Hazrat Ibraheem Alaihissalam :

  • Work-from-home

Aks_

~ ʍɑno BɨLii ~
Hot Shot
Aug 2, 2012
44,916
17,651
1,113
HAZRAT IBRAHEEM ALAIHISSALAM :

is baat ki hikayat kirmani ne apni kitab AL AJAEB me ki hai ke Hazrat IBRAHEEM Alaihis Salaam AZAR ke bête hain, aur azar ka naam TAREH tha,aur wo NAHOOR SHAROOKH ke bête hain.
IBRAHEEM ibne AZAR ibne NAHOOR SHAROOKH ibne RAQGOO ibne FALAKH ibne AABIR ibne SHALIKH ibne AZAFSHAKHAD bin SAAM bin NOOH Alaihis Salaam .
Ek qaul ke mutabiq hazrat IBRAHEEM Alaihis Salaam takhleeq e ADAM Alaihis Salaam ke 2 hazar saal ke intehai sire per paida hue. Aur mustadrak me anb ul musayab ke tareeq par hazrat abi huraira raziallahu anhu se marwi hai ke unho ne kaha “ IBRAHEEM Alaihis Salaam ne 120 saal ke bad khatna (circumcision) karaya tha, aur wo 200 saal ki umr paker faut hue “aur imam nowi ne ek qaul ki hikayat ki hai jis se maloom hota hai ke Hazrat IBRAHEEM Alaihis Salaam ne 175 saal ki umr paai…


HAZRAT ISMAEEL ALAIHISSALAM : Jwalegi ka qaul hai ke ye naam akhar me NOON ke saath bhi kaha jata hai “ISMAEEN”.
Imam NOWI wagerah ne likha hai ke ye hazrat IBRAHEEM Alaihis Salaam ke bade bête hain. Huzoor Muhammad Mustafa sallallahu alaihi wasallam in hi ki nasal me se hain.
 
  • Like
Reactions: Shikra-e-Ab'bar
Top