Internet Addcition

  • Work-from-home

SHB_Bhaiya

محمد شعیب ںاصر
Super Star
Jan 31, 2010
51,098
10,427
1,313
39
Karachi
Thanks SHB for ur comment
Behas se kisi bhi cheez ka final decision nhi nikalta :)
by the way Shoaib kia bat hai bare daant nikling tum ke?{}{:p
Arrey Thanks bol ke sharminda naa kero Miss Economics, ramzan hai naa to mai apne comments ghareebon mai bant taa rehta hon

:) {}{456
Lo jee behas se he to result nikalta perhe likhe log hamesha behas ker ke masail ka hal nikaltey hatha paee nahi kertey ;)
Acutally mujhe waisey he hansi aa rahi... after all bandey ko hansta muskarat rehna chahiye
Sadia ====>>> :)
Shoaib====>>> {}{456
Scene :) {}{456
 

Silent Soul

Banned
May 24, 2012
3,420
2,568
113
Karachi
Arrey Thanks bol ke sharminda naa kero Miss Economics, ramzan hai naa to mai apne comments ghareebon mai bant taa rehta hon

:) {}{456
Lo jee behas se he to result nikalta perhe likhe log hamesha behas ker ke masail ka hal nikaltey hatha paee nahi kertey ;)
Acutally mujhe waisey he hansi aa rahi... after all bandey ko hansta muskarat rehna chahiye
Sadia ====>>> :)
Shoaib====>>> {}{456
Scene :) {}{456
pata nhi kia bol rahe hoo_O
any way acha jee appko is naiki ka 70 gunah ajar milega Shukriya{}{43r5
 

Silent Soul

Banned
May 24, 2012
3,420
2,568
113
Karachi
Gr8 article :-bd
Superb research!

Keep sharing Silent soul ,,aap bohat achi article writer hain MASHA ALLAH!
Appke he reply ka wait kar rahi thi
appki encouragement ke baghair mai yeh nhi likh pati so thank u vry vry much
InshaAllah aur informative article bhi share karongi
 
