Namaz Faraiz-e-Ebadat (Namaz)

  • Work-from-home

dream girl

Khwabon se bahre Naina
VIP
Jul 30, 2008
20,331
11,629
0
ITALY
Namaz Islam ka 2nd rukun hai. Kya hum Namaz parhte hai. Agar parhte hai tu kya Sharait, Faraiz ya Wajibat ka khayal rakhte hai. Kya hume pata hai k Namaz ke 6 Sharait, 7 faraiz, 30 Wajibat, 96 Sunnate, 14 Mustahabbat aur 32, Makroohat-e-tanzeehe hai. Kya hume enn sab ka pata hai. Enn mein se eak shart, eak Farz, eak Wajib, eak sunnat, aur eak Mustahab ke baat karte hai.

Muslamanoo ke ek ta'adat hai jo Namaz ko etne awaz se nahi parhte k khud suun le balke etne kaam awaz se k khud na sunn sakee ya dil mein parhte hai.

Yaad rakhe Namaz mein jo parhna Farz hai uss ko etne awaz se parhna farz hai k khud apne kaan se suun le esse tarha jo parhna wajib hia uss ko bhi etne awaz se parhna Wajib hai k khud suun le esse tarha jo parhna sunnat aur mustahab hai uss ko bhi etne awaz se parhn Sunnat aur Mustahab hai k khud apne kanoo se sunn le.

Takbee-r-Tehreema yani namaz mein dakheel hone k leye jo Takbeer lagai jate hai wo shart aur farz dono hai agar etne awaz se na kaha k khud suun le tu namaz shuru he na hue.
agar Farz ko bhi etne awaz se na parha tu bhi namaz na hue aur agar wajib ko bhi na parha tu Namaz Wajib-ul-eadaa hogee yani zindagi mein phir se namaz lootane hogee.


Kya hum ess mein kotahee tu nahi kar rahe. Behter yeh hai k poore namaz etne awaz se parhe k khud apne kanoo se sunnle. Ess se koi shart, farz, wajib, sunnat, mustahab Inshallah tark nahi hoga.


Ha agar jaha namaz parh rahe hai waha shor ho raha hai aur ess waja se awaz na sunn sakee tu wo alag baaat hai.

Allah se dua hai k wo humee esse namaz parhne ke Taufiq dee jo uss ke bargha mein qabool-maqbool-manzoor ho.
Ameen Summa Ameen
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top