Pathan Ne Kiya Hairaan.... Shiraz Khan

  • Work-from-home

shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
sher.jpg

Jungle mein mour naacha, kis ne dekha
lakin tafreeh mella par @Shiraz-Khan aayen to sab dekhtay haiN. Sab ka zikar aik tarf rakhiay, hum zaroor dekhtay haiN. Raaz ki baat btaatay chaleiN k hum Shiraz Se Zyada Khan Ki Tarf matwajja hotay haiN. Bachpan mein humari ammi jaan humein ghar se baahir khelne se manah karne k liay patha k pakaR kar le janay ka draawa diya karti theen.;;) Shiraz Khan ki baat cheeet, inn k andaaz o atwaar se un k Khan matlab pathan honay mein hargiz koyi shak o shubba nahi hai warna NET ki duniya ka to yeh haal hai k jissay Deedi samjha kiay woh Daadi nikli

iss dasht mein har aik naqsha ulta nazar aata hai
Majnu nazar aati hai ............Laila nazar aata hai
(Laila se mazrat k sath)

Tafreeh Mella k saathiyo!!! matlab agarchay asal kitaab kay dekhne se hi khulta hai lakin harf-shanaas aadmi kisi kay nam k sath KHAN parh kar hi bahot kuch jaan sakta hai :D. satar satar bhar ebaaratoN meiN bhi kisi shakhsiyyat ki wazaahat kareN to woh baat haasil nahi hoti jo sirf aik lafz KHAN se hoti hai aur iss kay tamaam sifaat aur lawazmaat paRhne sun-nay waalay kay samnay aYaaN ho jatay hain.

Lawazmaat se yaad aaya k inheN khanay peene meiN har tarah k lawazmaat pasand haiNlakin Hairaani balkay kaafi had tak pareshani ki baat yeh hai kay jis hisaab se yeh khaanay peene kay lawazmaat se insaaf kartay haiN , uss ka rati braabar asar inn ki sehat par nazar nahi aata. 8->

Khaana peena inn ki sehat se zyaada inn ki neend ko mutasir karta hai.Doctor kay paas neend na aanay ki shikaayet le kar gay to uss ne mashvara diya kay aap lait kar 2000 tak ginti kiya kareN, neend aa jaey gi.Agli baar jab Doctor kay paas gaey to uss ne poocha k amal kiya tha? Kehne lagay kay bahot mushkil se 1000 tak ginti poori ki kay neend aa gayi, Bari koshish se ussay bhaga kar ginti poori ki. HaiN na had darja kay saada !!! =))=))

Had darja kay safayi pasand bhi hain. Aur mukhtalif qisam kay ToTkay share kar kay ghar meiN jama-shuda bekaar cheezoN aur kaaTh kabaaR ko dobara se istmaal karne kay aisay gur samnay laatay haiN kay zubaan par be-ikhtiyaar WAH WAH aa jata hai.Shuruu mein hum bhi bahot mutasir huvay, ab aadi ho chukay hain. Bahot sulah-joo tabiyat rakhtay haiN. Raayi ka pahaaR bnaana to inheN aata hi nahi.Aur idhar ki udhar karne kay FUN se bhi ghair aashna haiN.Itni saari khoobiyaN aik pathan meiN ikathi dekh kar humeiN Hairaani to hoti hai lakin pareshani hargiz nahi Kyunkay qudrat kay khel hamesha niyaaray hotay haiN. Albata humeiN kuch aisay logoN kay rawwaiay se zaroor hairaani aur pareshai hoti hai jo inn ki be-zarar baatoN ko dil par le lete haiN.... bakool shaayer

yeh laghzash ehtraaman ho gayi thi
jawani ko buRhaapa keh diya tha
woh BB aaj tak hum se khafa hai
jisay bhoolay se AAPA keh diya tha

