Imtehaan

  • Work-from-home

SimpleB

Regular Member
Oct 24, 2014
74
37
18
Gar Ho Badal Mizaaj To Mausam Kahenge
Gar Ho Fana Zindagi To Qayamat Kahenge

Kal Jo Haqiqat Thi, Aaj Taarikh Ban Gayee Hai
Jo Imarat Falak-Bose Thi, Aaj Oose Malba Kahenge

Palko’n Pe Ashko’n Ki Qataro’n Ke Yun Mele Lage Hain
Insaa’n Ke Is Bikhrey Lamhe Ko Be-Basi Kahenge

Kashti Kinarey Lagti Hai, Qismat Ke Har Mallah Ki
Sabr Ka Patwar Na Chutha To Hausla Kahenge

Kyun Dhundley Nazar Aarahey Hain Chehre Aayeene Mein
Maazi Ki Un Khata’on Ko, Taqdeer Ka Faisla Kahenge

Kwabo’n Ke Gharondey Nahi Banate, Ummid Ke Sahil Per
Waqt Ki Khaufnak Lehre’n Agayee’n To Phir Kya Kahenge

Har Shaks Paresha’n Hai, Kyun Apne Hi Aashya’n Mein
Halaat Ke Kaante Chubhney Lage to Imteha’n Kahenge

Yun Be-Rukhi Se Chal Diye, Aaj Wo Mehfil Ko Chod’h Kar
Nigah Na Lauti Us Waqt, To Haal-e-Dil Kis Se Kahenge
 
Top