Mohsin Naqvi's Shayari

  • Work-from-home

Afrasham_afi

Super Star
Apr 23, 2013
5,386
4,871
713
in friends heart
Bharakain meri pias ko aksar teri aankhen
Sehra mera chehra samandar teri aankhen
Phir bhala kon unhen daad-e-tabassum de ga
Royen gi bahut mujh se bichar ker teri aankhen
Bojhal nazar aati hain bazahir mujhe laken
Khilti hain bahut dil mein utar ker teri aankhen
Ab tak meri yaadon se mitaye nahi mit-ta
Bheegi hoi ek shaam ka manzar teri aankhen
Mumkin ho tu ek taza ghazal aur bhi keh lon
Phir oorh na lein khawab ki chadar teri aankhen
Yoon dekhte rehna usey acha nahi Mohsin
wo kanch ka paikar hai tu pathat teri aankhen
 

Afrasham_afi

Super Star
Apr 23, 2013
5,386
4,871
713
in friends heart
Firaq-e-Yaar ki Barish ,Malaal ka Mousam
Hamare Sheher mai Utra Kamaal ka Mousam
Wo ik Dua Meri Jo Namuraad Loat Ayi Meri
Zaban Se Rooth Gaya Phir Sawaal Ka Mosam
Bohat Dinon Se mere Zehen Key Darichon Mai
Theher gaya Hai Tmhare Khayal ka Mousam
Jo be-Yaqeen ho Baharein ujar Bhi Sakti Hain
tu Aa k Dekh ley mere Zawaal ka Mousam
Mohabtein Bhi teri Dhoop Chaon Jesi Hain
Kabi yeh Hijar Kabi yeh Wasaal ka mosam
Koi Mila He NAi jis ko Soonpte Mohsin
Hum Apne Khawab ki khushbooKhyaal ka Mosam
 

Afrasham_afi

Super Star
Apr 23, 2013
5,386
4,871
713
in friends heart
Us ne jab jab bhi mujhe dil se pukara Mohsin
Main ne tab tab ye bataya ke tumhara Mohsin

Log sadiyon ki khataon pe bhi khush baste hain
Hum ko lamhon ki wafaon ne ujara Mohsin

Jab aa gaya ho ye yaqin ab woh nahi aaye ga
Gham aur anso ne dia sahara Mohsin

Woh tha jab pas to jeney ko bhi dil karta tha
Ab to pal bhar bhi nahi hota guzara Mohsin

Us ko pana to muqadar ki lakeron mein nahi
Us ka khona bhi karen kesey gawara Mohsin..
 

Afrasham_afi

Super Star
Apr 23, 2013
5,386
4,871
713
in friends heart
Wo dilawar jo siah shab k shikari nikle
Wo b charhte hue sooraj k poojari nikle
Sab K hontoon pe mere baad hain batein meri
Mere dushman mere lafzon k bhikari nikle
Ik janaza utha maqtal se ajab shaan k sath
Jese saj kar kisi fateh ki sawari nikle
Behte ashkon se shuaoon ki sabelein photen
Chubhte zakhmon se fan-e-naqsh nigari nikle
Hum ko har doar ki gardish ne salami di hai
Hum wo pathar hain jo har doar main bhari nikle
Aks koi ho khad-o-khaal tumhare dekhon
Bazm koi ho magar baat tumhari nikle
Apne Dushman se main be-waja khafa tha mohsin
Mere qatil to mere apne hawari nikle
 

Afrasham_afi

Super Star
Apr 23, 2013
5,386
4,871
713
in friends heart
Chehra koi b Aankh mein thehra na phir kabhi...
Dil ne kisi b shakhs ko chaha na phir kabhi..
Rootha zra si baat pe uth kr chala gaya..
Aysa gaya k laut k Aaya na phir kabhi..
Kuch youn mila Tpaak se bus ishq ho gaya..
Woh ajnabi tha kon tha' socha na phir kabhi..
Us ne Btaur tohfa diya tha Libas-e-hijr !!!
Pehna jo 1 baar' utaara na phir kabhi...
Mohsin !.. Guzr chuka tha had-e-aitdaal se
Jany kahan gaya' usay dekha na phir kabhi.
 

Afrasham_afi

Super Star
Apr 23, 2013
5,386
4,871
713
in friends heart
Hum se tas'kher muqadar k sitare na hue
Zindagi ap the or Ap hamaray na hue
Phir btao k bhala kis pe sitam dhao ge?
Shehr-e-Ulfat main agar dard k maray na hue
Sach to ye hai k bina us k guzara jeewan
Ye b such hai k bina us k guzare na hue
Is liye apna milan ho b nahi sakta tha
Ik darya k kabhi dono kinare na hue
Toot jate hain sabhi pyaar k rishte "Mohsin"
Kache dhage to kisi k bhi sahare na hue
 

Afrasham_afi

Super Star
Apr 23, 2013
5,386
4,871
713
in friends heart
Mohabbat ka Bharam Hota to Phir kuch Soch kr Jatay,
Warna Zindagi Ban k Mere Hamdam Guzar Jatay,
Thakay Haaray Prindon Ko Jo Dekha to Khayal Aaya,
Koi Jo Muntazir Hota To Hum Bhi Apny Ghar Jatay,
Main Kha K Dard ki Thokar abhi tak Hosla Mand hoon,
Ye Thokar Jo Tumhen Lagti To Tum khud Bhi Bikhar Jatay,
Is Tanhai Ka Hum Pe Bara Ehsan Hai "Mohsin"
Na Deti Saath Ye Apna To Janay Hum Kidhar Jatay..
 

Afrasham_afi

Super Star
Apr 23, 2013
5,386
4,871
713
in friends heart
==*==Zikr-e-Shab-e-Firaq Se Wehshat usey Bhi Thi==*==
Zikr-e-Shab-e-Firaq Se Wehshat usey Bhi Thi,

Meri Tarha Kisi Se Muhabbat usey Bhi Thi.


Mujh Ko Bhi Shoq Tha Naye Chehron Ki Deed Ka,

Rasta Badal Ke Chalne Ki Aadat usey Bhi Thi.


us Raat Dair Tak Wo Raha Mahw-e-Guftagu,

Masroof Main Bhi Kam Tha Fursat usey Bhi Thi.


Sunta Tha Wo Bhi Sab Se Purani Kahaniyan,

Taaza Rifaqton Ki Zarorat usey Bhi Thi.


Mujhse Bichar Ke Shehar Main Ghul Mill Gaya Wo Shakhs,

Halan Ke Shehar Bhar Se adawat usey Bhi Thi.


Wo Mujhse Bhar Ke Zabt Ka Aadee Tha Jii Gaya,

Warna Her Ek Saans Qiyamat usey Bhi Thi.

Mohsin Main Us Se Keh Na Saka Youn Bhi Haal-e-Dil,
Darpeesh Aik Taza Musibat Usey Bhi Thi.

----------**********----------
 
Top