Har tarah kay halaat meiN khud ko Dhaal lete haiN. Waise to yeh Khasoosiyat sinf-e-nazuk k liay makhsoos hai lakin mousoof bhi kisi se kam nahi. Har tarah kay halaat mein samjhota karna jaantay haiN. Aik baar inn se poocha gaya kay duniya mein agar laRkiyaN na hoteeN to laRkay kiya kartay? kehne lagay kay seedhay jannat mein jaatay. Larki ka zikar chal nikla hai to btaatay chaltay haiN kay sir pe sehra sajanay ka shouq bachpan se rakhtay haiN. Balkay yeh kehna zyada munasib ho ga kay SHAADI se zyada SHOHAR kehlanay ka shouq hai. Iss naik kaam mein abhi thoRi dair hai. Khuda kay har kaam mein koyi maslihat hoti hai. Yeh dair shaayed inn k liay mohlat ho kay kisi siyaanay (shadi shuda) ki majlis mein beth kar jaan sakeN kay sainkaRon gawahaan ki moujoodgi mein ki gayi iss khata kay side effects kiya ho saktay haiN. ;))
Sab ki khushi mein Khush rehne walay Shiraz Khan apni khushi kay izhaar kay liay baRh chaRh kar hissa lene ki koshish kartay haiN. Iss baat ka andaza iss se laga lijiay kay inn kay aik qareebi dost ne apni shaadi kay baaray inheN btatay huvay poocha kay tum humari shadi mein kiya khaas kaam karo gay?

Kehne lagay....
Firing to sab kartay haiN , hum khud-kush hamlay karay ga =))=))

Maahir e FUN haiN lakin FUN se muraad koyi creativity na li jaaey balkay FUNNY wala FUN....Mizaah ko na sirf achi tarah samjhtay haiN balkay baat se baat nikalne ka fun bhi achi tarah jaantay haiN.Inn ki apni baat zyada-tar inn kay apnay paiT tak mehdood hoti hai jis ki khatir woh kabhi chocklates ki farmaeysh kartay haiN aur kabhi halvay ki. kahiN sun liya kay KADU ka halva bahot mazay ka hota hai. woh din aur aaj ka din @Hoorain siso kay peecha paray haiN k Halva bana kar khilaayeN. woh bhi khair se apnay naam ki aik hi hain kay saaloN se laaray laganay k bavajood abhi tak tarkhaaey ja rahi hain.Achi khaasi bardasht rakhtay haiN jo k kisi pathan mein kam hi nazar aati hai. Agar mazaq mein kuch keh bhi do to yeh dar nahi hota kay abhi khichayi ho gi.Hum apna tajurba bata rahay haiN. Aap chaheN to apnay risk par tajurba kar dekhiay aur be-jhijhak inn ki iss narmi se faayida uThaiay. ;)).
Faayida se yaad aaya kay hum ne sun rakha hai kay mousoof achay khasay paRhay likhay haiN aur angrezi se bhi khaasay waqif haiN. Socha kay kuch ilm kay moti hum bhi chun lein.Poocha kay jo shakhs sun nahi sakta ho, ussay angrezi mein kiya kehtay hain?
JhaT se bolay ,
JO Marzi keh do, ussay koun sa sunayi de ga. 8-|

PathanoN wala ziddi maada inn mein ba-kasrat paaya jata hai. Kisi baat ki Thaan lein to kar k rehtay haiN. Aur agar kisi kay peeche paR jaayeN to us ka jeena mahaal kar detay haiN. Iss baat ki aik misaal choohay haiN. ChoohoN se inn ki bhi wohi dushmani hai jo humari ya aap ki ho sakti hai. Yeh bhi humari tarah choohoN hi zaroori kaghzaat par ghair-zaroori karwaayi kay khilaaf haiN. Agar kahin koyi chooha inn ki nazar meiN aa jaey to iss se pehle kay woh dum daba kar bhaagay, yeh apna kaam kar dikhatay haiN. Aao dekhtay haiN na taao, aur baghair kisi hathiyaar ya Ouzaar kay paas rakhi almari ko hi batoor hathiyaar istmaal kar letay haiN. Yaani kay choohay ko almaari kay peeche daba kar uss ki saanseiN band kar detay haiN. Woh bechaara bhi bhagnay ki saari raaheN masdood paa kar duniya ko khairbaad kehne mein hi behtari samjhta hai kay agar zinda iss pathan kay hath lag gaya to na janay kiya HASHAR karay. :hurt
Sirf choohay hi nahi balkay makhiyoN say bhi Khuda wastay ka bair rakhtay haiN. Aksar serious baat ko bhi naak par bethi makhi ki tarah hath ki junbash se uRaa detay haiN Albata BhiRoN kay chatay meiN haath daalne se nahi katratay. Ishaara samjhdaroN kay liay kaafi hai, hum nishan-dehi kar kay jaan se haath nahi dhonaa chahtay. :nailbitingX_X=))

