil gusse mein apne kamre mein chala gaya. Thodi der baad uska baap uthkar andar gaya toh use phande se jhoolta hua paya"

"Sad" Maine kaha, "Is Sunil ka kisi aur case se koi aur lena dena?"

"Police records ke hisaab se kuchh nahi par uske baad Police ne pichhle kuchh saalon mein Delhi aur aas paas ke ilaako mein hui kuchh badi choriyon ko Sunil ke saath jodne ki koshish ki. Nateeja kuchh nikla nahi par sach kya hai kaun janta hai. Ho sakta hai kiya ho usne kuchh aisa pehle bhi. Itni badi chori, I mean Humraaz jaise heere ko churana kisi first timer ka kaam toh ho nahi sakta"

"Kuchh saamne aaya ke usne aisa kyun kiya? I mean achhe khaase khaate peete ghar ka tha vo, paise ki toh I am sure koi kami nahi rahi hogi"

"Aur paisa kise nahi chahiye hota Sir" Akram bola, "Paisa toh jitna mile kam hai aur khaate peete ghar se toh vo zaroor tha par itna bada raees nahi tha ka aaj se 20 saal pehle 15 crore jaisi rakam sunkar uski aankhen lalach se phel na jaayen"

"Hmmmm" Maine haami bhari, "Tujhe ye informaiton kahan se mili?"

"Kya Bhaijaan aap bhi" Vo hasta hua bola, "Aap jaante nahi kya mere ko?"

"Haan janta toh hoon isliye hi toh tujhe phone kiya tha pata karne ko" Main bhi uski baat sunkar has pada, "Isliye puchha ke informaiton confirmed toh hai na?"

"100% hai Sir" Akram bola, "Jisne bataya hai usne Sunil ke initial bayaan ki copy mujhe padhkar sunai thi"

"Ok. Uske baad heere ka kuchh pata chala?"

"Nahi" Akram bola, "Police ne kaafi dhoondha par heree ka kahin koi suraag nahi mila"

Akram se baat karne ke baad main kaafi der tak betha sochta raha. Ye toh zaahir tha ke ye mamla teen tarfa juda hua tha. Humraaz ki chori, Sunanda ka gayab hona aur phir uske baad Ravi ki gumshudgi, ye teeno cheezen judi hui thi.

Maine ek baar phir Akram ka number milaya.

"Ek baat bata, London mein koi pehchan wala hai tera?"

"Pehchan wale toh kayi hain Bhaijaan, kaam kya hai?" Usne jawab diya.

"Ye Raj Rana london mein kisi cheez ka ilaaj kara raha hai. Mujhe pata karna hai ke Doctor kaun hai aur ilaaj kis cheeez ka kara raha hai ye, agar kara raha hai toh"

"Langda hai, goonga behra hai toh inmein se hi kisi cheez ka kara raha hoga" Akram hasta hua bola.

"Andaza toh mera bhi yahi hai par confirm karna hai"

"Is kaam mein thoda sa waqt lag sakta hai Bhai. 100% London mein hi kara raha hai Ilaaj?"

"Haan bataya toh yahi gaya hai. Ye har mahine private flight se London jata hai. Main iske flight records vagerah check karunga ke Flight London hi jaati hai ya kahin aur aur kuchh medical records vagerah bhi haasil karne ki koshish karta hoon. Meanwhile tu bhi pata kar"

"Theek hai Bhai, vaise uspe bhi shak hai kya?"

"Filhal toh sab par hi shak hai dost"

Akram se baat karne ke baad main apne room mein aakar let gaya par neend toh aankhon se koso door thi. Badi der tak bistar par karvat badalne ke baad main phir se drawing room mein aaya aur apne computer on karke Raj ka bhijvaya scanner attach kiya.
 
  • Like
Reactions: NiRaaLi_Man0

vamp545

Ì míśš ůř šťůpîđ fâćë
TM Star
Nov 29, 2012
2,278
722
413
Searching.....
Chapter 23 - The Hidden Face

Scanner maine apne Laptop se connect kiya aur vo tasveer uthayi jo hamein Sunandar ke ghar se mili thi. Yun toh us tasveer mein nazar kuchh bhi nahi aa raha tha.Kagaz bheej kar takreeban poora hi gal chuka tha, is had tak ke ab use tasveer kehna bhi galat hi hota. Ab toh vo bas ek bacha kucha kagaz ka tukda tha jo kabhi kisi zamane mein tasveer hua karta hoga.

Photo ko maine scan kiya par nateeja kuchh khaas nikla nahi. Maine kaafi der tak photoshop aur doosre photo editing softwares mein jhak maarta raha ke shayad kisi tarah damaged part ka koi tuk ban sake par compter bechara bhi kya kar sakta tha. Jo cheez scan hokar hard disk par aayi hi nahi vo bhala kahan se recover hoti. Thak haar kar main compter shut down karne ki soch hi raha tha ke mera phone baja.

Call Inspector Falana Falana ki thi. Maine ghadi par nazar daali, aadhi raat hone ko aayi thi. 2 ring ke baad call disconnect ho gayi. Maine vaapis number dial kiya.

"Negi Bhai sab khairiyat?" Usne call receive ki toh maine puchha.

"Sir disturb toh nahi kiya? Mujhe lag raha tha ke aap so gaye honge par phir bhi socha ke ek ring dekar dekhta hoon"

"Nahi jaag raha tha filhal toh" Maine jawab diya, "Bas abhi sone ke liye jaane hi laga tha. Aap itni raat ko kaise? Night shift lagi hui hai kya?"

"Nahi Sir night shift toh nahi hai par kuchh case aa gaya tha isliye mujhe bhagna pada" Negi ne jawab diya.

Uske pichhe se kaafi shor ki aawaz sunai de rahi thi.

"Ho kahan is waqt?" Maine sawal kiya.

"Solan mein Sir"

"Kuchh apne case se related hai kya?" Maine andaza lagate hue kaha ke vo is waqt Solan mein tha, ek case ke chakkar mein keh raha tha ke bhagna pada aur aadhi raat ko mujhe phone kar raha tha.

"Pata nahi Sir par maine socha ke aapko phone karke ittela kar doon"

"Kya hua?"

"Arrey kya kar raha hai?" Vo achanak zor se chillaya, "Abhi kuchh mat kar, pehle photos vagerah lene do un logon ko"

"Kispe chilla rahe ho?" Maine haste hue kaha.

"Hawaldar hai Sir, kuchh nahi pata hota saalon ko. Aapko vo Aadesh yaad hai Sir?"

"Vo Music academy wala?" Maine kaha, "Haan yaad hai"

"Uski laash mili hai Sir" Negi ne kaha.

"Aadesh ki body?" Maine hairat se kaha, "Vahi music academy wala Aadesh na jisse ham log kuchh waqt pehle milne gaye the?"

"Haan vahi Sir"

"Kahan mili?" Maine puchha.

"Yahin Solan ke paas"

"Murder?"

"Keh nahi sakte Sir. Laash ek khaai mein mili hai toh suicide bhi ho sakta hai aur murder bhi"

"Kitne din purani laash hai?"

"Aaj hi hua hai jo bhi hua Sir" Usne jawab diya, "Ye aaj subah Academy gaya tha toh suicide ya murder jo bhi tha, aaj hi hua hai"

"Information kisne di?"

