Manzil ki chah me ay Zindgi

  • Work-from-home

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
woh kafi dair se pani me paon dale pagdandi pe beth thi..sham hone ko thi..
itne me shanno yahan aa puhnchi ..haye la Rabi tum yahan bethi ho..abi abi tumhare ghar se aa rahi hon ..wese yahan kya kar rahi ho..koi jin bhoot aashiq ho gya to..use ne kisi raazdarana andaz me kaha tha to Rubail ko hansi aayi thi..
hans kyun rahi ho..sachi meri dadi kehti hain..soni kuriyon ko sham k waqat darkhton k neche nhi bethna chaheye.jin ashiq ho jate hain..ab tu hi bata bhala bare koi jhoot bolte hain kya..
han han thek hai..main to wese yahan aa gyi..dil chah raha tha..rabi ne ab use wazahat dete huve kaha tha..
mujhe se milne kyun nhi aayi thi..kitne din ho gaye hain,mera susral to jese sat sumandar par hai jo tum aa nhi sakti..ye sath wali gali me hi thi main..use ne apne paranda ko hawa me gomate huve kaha tha..hathon me laal choriyan us k kise ka hone ka pata deti then..abi kuch mah pehle hi us ki shadi apne taya'zad se huvi thi..
acha..chalo chaddo(choro) ye sare shikwe to ek tarf.tu shehar ja rahi hai or mujhe bataya b nhi..us ne khafa hote huve pocha tha..wese kya chache ki zamino se koi khazana nikal aaya hai jo tujhe shehar parhne k liye bejh rahe hain..?
nhi...tujhe batane hi wali thi,mujhe khud aj pata chala hai..aj sham ko tum se milne aa rhi thi..mujhe b to aj hi thek se pata chala hai.Abba ji ne kaha hai,or subho jana b hai..abba ji ko Hasan ka phone aaya tha..unhe b koi etiraz nhi mere aage parhne par..
wah..rabi bari achi kismat payi hai..apne mangetar k zikar par Rubail k chehre par gulabi rang bikhar gaye the..
chalo choro..ghar chalte hain..rabi baat badalte huve wahan se uthi thi..or woh doni kheton k darmiyan se jati pagdandi se hoti huvi Rubail k ghar k raste pe chal pari.
Rubail ek matwast(middle class) gharane se taluq rakhti thi..yahan gaon k pas hi ek skol se us ne matric pas kia tha or gaon se thora dor ek qasbe(town) se inter kia tha..use parhne ka boht shok tha or kafi zaheen or qabal thi..is liye us ne inter k imtihan k bad apne abu se aage parhne ki baat ki thi.kisi larki ka gaon se bahir ja kar parhna thori anokhi baat thi..han gaon kuch larke the jo shehar me ja kar parh rahe the,woh gaon ki pehli larkithi jise ijazat mili thi..ye sb is liye tha k sb us pe boht etimad karte the..or gaon k sb chote bare us ki boht izat karte the,gaon k boht se bachon ko woh tuition parhati thi..subho subho Abba ji k sath use Lahore k liye nikalna tha.jahan use hostel me rehna tha..
woh raat dair tak chat pe leti yahi soch rahi thi,,puri raat ka chand apni pori aab-o-taab se chamak raha tha..yon sb kuch chor kar jana use mushkil lg raha tha..manzil ki chah me ay zindgi..us ne ye fikra kehte huve apne ankhen band kar li the..Raat b dheere dheere sirak kar roshan subho me badal rahi thi..us ka chota bhai tanga ly kar aa gya tha..muhale ki chand uraten or us ki saheliyan milne aayi thi..sb ne boht duaen di thi..shanno ne use milte huve kaha tha..rabi inna wada(itna bara) shehar..tu gum gayi ty..
o nhi shanno main bhala kese gum jaon gi..us ne shanno ki baat pe muskarate huve kaha tha..
acha main ne suna hai shehar ki kuriyan(larkiyan) boht chalak hoti hai,dehan se rehna,zyda saheliyan na bnana..
achaaa g..rabi se ab use shararat se dekha tha..to dono khil'khila k hansi thi..
aapi tanga aa gya hai bahir..
chadar orh k sb se milte huve or ami ki chand zaruri nasihaten pallo se bhandate or dauen lete huve woh aaba ji k sath tange pe aa kar bethi thi..
tanga gaon ki kachi pakki galiyon se guzarta huva,gaon k skol k pas se guzra..ye skol kafi weran tha..gaon k aksr bache dosre gaon k skol me parhne jate the..kyun k yahan hafte me ek do din hi koi ustad ya ustani aati,shehron or dheyat me wasail ki is geer'masawi taqseem ki waja se boht se masail the..boht se log ache miyar-e-zindgi k liye shehron me aabad ho rahe the,.,jis se shehron me b aabadi k sathsath dosre boht se masle peda ho rahe the...
us k shehar ja k parhne ka ye maqsad b tha k wapis aakar is skol ko aabad karna hai..