Bachpan se hi deeni taleem ki tarf Raaghib haiN jis ka saara credit apnay waalid saahib ko detay haiN jinhoN ne ibtdayi taleem kay liay unheiN aisay madrasay meiN daala jahaN duniyavi taleem kay sath sath deeni taleem ka bhi khyaal rakha jaata. Iss waja se shuruu se hi namaaz ki pabandi kartay haiN. Koshish kartay haiN kay har kaam Allah aur Rasul Allah Sallallahu Alayhi Wasallam kay btaaey tareeqay se sar-anjaam deiN. Allah Paak un k liay AsaaniyaN FarmaayeN wid aafiyat (Ameen)

Likhna to bahot kuch chatay haiN abhi un kay baaray lakin kuch aap kay waqat ka bhi khyaal hai kay itni lambi tehreer aap par bojh na ban jaaey. Iss liay kisi time aayeN gay iss k part 2 kay sath Insha Allah.
DuaaoN mein Yaad rakhiay ga.
 
  • Like
Reactions: saviou and AishLyn

shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
@Don @RedRose64 @saviou @Pari @Star24 @Shiraz-Khan @AishLyn @Bird-Of-Paradise @Parisa_ @Guriya_Rani
@Abidi @Ahmad-Hasan @Aayat @aishagull @AR @Akaaaash @Aina_ @Armaghankhan @Angel_A @Ajnabhi @-Anna- @*Arshia* @Aks_
@amerzish_malik @Arz0o @Arzoomehak @Aqsh_Arch @Asheer @attiya @Atif-adi @Awadiya @Aaylaaaaa @Ayesha-Ali @Afnan_ @A7if
@Adorable_Pari @Aaidah @Awesome_Sunny @Aizaa @Ajnabee_Hoon
@Barkat_ @Babar-Azam @Blue-Black @Bela @Baarish @Brilliant_Boy @Binte_Hawwa @bilal_ishaq_786 @badsha_
@Chief @chai-mein-biscuit @CuTe_HiNa @Cheeky @Charming_Deep @colgatepak @Catastrophe
@Danee @Dard-e-Dil @Dua001 @DevilJin @Dua_ @Dreamy Boy @dur-e-shawar @diya. @errorsss @Dil_A_Nadan @DeMon- @Diya_noor
@Faiz4lyf @Flower_Flora @Fizaali @fahadhassan @furkaan @Fatima- @FatimaJee @France-Boy @Fd
@genuine @gullubat @Gul-e-lala @gulfishan @Ghazal_Ka_Chiragh @GoldenPerson
@huny @H@!der @H0mer @H!N@ @Hoorain @hania7012 @Hoorainn @HWJ @hariya @Haider_Mk
@Iceage-TM @i love sahabah @italianVirus @illusionist @Island_Jewel @ijazamin @imama
@junaid_ak47 @Justin_ @Jahanger @Just_Like_Roze @jimmyz @kaskar @Kavi @khalid_khan @koochi
@lovely_eyes @LaDDan @Lost Passenger @Lightman @LUBABA @LostSea
@Mano_Doll @Mahen @Meerab_ @maanu115 @Mantasha_Zawaar @Manxil @Marah @Mas00m-DeVil @marib @Menaz @minaahil @Mehar_G786
@Meekaeel @MSC @Minal @mrX @MukarramRana @MumS @Muhammad_Rehman_Sabir @Mawaa_Khan @muttalib
@Nadaan_Shazie @Naila_Rubab @namaal @NamaL @Nikka_Raja @nighatnaseem21 @Noor_Afridi @Noorjee @nizamuddin @Noman-
@Ocean-of-love @onemanarmy @p3arl @Pari_Qrakh @Poetry_Lover @Prince-Farry @Princess_Nisa @Princess_E @pyaridua @pakhtun @PrinCe_
@Raat ki Rani @raaz the secret @Rahath @Ramsha_Cat @raji35 @Ramiz @RaPuNzLe @reality @REHAN_UK @Robina_Rainbow
@seemab_khan @Sameer_Khan @Syeda-Hilya @sweet-c-chori @ShehrYaar @shailina @Shahzii_1 @Shoaib_Nasir @Salman_ @S_M_Muneeb
@shineday11 @Sabeen_27 @shzd @S_Me3R @Sunny_Rano @Silent_tear_hurt @sweet bhoot @sona_monda @silent_heart @shehr-e-tanhayi
@soul_of_silence. @Stylo_Princess @Shona619 @SUMAIKA @soul_snatcher @sweet_lily @sweet_c_kuri @Sweeta @Shayana @Sahil_
@Sanafatima @SairaRizwan
@Toobi @Twinkle Queen @Tanha_Dil @Tariq Saeed @ujalaa @Umeed_Ki_Kiran @Umm-e-ahmad @umeedz @unpredictable2
@Vasim @Wafa_Khan @wajahat_ahmad @X_w @yoursks @Yuxra
@Zia_Hayderi @zaryaab @Ziddi_anGel @zonii @Z-4-Zahid @zealous @Zaad @Zypher @Zahabia @Zulfishan
 
