Namaz Hum Panch Waqt Ki Namaz Kyun Nahi Parhte ??

  • Work-from-home

Sprinkle

Newbie
Aug 14, 2009
63
73
0
36
Hum Panch Waqt Ki Namaz Kyun Nahi Parhte ??


My dear brother's and friends is waqt sare musalman apni manmani karahe hain pechle kahii saalo se batil ki mehnat se humne ALLAH ALLAH kay Rasool S.A.W se asar lena Akhrat se asar lena chordya hai ya yeh dil se hi mit chuka hai bas yeh duniya hi achi lag rahi hai muat kay baad
jo ane wali zindagi hai us se sab ghafil hain,yeh kainat ALLAH ki hai yeh zameen asmaan ALLAH ka hai yahan wo hoga jo ALLAH chahta hai Yahan wahan
wo nahi hoga jo HUm chahte hain sari hukumat ALLAH kay hath mein hai..is waqt tamam insaan ALLAH ki rehmat ko larkar rahi hai hum kisi kay bache baad mein hain musalman pehle hain ALLAH ko razi karte hoye koi naraz hojae to hojae humein yeh hukum hai ALLAH ko razi karein humare Nabi S.A.W ne arz kya
"Kash meri Ummat Sonay (Gold) ka Istamal Na kare "

Ab batao kitne hain naujawan jo shoq mein hi is ko use karte hain us ko pata nahi itna bara haram hai
humare Nabi S.A.W itna roye hain humare liye jitna koi nabi kisi kay liye nahi roya ALLAH nay quran mein itni tasali di hain Humare Nabi S.A.W ko Appitna ghum kyun karte hian itna kyun rote hain lekin itna tarpay wo humare liye itna yehi Nabi S.A.W jab humari nafarmaniyan dekhegein Ganay sunte sunte
jo mar gaya,namaz chordi,kabira gunahao yeh nafarmaniyan jab dekhegein to yehi Nabi S.A.W kahegein YA ALLAH yehi meri ummat hai
jis ne mera quran chor diya mere quran nay pukara inhone masjid ki rahein chordi mujhe batao sirf jummah ko itnay namazi kyun hote hain baki
panch namazo mein kaha chale jate hian kyun nahi ate? kia ALLAH yeh sirf anthway (8) din ALLAH ka rizk khate hain, kia yeh sirf anthway din ALLAH ka pani pete hain
Kiya yeh sirf anthway din ALLAH ki hawa ko andar le jate hain, kia yeh sirf anthway din ALLAH ki din hoyi ankho se dekhte hain, kia yeh sirf anthway din ALLAH ki di hoyi zaban se bolte hain,kia sirf anthway din beve ki pehlo mein let jate hain is pathar dil ko kia hua kyun nahi kholte is kay darwaze
pathar bhi ALLAH kay naam se kanpta hai par yeh Dil par koi asar nahi kesa dil hai kay panch dafa itna bara BADSHAH tumhe pukaray ek thanay dar pukaray ek dsp pukaray to sir pe pao rakh k bhagay or tumhara zameen asmaan ka BADSHAH panch dafa bulaya or hosh nahi or anthway din masjid ko arahe hon
kia anthway din khana khaya hai ase bewafai shaitan se karte apne nafs se karte yeh ALLAH se kyun ki hui hai zina karne ko gunah samjhte hain
Namaz ka chorna zina se bara gunah hai, namaz ka chorna qatal karne se bara jurm hai sajday ka hi to inkar kya tha shaitan nay Shaitan ne koi zina kiya tha koi qatal kia tha koi sharab pi thi ? kia kara ? koi shirk kia tha ? Shaitan nay ek sajday ka inkar hi kia tha or wo humesha kay liye mardud hogaya
us musalman ko hosh nahi hazaro sajdo ka inkari kare betha hai phir aram se roti khata hai jis nay fajar kay sajdo ka inkar kia phir zohar kay sajdo ka mazak uraya
phir asar ka mazak uraya phir magrib or isha ka mazak uraya phir anthway din masjid ko aya kia wo is baat se nahi darta kay ALLAH us mardud na karde ?
to kia hoga us din jis nafs ki khatir ALLAH se bhagawat ki utha nahi jata,aya nahi jata,andhera bohat hai kia qabar kay andhere yaad nahi hai kia janant ki nematein bhol gaya
wo ALLAH ka deedar bhol gaye, wo ALLAH ki mualakat bhol gae yeh kesa islam hai yeh kesa islam hai jo kamanay mein to ase masst hain kay hosh nahi or
ALLAH bolaye to hosh na jawan ko hosh, na mard ko na aurat ko na bazar band ho yeh kesi wafa hai? or ase wafaon wala ALLAHnigal jaon samandar bolein char jaon farishte boley utar jaein or jis kay sajdo ka inkar hua para wo jis ki gherat khud josh mein arahi
yeh mere bane hoye ganday pani se hoye mera khate hain mera khate hain mere paniyon se zinda mere diye hoye nizam se zinda yeh mere hi munkir
jis nay itna bara wujud bakshah zaban ko bolne ki takat di,danto ko katne ki takat di, yeh zameen kis ne bhicha kay di ??
zameen boley ijazat day in ko
Meine hi tumhare liye galla bhi banaya bhosa bhi banaya
kyun meri nematon ko jhutlate ho ?? kyun mere bhagi bante ho ??