boht se bache baste(bag) dale skol ja rahe the...or kayi chote chote bache seeno se Qaida lgaye masjid se wapis aa rha the...ek dosre se ulajh rahe the..hanste or khelte huve apne apne raston pe gamzan the..ek faqeer baba punjabi ka ek kalam uchi awaz me parh rha tha..
gaon se bahir nikal kar tanga ek bari si sarak par chalne laga tha..sarso k kheton me chand uraten saag tor rahi thi.ye ek haqiqat thi k gaon me uraten mardon k sath mil kar kam karti thi..bal'k aksr ye dekhne me aaya tha kun se b zyda kam karti thi..

tanga jese jese gaon se door ja rha tha Rabi ka dil doob rha tha..use jo kuch b apni zindgi me azeez tha us me us ka gaon sar-e-fehrist tha,,us ki sari Yaadain sare Khawab or sari Muhabbatain isi gaon se wabasta thi..lekin manzalon ki chah me boht kuch khona parta hai..in chand saalon ki dori k bad ek roshan mustaqbil ki umeed use sabit qadam rakhe huvi thi..boht kuch tha jise badalna tha..jise tameer-e-nu ki zarurt thi..or abi to boht si muhabbaton ka qarz chukana tha..yahi sochte huve us ne ek bar phir khud ko tasali di thi.

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
hmmm acchi tasveer kheenchi mashaAllah
salahiatein ubhar rahi hain.:)
rozana ek fasana.hmm

aur haan aapko pata hai abraham lincoln jo america ka president tha wo apne gaun se taqreeban 8-9 km dur parhne keliye rozana jaya karta tha.
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
hmmm acchi tasveer kheenchi mashaAllah
salahiatein ubhar rahi hain.:)
rozana ek fasana.hmm

aur haan aapko pata hai abraham lincoln jo america ka president tha wo apne gaun se taqreeban 8-9 km dur parhne keliye rozana jaya karta tha.
shukaria..gaon k bare likhna boht aasan or acha lgta hai..bs thora sa socha or yahan likhna shuru kar diya to sb likha gya..:)

acha mashaAllah Abraham lincoln ki life k bare me to nhi parha kbi..han in k aqwal parhe hain..
Gaon me taleem ka masla kafi hota hai:(..isi liye logo ko itni dor parhne jana parta hai..lekin ab halaat pehle se behtar ho rahe hain:)
 
Nelly

VIP
Sep 23, 2009
97,862
38,645
1,313
United Kingdom
aray wah meri extra salahiton wali sakhi:x kya likha hai
muaaah:D keep it up dear
wese mujhe is word ka meaning bata do plz? (geer'masawi)
aur mujhe esa kyun lag raha hai k is story k zariye tum ne apni feelings b bayaan ki hain, mean k shayed gaon se sheher jaate tum ne b yehi socha, rite????{(thinkg)}
 
Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
aray wah meri extra salahiton wali sakhi:x kya likha hai
muaaah:D keep it up dear
wese mujhe is word ka meaning bata do plz? (geer'masawi)
aur mujhe esa kyun lag raha hai k is story k zariye tum ne apni feelings b bayaan ki hain, mean k shayed gaon se sheher jaate tum ne b yehi socha, rite????{(thinkg)}
hihihihi..so sweet:x thanko thanko
gheer'masawi ka matlb unequal ..
exactly main ne apni hi feelings likhi hain yar..or ye mere hi gaon k manzr the sb..
or parso jo kahani likhi thi loate parinde..woh b humari chat ka manzr tha..:):x
 
  • Like
Reactions: Atif-adi

Atif-adi

-{عادي}-{Adi}-
VIP
Oct 1, 2009
34,469
21,486
1,313
Sharjah, U.A.E
wese anu is me u ne bht c bato per ghor kia hai bht se ese masle, bayan kiye hain, or bht si esi w choti choti khushiya jin se dil bagh bagh hote hain aj bhi.

sab se eham jo bat hai is me wo ye k humare is mashre me jaha mard taraki ker k agey ber rahe hain n shaher ki aurat bhi un k shana bashana chal rai hain, wahi dosri taraf, ye bhi ek kerwa sach hai k gaon me aurtein wohi mardo ki ghulami wali zindagi guzar rai hain,
ye masla humare mahzab ka kate hi nai hai, ye majra humare mashre ka hai. jaha aj bhi mardo k sath pehel aurtein kheto me bhi kam kerti hain phir bachu ko bhi khud sambhalti hain phir gher gharasti bhi khud dekhti hain jab k mard khet se ane k bad sirf hukum chalata hai uth ker pani bhi nai peeta, ye bat such hai k aurto ka or alrkio ka bhi para likha ba shaor hona bht zarori hai mashre me kamiyabi k lie, or ye mulk usi waqt tarakki karega jab aurto ko unk porey hukook milenge hun.wo mardo k sath kadam se kadam mila ker chale, or ye bat such hai jitna aj kal k larkey nai per rahe utna aj kal ki larkia parai me intrest leti hain, phir unhe kyu samjah k nam per gher ki char diwario me band kerdia jata hai. unhe bhi perne ka haq hai n jab tak un ka dil chahe haq hai, or jab ye haq milega us waqt sahi matlab me azadi hasil hogi hume, ye koi azadi nai k jaha sirf mard azad ho or aurtein aj bhi ked ho...

apni socho ko badalna hoga, women rights samjhna hoga. her beti ka haq hai k wo apne bhai k jese treat ho gher me.

very nice anu keep it up :)
 
woow that means k u ka irada hai teacher banne ka :)
well keep it up anu Allah u ko kamiyab kare :)
 
main ne dono pehlo ek sath bataen hain..ye haqiqat hai k gaon me uraten mardon se aksr zyda kam karti hain,apne haqooq hasil karna un k liye thora mushkil hota hai...dosra pehlu ye hai k larkiyon ko aage taleem hasil karne ki ijazat, to woh aksr mil b jati hai.gaon me log larkiyon ki taleem k itne khilaf nhi hote(yahan tak main ne dekha)..bs thora darte hain...kyun k bahir ki dunya uno ne itni dekhi nhi hoti or sada hote hain..jese us larki ko ijazat mil jati hai..isi tarha agar wakiye hi kuch kar dikhane ka hosla ho or maqsad aala ho to ijazat mil jati hai..pehle shyd na milti ho.lekin ab mil jati hai aksr..
yahan boht tabdiliyan aayi hain..wahan abi b kuch log usi soch ko liye huve hain,k larkiyon ne aage parh k kya karna hai..wo shyd thek nhi smjhate,..
parhne me kya burai hai,larkiyon ka taleem hasil karna b zaruri hota hai Islam is ki ijazat deta hai..
 
o nhi..bache pagal kr dete hain{(wacko)}..kuch din pehle ye tajarba b kia hai main ne.{(doh)}
hmmm..dekhte hain..kal ko kya hota hai :)
Ameen..shukaria
 
