kya ye Muhabbat hai?

  • Work-from-home

Bela

~*~A|!c3 in w0nd3r|@nd~*~
Active Member
Feb 4, 2010
5,975
3,851
1,113
Madrid, Spain
bht khubsurat likha ha annu...........
ye waqai mohabat nai ha.....

aik baat kehna chahu gi topic se different ha bt....... bachon ko etimad dena chahye........
be'ja sakhti or rouk touk bhi insan ko bhaghi bna deti ha...
 
  • Like
Reactions: Qawareer

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
hmmm......pata nai yeh thread kaise dikh gaya mujhe....aur jab parhna shuru kiya to parhta hi gaya..shayad abhi mood tha parhne ka..
barhal...is topic par insan bht kuch likh sakta hai par jo bhi likha hia....sachaye bayan ki gae hai.....
thanks for sharing with us....
and very well written !!!!
 

aham

Newbie
Jan 29, 2015
1
2
3
gujranwala pakistan
really zindagi k bohat aham pehlo k ujagar kia hai ap ne aj kal ho b ye e sub raha hai galat hai ye sub
Sania pakoron ki plate table par rakhte huve Ahmad k pas hi sofe par beth gyi thi,Ahamd jo k TV dekh raha tha,kuch fasle par bethe Maham or Umar home work kar rahe the,Sania ki nazren jese hi TV ki tarf uthi..jahan shyd kisi Darul aman se koi programme dikhaya ja raha tha,Host la'wasir or be sahara uraton se baatain kar rhi.
achanak Sania ki nazr us tarf gyi or palatna bhool gyi..woh ek pal k liye bilkul sakat ho gyi,tezaab se adha jhulsa chehra bari bari lekin lekin be'ronak ankhen,is chehre par zindgi ka koi rang nhi tha,jahan sb kuch kho dene or pachtawe k asrat numayan the,Sania ek pal me is chehre ko pechan gyi thi..shyd woh kbi ise bhool b nhi sakti thi...kyun k ye us ki behan Hina thi..jo use apni jan se b zyda aziz thi.lekin jis k ek galat qadam ne aj use yahan la phenka tha..
chand saal pehle..
woh dono chat pe bethi musalsal chand ko dekh rahi the,jb b sham ko aksr light na hoti to woh dono yahan aa jati..ye dono behnen thin,jab'k Sania Hina se 3 saal bari thi,woh ek matwast(middle class) gharane se taluq rakhti then,dono hi boht khoobsorat thin.
achanak Hina Sania se mukhatib huvi thi..
Sani aapi ye chand kitna khoobsorat lg raha hai na,lekin itni dor jise hum chah kar b nhi pa sakte,khaash ye sb kuch humari dastarast(bass) me hota,wese humari b koi zindgi hai chatton pe beth kar chand dekhna or khawb bunna.ye b koi zindgi hoti hai bhala..urte parindon ko dekh kar to esa lgta hai jese hum kisi qaid khane me zindgi guzar rahe hain..Hina ne bari mayoosi se kaha tha..
tauba Hina,reham mango khud ka.itni achi bhali zindgi tumhe qaidiyon ki si lgti hai.tum ise qaid ka nam dy rahi ho,ye char'diwari tahafuz hai.is se bahir ki dunya boht be'reham hoti hai..lekin khair choro light aa gyi hai niche chalte hain..ye keh kar Sania wahan se uthi..
Hina ki nazren abi b chand pe tiki the..
Hina kuch cheezain sirf dor me dekhte me hi achi lgti hain..haqiqat me sb serab hai,tume pata chand b itna khoobsorat nhi..is me b dhag hain..to is tarha khoobsorati k piche bhagne se kya..khoobsorati insan k andr hoti hai,,chalo ab utho b,khuli ankhon se khawab dekhna band kro,o meri bholi behan....Sania ne Hina ko jhanjhorte huve kaha tha,,to un dono k kehke fiza me bikhar gye the..

aj use bilkul b nend nhi aa rhi thi..kitni hi dair ho gyi thi,woh yon hi leti huvi thi,woh waike boht khoobsorat tha,koi b use ek nazr dekhe to palat kar phir zarur dekhe,us ki sehar'angeez ankhain waike hi sehar me mubtila kar dene wali thi,aj woh jb Iram(jo k kuch din pehle hi un ki gali me aaye the or iram hina k sath college me b sath parhti thi,is liye woh jald dost ban gyi) k ghar gyi thi,us k bhai ko dekha,jo taqriban 19 saal ka ek khoobsorat larka tha,aj woh us se takrate huve bal bal bachi thi,us ne muskarate huve ese sorry kaha tha k ek pal k liye to hina ka hosh ki dunya me aana mushkil ho gya tha,tab se ab tak woh us ki soch ka marzak bana huva tha..
waqat guzarta raha,Iram or hina ki dsoti mazeed aage bhari,Hina ka un k ghr me aana jana kafi bhar gya,
isi doran ek zara sa waika kafi aage bhar gya...lekin kisi ko andaza tak na huva..