mein tumhare mashriq ka bhi rab hon magrib ka bhi rab hon shumal ka bhi rab hon junub ka bhi rab hon
phir bhi tum mare bhagi hogae? phir bhi meri nematon ko jhutlate ho ??

tumhe matti se banaya jin ko agg se banaya ??
kyun meri nematon ko jhutlate ho ?kyun inkar karte ho ?

tumhe pata nahi hai mein ne 2 pani chalaye ek karwa ek mitha us mein parda rakha kay dono alag alag chalein
tum dekhte nahi ho tumhare pani kay jahaz tinkay se aram se mere samandar mein us par lag jate hain or mein toofano ko rokata hon
kyun mere bhagi bante ho ?? kyun meri nematon ko jhutlate ho ??

tumhe pata nahi tum sab mar jaogay tumhara rab baki rahega
kyun meri nematon ko jhulate ho ?

tumhe pata nahi har roz meri shaan juda hai
kyun meri nematon ko jhutlate ho ?

nahi sunte ho ?? to sun lo mein ankarib aney wala hon hisaab kitab ka nizam chalane wala hon
kyun jhutlate ho kyun bhagi bante ho ??
Ae Insaan hosh mein aa ae jinnat hosh mein aaa



Chorde sab ka dar tujhe is dar se sab milega mera banda meri talab mein aa mein wada karta hon tujhe mil jaonga mein mila tujhe sab kuch mila mein na
mila tujhe kuch na mila


arey mere dosto yeh namaz ki ghaflat bohat bari halakat hai bohat bari halakat hai mein kese samjhaon pata nahi app log yeh parhegein bhi ya nahi
kis ALLAH se bhagwat karahe ho mere dosto malik hai wohi malik hai panch dafa bulata hai loud speaker se bulata hai pehle apni shaan batata hai


ALLAH O Akbar ALLAH O AKBAR


Koi hai us jesa nahi us jesa koi nahi hai koi nahi hai
Ashadu ALAILAHa ILLAH

Us tak pounchne ka kia rasta hai
Ashadu Ana Muhammad Ur Rasoolullah

Kyun humne ALLAH ko chora hai pehle ki Quamay jo ae thin wo bhi yehi karte they jo hum karahe hain hum sirf Muhammad E Mustafa S.A.W ki duaon se bache hain warna hum bhi bandar khinzir bana diye jate or ase gunha hain mujhe to ase lagta hai kahin hum bana hi na diye jaein kitni nafarmani ab bas bhi kar jaein please bas bhi kar jaein kia milta hai 2 sec ki lazzat nafs ko haram ek din to akela so jana hai pata nahi kia hoga qabar mein pata nahi ALLAH mardud na karde kyun ALLAH ki nahi mantey hum kyun nahi mantey kyun akhir kyun ? :(
 
Top