"Yahin ek paas mein restaurant hai uske maalik ne"

"Laash agar khaai mein thi toh usne kaise dekh liya?"

"Nahi dekha toh usne bhi nahi. Vo bhi restaurant band karke ja raha tha ke raaste mein ek sunsaan jagah par Aadesh ki gaadi khadi thi. Darwaze khule hue the, chaabi lagi hui thi aur aas paas koi nahi tha. Ye dekh kar usne police ko inform kiya. Vahin thoda sa aage sadak kinare ghaas par uski jacket rakhi mili"

"Aur thoda aage khaai mein laash?" Maine baat poori ki.

"Ji haan. Maine socha ke aapko phone karke bata doon"

"Koi suraag?"

"Abhi tak toh nahi Sir aur vaise bhi andehre mein kahan kuchh dikhai dena hai. Ab toh kal subah hi dekhenge"

"Theek hai, kuchh pata chalta hai toh let me know. Keep me informed on this one please" Maine kaha.

"Bilkul Sir" Usne kaha aur phone rakh diya.

Negi se baat karne ke baad maine ek cigarette jalayi aur beth kar sochne laga. Jaane kyun mere dil mein ye poora yakeen sa tha ke Aadesh ki maut ki vajah mera usse milne jana hi tha aur agar aisa tha toh poora ka poora case ek naya rukh lene wala tha. Jo mamla 20 saal pehle daba diya gaya tha, use dabane wala ab bhi kahin aas paas tha.

Aur isse saaf zaahir tha ke kahin na kahin is udhed-bun mein main kahin uske itna kareeb aa gaya tha ke use apne phasne ka khatra mehsoos hone laga tha.
 
  • Like
Reactions: NiRaaLi_Man0

vamp545

Ì míśš ůř šťůpîđ fâćë
TM Star
Nov 29, 2012
2,278
722
413
Searching.....
Agle din subah chaai peete hue maine Kamini ko Aadesh ki maut ke baare mein bataya.

"Thats sad news indeed" Vo sochte hue boli.

"Yeah, maut kisi ki bhi ho, sad toh hoti hi hai" Mujhe uski baat ka matlab samajh nahi aaya toh maine bhi aage se yun hi apni baat jod di.

"Arrey vo nahi" Vo chaai ka cup rakhte hue boli, "Duniya mein roz lakhon log marte hain aur roz lakhon bachche paida hote hain, nothing sad about him dying"

"Phir?" Maine cigarette ke packet ke taraf haath badhaya.

"Subah subah" Isse pehle ke main cigarette nikalta, Kamini ne packet khinch kar apne taraf kar liya, "Kaam nahi hai tumhein bhi koi, jab dekho yahi jalaye bethe rehte ho"

"Arrey de ne yaar" Maine haath aage badhte hue packet vaapis apni taraf kiya, "Aadesh wali baat poori kar apni"

"Ek vahi tha jisse mujhe kuchh ummeed lag rahi thi information milne ki, I mean jis tarah se vo hamare sawal sunkar hadbadaya tha. I was thinking ke we should go question him again but yahan toh hamare kuchh puchhne se pehle hi uska patta kat gaya"

"Yeah I know"

"Abhi kya plan hai?" Kamini boli.

"Pata nahi, Negi se baat karke dekhunga kuchh aaj ke Aadesh ki maut se related koi suraag mauka-e-wardat se mila ho toh par filhal toh Mrs. Rana ke huzoor mein haziri lagani hai" Maine ghadi ki taraf dekhte hue kaha. Subah ke 10 baj rahe the.

"Aunty Ji ne bulaya hai tumhein?" Kamini muskurate hue boli.

"Oye hoye, Mrs. Rana se sidha Aunty ji?" Maine maathen par shikan daalte hue kaha.

Meri baat sunkar Kamini fauran embarass ho gayi.

"Vo last time main Ma'm Ma'm karke baat kar rahi thi toh unhone mujhe kaha ke Aunty kehkar bulaaon" Kehkar usne apni jeeb thodi se daanton se bahar nikali, bilkul kisi chhoti bachchi ki tarah.

Koi hairat ki baat bhi nahi thi ismein, jis tarah se vo logon se baat karke unhein apne favour mein kar leti thi, aur jis tarah se log fauran use pasand karke uski haan mein haan milane lagte the, iska namuna main zindagi mein kayi baar pehle bhi dekh chuka tha, aakhri baar tab jab vo Sunanda ki maan se milne gaye the.

"Meri baat maan toh ek kaam kar" Maine kaha.

"Kya?"

"Lage haath Aunty se sidha Mummy Ji par hi aaja aur Raj ko baandh ke rakhi bana le apna bhaiyya"

"What? Kyun?" Vo shakal banate hue boli.

"Arrey yaar soch, teri meri shaadi hogi aur agar inhein tune Mummy ji bana liya toh soch jab tu aur main shaadi karenge toh dahej mein kya kya milega tujhe"

"Dafa ho jao yahan se" Kehte hue vo uthi aur chaai ke cup lekar kitchen mein chali gayi.

Uske baad main taiyyar hokar Mrs. Rana se milne chala gaya aur unhein ab tak ki poori report di jo ke koi khaas thi nahi, sivaay iske ke main ab tak koshish hi kar raha hoon. Par unhein us waqt apne bete ki gumshudgi se zyada ineterest meri aur Kamini ki love story mein tha.

Baat se baat nikalti rahi aur thodi der baad bhi Raj bhi hamare saath hi aakar beth gaya. Nateeja ye hua ke jab tab main unse milkar utha toh dopahar ke 2 bajne wale the.

Main vaapis guest house pahuncha aur lunch ke baad Negi ko phone milaya.

"Nahi Sir abhi tak toh koi suraag nahi mila hai" Mere puchhne par Negi ne jawab diya.

"Kuchh pata chala ke vo Solan kya karne gaya tha?"

"Sir ab ye bhi toh pata nahi na ke vo Solan gaya tha ya kahin aur. Jahan uski gaadi mili hai vahan se ek sadak Shimla ko jaati hai, doosri Chail ko aati hai aur Chandigarh wala highway bhi door nahi hai vahan se"

"Hmmmm" Maine sochte hue kaha, "Chalo kuchh mile toh batana"

"Vaise main abhi Shimla ki taraf hi ja raha hoon Sir, Isi silsile mein"

"Masha-Allah" Maine haste hue kaha, "Hamare desh ki police itni fast forward, itni tezi se kaam pe lag gayi"

"Kya Sir aap bhi" Vo meri baat sunkar hasta hua bola, "Uske gharwalo se baat karni hai, kal vo kahan tha kisse mila vagerah vagerah"

"Toh ek kaam karo" Negi ki baat sunkar mujhe ek idea soojha.

"Kahiye Sir"

"Aadesh ke phone records nikalo aur mujhe bhi bhej dena please. Uske mobile, ghar aur office ke phone records"

"Theek hai Sir, vo toh main asal mein khud subah hi bol diya tha nikalne ke liye, shaam tak aa jaayenge"

"Tumhein yaad hai ham usse kab milne gaye the Academy?"

"Haan yaad hai Sir"

"Us din ke baad ke phone records specially mujhe dekhne hain"

"Theek hai Sir, shaam tak mil jaayega" Use kaha.