Last edited:

Bird-Of-Paradise

TM ki Birdie
VIP
Aug 31, 2013
23,935
11,040
1,313
ώόήȡέŕĻάήȡ
View attachment 106966
Jungle mein mour naacha, kis ne dekha
lakin tafreeh mella par @Shiraz-Khan aayen to sab dekhtay haiN. Sab ka zikar aik tarf rakhiay, hum zaroor dekhtay haiN. Raaz ki baat btaatay chaleiN k hum Shiraz Se Zyada Khan Ki Tarf matwajja hotay haiN. Bachpan mein humari ammi jaan humein ghar se baahir khelne se manah karne k liay patha k pakaR kar le janay ka draawa diya karti theen.;;) Shiraz Khan ki baat cheeet, inn k andaaz o atwaar se un k Khan matlab pathan honay mein hargiz koyi shak o shubba nahi hai warna NET ki duniya ka to yeh haal hai k jissay Deedi samjha kiay woh Daadi nikli

iss dasht mein har aik naqsha ulta nazar aata hai
Majnu nazar aati hai ............Laila nazar aata hai
(Laila se mazrat k sath)

Tafreeh Mella k saathiyo!!! matlab agarchay asal kitaab kay dekhne se hi khulta hai lakin harf-shanaas aadmi kisi kay nam k sath KHAN parh kar hi bahot kuch jaan sakta hai :D. satar satar bhar ebaaratoN meiN bhi kisi shakhsiyyat ki wazaahat kareN to woh baat haasil nahi hoti jo sirf aik lafz KHAN se hoti hai aur iss kay tamaam sifaat aur lawazmaat paRhne sun-nay waalay kay samnay aYaaN ho jatay hain.

Lawazmaat se yaad aaya k inheN khanay peene meiN har tarah k lawazmaat pasand haiNlakin Hairaani balkay kaafi had tak pareshani ki baat yeh hai kay jis hisaab se yeh khaanay peene kay lawazmaat se insaaf kartay haiN , uss ka rati braabar asar inn ki sehat par nazar nahi aata. 8->

Khaana peena inn ki sehat se zyaada inn ki neend ko mutasir karta hai.Doctor kay paas neend na aanay ki shikaayet le kar gay to uss ne mashvara diya kay aap lait kar 2000 tak ginti kiya kareN, neend aa jaey gi.Agli baar jab Doctor kay paas gaey to uss ne poocha k amal kiya tha? Kehne lagay kay bahot mushkil se 1000 tak ginti poori ki kay neend aa gayi, Bari koshish se ussay bhaga kar ginti poori ki. HaiN na had darja kay saada !!! =))=))

