jal jatay hain

  • Work-from-home

hamza khatak

Newbie
Jul 6, 2008
4
2
0
garmi- a -hasrat- e -nakaam say jal jatay hain
ham charagon ki tarha sham say jal jatay hain

shama jis aag main jalti hay numaaish ka liya
hum ossi aag main gumnam say jal jatay hain

khud numai to nahi shewa -e- arbaab -e- wafa
jin ko jalna ho woh araam say jal jatay bhain

rabt baham pay hamin kiya na kahain gay dushman
ashna jab tayray payghaam say jal jatay hain

jab bhi aata hay maiyra naam tayray naam kay sath
janay kiun log mayray naam say jal jatay hain
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top