"Hamare desh ko aap jaise police walo ki hi zaroorat hai Negi Bhai" Maine phir haste hue kaha, "Chust durust, tez tarrar aur apna kaam imandari se karne wale"

"Aapko bhi main hi mila Sir subah se" Vo khisiyani se aawaz mein kaha aur hamne phone rakh diya.

Main vaapis guest house pahuncha toh Kamini mera laptop khole bethi thi.

"Kya kar rahi hai?" Main uske pichhe jakar khade hote hue bola.

"Tumne vo kal photo scan ki thi jo hamein Sunanda ke ghar se mili thi?" Usne palat kar puchha aur laoptop meri taraf ghumaya. Vo photoshop mein kuchh kar rahi thi.

"Haan, kyun?"

"Us photo mein toh kuchh mila nahi hoga?"

"Nahi bahut zyada kharab ho rakhi thi vo, samajh hi nahi aaya kuchh" Main uske saath bethkar Laptop ki taraf dekhte hue bola.

"Dekha tha maine, par samajh meri bhi nahi aaya kuchh. Par phir mujhe ek doosri tasveer ka dhyaan aaya"

"Kaun si?"

"Kanha ki tasveer jo main uske ghar se laayi thi, jab pehli baar main uske baap se milne ke irade se gayi thi, remember?"

"Haan yaad hai" Maine kaha.

"Ye photo" Kehte hue usne laptop ki taraf ishara kiya. Photoshop mein usne usi photo ko scan karke khol rakha tha.

Vo ek holi ke din ki tasveer thi. Tasveer Kanha ki thi aur uske Pichhe background mein vahi mandir tha jise Kali ka Tibba ke naam se jana jata tha. Pichhe kaafi log jama tha jo shayad ya toh holi khelne ke irade se ya phir pooja vagerah ke liye vahan jama ho rakhe the. Sabko chehro par rang laga hua tha.

"Dekhna kya hai?"

"Yahan dekho, is ladki ko" Kehte hue usne tasveer mein Kanha ki pichhe khadi par anguli rakhi.

"Kaun hai ye?" Maine puchha.

"Ab dekho" Kehte hue Kamini ne ladki ke chehre par zoom kiya.

Chehre par halka rang hone ke bavajood main is chehre ko pehchanne mein koi galti nahi kar sakta tha.

"Sunanda" Maine kaha.

"Exactly" Kamini ne muskurate hue kaha.

Vo bheed se thoda sa alag hatkar khadi hui ek taraf gaur se dekh rahi thi.

"And?" Maine phir sawaliya nazar se Kamini ki taraf dekha.

"Ise pehchan toh main asal photo mein hi gayi thi par gaur se dekho, ye ek hi taraf bade dhyaan se dekh rahi hai."

Maine phir photo ki taraf dekha. Sunanda ki nazar apne se thoda aage khade 4-5 logon ki taraf thi.

"Kehna kya chah rahi hai tu?" Maine phir Kamini se puchha.

"Arrey Lallu ye dekho" Kamini ne apni anguli Sunanda se thoda khade ek aadmi par rakhi. Maine gaur se dekha toh vo bhi palat kar Sunanda ki taraf hi dekh raha tha.

"Ye us ladke ki taraf dekh rahi hai" Maine kaha.

"Aur vo iski taraf" Kamini ne kaha.

"Hai kaun ye?" Maine laptop ke thoda aur nazdeek hote hue puchha. Vo jo koi bhi tha, uske chehre par buri tarah rang laga hua tha aur pehchan pana mushkil tha.

"Yahi jaanne ke liye maine photo ko scan kiya" Kamini ne kaha.

"Ok"

"Aur photoshop mein is ladke ke chehre se rang hatane ki koshish ki. Zyada kuchh kaamyaab ho nahi paayi par jitna kar saki, uske baad ye photo bani" Kehte hue Kamini ne original photo ko band kiya aur ek doosri photo kholi jo usne ladke ke chehre se rang hatane ke baad save ki thi.

Kuchh zyada khaas farak nahi pada tha. Pehchan pana ab bhi kaafi mushkil tha.

"Jis tarah se ye dono ek doosre ki taraf dekh rahe hain, specially Sunanda. Iske chehre ko gaur se dekho, jo smile, jo expressions iske chehre par hain vo yun hi kisi anjaan shaks ke liye nahi hoti.

"I still cant figure out who this guy is" Maine kaha.

"That is because ye chehra 20 saal purana hai"

"Matlab"

"Yaad hai jab maine tumse puchha tha ke Liyaqat ki umar ab kya hogi aur 20 saal pehle vo ek jawab aadmi hoga. Sunanda ki umar ka nahi, usse umar mein kaafi bada par phir bhi ek jawan aadmi" Kamini boli
 
  • Like
Reactions: NiRaaLi_Man0

vamp545

Ì míśš ůř šťůpîđ fâćë
TM Star
Nov 29, 2012
2,278
722
413
Searching.....
Chapter 24 - Tragic End Of A Love Story


Renuka aur main ab pati patni toh bas naam bhar ke liye hi reh gaye the. Badhte badhte dooriyan is qadar badh chuki thi ke ab ham sote tak saath nahi the. Vo bed par soti thi aur main apne kamre mein rakhe ek couch par. Baat toh ham dono ke beech kabki band ho chuki thi aur ab jo ek do baatein ham ek doosre se karte the vo sirf zaroorat ya mere maan baap ko dikhane ke liye hi hoti thi. Mujhe yaad tak nahi tha ke aakhri baar main use dekhkar ya vo mujhe dekh kar kab muskurayi thi.

Magar kuchh baatein ab bhi thi jo ham dono ke beech qayam thi. Unmein sabse pehle thi mere bete Vikram ki dekh bhaal. Ham dono ke beech jo bhi ho raha tha uska asar hamare bete par na pade, iski ham poori koshish karte the. Vo abhi chhota tha aur uske liye ye zaroori tha ke vo koi aisi baat na dekhke jo aage chal kar uske dimag par koi asar daale isliye uske saamne ham dono hamesha haste hue hi pesh aate. Use main hamesha yahi kehta ke uski Mom is the best aur Renuka bhi yahi dikhati mujhse behtar baap duniya mein nahi hai. Vikram ke saamne gusse mein na main kabhi Renuka ko kuchh kehta aur na hi Renuka mujhe kuchh. Na main aawaz oonchi karta tha aur na hi Renuka.

Jo doosri baat jispar ham dono hi qayam rahe vo thi ek doosre se kuchh na kehna. Main janta tha ke vo mujhse bewafai kar rahi thi aur vo ye baat samajh chuki thi ke uski sachchai main janta hoon par iske bawajood na maine kabhi usse koi sawal kiya aur na hi kabhi usne khud koi safai di. Main dheere dheere usse door hota chala gaya aur usne mujhe rokne ki koshish bhi nahi ki.

Teesri baat jispar Renuka qayam rahi vo thi mujhe dhokha dene ki. Ham dono ka ek beta tha, saath ek pariwar tha par in sab baaton ne uski bewafai par koi asar nahi dala. Ab bhi aksar vo mujhe ghar se gayab milti, bina kisi ko bataye aur jab vo gayab hoti toh us dauran uska cell phone switched off hota. Maine use ye baat saaf zahir kar di thi ke main uske baare mein sab janta hoon par is baat ne bajay use rokne ke ulta use aur jaise aazadi de di thi. Jab tak ye khush-fehmi uske dil mein thi ke main kuchh nahi janta tab tak vo aksar mere kareeb aane aur mujhe manane ki koshish karti, shayad apni galti ko chhupane ke liye par jab use pata chal gaya ke ab natak karne ka koi fayda nahi toh usne bhi apni har koshish ko ek taraf kar diya.