Had darja kay safayi pasand bhi hain. Aur mukhtalif qisam kay ToTkay share kar kay ghar meiN jama-shuda bekaar cheezoN aur kaaTh kabaaR ko dobara se istmaal karne kay aisay gur samnay laatay haiN kay zubaan par be-ikhtiyaar WAH WAH aa jata hai.Shuruu mein hum bhi bahot mutasir huvay, ab aadi ho chukay hain. Bahot sulah-joo tabiyat rakhtay haiN. Raayi ka pahaaR bnaana to inheN aata hi nahi.Aur idhar ki udhar karne kay FUN se bhi ghair aashna haiN.Itni saari khoobiyaN aik pathan meiN ikathi dekh kar humeiN Hairaani to hoti hai lakin pareshani hargiz nahi Kyunkay qudrat kay khel hamesha niyaaray hotay haiN. Albata humeiN kuch aisay logoN kay rawwaiay se zaroor hairaani aur pareshai hoti hai jo inn ki be-zarar baatoN ko dil par le lete haiN.... bakool shaayer

yeh laghzash ehtraaman ho gayi thi
jawani ko buRhaapa keh diya tha
woh BB aaj tak hum se khafa hai
jisay bhoolay se AAPA keh diya tha

Har tarah kay halaat meiN khud ko Dhaal lete haiN. Waise to yeh Khasoosiyat sinf-e-nazuk k liay makhsoos hai lakin mousoof bhi kisi se kam nahi. Har tarah kay halaat mein samjhota karna jaantay haiN. Aik baar inn se poocha gaya kay duniya mein agar laRkiyaN na hoteeN to laRkay kiya kartay? kehne lagay kay seedhay jannat mein jaatay. Larki ka zikar chal nikla hai to btaatay chaltay haiN kay sir pe sehra sajanay ka shouq bachpan se rakhtay haiN. Balkay yeh kehna zyada munasib ho ga kay SHAADI se zyada SHOHAR kehlanay ka shouq hai. Iss naik kaam mein abhi thoRi dair hai. Khuda kay har kaam mein koyi maslihat hoti hai. Yeh dair shaayed inn k liay mohlat ho kay kisi siyaanay (shadi shuda) ki majlis mein beth kar jaan sakeN kay sainkaRon gawahaan ki moujoodgi mein ki gayi iss khata kay side effects kiya ho saktay haiN. ;))
Sab ki khushi mein Khush rehne walay Shiraz Khan apni khushi kay izhaar kay liay baRh chaRh kar hissa lene ki koshish kartay haiN. Iss baat ka andaza iss se laga lijiay kay inn kay aik qareebi dost ne apni shaadi kay baaray inheN btatay huvay poocha kay tum humari shadi mein kiya khaas kaam karo gay?

Kehne lagay....
Firing to sab kartay haiN , hum khud-kush hamlay karay ga =))=))

Maahir e FUN haiN lakin FUN se muraad koyi creativity na li jaaey balkay FUNNY wala FUN....Mizaah ko na sirf achi tarah samjhtay haiN balkay baat se baat nikalne ka fun bhi achi tarah jaantay haiN.Inn ki apni baat zyada-tar inn kay apnay paiT tak mehdood hoti hai jis ki khatir woh kabhi chocklates ki farmaeysh kartay haiN aur kabhi halvay ki. kahiN sun liya kay KADU ka halva bahot mazay ka hota hai. woh din aur aaj ka din @Hoorain siso kay peecha paray haiN k Halva bana kar khilaayeN. woh bhi khair se apnay naam ki aik hi hain kay saaloN se laaray laganay k bavajood abhi tak tarkhaaey ja rahi hain.Achi khaasi bardasht rakhtay haiN jo k kisi pathan mein kam hi nazar aati hai. Agar mazaq mein kuch keh bhi do to yeh dar nahi hota kay abhi khichayi ho gi.Hum apna tajurba bata rahay haiN. Aap chaheN to apnay risk par tajurba kar dekhiay aur be-jhijhak inn ki iss narmi se faayida uThaiay. ;)).
Faayida se yaad aaya kay hum ne sun rakha hai kay mousoof achay khasay paRhay likhay haiN aur angrezi se bhi khaasay waqif haiN. Socha kay kuch ilm kay moti hum bhi chun lein.Poocha kay jo shakhs sun nahi sakta ho, ussay angrezi mein kiya kehtay hain?
JhaT se bolay ,
JO Marzi keh do, ussay koun sa sunayi de ga. 8-|

