Poetry Likhny WaloOn k LiyE!!!

  • Work-from-home

~**TaNi**~

Newbie
Aug 6, 2010
3
3
0
34


Poetry Likhny WaloOn k LiyE!!!

Adaab Dosto,

Shairy ke baray mein kuch maloomat mien idher post karha hon, umeed hai iss se bhi aap kafi madaad hasil kar sakienge.


SHAIR:-

Shair Ka Lafz "Shaoor" Say Nikla Hai Jis Kay Maani Hain, "Jaan'na" Ya "Samajh Laina". Is Ka Matlab Yeh Hua Kay Jo Baat Shair Mein kahi Jaati hai Uska Taaluq Birah-e-Raast Shaoor Say Hai, Jis Kay Zariay Shair Samjha Jata Hai. Goya Shair Insaani Jazbaat ka Woh Khoobsurat Izhaar Hai Jo Insaani Shaoor ko Mutaasir Karta Hai.

Misra':-
Shair Kay Aadhay Hissay Ko Misra Kehtay Hain, Jaisay

Apni Daastan Keh Kay Nahin Rotay Hum,

Misra' Kay Lafzi Maani hain "Darwazay Ka Aik Takhta Ya Kawaarr".Jis Tarha Do Takhtay Ya Kawaarr Jorr Kar Aik Darwaaza Banta Hai, Issi tarha Do Misron' ko Jorr Kar Aik Shair Banta Hai, Jaisay

Apni Daastan Keh Kay Nahin Rotay Hum
Yeh Jo Ashk Bahay Hain,Tu Yaad Aaya Ho Ga

Bait:-
Jis Shair Kay Donon' Misray Hum-Kaafia Hon, Usay Bait Kehtay Hain, Jaisay

Kaisay Kaisay Mosam-e-Gul Mein Khalal Daalay Ga'ay
Jitnay Gul Jaan-e-Chaman Thay Sab Masal Daalay Ga'ay

Fard:-
Kisi Shaa'ir Ka Aisa Shair Jo Tanha Ho, Yaani Kisi Nazm,Ghazal Qasida Ya Masnavi Ka Juzv(part) na Ho, Usay Fard Kehtay Hain. Is Shair Kay Donon' misron' Ka Hum-Qaafia Hona Zaruri Nahin.Jaisay,

Kaash Itni To Roshni Hoti
Apnay Sa'ay Say Guftagu Kartay
&
Ab Kay Hum Bikhray To Khushbu Mehkay Gi
Bauhat Kaanton Mein Hum Nay Din Kaatay Hain

Aisay Mutafariq Aur Mufrid Ashaar, Shaa'ir Kay Divaan Mein Aksar "Fardiyaat" kay Unwaan Say Darj Hotay Hain.

SHAIRIE ISTALAHAAT
(Shair-o-Shairey Mein Istamaal Honay Waalay Makhsoos Ilfaaz)

Qafia:-

Qafia Kay Lughvi(Lafzi) Maani Hain "Peechay Aanay Wala". Shair-o-Shairey Mei un Ham-Aawaz Or Hum-Wazan Ilfaaz Ko Qaafia Kaha Jata Hai Jo Ghazal Or Paband Nazm Mein Radeef (Hum-Shakal Ilfaaz) Say Pehlay Aatay Hain.
Agar Shair Mein Radeef Mojud Na Ho To Aakhir Mein Aanay Waalay Hum-Awaaz Ilfaaz Ki Surat Mein Qaafia Mojud Hota Hai.

Radeef:- Radeef Kay Lughvi Maani Hain "Woh Shakhs Jo Ghorray Ya Oont Waghira Per kisi Sawaar Kay Peechay Baithay"
Adab Ya Shair-o-Shairey Ki Istalah Mein Radeef Say Muraad Woh Hum-Shakal Ya Mustakil Ilfaaz Hain Jo Ghazal Ya Nazm Mein Qafiay Kay Baad Hoo-Bahoo Dohra'ay (Repeat Kiay ) Jaatay Hain.
Jaisay Yeh Ghazlia Ashaar Mulaahiza Farmaa'iay,

Asar Us Ko Zara Nahin Hota
Ranj Rahat Faza Nahin Hota

Tum Hamaray Kisi Tarha Na Huay
Warna Dunya Mein Kia Nahin Hota

Tum Mairay Paas Hotay Ho Goya
Jab koi Dusra Nahin Hota

Kuon Sunay Arz-e-Muztarib Momin
Sanam Aakhir KHUDA Nahin Hota

Is Ghazal Mein Zara,Faza,Kia,Dusra Or KHUDA, Yeh Sab Qaafiay Hain.
Jabkay "Nahin Hota" Radeef Kay Tor Per Istamaal Hua Hai.