Dheere dheere vo khudh hi mujhse door rehne lagi thi. Jahan ek taraf vo baar baar mujhse meri narazgi ki vajah puchha karti thi, mujhe manane ki har koshish karti thi vahin ab aalam ye tha ke vo khud hi poori koshish karti tih ke mujhse door rahe. Hamare beech ek khamoshi arrangement ho chuka tha ke bed Renuka ka tha aur couch mera. Ek din main apne bete ke saath bed par leta khel raha tha aur raat ko vahin meri aankh lag gayi. Subah jab aankh khuli toh Renuka couch par so rahi thi. Use khud mere nazdeek aakar mere saath ek hi bistar par sona manzoor nahi reh gaya tha.

Aur shayad aankhon ki ye sachchai hi thi jisne hamare beech zubaan ki sachchai ko roka hua tha. Ham jaante the ke jis din ham mein se kisi ne kuchh bhi bola, ek anguli bhi uthayi, us din hi ye shaadi khatam ho jaayegi aur ye main toh kam se kam bilkul nahi chahta tha kyunki iska asar Vikram par kya hoga, ye main khoob janta tha. Aisa hi shayad koi dar Renuka ko bhi raha hoga jiski vajah se usne bhi hamare beech uth rahi deewar ko khamoshi ke saath kabool kar liya tha.

Ab dono ek ghar mein rehte hue, ek hi chhat ke neeche hote hue bhi ajnabhi ho chuke the.

Aisa nahi ke maine iski vajah dhoondhne ki koshish nahi ki. Har pehlu se socha, har andaaz mein socha, baar baar socha. Bahut apne sar khujaya ke kahan galti hui mujhse, kya hua aisa ke meri biwi jo kabhi mujhpar jaan deti thi mujhse is tarah, is qadar door ho gayi. Paise ki kabhi koi kami nahi thi hamare ghar mein toh daulat toh vajah ho hi nahi sakti thi. Aur agar daulat ki baat hoti toh vo yun mere saath na rehti, chhod deti mujhe.

Main hamesha poori tarah se, har tarah se uska dhyaan rakhta tha. Use poori tarah emotional support deta tha. Uske ek ishare par apna dil uske kadamon mein rakh deta tha. Uski har khwahish uske bolne se pehle poori kar deta tha toh aisa nahi ho sakta tha ke vo kisi aur ke paas emotional support ke liye jaaye.

Ham dono ke beech sharirik sambandh bhi achhe the, jab tak ke mujhe uske baare mein pata nahi chala tha. Main sexually capable tha aur aisa nahi tha ke main apni biwi ko bistar par khush nahi rakh paya. Vo toh balki aksar mujhe khud hi "Bed Tiger" ke naam se chheda karti thi. Aur vo aisi bhi gayi guzri nahi thi ke ek mard se uska kaam na chal raha ho aur jism ki aag use ek aur mard ki bahon mein jaane par majboor kar de. Nahi aisi toh bilkul nahi thi vo.

Toh kahan hui galti, kahan reh gayi kami. Apne aap se ye sawal maine hazar baar puchha par har baar jawab mein kuchh haasil nahi hua.

Dheere dheere maine us ladke ko dhoondhne ki koshish bhi bad kar di thi jiske saath Renuka ka affair tha. Maine kayi baar uske cell ko trace karne ki koshish ki, apne ghar ke phone tap karaye par kuchh haasil nahi hua. Mere ghar mein mile condoms ke packets is baat ka saboot the ke vo ladka khud mere ghar aata tha kabhi kabhi aur is ummeed par hi maine AKram se lekar ghar mein kayi hidden cams lagaye. Mere bete ke kayi khilone aise the jinmein spy cams fit kiye hue the. Mujhe ummeed ye thi ke shayad mere pichhe Renuka apne boy-friend se phone par baat karti hui kisi cam mein record ho jaaye par aisa bhi nahi hua par kisi bhi cam mein na toh koi video aisa record hua aur na hi koi audio.

Jahan usne apne aapko mujhse door kar liya tha vahin vo ab bahut chaukanni ho gayi thi ke kahin se bhi koi cheez mujhe na mile. Vo ghar mein milne wale condoms ke wrapper bhi ab milne band ho gaye the par agli baar jab mujhe vo wrapper mila toh jaise qayamat hi aa gayi.

Vo ek Sunday ka din tha aur mere maan baap subah hi kisi mandir mein pooja ke liye chale gaye the. Unka shaam se pehle vaapis aane ka koi scene nahi tha isliye sara din ke liye ghar mein main aur Renuka hi akele reh gaye aur main poori koshish karta tha ke aisi situations ko avoid karun. Us din bhi aisa hi kuchh hua. Kuchh der tak toh main ghar mein betha raha par akele ek saath hone ki vajah se ham dono hi bahut uncomfortable the. Main khud poori koshish kar raha tha ke Renuka se nazar bacha kar rakhun aur uski nervousness bhi saaf zahir thi. Aalam kuchh aisa ho gaya tha jaise ke ek chhat ke neeche do ek doosre ke khoon ke pyaase log behte hon jinki majboori kuchh aisi thi ke ek doosre par hamla na kar saken.

Jab mujhe aur bardasht na hua tha main uthkar ghar se bahar nikal gaya aur yun hi gaadi liye shehar ki sadkon par drive karta raha. Phir mujhe jaane kya soojhi ke main ek hotel ke bar mein ja betha aur din mein hi vahan beth kar peeni shuru kar di. Jab tak ke main Bar se uthkar vaapis apni gaadi tak aaya, nasha mere sar chadh kar bol raha tha.

Ghar pahunch kar maine ghanti bajayi toh darwaza fauran nahi khula. Maine kam se kam 6-7 baar ghanti bajayi toh ek baukhlayi hui si Renuka ne darwaza khola.

"Itni der kyun lagayi?" Main nashe aur gusse mein badbadaya aur ghar ke andar daakhil hua.

Usne mere sawal ka koi jawab nahi diya aur chup-chap darwaza band kar diya. Maine uspar ek nazar daali toh uske baal kuchh bikhre se lage, kapde kuchh ast-vyast se lage. Use is halat mein maine sirf apne bedroom mein hi dekha tha. Khaas taur se un palon mein jab ham abhi abhi ek doosre ke kareeb hue hon.

"Kya kar rahi thi?" Maine use ghoorete hue kaha.

"Bathroom mein thi" Usne jawab diya aur kitchen ki taraf badhi.

"Akeli?" Maine puchha.

"Kya matlab?" Vo palat kar boli.

Maine uski baat ka koi jawab nahi diya aur poore ghar mein nazar maare laga. Maine ek ek karke saare kamre khol kar dekhe par kahin kuchh nazar nahi aaya. Sach kahun toh main ummeed kar raha tha ke kahin mujhe ghar mein uska boyfriend chhupa hua milega. Uski halat is baat ki gawahi de rahi thi ke abhi abhi koi tha jo uske jism se khel raha tha ya kam se kam mera dimag toh mujhe aisa hi kuchh bata raha tha.

"Kya dhoondh rahe ho?"

