Jahan Rooza-e-pak-e-khairul Wara

  • Work-from-home

Azeyy

•´¯`•» RuDleSS AzeYY «•´¯`•
VIP
Aug 17, 2012
12,084
5,479
513
lahore
Jahan Rooza-e-Pak-e-Khairul Wara Hain
woh jannat nahin hai tu phir aur kaya hai
kahan main kahan yeh madinay ki galiyaan
yeh kismat nahin hai tu phir aur kaya hai
Jahan Rooza-e-Pak-e-Khairul Wara Hain
woh jannat nahin hai tu phir aur kaya hai
kahan main kahan yeh madinay ki galiyaan
yeh kismat nahin hai tu phir aur kaya hai
Mohammad ki azmat ko kaya pouchtay ho
keh woh sahib-e-Kaaba koosain tehray
Mohammad ki azmat ko kaya pouchtay ho
keh woh sahib-e-Kaaba koosain tehray
bashar ki sar-e-arsh mehmaan navazi
yeh azamat nahin hai tu phir aur kaya hai
bashar ki sar-e-arsh mehmaan navazi
yeh azamat nahin hai tu phir aur kaya hai
jo aasi ko kamli mein apni chupa le
jo dushman ko bhi zakhm khaa k dua de
jo aasi ko kamli mein apni chupa le
jo dushman ko bhi zakhm khaa k dua de
usse aur kaya naam de ga zamana
woh rehmat nahin hai tu phir aur kaya hai
usse aur kaya naam de ga zamana
woh rehmat nahin hai tu phir aur kaya hai
qayamat ka ik din muayin hai laikin
humaray liyai har nafs hai qayamat
qayamat ka ik din muayin hai laikin
humaray liyai har nafs hai qayamat
madinay se hum jaan nisaarun ki doori
qayamat nahin hai tu phir aur kaya hai
madinay se hum jaan nisaarun ki doori
qayamat nahin hai tu phir aur kaya hai
tum Iqbal yeh naat keh tu rahay ho
magar yeh bhi soucha k kaya kar rahay ho
tum Iqbal yeh naat keh tu rahay ho
magar yeh bhi soucha k kaya kar rahay ho
kahan tum kahan madhay mamdohay yazdaan
yeh jurat nahin hai tu phir aur kaya hai
kahan tum kahan madhay mamdohay yazdaan
yeh jurat nahin hai tu phir aur kaya hai
Jahan Rooza-e-Pak-e-Khairul Wara Hain
woh jannat nahin hai tu phir aur kaya hai
kahan main kahan yeh madinay ki galiyaan
yeh kismat nahin hai tu phir aur kaya hai
 

Abid Mahmood

~I AM ANTI ESTABLISHMENT~
Super Star
Sep 22, 2012
6,908
4,390
1,313
Very Nice sharing @Azeyy bro,
lekon ye Allama Iqbal ki poetry nahi ha,balkay aik Naat go shaayer hue hain:Iqbal Azeem..ye unki naat ha,so plz make correction,thanks.
 
  • Like
Reactions: Azeyy

Azeyy

•´¯`•» RuDleSS AzeYY «•´¯`•
VIP
Aug 17, 2012
12,084
5,479
513
lahore
Very Nice sharing @Azeyy bro,
lekon ye Allama Iqbal ki poetry nahi ha,balkay aik Naat go shaayer hue hain:Iqbal Azeem..ye unki naat ha,so plz make correction,thanks.
thkzz broo per me nat per ce sharing ki ha me b waha galt hu thkzz for coreection Brooo Sty Blessed B happy !!!
 
  • Like
Reactions: Abidi

Abid Mahmood

~I AM ANTI ESTABLISHMENT~
Super Star
Sep 22, 2012
6,908
4,390
1,313
sahid broo meny galt tab wali porty yaha share kr di
No prob...
Asal main ye mistake boht saray log iss lie kar jatay hain k zahir ha jo popularity Allama Iqbal ki ha wo kisi aur ki kahan?ye professor Iqbal Azeem sahib b chonkay shayeri main apna tukhalas Iqbal he use karte thay to iss lie aksar log yehi samajhte k ye Allama Iqbal ki Naat ha,shuru main mein b yehi samajhta tha,
anyway ye lajawab Naat ha,Iqbal Azeem sahib jo fout ho chuke hain,ye naabina thay,inki sari Naatain lajawab hain,
 
  • Like
Reactions: Azeyy

Azeyy

•´¯`•» RuDleSS AzeYY «•´¯`•
VIP
Aug 17, 2012
12,084
5,479
513
lahore
No prob...
Asal main ye mistake boht saray log iss lie kar jatay hain k zahir ha jo popularity Allama Iqbal ki ha wo kisi aur ki kahan?ye professor Iqbal Azeem sahib b chonkay shayeri main apna tukhalas Iqbal he use karte thay to iss lie aksar log yehi samajhte k ye Allama Iqbal ki Naat ha,shuru main mein b yehi samajhta tha,
anyway ye lajawab Naat ha,Iqbal Azeem sahib jo fout ho chuke hain,ye naabina thay,inki sari Naatain lajawab hain,
ha broo ye tu lafi jaga webs me asi mistake ha
or baki ye k Iqbal azeem shab ki naaty me bhoot kam sun paya hu wasey Broo ap ko itna knowledge kaha ce kia raaz ha ic k pechey :D
 

Abid Mahmood

~I AM ANTI ESTABLISHMENT~
Super Star
Sep 22, 2012
6,908
4,390
1,313
ha broo ye tu lafi jaga webs me asi mistake ha
or baki ye k Iqbal azeem shab ki naaty me bhoot kam sun paya hu wasey Broo ap ko itna knowledge kaha ce kia raaz ha ic k pechey :D
siraf shoq ki waja se,Naat ka boht shoq ha,
 
  • Like
Reactions: Azeyy
Top