khair yon hi din guzarte rahe

Sania: Hina chalo utho jaldi se namaz parho shumaila k ghar chalte hain,muje use se kuch books leni hain,ye ghar me to farig reh kar boht boriyat ho jati hai..
Hina: rehne den na aapi,phir kbi chalen ge..
Sania: kyun abi kyun ne..or tum ye kya har waqat mobile se chipki rehti hon...kisi cheez ki itni aadat nhi honi chaheye,shumaila se main ne books ka kaha tha,woh ly kar aayen ge..to mil kar parhen ge..utho b ab..sust larki...
Hina boht be'zar si shakal bana kar wahan se uthi thi..
Us k jane k bad Sania ne mobile uthaya tha..ta'k Shumaila ko apne aane k bare me bata den..kuch lamhon bad hi mobile pe ek SMS receive huva tha..jise parh kar Sania ko sari kahani smjh aa gyi..goya us k peron tale zameen nikal gyi thi.Sania pichle kuch dino se apne exams me is qadr masroof thi k use Hina k is badle huve halat ka andaza tak na huva..

itne me Hina kamre me dakhil huvi,Sania ne use geer'yaqini se dekhte huve pocha tha.."ye sb kia hai Hina?? ye kon hai Hina?",us ne mobile us ki tarf bhrate huve kaha tha,
mujhe ye pata..Hina ne ghabra kar jawab diya tha
Hina tumhara nam pata hai use woh tumhe phir se college k bahir milne ko keh raha hai..Sania se phir pe roz dete huve kaha tha.
Hina kon hai ye..ab ki bar Sania gusse se chikhi thi,
dosri tarf se kuch jawab nhi aaya tha..hina chup khari rhi..
Sania ne kuch sochte huve Hina se phir pocha tha..hina kya sachi tumus se milne gyi ho pehle b?hina agar koi baat hai to mujhe bata main masle ko haal karne ki koshish karti hon.mujhe apni behan pe boht yakeen hai,or mere ami abu ki tarbiyat b esi hai k hum is mushre me izzat se ji saken,esa koi ghalat kam nhi kar sakte..chalo batao mujhe..Sania se boht etimad se hina ko dekh kar kaha tha..
koi baat nhi sani aapi..chalen ab chalte hain na..
woh darwaze ki tarf bhari thi..jb Sania ne us ka bazu khencha tha..mujh se baat kro hina..main tum se kuch poch rahi hon
sania k chehre par gusse k asrat numayan the..
Hina: kya hai sani aapi,kaha na kuch nhi hai..
Sania: jhoot mat bolo hina..kb se chal rha hai ye sb..or mujhe tum ne bataya b nhi..
Hina: sani aapi har baat batana zaruri hai apko..mujhe woh pasnd hai .bas
Sania: kya..??? sani ne herat se use dekha tha..
Hina: Iram ka bhai hai.boht acha hai,boht khoobsorat..woh b muje be'had pasnd karta hai..
Sania: sharm nhi aa rhi tume esi baatain karte huve,tumhe pata hai na ye sab galat hai..or khoobsorati kisi insan ko janchane ka mayar nhi hoti..sani ne gusse se Hina ko dekha tha..
Hina: kisi ne thek hi kaha hai,pyar me kuch b galat or sahi nhi hota..us ne be'niyazi se jawab diya tha..(lg raha tha..ab tak woh muhabbat nam ki us cheez me buri tarha girfitar ho chuki thi)..
Sania: wah..is tarha k baatain wohi log karte hain jin ka koi character na ho..phir woh khud ko bhehlane or apni baat ko sahi kehne k liye esi hi teesre darje ki kahaniyan gharte hain..
wese mujhe tum se kbi ye umeed nhi thi..tume pata hai ami abu ko pata chale ga..to kya ho ga..itni achi tarbiyat ki ..phir b tum kisi ki baaton me aa gyi..
Hina: aapi ap nhi smjh sakten.
Sania: Muhabbat humesha legal hoti hai Hina..jo illegal hoti hai..woh asal me Muhabbat hoti hi nhi,uski koi worth nhi hoti..jo waqat k sath kam ya zeyada ho ya khatam ho jaye..woh bhala kese muhabbat ho sakti hai..
kal ko jise soch kar apko hansi aaye ya jise ap apni bewaqofi aur nadani smjhen..woh muhabbat to nhi hoti na..
Hina:ye sachi muhabbat hai ..or dil pe kisi ko ikhtiyar nhi hota..
Sania: plz ab tum is zehni bemari or be'hayai ko Sachi muhabbat na kaho..aur agar woh banda waike hi tumhare sath sincere hota to kbi yon milne k liye na kehta..
is ki ijazat to humara Mazhab b nhi deta..han pasndidgi ho sakti hai..lekin use foran kisi rishte(nikah) me badal lena chaheye..is se behtar sachi muhabbat ki misal or koi nhi hoti..
Hina: sani ap nhi smjh sakti na..
Sania: tumhara kya khayal hai,k baki logo k sath halat pesh nhi aate,hina humari Zindgi me boht se log aate hain to hume kamzor karne ki koshish karte hain aur hume characterless sabit karna chahte hain..
bajaye is k hum in k umeedon par pora utren ek baat humesha zehan me rakhni chaheye..izaat se bhar kar koi cheez nhi..