"Tumhare yaar ko" Pehli baar main gusse mein apne munh par koi aisi baat laya jo apne aap mein ek sidha sidha ilzaam thi.

"Kya matlab hai tumhara?" Vo palat kar gusse mein kisi nagin ki tarah phunphkari.

"Matlab vahi hai jo tumhari halat bata rahi hai. Darwaza kholne mein itni der? Apni yaar ki baahon mein thi? Kapde pehne hue the ya mere ghanti bajane ke baad jaldi jaldi pehne?" Pata nahi us waqt main bol raha tha ya mere gale se neeche utri hui sharab bol rahi thi.

"Kya kehna chah rahe ho?"

"Halat dekho apni. Ye kapde dekho, in kapdo ki halat dekho. Koi bhi bata dega ke kya karke aayi ho tum"

"Pehli baat toh ye ke haan, kapde utre hue the mere" Vo meri taraf ghoorte hue boli. Uske andaaz se hi zahir tha ke vo jaanti thi main kya bol raha hoon, "Haan nangi thi main par kisi ki baahon mein nahi bathroom mein. Nahane ke liye gayi. Meri halat aisi isliye hai kyunki subah se nahayi nahi hoon, munh tak nahi dhoya. Kapdo ki halat aisi isliye hai kyunki ne nighty gande kapdo ke saath washing machine mein padi hui thi. Tumne ghanti bajayi toh jaldi jaldi mein yahi pehen li maine. Doosri aur sabse zaroori baat, apni ayyashi ko chhupane ke liye ilzaam mere sar par mat daalo"

"Kehna kya chah rahi ho tum?" Main gusse mein uski taraf badhta hua bola.

"Yahi kehna chah rahi hoon ke tum bahar jahan chaho munh maar kar aao mujhe ab koi matlab nahi hai par mere uper keechad uchhalne ka koi haq nahi hai tumhein. Main yahan tumhare saath sirf apne bete ki vajah se hoon toh bhalai sirf isi mein hai ke tum bhi is baat ki izzat karo"

Mujhe samajh nahi aa raha tha ke kya kahun ya kya karun. Gussa us waqt itna aa raha tha ke uska munh tod doon aur shayad aisa hi kuchh main karta bhi agar us waqt mere cell par meri maan ne phone na kar diya hota. Maine call receive ki toh maan ne sidha Renuka ke baare mein puchha. Maine khamoshi se phone uski taraf badha diya aur vo phone lekar maan se baat karti hui bedroom ki taraf badh gayi.

Gusse mein main vahin couch par beth gaya. Main us waqt poori tarah nashe ki halat mein tha aur kahin ye nasha hi tha jo baar baar mujhe majboor kar raha tha ke ye baat aaj main khatam kar doon. Jahan ek taraf mere dil ki salah ye thi ke mujhe chup ho jana chahiye, vahin doosri taraf nashe mein dooba mera dimag chilla chilla kar keh raha tha ke baat aaj khatam kar hi doon.

Saamne hi table par Renuka ka cell phone rakha hua tha. Maine gusse mein uska phone uthaya aur check karne laga.

Contacts mein koi naam aisa nahi mila jispar shak kiya ja sake.

Call log mein koi call kisi unknown number par nahi thi.

Inbox mein koi galat message nahi tha.

Magar jab sent items check kiye toh meri aankhen gusse mein ubal padi. Ek unknown number par bheja hua message kuchh is tarah tha,

"Its only you that I love Sweety. And please, dont talk about that impotent husband of mine anymore. Vo kya jaane ke bistar par ek aurat ko kya chahiye hota hai. Aur ek baat sach kahun, he is not even half of your size" Aur iske baad ek aankh maarne wala smiley bana hua tha.

Message aaj subah hi bheja gaya tha aur vo shayad is sent items se delete karna bhool gayi thi.

Gusse mein cell liya main apne bedroom ki taraf palta jahan ke Renuka abhi abhi gayi thi aur phir jo mujhe nazar aaya vo kisi ka bhi khoon khaula dene ke liye kaafi thi.

Mera beta Vikram apne jhoole mein betha hua tha aur uske haath mein ek laal rang ka chhota sa packet tha. Vahi laal rang ka packet jiske andar ek condom tha. Packet abhi saabut tha matlab ke condom abhi use nahi hua tha aur mera beta ek condom ka packet haath mein pakde use munh mein daal kar chaba raha tha.

Mera haath gusse mein meri belt ki taraf gaya. Maine belt khol kar apne haath mein lapeti aur gusse aur nashe ki halat mein bedroom ki taraf badha. Renuka phone rakh kar khadi hui pareshan si almari mein kuchh dhoondh rahi thi.

"Ye dhoondh rahi ho kya?" Maine kaha.

Vo meri tarah palti toh maine vo condom uski taraf uchhal diya.

"Kya hai ye?" Vo boli.

"Sawal mera hona chahiye" Maine kaha, "Aur tumne mujhe kabhi bataya nahi ke main bistar par tumhari zaroorat poori nahi kar paya, batati toh vahi karta jo tum chahti thi"

"Kya bakwaas kar rahe ho?" Vo phor boli toh maine uska cell uski taraf uchhal diya. Vo apne cell mein dekhne lagi aur hairat aur khauff se uski aankhen phel gayi.

10 minute baad jab main bedroom se nikla toh Renuka zameen par besudh padi thi. Maine use maar maar kar apni chamde ki belt tod di thi aur vo neeche ek kone mein giri padi subak rahi thi.

Drawing room mein Vikram zor zor se ro raha tha.

Aur main chup chap ghar se bahar nikla aur phir idhar udhar jhak maarne ke baad apne office mein jakar beth gaya. Nasha utar raha tha aur mujhe dheere dheere is baat ka ehsaas ho raha tha ke main kya karke aaya hoon aur ab meri shaadi finally khatam ho chuki hai. Soch hi raha tha kya karun ke tabhi phone ki ghanti baji aur mujhe meri biwi ke suicide ki khabar di gayi.

Ghar pahuncha toh rone ki aawazon se mera ghar goonj raha tha.

Mere maan baap ke rone ki aawaz.

Renuka ke maan baap ke rone ki aawaz.

Vikram ki rone ki aawaz.

Kamini ki rone ki aawaz.

Hamare doston aur rishtedaaron ke rone ki aawaz.

Aur na jaane kis kiske rone ki aawaz.

Aur in sab aawazon ke beech mujhe ek kagaz ka tukda pakda diya gaya.

"Main nahi jaanti ke kab main tumse itna door ho gayi aur kya galti hui ke ye rishta yun khatam hua. Aaj sochti hoon toh samajh hi nahi aata ke maine aakhir tumhein dhokha diya kyun. Tumhare sawal ka jawab doon toh bistar par kya, tumne toh meri har jagah har zaroorat poori ki. Uske bavajood maine har cheez ko risk karte hue kyun tumhein dhokha diya is sawal ka jawab shayad mere paas hai hi nahi. Koi kami nahi thi tum mein aur sach kahun toh jiske saath main tumhein dhokha de rahi thi he is not even half of the man that you are. I am sorry my love par main tumhein bata hi nahi sakti ke maine aisa kyun kiya kyunki main khud bhi nahi jaanti. Galti mujhse ek baar hui aur phir na jaane kyun main baar baar us galti ko dohrati rahi aur aaj jo hua uske baad ab itna mauka bhi nahi bacha ke main apni galti sudhar sakun. So I am doing the best thing that I can do right now, that any mother and wife would do. I am securing my family and my death is the only way to do that. Maine apni vajah se tumhare chehre par badnaami ka daag laga nahi de sakti aur tumse door hokar toh zinda rehne ka sawal hi paida nahi hota.