NOTE:-
Shair Likhtay Huay Hum Aksar Radeef Ka To Khayaal Rakhtay Hain Magar Qaafiay Ka Nahin.Yaad Rakhain Kay Kisi Bhi Ghazal Mein Radeef Ka Hona Lazmi Nahin Magar Qaafiay Ka Hona Lazmi Hai.
Is Kay Ilaava Yeh Kay Qaafiay Ka Khayaal Na Rakhnay Say Nazm Ya Ghazal Be-Wazn Ho Jati Hai Laikin Agar Qaafiay Ka Khayaal Rakha Ja'ay To Shair Mein Tawazun Or Khubsurati Paida Hoti Hai.

*Information: Jis Ghazal Mein Radeef Istamaal Ho Usay "Muraddaf Ghazal" Kehtay Hain Or Jis Ghazal Mein Radeef Istamaal Na Ho Usay "Ghair-Muraddaf Ghazal" Kehtay Hain.

Matla:-"Matla" Kay Lughvi Maani "Talu Honay Ki Jaga" Kay Hain.
Adabi Istalah Mein Ghazal Aur Qaseeday Kay Pehlay Shair Ko Jis kay Donon' Misray Hum-Qafia Or Hum-Radeef Hotay Hain, Matla Kaha Jaata Hai.

Misaal:

Ibn-e-Maryam Hua Karay Koi
Meray Dard Ki Dawa Karay Koi

NOTE:-
YAAD RAHAY! Agar Ghazal Kay Pehlay Shair Kay Donon Misray Hum-Kaafia Na Hon To Usay Matla Nahin Kehtay Balkay Sirf Ghazal Ka Pehla Shair Kehtay Hain.

Makta:-

"Makta" Kay Lughvi Maani Hain "Katt Jaanay Ki Jaga".
Istalaahi Tor Per Ghazal Or Qasiday Kay Aakhri Shair Ko, Jis Mein Sha'ir Apna Takhallus Ya Mukhtasir Adbi Naam Istamaal Karta Hai, Usay MAKTA Kehtay Hain.Jaisay,

Kaabay Kis Munh Say Jaao ** Ghalib
Sharm Tum Ko Magar Nahin Aati

NOTE:-Agar Aakhri Shair Mein Sha'ir Apna Takhallus Istamal Na Karay To Usay Makta Nahin Kahain ** Balkay Sirf Aakhri Shair Kahain **.


SHAIR KI HAIYYAT (Forms)

Ghazal:-
Ghazal Kay Lafzi Maani Hain "Guftagu Karna (Aurton Say)". ....Waisay Aik Ravayat Yeh Bhi Hai Kay, Agar Aik Hiran Ko Chaaron' Taraf Say Darindon Nay Ghair Rakha Ho Or Usay Apnay Bachnay Ki Koi Surat Nazar Na Aa'ay Or Darinday Ichaanak Us Per Hamla Kar Dain....To Aisi Surat Mein Hiran Kay Munh Say Jo Be-Basi Ki Aawaaz Nikalti Hai Usay "Ghazal" Kehtay Hain.
Ghazal Mein Kam Az Kam 5 Ashaar Ka Hona Zaruri Hai. Ghazal Ka Har Shair Infradi (Individual) Haisiat Rakhta Hai. Har Shair Mein Mukhtalif Mazmoon Biaan Kia Ja Sakta Hai.

Nazm:-Nazm Kay Lafzi Maani Hain "Moteon' Ko Dhagay Mein Parona"/ "Tarteeb".
Istalaahi Maanon' Mein Nazm Say Muraad Aik Tarha Ka Kalaam-e-Mozun' Ya Aisay Ashaar Ka Majmua Hai Jin Sab Mein Aik Hi Mazmoon Biyaan Kia Ja'ay.

