Faisla

  • Work-from-home

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113

Insan ki zindigi faisla kerne ki ehmiat ke sabab se ehem hai...magar afsos tou yeh hai ke woh aik faisla kerne ke bajaye faislay hi kerta rehta hai...Faislon ke dam se urooj hasil kerta hai aur faislon ke dam se hi zawal. Yeh be-had ajeab baat hai ke hamari zindigi ko behad mutasir kerne walay faislay ittefaqan hi ho jatay hain.

Baaz dafa faisla kerna bht mushkil hota hai..Insan ke samnay bht se rastay hote hain, woh sochta hai ke kon sa rasta behter rahay ga.. Yeh soch usko kisi faislay per pohonchnay hi nhi daiti aur phie yeh log apni tanhayion mein apnay mazi ke mumkinaat dohratay hain. Jazbat bhara dil jazbat se mehroom ho chuka hota hai. Ab wapis jana mumkin hi nhi hota, agay janay ka hosla nhi hota, phir woh apney a ko daikhtay hain kabhi rehem ke sath aur kabhi ghussay ke sath.

Apney kaam Allah ke supurd ker dene walay mutma'in rehtey hain. Jo ho so ho hamein apney faislay Allah ke huzoor paish kertay rehna chahiyein takay ham behek na jayein. Zindigion ke faislay kertay kertay insan ki apni rukhsat ka faisla suna dia jata hai. aur phir sab faislay akarat. sab hasil, lahasil....!


From:- Dil,derya, samander
By:- Wasif Ali Wasif
 
Top