Islamic sms

  • Work-from-home

Dreamy Boy

Tm Lecturar
Banned
Oct 31, 2009
33,484
10,995
1,313
Pakistan
Agar tum se koi poochay

...Batao,...


Zindagi kya hai?



(Hatheli pe zara si khaak rakhna aur urra dena).

{Hazrat Ali )


---------- Post added at 11:50 AM ---------- Previous post was at 11:49 AM ----------

Sardio'n Ka Mausam Momin K Liye
Bahaar Hy Is ki Lambi Raatei'n
Ibadat k Liye Kafi Hyn Aur Chotey Din,
Rozay K Liye Saazgar Hyn..."

~HAZRAT ALI (r.a)~


---------- Post added at 11:50 AM ---------- Previous post was at 11:50 AM ----------

Think Abt It ..........


Jab Gai Masjid-o-Mimber
Pe Nazar Eid k Baad

Aise Majrooh Huey
Qalb-o-Jigr Eid k Baad

Dar-o-Deewar-e-Masjid
Ne Kia Hum Se Sawal

Jo Namazi Thay Gaye
Ab Wo Kidher Eid k Baad ?

Jitna Ramzan Mein Kamaya
Tha Ganwaya Aakhir

Haye Chorhi Hi Nahi Koi
Kasar Eid k Baad

Mo'takif Thay Jo Masjid k
Sutoono'n Ki Trha

Koi Bhi Aata Nahi Nazar
In Mein Eid k Baad

Wo Tou Shetaan Hy Azaad
Hua Hy Lekin

Tu Musalman Hy Tu Aisa
Na Ker Eid k Baad ..


---------- Post added at 11:51 AM ---------- Previous post was at 11:50 AM ----------

Hazrat ALI Says

Shuru Sardi Me
Sardi Se Ehtiyat
Kro
Aur
Akhir Me Uska
Khair Makhdam
Kro

Sardi Jismo'n Me
Wohi Krti Hy Jo Wo Darakhto'n Me Krti Hy
k
Ibtida Me
Darakhto'n Ko
Jhulsa Deti Hy
Aur
Intiha Me
Sarsabz-o-Shadab Krti Hy

(NehJul Balagha PG: 843)


---------- Post added at 11:51 AM ---------- Previous post was at 11:51 AM ----------

Sawal hua NAMAZ Kitni
Zaruri Hy

HAZRAT ALI r.a Said
"Agr tum pani me duub
rahy ho or tumhe'n pata
ho k WAQT-e-NAMAZ hy
tou tum niyat ker lo
tmhari NAMAZ ho jayegi"


---------- Post added at 11:52 AM ---------- Previous post was at 11:51 AM ----------

Zindagi ko ZARURIAT
Mein Rakho
KHWAISHAT Ki Taraf Na
Le Jao
Zaruriyat Faqiro'n ki b
Puuri Hoti Hyn
Aur
Khwaishei'n Badshaho'n
Ki b Baqi Reh Jati Hyn
Hazrat Ali r.a


---------- Post added at 11:52 AM ---------- Previous post was at 11:52 AM ----------

Kabhi b Kamyabi ko dimaagh
me aur Nakami ko dil mei jaga
na dena
Q k
Kamyabi dimaagh mei takabur
aur Nakami dil mei mayusi peda
kr deti hy

Hazrat Ali (r.a)


---------- Post added at 11:53 AM ---------- Previous post was at 11:52 AM ----------

Dost Ki Koi Baat Buri Lage
Tou Khamosh Ho Jao
Agar Wo Dost Hy Tou
Samajh Jaye Ga Aur Agar
Wo Na Samjhy Tou Tum
Samajh Lena k Wo Tumhara
Dost Nahi ...