PathanoN wala ziddi maada inn mein ba-kasrat paaya jata hai. Kisi baat ki Thaan lein to kar k rehtay haiN. Aur agar kisi kay peeche paR jaayeN to us ka jeena mahaal kar detay haiN. Iss baat ki aik misaal choohay haiN. ChoohoN se inn ki bhi wohi dushmani hai jo humari ya aap ki ho sakti hai. Yeh bhi humari tarah choohoN hi zaroori kaghzaat par ghair-zaroori karwaayi kay khilaaf haiN. Agar kahin koyi chooha inn ki nazar meiN aa jaey to iss se pehle kay woh dum daba kar bhaagay, yeh apna kaam kar dikhatay haiN. Aao dekhtay haiN na taao, aur baghair kisi hathiyaar ya Ouzaar kay paas rakhi almari ko hi batoor hathiyaar istmaal kar letay haiN. Yaani kay choohay ko almaari kay peeche daba kar uss ki saanseiN band kar detay haiN. Woh bechaara bhi bhagnay ki saari raaheN masdood paa kar duniya ko khairbaad kehne mein hi behtari samjhta hai kay agar zinda iss pathan kay hath lag gaya to na janay kiya HASHAR karay. :hurt
Sirf choohay hi nahi balkay makhiyoN say bhi Khuda wastay ka bair rakhtay haiN. Aksar serious baat ko bhi naak par bethi makhi ki tarah hath ki junbash se uRaa detay haiN Albata BhiRoN kay chatay meiN haath daalne se nahi katratay. Ishaara samjhdaroN kay liay kaafi hai, hum nishan-dehi kar kay jaan se haath nahi dhonaa chahtay. :nailbitingX_X=))

Bachpan se hi deeni taleem ki tarf Raaghib haiN jis ka saara credit apnay waalid saahib ko detay haiN jinhoN ne ibtdayi taleem kay liay unheiN aisay madrasay meiN daala jahaN duniyavi taleem kay sath sath deeni taleem ka bhi khyaal rakha jaata. Iss waja se shuruu se hi namaaz ki pabandi kartay haiN. Koshish kartay haiN kay har kaam Allah aur Rasul Allah Sallallahu Alayhi Wasallam kay btaaey tareeqay se sar-anjaam deiN. Allah Paak un k liay AsaaniyaN FarmaayeN wid aafiyat (Ameen)

Likhna to bahot kuch chatay haiN abhi un kay baaray lakin kuch aap kay waqat ka bhi khyaal hai kay itni lambi tehreer aap par bojh na ban jaaey. Iss liay kisi time aayeN gay iss k part 2 kay sath Insha Allah.
DuaaoN mein Yaad rakhiay ga.
Tussi great ho
 
  • Like
Reactions: shehr-e-tanhayi

Sahil_

♡ MysTerious ♡
TM Star
Nov 28, 2013
2,233
226
1,163
Wah wah wah boht khob kya naqsha paish kya ha Jan kar bari khushi howi khan sab k baary Jan kar
. Tanhai se yad aaya wah jee Mashallah se kya likhti ha app tu kamal kr deta. Boht khob
 
