Mehnat Ka Nateeja

  • Work-from-home

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
بســم الله الرحمــن الرحيــم 0
الســلام عليــكم محتــرميــن



Times of india k addition 18-24 march 1979 me page no 6 par ek sabaq aamooz waqiya dekhne me aaya.usme likha tha iran k paarsi jab united india aaye aur wo gujarat k saahil par utre us waqt wahan k raaja yadav raana tha.paarsi jamat ka peshwa jab raaja se mila.aur isse request ki k hum yahan aapke paas rahne aur basne ki ijaazat chahte hain.raaja ne iske jawab me milk se full glass us paarsi leader k haath par rakhdiya.iskamatlab ye tha k hamari riyasat me tumhare liye koi jagah nahi hai.kyunke yahan pahle hi se kaafi log aabaad hain.isme mazeed logon ki gunjaayesh nahi.

us paarsi leader ne iske jawab me zubani dalayel pesh nahi kiye aur naahi ehtejaaj kia k aap hamari madad karen.isne sirf ye kia k ek spoon sugar lekar us milk me miladiya aur us glass ko raaja ki taraf dediya.ye ishaaraati zuban me is baat ka izhaar tha k hum log aapke milk par qabza karne k bajaaye isko meetha banadenge.iske is jawab se raaja bahot khush hua aur isne inhe ijaazat dedi.

is waaqiye par ab 1000 yrs k qareeb muddat hochuki hai.taareeq batati hai k paarsiaon k rahnuma ne jo baat kahi thi.isko paarsi qaom ne poora kar dikhaaya paarsi is mulk me ehtejaaj aur mutalebe ka jhanda(flag) lekar nahi khare hue.balke inho ne apni kamosh mehnat se is mulk ki taraqi me izafa kia paarsiaon ne taleem aur business k maamle me dosron se ziada mehnat ki jiski wajah se wo is maidan me dosri qaomaon se aage nikal gaye.jinki ek misal hamare saamne tata & company ki hai.

is liye doston is waqiye ko hum apne liye misal banakar istemal karsakte hain chahe maamla kaunsa bhi ho hame sabr o tahammul aur mehnat k zarye dunya ko hasil karna chahiye.aur is dunya me aisi hi qaomein kamiyab hoti hain.
 

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
THANXX FOR SHARING Arshad bhai me will rply later:)after reading the article
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
بســم الله الرحمــن الرحيــم 0
الســلام عليــكم محتــرميــن



Times of india k addition 18-24 march 1979 me page no 6 par ek sabaq aamooz waqiya dekhne me aaya.usme likha tha iran k paarsi jab united india aaye aur wo gujarat k saahil par utre us waqt wahan k raaja yadav raana tha.paarsi jamat ka peshwa jab raaja se mila.aur isse request ki k hum yahan aapke paas rahne aur basne ki ijaazat chahte hain.raaja ne iske jawab me milk se full glass us paarsi leader k haath par rakhdiya.iskamatlab ye tha k hamari riyasat me tumhare liye koi jagah nahi hai.kyunke yahan pahle hi se kaafi log aabaad hain.isme mazeed logon ki gunjaayesh nahi.

us paarsi leader ne iske jawab me zubani dalayel pesh nahi kiye aur naahi ehtejaaj kia k aap hamari madad karen.isne sirf ye kia k ek spoon sugar lekar us milk me miladiya aur us glass ko raaja ki taraf dediya.ye ishaaraati zuban me is baat ka izhaar tha k hum log aapke milk par qabza karne k bajaaye isko meetha banadenge.iske is jawab se raaja bahot khush hua aur isne inhe ijaazat dedi.

is waaqiye par ab 1000 yrs k qareeb muddat hochuki hai.taareeq batati hai k paarsiaon k rahnuma ne jo baat kahi thi.isko paarsi qaom ne poora kar dikhaaya paarsi is mulk me ehtejaaj aur mutalebe ka jhanda(flag) lekar nahi khare hue.balke inho ne apni kamosh mehnat se is mulk ki taraqi me izafa kia paarsiaon ne taleem aur business k maamle me dosron se ziada mehnat ki jiski wajah se wo is maidan me dosri qaomaon se aage nikal gaye.jinki ek misal hamare saamne tata & company ki hai.

is liye doston is waqiye ko hum apne liye misal banakar istemal karsakte hain chahe maamla kaunsa bhi ho hame sabr o tahammul aur mehnat k zarye dunya ko hasil karna chahiye.aur is dunya me aisi hi qaomein kamiyab hoti hain.
waalaikum assalam

Ahaaan very nice n interesting example ,,beautiful message too :-bd
Thanx for sharing
 

Sam Shahid

Newbie
Oct 17, 2011
1,170
129
0
Bilkul theek hai
or aaj kal hum log her cheez ko bagair mehnat k short cut k zareeay hassil krna chahtay hain
 

ZiA33

Newbie
Jan 16, 2012
5
1
0
Assalam o alikum Arshad sab story waqaie mein zabardast thi but ap ko apna msg convey krne k liye parsi nhi balke musalmano ki misalay deni chahye thi
 

Asma Shah

TM Star
Jan 16, 2012
6,450
1,604
263
KSA,AL-Khubar
chalo de tu di na...so sabaq hasil kro.......r bas.......WO B MUSALMANON se bht si misalen le k agay barh rahy hn na...so apna mission sirf point rkho na k zaat paat....
 
  • Like
Reactions: Aara'af
Top