Main jaanti hoon ke I cheated on you aur ye galti maafi ke layak toh nahi par ho sake toh mujhe maaf kar dena aur hamare bete ka khyaal rakhna"
 
  • Like
Reactions: NiRaaLi_Man0

vamp545

Ì míśš ůř šťůpîđ fâćë
TM Star
Nov 29, 2012
2,278
722
413
Searching.....
Chapter 25 - A Thief And A Murderer


"Email mil gayi Sir?" Negi ne phone par puchha.

"Bas log-in kar hi raha hoon, ek minute dijiye" Maine apne Email account mein log in karte hue kaha.

"Main fax karne ki soch raha tha par fax toh shayad aapke paas hoga nahi isliye scan karke bhej diya aapko. Vaise toh maine asal mein ye socha tha ke kal khud lekar hi aa jaoonga par kal phir yahan kuchh official kaam nikal aaya toh kal Chail aana mumkin nahi ho paayega isliye maine scan karke bhej diya"

"Nahi koi baat nahi" Maine kaha, "Mil gayi aapki email"

"Sir usmein jo pehli attachment hai vo Aadesh ke office ka phone se ki gayi calls ki list hai, doosri attachment uske cell se ki gayi calls ki list hai aur teesri uske ghar ke landline se milaye gaye phones ki list hai"

"Awesome" Maine pehli list kholte hue kaha, "Aapne dekhi ye?"

"Haan dekhi Sir, kuchh bhi kaam ka nahi mila. Sab ya toh yaaron doston ko kiye gaye phone hain ya sab office ke kaam se ki gayi calls"

"Aur ye 4th list kya hai?" Maine chauthi attachment kholi.

"Maine vo numbers nikale jin par baar baar calls ki gayi thi aur un logon ke naam nikale. Ye un sab logon ke naam hain, zyadatar Aadesh ke dost hi hain" Negi ne kaha.

"Super" Main dil hi dil mein uski tareef kiye bina nahi reh saka. Policewalo se aisi akalmandi ki ummeed vo bhi itni tezi ke saath main kam hi karta tha.

"Aap dekh lijiye Sir" Negi ne kaha," Kuchh samajh aaye ya mile toh bataiyega mujhe"

"Absolutely"

Phone rakhne ke baad main ek ke baad ek list ko khol kar dekhne laga. Teeno hi list bahut lambhi thi. Kuchh calls random thi aur kuchh numbers par calls baar baar ki gayi thi jinko ke Negi ne already alag chhant liya tha. Har vo number jis par ek se zyada baar call ki gayi thi, un sab logon ka naam Negi ne ek alag list mein nikal liya tha aur bakaul uske, vo sab Aadesh ke dost the.

"What is this?" Kamini haath mein ek chaai ka cup liye mere pichhe aa khadi hui.

"Aadesh ke number se ki gayi calls" Main cell phone numbers wali list ki taraf dekhte hue bola.

"Found anything?" Usne chaai ka cup mere haath mein pakdaya.

"Nah, I wasnt even really hoping to. Soch raha tha ke koi number nikalunga jispar baar baar calls ki gayi hon, specially kuchh last few days mein par Negi ne already ye kaam kar diya. Kaafi saare log hain"

"You going to question them?"

"I dont think we have the time to question them all par dekh sakte hain ke inmein se kisi bhi insaan ka Ravi ke case se koi lena dena tha kya"

"Arent you forgetting about the picture?"

"Yaar us tasveer ke dam par kuchh saabit nahi kar sakte. It is just our own theory. Aaj se 20 saal pehle Sunanda ek tasveer mein ek insaan ki taraf dekh kar kyun muskura rahi thi isse kuchh saabit nahi hota. Aur tu ye chaai mein cheeni daalne mein itni kanjoosi kyun karti hai yaar" Maine chaai ka ek sip liya aur phir uthkar kitchen ki taraf badh gaya.

"Itna zyada meetha na piya karo" Main utha toh Kamini laptop ke saamne beth gayi.

Maine kitchen mein jakar chaai mein thodi cheeni aur daali aur drawing room mein vaapis lauta.

"One number here looks familiar" Kamini list uper neeche karte hui boli.

"Which one?" Main nazdeek aate hue bola.

"This one" Usne ek number par anguli rakhi. vO ek landline number tha.

"Whose number is this?" Maine puchha.

Jawab mein Kamini ne mera cell phone uthaya aur contact list kholi.

"Kya kar rahi hai?"

"Kuchh din pehle main tumhara cell dekh rahi thi" Vo contact list scroll karte hue boli.

"Kyun?"

"Ye dekhne ke liye ke mere pichhe tumne aur kaun kaun si nayi ladkiyon ke naam apne phone mein add kiye hain aur tab meri nazar is naam aur number par padi" Kehte hue usne cell meri taraf kar diya.

Maine number milaya. Same tha.

"Tune ek baar ye number dekha aur tujhe yaad bhi ho gaya?"

"Nahi yaad hota nahi par last ke teen digits dekho. 007, James bond par khatam hota hai ye number isliye dimag mein atak gaya tha"

"Nice but its just one phone call, doesnt necesarily have to men anything" Maine kaha hi tha ke mere haath mein pakda cell phone baj utha. Call Akram ki thi.

"Akram Bhai, kaise ho?" Maine call receive ki.

"Theek hoon Bhaijaan. Vo aapke kaam ke baare mein pata karaya tha"

"Kaam?"

"Haan vo aapne Raj ke Doctor ke baare mein pata karne ko kaha tha na"

"Achha haan, kuchh chala pata?"

"Haan mushkil nahi tha vaise pata karna ke Hindustan ke sabse ameer logon mein se ek London mein ilaaj kara raha hai ke nahi"

"Aur?"

"Haan kara raha hai. Apne paon ka ilaaj kara raha hai aur shayad behrepan ka bhi" Akram ne kaha toh mujhe koi khaas hairat nahi hui. Jo haal filhal mein mujhe kuchh leads mili thi unse Raj ke Ravi hone ka sawal hi paida nahi hota tha.

"Ok. That wasnt surprising actually. Yakeen toh mujhe bhi tha par sirf confirm hi kar raha tha"

"Iske saath kuchh aur bhi pata chala hai Sir, shayad vo aapke kuchh kaam ka nikal aaye"

"Kya?" Maine puchha.

"Jo mera contact hai London mein maine use kaha tha pata karne ko ke koi Raj Rana naam ka hindustani aata hai kya London ilaaj karane. Maine jagah ka naam bhi bataya tha ke banda chail naam ke kasbe se hai, Himachal mein. Toh mere us contact ne baaton baaton mein yun hi mujhe bataya ke vo ek aur family ko janta hai England mein jo Himachal se hi hai. Bristol ke aas paas rehti hai family. Vaise toh koi badi baat nahi hai Indian family ka UK mein hona par jab usne mujhe ek naam bataya toh mere dimag mein ghanti si baj gayi kyunki kuchh din pehle aapne mere saath case ke silsile mein is naam ka zikr kiya tha"

"Really?" Maine andaza lagate hue kaha, "Naam ruk main khud guess karta hoon"

Aur jab maine Akram ko apne andaze se ek naam bataya toh mera andaza bilkul sahi nikla aur aadha mamla meri nazaron ke saamne saaf ho gaya.