  • Like
Reactions: hoorain

NXXXS

~` Weird `~
Superior Member
Apr 24, 2012
114,993
11,776
1,113
Bila shuba internet ki duniya kisi tilisim qadde se kum nhi. Duniya main rozana karoron log internet istemal karte hain.Internet appne under bhut sari malumat ka khazana samete howe hai ,app sirf ek click par appni matluba malumat tak rasai hasil kar lete hain.. Jesa ke har insani ijaad ke musbat aur manfi duno pehlu hote hain iss tarhan Internet ki afadiyat se katanazar yeh bhi haqiqat hai ke Humari mashraati iqtedar ,inferadi aur ijtemae akhlakiat internet ki baa'es buri tarhan mutasir horahi hai. Internet ke beja istemal ko mahireen internet addiction ka nam dete hain aaye jante hain laafz addiction ka matlab kia hai.
1.Sab se pehle addiction kia hai?
kisi bhi cheez ya kaam ka itna ziada karna ke usko apni adat bana lena addiction hai.
2.Kia addiction acha aur bura hosakta hai?
jee han addcition acha aur bura ho sakta hai missal ke tor kuch logon ko mukhtaleef auloom hasil karne ka shoq hota hai to kuch ko ziada se ziada malomat aikhatti karne ka addiction hota hai.
3.Kia net ka addiction acha hai ya bura?
Masbat sargarmiyun ke liye bhi net ka had se ziada istemal nuksan deh hai. Nafsiyat ke mahireen ke mutabiq ek he halat main ghanto bethe rehna humari dimagi and jismani sehat ke liye nuksan dehhai. Doctor young ek psychologist hain jinhon ne 1998 mai sab se pehle internet addiction ke bare mai ek test banaya jo ke ajj bhi net addcition ko janchne ke hawale se mustanid samjha jata hai.(http://www.tafrehmela.com/threads/lets-check-how-much-addictive-u-r-to-net-ready.202571/)
Dr.Young ke mutabiq " nai shaksiyat ko tkhleeq karma aur usse apni nafsiyati zarorton ko pora karne ke liye internet ka istemal karna ek ghalat tareeq –e-qar hai"(opinion pages: New York Times)
Gabriela ek 20 saal ki nojawan larki hai jo ke New York k eek college mai zere taleem hai ne Dr. Young ke test se istefada kiya. Gabriela ka kehna hai ke test ka natija dekh kar who kafi pareshan hoi. Gabriela aksar net par facebook use karti thi iske illawah usse searching ka bhi janoon ki had tak shoq tha jiski wajha se who aksar 4.am tak jagti rehti thi . Rat der tak jagne ki wajha se uski parhai bhi mutasir horahi thi usse apne laptop ke sath kabhi ghar mai to kabhi class mai soya howa dekha jata tha. Behar hal Gabriela ne apni adaton ko badal liya hai aur ab who net sirf zarorat ke waqat istemal karti hai. 14 saal ki Emma bhi kam-o-besh inhi masail se dochar thi.
(Opinion pages: New York Times)
Ab yahan yeh sawal uthta hai ke Net ki duniya mai aesa kia hai jo humain iska itna aadi bana deta hai? dekha yeh gaya hai online gaming,chatting,online shopping,music downloading aur social networking (facebook,wagera) ziadatar net istemal karne walon ko apni taraf khenchte hain. Jiski aehem wajha yeh ke ajj humari mushkilat aur parehsanion mai guzishta dihaiyun ki nisbat kai guna izaafa ho chuka hai aur inhi pareshaniyun ko nazarandaz karne ki tag-w-du main hum apni haqiqi aur saada zindaagi se dor bhagte hain jab hum yeh mehsoos karte hain ke haqiqi zindagi main jesa hum chahte hain aur jis tarhan ke log se taluqat rakhna chahte hain, wese halat aur log humen nhi milte to hum net ki duniya ko fantasy land samajh kar issi mai panha dhondne ki koshish karte hain aur apne kareebi rishton se dor hokar waqti rishton ki duniya mai gum hojate hain.
Tamam log to nhi lekin ziadatar net ko ache maqsad keliye istemal nhi karte. ek research ke mutabiq facebook users mai 10 years ki umer ke bachon ka aizafa horaha hai. yeh dekhte howe Stuart Crabb, jo ke Facebook’s executive offices ke director hain, ko akhir yeh kehna para ke
''Ab sab bas karen aur apni haaqiqi duniya main jaien aur logon main waqat guzaren''
Soren Gordhamer, Wisdom 2.0 ki founder ka kehan hai
''Main har Hafte ke din apne mobile aur net se peecha chora kar painting aur poetry mai waqat bitati hoon isse mere rouh aur dimag dono ko sookon milta hai''
Ab app andaza kar sakte hain Tech world and social networking ke founders net addiction ke bare mai kia sochte hain.
Ajj kal over gaming ke natije main tashadud tezi se virus ki tarhan phel raha hai aur bachon counter strike etc jaise games ki wajha se tashadud pasand bante jarahe hain jiske zimedar unke waleden hain.
Bachon ko kabhi itni azadi na dain ke woh jo chahen karain yeh keh kar apni jan nhi chura leni chahiye ke ''humare bache samjhdar hain humain in par bharosa hai''.Internet par Bachon ki sargarmiyun par pori nazar rakhni chahiye behter yahi hai ke unke sath beth kar unko painting,reading,writing ya kisi aur activities mai masroof rakhain take woh dimagi aur jismani tor par tandurust reh saken.
koi ijad khud burin hi htoi uska istemal usse acha ya bura banata hai. Internet ko maqsad ke tehat istemal karain aur fazol kamon mai waqat aur paisa kharch karne se guqaiz karain. Har shaks apne zindagi ke maqasid tashkil dete waqat kch asol bhi bana le to zindagi mai kabhi bhi koi bhi insan ya ijaad us se nhi bhatka sakti. Zindagi guzarne ka behtareen tareeqa yahi hai ke apna waqat ache kaamon mai sarf karain. [DOUBLEPOST=1344167707][/DOUBLEPOST]hoorain Zee Leo cutepoison Wasif Safi S_ChiragH
loag itnee lambi lambi kahanian kaisey likh laitey hein ?{(thinkg)} ap ko koi kaam nhee hota ??:p toubaaaaaaaaaa demaagh ka dahi ban ap ka article khatam honey mein nhee nhee araha .....
 
  • Like
Reactions: Silent Soul

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
Appke he reply ka wait kar rahi thi
appki encouragement ke baghair mai yeh nhi likh pati so thank u vry vry much
InshaAllah aur informative article bhi share karongi
aap likhti hi MASHA ALLAH itna acha n logical hain:-bd k muje aapko kehna hi parra :p
INSHA ALLAH likhti rhain muje intazar rhega :)
n pleasure is always mine ;)
 
  • Like
Reactions: Silent Soul

Silent Soul

Banned
May 24, 2012
3,420
2,568
113
Karachi
loag itnee lambi lambi kahanian kaisey likh laitey hein ?{(thinkg)} ap ko koi kaam nhee hota ??:p toubaaaaaaaaaa demaagh ka dahi ban ap ka article khatam honey mein nhee nhee araha .....
Arre wah! pora article parh lia:D
Chalo jee issi bahane tumne koi acha kam to kia:p[DOUBLEPOST=1344440392][/DOUBLEPOST]
aap likhti hi MASHA ALLAH itna acha n logical hain:-bd k muje aapko kehna hi parra :p
INSHA ALLAH likhti rhain muje intazar rhega :)
n pleasure is always mine ;)
Aww thankoo:">
Hehe yes! it's totally ur pleasure;)
 
  • Like
Reactions: hoorain
Top