main tume ye nhi kahon gi..tumhari is tarha ki kisi harkat se dosre kya sochen ge..tumhe khud is baat ko smjhana chaheye.k insan jb insaniyat k muqam se girta hai,apne kiradar ko pasti tak punhcha deta hai..to phir apne narzon me kahen ka nhi rehta.
Hina: to phir or kya kren..abu kbi nhi mane ge..Abu khandan se bahir kisi ki shadi nhi karte or Numan humare khandan ka nhi.
Sania: main Abu ko mana lon gi,khandan se bahir rishta karne me burai hi kya hai..agar woh shareef or parha likha huva to abu man jaye ge..agar waike hi woh(Nunam) apne jazbon me sacha ya us k wadon me koi sachai hai to woh baqaida tumhara rishta lene k liye aaye ga..
aur plz ab tum mazeed kisi kisam ki hamakat karne ki koshish mat karna,or na hi ab us se kbi milna..jo main ne kaha hai saaf saaf keh do us se..
dekho Hina jis baat ki ijazat humara Mazhab nhi deta woh sahi kese ho sakti hai..
Sania ne hina k hath ko apne hath me lete huve..use smjhane ki har mumkin koshish kar dali thi..

waqat par lgaye udhta raha.
ek subho jo un sb ki zindgi me gehre andhere ly kar aayi thi..Hina ghar chor kar ja chuki thi..or writing table pe Sania k liye ek khat chor kar gyi thi..
"Sani aapi main ja rhi hon..Numan kehta hai koi b humare rishte k liye nhi mane ga..woh mere liye jan b dy sakta hai..
ap ne shayed thek kaha ho..mujhe nhi pata..mujhe apne hise ki khushiyon aur apni zindgi jene ka haq hai..Allah hafiz"
to goya Hina ne apne liye tarik raston ka intikhab kia tha...use is baat ka andaza hi nhi tha k zindgi jeene ka izzat ki zarurt hoti hai..or khushiyon k liye sache jazbon ki .lekin jis raste ka intikhab us ne kia tha..wahan sirf zilat or ruswaiyan thi..umar bhar rog yahan zameer kbi insan ko chain nhi lene deta..
khair phir us ne hina k liye dua ki thi k us ki kismat me boht si khushiyan hon..

aur aj itne saalon baad jb Sania ne Hina ko yon is haal me dekha to us boht dukh huva tha..Hina ne khud apne liye in ujhar or tareek raston ka intikhab kia tha.kaash woh smjh sakti..
ghum or dukh ki shidat se Sania ro rahi thi..Ahmad ne use tasali dete huve chup karwane ki koshish kar raha tha..Sania ne ek nazr Ahmad or phir apne bachon ko dekha tha.us k irad gird Muhabbaten bikhri pari thi..Ahmad ki rafaqat ne use izaat,Muhabbat,mashre me ek aala muqam k sath khud apni nazron me humesha bulad rakha tha..
pata nhi kyun humari mujoda naslen kyun Muhabbat ko ghalat mafhoom dy kar apni zindgi ko barbaad kar lete hain...kirdar ki mazboti to mard aur urat dono k liye zaruri hoti hai,agar is baat ko dil se smjh lia jaye to humare mashre me be'hayai or dosri boht si ikhlaqi buraiyan janam na len..
 
Top