"Ek kaam kar Akaram. Check karke bata ke is naam se haal filhal mein Delhi se London ya Bristol ki koi flight book ki hai kya"

Akram se baat karne ke baad main Kamini ki taraf dekh kar muskurane laga.

"What?" Vo bechain si hoti hui boli aur jab maine poori baat use batayi toh hairat se uski ki bhi aankhen phel gayi, "Wow. It all makes sense now. It was right there in front of our eyes all the time. Theek hamari nazaron ke saamne tha sab kuchh par hamein nazar nahi aaya"

"I know" Kehte hue maine phone uthaya, "Game of deception. We were fed a story which we believed. Never thought ke kahani hamein bana kar bhi sunayi ja sakti hai"

"Kise?" Kamini ne puchha.

"Negi?"

"Negi, Dont you think use phone karke koi bhi hint dena galat saabit ho sakta hai?"

"Haan shayad par ye ek aakhri kaam aur karana hai isse"

Maine Negi ka number dial kiya.

"Haan ji Sir" Usne call receive ki

" Negi Bhai ek kaam aur kijiye. Aadesh ke office ke paas jo bhi koi STD booth hai vahan se dial kiye gaye numbers ki list nikaliye. Same kaam uske ghar ke aas paas koi STD ho toh vahan se bhi kariye aur jahan hamein uski laash mili thi, us jagah ke aas paas agar kahin koi public phone ho toh uski list nikalva lijiye please"

Meri baat sunkar phone par kuchh der ke liye khamoshi chha gayi.

"STD Sir? Vo kuchh hichkichata hua bola, "Hazaron ki tadad mein niklenge numbers Sir. STD booth hai vo"

"Nahi Negi Bhai. Aajkal Rickshaw aur Auto walo ki jeb mein bhi mobile phones hote hain. STD booth tak jakar phone karne ki takleef karta hi kaun hai. Aap list nikalvaiye, zyada numbers nahi honge"

"Theek hai Sir" Vo kuchh pareshan si aawaz mein bola.

"Aur suniye, zara jaldi"

"Koshish karta hoon Sir" Kehkar usne phone kaat diya. Ye pehli baar tha ke usne mere kisi kaam par koshish karta hoon kaha tha.

"You know that he can just modify the list as well, jo number chahe hata sakta hai" Mere phone rakhne ke baad Kamini boli.

"Dekhte hain" Maine jawab diya.

"Aur vo picture wali baat, ek rasta hai aur usmein chhan been karne ka"

"Kya?"

"Break-In" Vo muskurate hue boli.

"Tera dimag kharab hua hai?" Maine uski baat sunkar kaha.
 

vamp545

Ì míśš ůř šťůpîđ fâćë
TM Star
Nov 29, 2012
2,278
722
413
Searching.....
"Nahi I am absolutely serious" Kamini ne kaha.

"No you are not" Maine mazak udane wale andaz mein haste hue kaha, "You are out of your mind to even think that"

"Yaar I know we dont have much to go on with ...."

"Much?" Usne kehna shuru hi kiya tha ke maine uski baat kaat di, "We have absolutely nothing to go on with. You cant just barge into someone's house like that based on 20 year old photograph"

"I cant believe you are saying that" Vo hairat se meri taraf dekhte hue boli.

"What do you mean?"

"I mean come on, you are the guy who is a legend in the field of investigative journalism. You gave this word a new shape in India. You solved a dozen of cases, cases that police had given up long time ago on and you did that based on just a hunch. Things that cops considered useless, clues and evidence that they clearly missed to see. Aur tum mujhse keh rahe ho ke you dont want to do this?"

Is baat ka mere paas koi jawab nahi tha. Vo sahi keh rahi thi. Main khamoshi se thodi der tak uski taraf dekhta raha.

"Well?" Khamoshi usi ne todi.

"Okay" Maine lambi saans chhodi, "Plan kya hai?"

"No plan" Vo muskurayi.

"What?"

Yahi toh plan hai, ke koi plan nahi hai"

"Please elaborate" Mujhe samajh toh aa raha tha ke vo kya keh rahi hai par phir bhi uske munh se hi sun lene mein samajhdaari thi.

"See if he had done what we are doubting him for than there has to be something left, some traces in his life. Zindagi mein itne bade gunaah ke dhabbe itni aasani se nahi dhul jaate. Life is a bitch, kuchh na kuchh kahin na kahin baaki reh hi jata hai aur hamein vahi kuchh talash karna hai. He is a smart guy and I agree on that toh usne apni saari traces 100% cover karke rakhi hongi, things that are obvious you know, things that anyone on the case will investigate"

"Toh hamein talash vahan se shuru karni hai jahan se least expected ho" Maine baat poori ki.

"Exactly. Guy like him wouldnt expect anyone barging into is bedroom and start going through his personnal stuff unless he is the prime suspect which in this case he isnt. And of course, 20 years is a long time, enough for anyone to get carelss"

"It is also enough to wipe out any traces left, with time" Maine kaha.

"True but its worth a shot"

"Attack the enemy where he expects the least" Maine sochte hue kaha.

"Right, and for a guy like him, what better place than his own bedroom" Kamini ne mera haath pakadte hue kaha.

Main kuchh der tak aur uski baat par vichar karta raha.

"Even If I agree with you, you do realise that is kaam ke liye uske ghar ka khali hona zaroori hai aur kyunki hamein pata hi nahi ke ham dhoondh kya rahe hain toh poori raat nikal sakti hai is kaam mein"

"I know"

"And?" Maine sawaliya nazar se uski taraf dekha.

"And Saturday night is kaam ke liye perfect hai" Vo boli.

"Kaise?"

"Jab main Mrs. Bela Rana se milne gayi thi toh vo us waqt vahin tha kuchh der. Hamare saamne hi usne Mrs. Rana ko bataya tha ke Sunday night vo Shimla ja raha hai aur Monday din mein hi vaapis aayega"

"And you are sure?"

"100%" Vo angutha thumbs up karne wale andaaz mein uthate hue boli, "Khud uske munh se sunne ke alawa ye baat mujhe kisi aur ne bhi batayi thi"

"Wow" Maine aankhen phelate hue uski aur dekha, "All right Detective Kamini Devi, lets do this"

"Dont call me that" Usne fauran munh banaya"

"What?"

"Devi. I am not a 60 year old, not yet"

"Galat profession mein hai tu. Apni naukri chhod aur mere saath join kar le" Maine kaha to vo mere aur kareeb khisak gayi aur boli.

"Yahi toh plan hai"
 
  • Like
Reactions: sohaa

vamp545

Ì míśš ůř šťůpîđ fâćë
TM Star
Nov 29, 2012
2,278
722
413
Searching.....
Chapter 26 - The Break - In


Maine apni Torch ki roshni mein table drawer ke andar dekha. Sirf zaroorat ki cheezen hi thi, kuchh bhi aisa nahi jo mere kisi kaam aa sakta.