Masnavi:-
Aisa Kalaam Jis Mein Har Shair Ka Kaafia Or Radeef Alag Alag Ho.Jaisay,

Mein Sochta Rehta Hun Yunhi
Aakhir Yeh Tafaawat Kia Maani
Yeh Soch Ajab Tarrpaati Hai
Aankhon Mein Nami Bhar Jaati Hai
Phir Mujh Say Dil Yeh Kehta Hai
Maazi Ko Tu Rota Rehta Hai
Kuch Aahain Dabi Si rehnay Day
Kuch Aansu Baaqi Rehnay Day
Yeh Haal Bhi Maazi Hona Hai
Is Per Bhi Tujhay Kuch Rona Hai

HAMD:-
Aisi Nazm Jis Mein ALLAH TAALA Ki Tareef Bayaan Ki Ja'ay, HAMD Kehlaati Hai.

NAAT:-
Aisi Nazm Jis Mein Hazrat Muhammad (S-A-W) Ki Tareef Ki Ja'ay Usay Naat Kehtay Hain.

Mankabat:-
Aisi Nazm Jo Kisi Walli-ALLAH Ya Sahaba Ikraam (RH) Ki Shaan Mein Likhi Ja'ay Usay Manqabat Kehtay Hain.

Kasida:-
Aisi Nazm Jo Kisi Dunyaavi Jah-o-Jalaal Ki Haamil Shakhsiyatt Ki Tareef Mein likhi Ja'ay Usay Kasida Kehtay Hain.

Marsiya:-

Aisi Nazm Jo Kisi Ki Wafaat/Inteqaal Per Izhaar-e-Afsos Kay Liay Likhi Ja'ay Usay Marsiya Kehtay Hain.


SHAIR KI SAAKHT/BANAWATT

2 Misray:-
Aik Shair Banta Hai.

3 Misray:- "Sih-Harfi"/"Hyco" Banti Hai. Yeh Japanese Tarz Hai.Punjabi Mein Is Tarz Ka Kalaam "Maahiay" Ya "Dohrray" Kay Naam Say Mojud Hai. Urdu Mein Bhi Is Tarz Per Shairey Ki Gai Hai. Jaisay,

Baaghon Mein Parray Jhulay
Tum Hum Ko Bhool Ga'ay
Hum Tum Ko Nahin Bhulay

4 Misray (2 Shair):-
Aik Qata' Ya Rubaai Banti Hai.
Agar Sirf Chaar Misray Hi Hon Or Un Chaaron mein Aik Hi Mazmoon Ho To Usay Rubaai* Kahain **.
Agar Charon Misron'(Donon' Shairon') Mein Mukhtalif Baat Ki Gai Ho To Usay Qata Kehtay Hain.

*Information: Rubaai Chaar Misron ki Aisi Nazm Ko Kehtay Hain Jis Ka Pehla, Dusra Or Chotha Misra Hum-Qaafia Ho.

5 Misray:-
Aik "Makhmas" Banti Hai. Is Mein 5 Misron Ka Aik Bandd Hota Hai. Jaisay,

Lagtay Hain Kuch Sochnay Jab Shajar Sar-e-Shaam
Nikal Jaatay Hain Hum Bhi Udhar Sar-e-Shaam
Shab Aati Hai Phir Utar Sar-e-Shaam
Sitaaray Jaatay Hain Jab Bikhar Sar-e-Shaam
Hum Tumhain Yaad Kartay Hain

6 Misray (3 Shair):-
"Musaddas" Banti Hai. Is Mein 6 Misron Ka Aik Bandd Hota Hai.
MUSADDAS-E-HAALI (Madd-O-Jazr-E-Islam) Isi Tarz Mein Likhi Gai Hai.
 

SHB_Bhaiya

محمد شعیب ںاصر
Super Star
Jan 31, 2010
51,098
10,427
1,313
39
Karachi
Woooooooow Great tani lagta hai aub to mein bhi shair ban jaoun gaaaa..... :-bd


You Rock Tani Partner.....
 

New Wolf

TM Star
Jul 17, 2010
9,253
3,441
113
hmmmmmmmmmm nice post yaaaaaar............
share krne k liye shukria ..............
=D>=D>=D>
 

Wafaa.Jannat

Newbie
Jun 29, 2010
28
8
0
ye Cors kab tak pura ho jaayega......?

Agar koi karna chaahe to......?

Badi Himmat ka kaam hai yaar ye sab yaad rakhna ......Well Done =D>

:)
 
Top