  • Like
Reactions: shehr-e-tanhayi

Shiraz-Khan

Super Magic Jori
Hot Shot
Oct 27, 2012
18,264
15,551

Hahaha... Allaahu Akbar!!! Beshak Allaah Ta'aala ki makhloq ka koi jawab nae... yaaar kia khaalis urdu mey likkha hey amazing! hilaa daala larki... Hahahahahahahahahaha waqae u ka koi hal nae =)) Hahahaha bht zabardast likha hey... maza agaya parhker... behtareen tasweer kheenchi hey Hahaha :))
 
shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
Wah wah wah boht khob kya naqsha paish kya ha Jan kar bari khushi howi khan sab k baary Jan kar
. Tanhai se yad aaya wah jee Mashallah se kya likhti ha app tu kamal kr deta. Boht khob
jeetaay rahiay ameen
 
shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
Hahaha... Allaahu Akbar!!! Beshak Allaah Ta'aala ki makhloq ka koi jawab nae... yaaar kia khaalis urdu mey likkha hey amazing! hilaa daala larki... Hahahahahahahahahaha waqae u ka koi hal nae =)) Hahahaha bht zabardast likha hey... maza agaya parhker... behtareen tasweer kheenchi hey Hahaha :))
yaani k khud ko lafzoN k aaiynay mein dekhna acha laga?

khush rahiay hamesha.....
 
Shiraz-Khan

Super Magic Jori
Hot Shot
Oct 27, 2012
18,264
15,551
1,313
Well Written thread
And No doubt Shiraz is One of the Most Decent And Suljhe hoe person of TM :p
khush Rahen.
uff koi mujhey sambhaalo... ye mene kia parhlia... or koi mujhey batao ye larki Shizu hey ya meri ankhon ka dhoka?

yaani k khud ko lafzoN k aaiynay mein dekhna acha laga?
khush rahiay hamesha.....
ye tu likhne waley ki mahaarat hey k mera interest jesa shoro hua tha wo akhir mey Tsunami ki shakal mey khatam hua... warna mujhsey bari post nae parhi jati... means bor hojata hun agar interest na miley... or is mey tu her sentence mey... no doubt MASHA'ALLAAH kia baat hey aap ki... mpress kerdia mujhey hahahaha :D
 
AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
uff koi mujhey sambhaalo... ye mene kia parhlia... or koi mujhey batao ye larki Shizu hey ya meri ankhon ka dhoka?

ye tu likhne waley ki mahaarat hey k mera interest jesa shoro hua tha wo akhir mey Tsunami ki shakal mey khatam hua... warna mujhsey bari post nae parhi jati... means bor hojata hun agar interest na miley... or is mey tu her sentence mey... no doubt MASHA'ALLAAH kia baat hey aap ki... mpress kerdia mujhey hahahaha :D
Isliye naa
Ab kuchhhh Bolungi hi nahi main [-(
 
shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
ye tu likhne waley ki mahaarat hey k mera interest jesa shoro hua tha wo akhir mey Tsunami ki shakal mey khatam hua... warna mujhsey bari post nae parhi jati... means bor hojata hun agar interest na miley... or is mey tu her sentence mey... no doubt MASHA'ALLAAH kia baat hey aap ki... mpress kerdia mujhey hahahaha :D
to kiya pehle jo impress honay ka dawa kartay thay, woh sirf humara dil rakhne ko tha?

waise humein @Hoorain siso k comments ka intzaar hai jo aap ki khoob khuchayi karen gi.
 
Shiraz-Khan

Super Magic Jori
Hot Shot
Oct 27, 2012
18,264
15,551
1,313
Isliye naa
Ab kuchhhh Bolungi hi nahi main [-(
Hahahahaah acha na.. majaak ker raha tha... ab funny rating tu dey dikiye =))
JAZAKALLAAHU KHAER k apne mere liye inney maje k alfaz boley :D

ankhon ka dhoka to nahi keh saktay kyunkay siso ne pooray hosh o hawaas mein sab kaha hai.
Hahaha g usi per tu heran hoa :D

to kiya pehle jo impress honay ka dawa kartay thay, woh sirf humara dil rakhne ko tha?

waise humein @Hoorain siso k comments ka intzaar hai jo aap ki khoob khuchayi karen gi.
Hahahaha nae nae... mey sirf is category ko rakh ker keh raha tha... :s

Haan haan or mirch masaaley lagalen @Hoorain sis ko... /:)
 
Top