  • Like
Reactions: Atif-adi

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
masha Allah :)
ek aur behtareen tahreer apki taraf se
bohot khoob behna aur har baar ki tarah apne haqeeqat ko wazeh kiya hai

aur ek cheez jo hame chu gayi wo ye ke apni manzil ko pane k liye ham qurbani deni parhti hai
apne gaun shaher ghar dost sab ko chor kar door ham bhi aaye hain

aur hamare ek dost kehte hain hamse ke nasir bhai yahan hame mehnat ka nahi balke hamari qurbani ka paisa mil raha hai

jab ham ye sune to unki baat hame haq lagi

bohot bohot shukriya behna
Allah apke qalam me aur barkat de Aameen
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

Atif-adi

-{عادي}-{Adi}-
VIP
Oct 1, 2009
34,469
21,486
1,313
Sharjah, U.A.E
o nhi..bache pagal kr dete hain{(wacko)}..kuch din pehle ye tajarba b kia hai main ne.{(doh)}
hmmm..dekhte hain..kal ko kya hota hai :)
Ameen..shukaria
lols ye to hai, per mere lie, kyu k mujhe dantna nai ata bachu ko or ghussa bhi nai ata {(doh)}
per u can handle it u ko kya tens :p
 
Atif-adi

-{عادي}-{Adi}-
VIP
Oct 1, 2009
34,469
21,486
1,313
Sharjah, U.A.E
main ne dono pehlo ek sath bataen hain..ye haqiqat hai k gaon me uraten mardon se aksr zyda kam karti hain,apne haqooq hasil karna un k liye thora mushkil hota hai...dosra pehlu ye hai k larkiyon ko aage taleem hasil karne ki ijazat, to woh aksr mil b jati hai.gaon me log larkiyon ki taleem k itne khilaf nhi hote(yahan tak main ne dekha)..bs thora darte hain...kyun k bahir ki dunya uno ne itni dekhi nhi hoti or sada hote hain..jese us larki ko ijazat mil jati hai..isi tarha agar wakiye hi kuch kar dikhane ka hosla ho or maqsad aala ho to ijazat mil jati hai..pehle shyd na milti ho.lekin ab mil jati hai aksr..
yahan boht tabdiliyan aayi hain..wahan abi b kuch log usi soch ko liye huve hain,k larkiyon ne aage parh k kya karna hai..wo shyd thek nhi smjhate,..
parhne me kya burai hai,larkiyon ka taleem hasil karna b zaruri hota hai Islam is ki ijazat deta hai..
hmm yehi to kaha mene ye to purane zamne k culture hua kerte they k larkia per k kya karengi, jab k esa to islam me bhi kahi rok nia hai larkio ko bhi taleem hasil kerne ka haq hai :)
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

Hans_Mukh

~~ Catch Me if u Can~~
VIP
Dec 1, 2008
30,406
14,989
713
Logon Ki Soch May
Amazing Annu and True said

Abhi be hamray Pak may aisy Gaon majood hay jaha sirf naam k school hay teacher tu week may sirf aik yeh do baar he skool k rukh kertay hay aur un ki present k faryez skool k peon siranjaam daita hay jisy her month treacher apni taraf say kuch day dety hay jis per wo be khush rehta hay
 
  • Like
Reactions: Atif-adi

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
lekin manzalon ki chah me boht kuch khona parta hai..in chand saalon ki dori k bad ek roshan mustaqbil ki umeed use sabit qadam rakhe huvi thi..boht kuch tha jise badalna tha..jise tameer-e-nu ki zarurt thi..or abi to boht si muhabbaton ka qarz chukana tha..yahi sochte huve us ne ek bar phir khud ko tasali di thi.

bohat hi zabardast MASHAALLAH

beautiful message
keep it up annu
MAY ALLAH BLESS U AAMEEN :)
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

sOhNi_

Super Star
Sep 4, 2010
5,507
3,502
1,113
MASHALLAH....
bht bht bht hi acha likha hai appne sisoo.....
jis tarah ek lardki ki life biyan ki hai...zabardast....
bht interesting hai...
sorry tab pehly mene adhi pardhi thi and ab poori ki hai...
its really amazing ...keep writing and keep sharing
Khush Rahien
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~
Top