Plan ke hisaabs se main 2 din baad choron ki tarah ek ajnabi ke ghar mein ghus toh gaya tha par pichhle 4 ghante se jhak hi maar raha tha. Khamoshi ke saath main ghar ke har us kone mein sar ghusa chuka tha jahan se mujhe koi saboot milne ki ummeed thi par ab tak nakamyabi hi haath lagi thi.

Kehte hain ke waqt sabse bada marham hota hai. Ke ye har zakhm bhar deta hai, har buri yaad ko zehan se mita deta hai. Baat sahi hai par iske saath baat ye bhi sach hai ke waqt kabhi kabhi yaad ke saath saath gunah ke saboot bhi mita deta hai. Hamare desh mein hi kya poori duniya mein aise lakhon cases mil jaayenge jo waqt rehte investigate nahi kiye gaye aur jab investigate kiye gaye tab tak waqt har saboot ko dhool bana kar hawa mein uda chuka tha.

Aisa hi kuchh Ravi ke case mein mere saath ho raha tha. Bees saal ek bahut lamba arsa hota hai. Us raat jab Ravi ghar se nikla toh uske saath kya hua, ye baat haule haule waqt ki dhool ke itna neeche dab chuki thi ke kuchh bhi dekh pana mumkin nahi tha.

Negi ne mere kehne ke hisaab se hi Aadesh ke ghar, office aur vo jagah jahan uski maut hui thi ke aas paas ke ilaake ke STD Booths ke phone records nikalvaye. Kul mila kar 12 STD booths se ki gayi ek bahut hi lambi call list mere haath mein aayi. Vo shukar tha ke records ek excel sheet mein the ke sirf Ctrl F kiya aur number search maar liya varna un phone records ko padhte padhte hi meri aadhi zindagi nikal jaani thi. Baharhaal, mera shak sahi tha. 10 mein se 4 STD booths se ek hi number par baar baar call ki gayi thi.

Par main achhi tarah janta tha ke ye sab dikha kar court mein kuchh bhi saabit nahi ho paya. Agar mujhe 20 saal purana ek murder ya shayad 2 murder aur Aadesh ka khoon kisi ke sar thopna toh mujhe ek tasveer aur phone records se kahin badhkar koi saboot pesh karna tha jo ke ab tak mere haath nahi aaya tha. Sunanda ek photo mein kisi ki taraf kyun dekh rahi thi is baat par kaun dhyaan dega. Phone toh kiye gaye par ye phone saare Aadesh ne hi kiye ye kaun maanege, kaise saabit hoga. Mamla mere aankhon ke saamne saaf tha par in saari baaton ko jodne ke liye ek mazboot link ki zaroorat thi jo ab tak mere haath nahi aaya tha.

Aur ek ghanta jhak maarne ke baad bhi mere haath jab kuchh nahi laga toh maine thak kar vaapis jaane ki sochi. Maine ghadi ki taraf nazar daali, subah ke 4 bajne wale the aur mujhe usse pehle hi yahan se nikal jana tha. Kamre par ek aakhri nazar daalne ke baad main bahar jaane ke liye palta hi tha ke kisi cheez ne meri nazar ko rok liya. Maine Torch dobara on ki aur chalta hua kamre mein rakhe eklaute bistar ke paas aaya.
Kamre mein rakhi har cheez nayi thi, modern thi, shine kar rahi thi. Furnitre se lekar deewar par tangi ghadi tak ko dekh kar koi bhi ye keh sakta tha ke market mein yahi latest hai, yahi trendy hai. Maine aas paas ek baar phir nazar daudayi. Har cheez latest thi, har cheez se paisa jhalak raha tha sivaay ek ke. Kamre mein rakha bed.

Vo ek lakdi ka kingsize bed tha jispar ek safed chadar bichhui hui thi. Bistar poora chadar ke neeche dhaka hua tha aur mujhe bhi shayad nazar nahi aata agar ek pak le liye chadar ka palla thoda hila nahi hota. Chadar hatayi toh uske neeche ka bed kam se kam nahi toh 30-35 saal purana tha. Ek bada bhaari bistar jo poora zameen se lagta tha, yaani ke jiske neeche nahi ghusa ja sakta tha. Sirahne ki taraf lakdi par sundar phool gadhe hue the. In beds ki sabse khaas baat hoti thi inmein bane compartments jinmein aksar log saman rakha karte the. Jaise ke bistar ke beecho beech ka hissa khul jata tha jiske andar chadar, razai vagerah rakh di jaati thi.

Sawal tha ke agar kamre ki har cheez nayi thi toh bistar purana kyun, aur jawab bhi muhe jaldi hi mil gaya.

Jaise ke mera shak tha, bed ke beech jagah hollow thi, kisi almari ki tarah. Almari ke kiwadon ki tarah hi bistar beech se uper ki taraf khul gaya par andaz kuchh mila nahi. Maine bed ke side mein dekha par koi aur drawer nahi dikha. Bistar kaafi bhaari tha par thodi mashakkat ke baad khisak gaya aur jo hissa deewar ke saath laga hua tha, yaani ke sirahne ki taraf ka hissa, vahan neeche ki taraf do table drawer ki tarah ke compartments bane hue the.

Yun toh compartments dono hi locked the par unhein kholna mere liye xxxxxki bajane jaise hi tha.

Mujhe pata nahi tha ke andaz kya milne wala tha isliye koi ummeed toh main kar hi nahi raha tha sivaay iske ke kuchh aisa mil jaaye jisse ke main saari Ram Kahani ko ek dhaage mein piro sakun. Andar kuchh kagaz ke bade lifafe rakhe the. Kisi mein kuchh stamp papers, kuchh property related papers, kuchh bonds vagerah vagerah tha par ek cheez thi jismein mujhe dilchaspi hui, kuchh purane negatives.

Maine saare envelopes ko khaali kiya par photos kisi mein koi nahi mile.

Torch ki roshni mein maine negatives ko utha kar dekha toh 2 baatein samajh aayi. Ek toh ye ke saare photos ek aadmi aur aurat ke the aur doosri ye ke sab akele bedroom ke photos the. Kuchh photos mein jism par kapde the aur kuchh mein nahi. Aadmi aur aurat kaun the, ye toh photos develop karane ke baad hi pata chalna tha.

Maine negatives ko vaapis envelope mein rakh kar apni jacket mein dala aur baaki saare papers ko ek ek karke dekhne laga. Zyada der nahi lagi mujhe ek aisa kagaz dhoondhne mein jispar Sunanda ka naam likha hua tha. Vo koi property ke papers the. Mumbai mein koi property jo in kagazon ke hisaab se Sunanda ke naam thi.

Achanak hui aahat se maine fauran apni torch band ki aur nazar utha kar dekha. Aawaz khidki ki taraf se aayi thi. Maine bed ke pichhe dubak gaya aur jab dobara aawaz aayi toh dheere se uthkar andhere mein band khidki ke paas akar sheeshe se bahar ki aur dekha. Khidki ke bahar ek neem ka ped tha aur shayad hawa ke karan uski koi daal ghar ke deewar se takrayi thi jisse ye aawaz aayi.

Main vaapis palta aur phir fauran hi ghoom kar khidki ke bahar dekha. Neem ka ped.

"Found anything interesting yet?" Achanak kamre mein roshni phel gayi aur mere pichhe se aawaz aayi.

Maine ghoom kar dekha toh Pratap Rana haath mein apni dunali meri taraf kiye khada tha.
 
Top