Pakistan Mulk K Halaat

  • Work-from-home

Pari

(v)i§§· ßµølï ßµð£ï¨
VIP
Mar 20, 2007
46,142
19,780
1,313
Toronto, Canada
Main yeh kis key naam likhoon Jo alam guzar rahay hain​​
Meray shehar jal rahay hain, Meray log mar rahay hain​​
​​
Koi ghuncha ho kay gul ho, Koi shaakh ho shajar ho​​
Woh hawa-e-gulistan hain kay sabhi bikhar rahay hain​​
​​
Kabhi rehmatain thein nazil is hi khitta-e-zameen par​​
Wohi khitta-e-zameen hai kay aazaab uttar rahay hain​​
​​
Wohi taroun ke jhurmat jo hawa main jhooltay thay​​
Woh fiza ko tak rahay hain tu aah bhar rahay hain​​
​​
Koi aur to nahin hai pas-e-khanjar aazmai​​
Ham hi qatal ho rahay hain Ham hi qatal ker rahay hain​​
 
  • Like
Reactions: whiteros and Jungli

NXXXS

~` Weird `~
Superior Member
Apr 24, 2012
114,993
11,776
1,113
Sar jalayen gay roshni ho gi
us ujalay men faislay hongay

roshnai b khoon ki ho gi
aur wo faqa kash qalam jis men
jitni cheekhon ki dastanen hen
un ko likhnay ki arzoo ho gi

na he lamha qarar ka ho ga
na he rasta farar ka ho ga
wo adalat gareeb ki ho gi
jaan atki yazeed ki hogi

aur phir aik faqeer ka bacha
masnadon par bithaya jaye ga
aur tarazoo k dono palarron men
surkh lamhon ko tola jaye ga

saabqa hakmeen hazir hon
naam aur wald bola jaye ga

jo yateemon ki taraf uthy thay
aisay hathon ko tore dalen gay
aur jisnay rondi gareeb ki asmat
us ki gardan maror dalen gay
jis ne bechi hai qalam ki taqat
jis ne apna zameer becha hai

jo dukanen sajaye bethay hen
sach se daman churaye bethay hen
jis ne becha azaab becha hai
muflison ko saraab becha hai
dil ko be hisaab becha hai
kuch ne roti ka khawab becha hai

ab kis tarah kahen hum
k qom ne khud ko
kis taraha
bar bar becha hai
kis taraha
bar bar becha hai

faiz -o- iqbal ka parosi hun
ek tarap maray khoon men b hai
aankh men silsila hai khawabon ka
ek mehak maray chaarsoo b hai

jhoonpari k naseeb badlen gay
phir kahin inqilaab aye ga

beth rehnay se kuch nahin ho ga
aik din inqilaab aye ga
 
  • Like
Reactions: Pari and whiteros

whiteros

'"The queen of kindness''
Super Star
Dec 20, 2011
10,936
3,866
1,313
Main yeh kis key naam likhoon Jo alam guzar rahay hain​​
Meray shehar jal rahay hain, Meray log mar rahay hain​​
​​
Koi ghuncha ho kay gul ho, Koi shaakh ho shajar ho​​
Woh hawa-e-gulistan hain kay sabhi bikhar rahay hain​​
​​
Kabhi rehmatain thein nazil is hi khitta-e-zameen par​​
Wohi khitta-e-zameen hai kay aazaab uttar rahay hain​​
​​
Wohi taroun ke jhurmat jo hawa main jhooltay thay​​
Woh fiza ko tak rahay hain tu aah bhar rahay hain​​
​​
Koi aur to nahin hai pas-e-khanjar aazmai​​
Ham hi qatal ho rahay hain Ham hi qatal ker rahay hain​​
REALLY SAD..................
 

whiteros

'"The queen of kindness''
Super Star
Dec 20, 2011
10,936
3,866
1,313
Sar jalayen gay roshni ho gi
us ujalay men faislay hongay
roshnai b khoon ki ho gi
aur wo faqa kash qalam jis men
jitni cheekhon ki dastanen hen
un ko likhnay ki arzoo ho gi
na he lamha qarar ka ho ga
na he rasta farar ka ho ga
wo adalat gareeb ki ho gi
jaan atki yazeed ki hogi
aur phir aik faqeer ka bacha
masnadon par bithaya jaye ga
aur tarazoo k dono palarron men
surkh lamhon ko tola jaye ga
saabqa hakmeen hazir hon
naam aur wald bola jaye ga
jo yateemon ki taraf uthy thay
aisay hathon ko tore dalen gay
aur jisnay rondi gareeb ki asmat
us ki gardan maror dalen gay
jis ne bechi hai qalam ki taqat
jis ne apna zameer becha hai
jo dukanen sajaye bethay hen
sach se daman churaye bethay hen
jis ne becha azaab becha hai
muflison ko saraab becha hai
dil ko be hisaab becha hai
kuch ne roti ka khawab becha hai
ab kis tarah kahen hum
k qom ne khud ko
kis taraha
bar bar becha hai
kis taraha
bar bar becha hai
faiz -o- iqbal ka parosi hun
ek tarap maray khoon men b hai
aankh men silsila hai khawabon ka
ek mehak maray chaarsoo b hai
jhoonpari k naseeb badlen gay
phir kahin inqilaab aye ga
beth rehnay se kuch nahin ho ga
aik din inqilaab aye ga

hmmmmm dprsing..........ameen4inqilaab ALLAH kry k aesa ho
 
Top