---------- Post added at 11:53 AM ---------- Previous post was at 11:53 AM ----------

Farman-e-MUSTAFA (S.A.W.W)

"Bandy ko QiYAMAT k Din Jab Uska AamaL-Nama Dia Jaye Ga Tou Wo Us Mein Aisi Nekiya'n b Dekhy Ga Jo Usny Kbhi Na ki Thi'n.

Wo Poochy Ga Ya RAB Ye Kahan Se Aai'n?
ALLAH Irshad Farmayega: "TeRi Bekhabri mein Logo'n ne TeRi GHEEBAT ki,
YE Unki Nekiy'an GHEEBAT Krny ki Waja se Tujhy Mili Hyn"
(KanzuL-AmaaL,KitabuL-IkhLaq,HadisNo.8077)


---------- Post added at 11:54 AM ---------- Previous post was at 11:53 AM ----------

Hazrat ALI (r.a) ne farmaya k:
"Main puri zindgi me sirf ek raat sukon se soya hon"
Pucha gaya "Wo kon c?"

Hazrat ALI(r.a)ny frmaya:
"Jis din AAP(S.A.W) ne frmaya k:
'Ae ALI kal tum ne maal-e-ghanimat taqsim kr k aana hy'
Q k
Sirf us raat mjhy yaqin tha k main subha zinda uthon ga"

SUBHANALLAH


---------- Post added at 11:55 AM ---------- Previous post was at 11:54 AM ----------

Qasai aawaz laga rha tha k taza gosht hy lelo.
Wahan se Hazrat Ali (r.a) ka guzar hua
tou us ne Hazrat Ali (r.a) ko b kaha
k Maula acha gosht hy aap b le jaye'n.

Hazrat Ali(r.a) ne kaha aaj meri jeb ijazat nahi deti, Qasai ne kaha main aap se udhar kr skta hon.
Iss pr Hazrat Ali(r.a) ne 1 hikmat se labrez
jumla kaha Aap ne farmaya

"YE UDHAR MAIN APNE PAIT SE KYUN NA KR LOO'N JIS KO MAIN JANAT MEIN IS SE BEHTER GHIZA KHILA SAKTA HOON"
* Subhan Allah *


---------- Post added at 11:55 AM ---------- Previous post was at 11:55 AM ----------

Jo 'KHUDA' ko naraaz ker k
logo'n ki khush-nudi hasil krna chahey
tou 'KHUDA' us ko logo'n per hi chorh deta hy...

Syed-u-Shuhada
HAZRAT IMAM HUSSAIN (R.A)


---------- Post added at 11:56 AM ---------- Previous post was at 11:55 AM ----------

AAP (S.A.W)
Se Pucha Gaya

Ya Rasool ALLAH (S.A.W)
Insan Ka Husn Kis Cheez Me Poshida Hy?

AAP (S.A.W)Ne Farmaya
Insan ka husn UsKi Zaban Me poshida hy


---------- Post added at 11:56 AM ---------- Previous post was at 11:56 AM ----------

Masrof zindgi NAMAZ ko
mushkil bana deti hai.


Laken NAMAZ masrof zindgi
ko B Aasan bana deti hai!




---------- Post added at 11:57 AM ---------- Previous post was at 11:56 AM ----------

Jis Trha Hum Apni Pocket My Pare Paiso
Ka Hisab Rakhte Hain
Kia Hum Aus Tarha Apni Namazo
Ka Hisab Rakhte Hain???


---------- Post added at 11:59 AM ---------- Previous post was at 11:57 AM ----------

'ALLAH' TALA ka farman hai:-
"Me ne apne bandon pr 3 khasusi ahsan kiye...

1- Maut k bad jism me badboo paida kar di warna koi apne pyaron ko dafan na karta.

2- Museebat k bad ahle aza ko Sabar-o-Sukoon diya agar na deta to in ki zindagi kabhi khushgawar na hoti.

3- Gandum aur Jow me keeray paida kiye agar na karte to log ussy sonay chandi ki tarah zakheera kar lete (is k nateejay me log bhookay merr jate)
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top