"MusT sEE"

  • Work-from-home

New Wolf

TM Star
Jul 17, 2010
9,253
3,441
113
aSSalAAm-o-AlaiKuM

Aj aap logo se ik zaruri baat karni he samajh aae to theek warna kea kar saktey hain
kea aap jaante hain k hazrat moosa (A.S) ki qabr kaha he?
shayad boht hi kam log ye jaante hoonge
to jawaab ye he k unki qabar ko allah paak ne poshida rakha he hum insaano se, wajah us ki yeh he k khud hazrat moosa (A.S) ne khuda se ye dua ki thi, wo is liye k kahi meri ummat meri qabr ko pichli ummato ki tarha ibadat gah na bana le.
har nabi yahi jahalat khatam karne dunya me aaya he, zra ghor karo k
hamare nabi mohammad-e-mustafa (S.A.W.W) B jin k paas utaare gae woh kea they kea woh allah ko nahi maante they?
to jawab he k woh allah ko maante they saath saath murda logo or qabro ko b poojte they,baki sab to kher aap jaante hi hoonge
allah har gunah muaf kar sakta he magar shirk kabhi nahi.
zra dekho to pakistan me nazar dora kar aap ko kai aise log nazar aain ge jo mazaro pe or qabro pe maangte , diye jalatey, unke naam ki qurbani karte hue nazar aain ge
or jitni fahashi in jagho pe hoti he shayad hi kisi or jagha pe ho
aap zra ye btaao k kea hamare nabi ne koi hukum dia he aisa kaam karne ka ya kisi sahaba ne ye kaam kia he ya quraan me kahi likha he
agar he to dikhao
agar nahi to phir aisa q
sirf is liye k hamare barey buzurg aisa karte aae hain is liye yaad rakho aakhirat waale din aap yeh keh kar allah se jaan nahi churwa saktey k mujhe fala ne kaha ya mere ghar waale ye kaam karte they etc.
aap ko nikalne ki raah nahi mil sakti us waqt irshaad hoga kea mere nabi ka peghaam nahi pohncha tha ya quraan tum pe na utara gea,,
kheir
agar insaan kisi k liye kuch kar sakta to hamare nabi kea kisi se kam they jo apne chacha ko jahanum se nahi bacha sakte
aap (S.S.W.W) K chacha ne har tarha ki mdad ki aap ki magar khuda kea aise hi chor de ga unko
quraan ki hi aayat ka tarjuma he
k
ek baddu NE nabi(S.A.W.W) se sawaal kia k aap me or doosre insaano me kea farq he to aap (S.A.W.W) ne farmaya k koi farq nahi me b tum logo ki tarha ik bashar hu agar farq he to sirf itna he k mujh pe wahi aati he.
yaha saudia me aap (S.A.W.W) Ka raza mubarak he to yaha ye log q nahi urss manatey q nahi chaadar charhatey q nahi qawal bulaatey ya q nahi un ki qabar pe maangte
kea allah unko nahi de raha
allah to inko itna de raha he k log dosre mulko se aakar le ja rahey hain
kea yeh log gumrah hain ya in ko quraan or hadees ki samajh nahi
mere kheyaal se inse ziada kisi ko quraan ki or hadees ki samajh nahi q k in ki maadri zubaan hi arabi he
ek hum jahil jis ne jo kaha maan liya
or ye peeri faqiri k chakkar me kuch nahi milta sawae zillat or sharmindgi k
zara dekh lo apne ird gird kis tarha oorato k saath ye farad karte or kea kea karte mile ge
or ye hamari ooratain b to aisi hi hain zara koi allah ki taraf se imtehaan hua ya koi b mushkil hui to seedha baba g k mazaar pe ya aastaaano pe pahonch gai ya phir kisi tharki aamil k office.
dekho jo kaam hona he so hona he or karna allah hi ne he or usko door b usi ne karna he na k kisi makhlooq ne
wese b murda log kab kis ki sunte hain, marne k baad b agar koi dunya me he ya dunya se uska waasta he to uske marne ka kea faida
is se acha ye na tha k woh zinda reh kar hi logo ki madad karta to murda ho kar hi q
zra ghor to karo
yeh to har aalim faazil jaanta he k marne k baad insaan aalim-e-barzakh me chala jata he
to wo waapsi dunya me kea lene aata he
mere bhaio mera taaluq kisi b firqe se nahi or na me rakhna chahta hu
mujhe koi preshani ya museebat aati he to jo treeqa kaar he bukhari ya muslim ya quraan shareef me thora boht us pe amal karta hu or namaz k baad jo chahiye khuda se hi maangta hu na k kisi or se, yahi tareeka mere nabi ka b he or unke sahaba ka b
aap log b parhe likhe hi hoonge to kabhi fursat miley to sukoon se bukhaar,muslim,or quraan me dekho k kea hamara allah or us ka rasool chahte they
or aap logo se ye request he dil ki gehraaio se k i chakro me par kar apna waqt or deen kharaab na karo jo maangna he direct khud khuda se maango bhaley aap kitne hi barey gunahgaar ho or sahcey dil or yaqeen se maango....
in barey barey gunehgaaro k b ahadees me kitne hi waqiye hain dekh lain khuda aap ki madad karey.. (aameen)

aakhir me hazrat ali ka ek qool he k
(ME NAMAZ IS LIYE NAHI PARHTA K MUJHE KHUDA K AZAAB KA DAR HE BALKE ME NAMAZ IS LIYE PARHTA HU K MERA KHUDA IBAADAT K LAAIQ HE)
 
Top