Ek Haqeeqat

  • Work-from-home

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Assalamu Alaykum Wrwb :)
kaise hain doston umeed hai sab theek honge
apki khidmat me bohot dino baad ek choti si koshish lekar ham hazir huye hain
ye poetry ham bohot dino pehle likhe the lekin TM me nahi hone ki wajhe se yahan share nahi ho payi

ye aaj ke mushre par hamne likha hai jo hamne mehsoos kiya hai waise ye mukhtasar sa hame laga aur bhi likhna tha lekin zyada taweel parhne me bhi mushkil hojata hai isliye phir soche iska dusra part bhi bana denge baad me inshAllah

jaise ke hamari koshish hoti hai ke acha sa msg den apne toote phoote kalaam ke zariye
to ye rahi hamari ek koshish umeed hai aap sab ko pasand aayegi



Ek Haqeeqat




Main Ek Haqeeqat Likh Raha Hun
Mere Dil Ki Kaifiat Likh Raha Hun

Dil Tham Ke Parhna Baton Ko Meri
Daur e Hazir Ki Wazahat Likh Raha Hun

Jo Dekha Hai Maine Zamaane Mein
Aankhon Ki Shahadat Likh Raha Hun

Rishwat Ke Bagair Koi Kaam Nahi Banta Yahan
Ragrag Me Basi Rishwat Likh Raha Hun

Khate Hain Yatimo Ka Maal Aur Mathe Par Bal Nahi
Yateemo Ki Lut'ti Amanat Likh Raha Hun

Zulm Dekh Kar Muskurate Hain Ye Loog
Inke Cehron Ki Laanat Likh Raha Hun

Insaaf Ki Nahi Rahi Aub Dunia Yaron
Logon Ke Badalte Nazriyat Likh Raha Hun

Insano Ki Shakl Me Darinde Base Hain Yahan
Insano Me Basi Haiwaniat Likh Raha Hun

Siasat Ki Kursi Hai Gareebon Ke Kandhon par
Gareebon Ki Miskini Zillat Likh Raha Hun

Kanoon To Rehgaya Bas Ab Kitabon Me Mehdood
Wardi Ki Main Asaliat Likh Raha Hun

Fashion Ke Naam Par Aurton Ko Karte Hain Neelam
Europe Ke Gande Khayalat Likh Raha Hun

Beti Ki Ab Nahi Rahi Izzat O Iffat Yahan
Har Jagah Phaili Shawat Likh Raha Hun

Dil Ko Aub Kisi Pe Bharosa Nahi Raha
Khud Pe Guzri Museebat Likh Raha Hun

Aaj Bhi Waqt Hai Thamlo Daman e Islam Logon
Daar -e- Faani Se Najat Likh Raha Hun

Aur Kya Likhun Kitna Main Likhun Nasir
Qalam Se Mere Main Sadaqat Likh Raha Hun



 

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
Walaikum Salam Wrwb :)
pahlay bhi read ker chuke hu aur ek bar pir read ker k acha laga
aap ne es poem k zeryia ek buhut acha msg likha hain aajke youth k lie...
aur poetry MashAllah as usual superb hain :)
keep it up...

Khate Hain Yatimo Ka Maal Aur Mathe Par Bal Nahi
Yateemo Ki Lut'ti Amanat Likh Raha Hun

Zulm Dekh Kar Muskurate Hain Ye Loog
Inke Cehron Ki Laanat Likh Raha Hun

Insaaf Ki Nahi Rahi Aub Dunia Yaron
Logon Ke Badalte Nazriyat Likh Raha Hun

Insano Ki Shakl Me Darinde Base Hain Yahan
Insano Me Basi Haiwaniat Likh Raha Hun


belkul sahi kaha, something we All have to ponder about...
 
  • Like
Reactions: ~Prince-Farry~

Wasif Safi

!!pRaISe D CReAtOr!!
Banned
Oct 1, 2009
14,987
4,810
513
Hyderabad, India
Masha'ALLAH bohot khoob likha nasir bhai aapne..

Bohot khoobsurat intekhaab bhai aur kya khoobsurti se aapne zindagi ke baare me likh diya...

Ye ek haqeeqat hai, aage bhi likte rahiye....
 

RedRose64

Co Admin
Mar 15, 2007
42,742
28,183
1,313
Canada
walikum salam

bohat khoob.. bohat acha lag raha ha itnay dayz baad apki poetry parh k
keep sharing:)
 

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
Wa'alaikum assalam bhai jan bohot hi achhi ghazal likhi hai

aur haqeeqat per mabni hi likhi hai be shaq aur bohot hi khule

alfaaz mein sach mein wazahat hi hai isme

hum bhi kuch toota phoota peish kiye dete hain
itna umdah parhne ke baad itna to karna chahiye

ke


Hoti rang e ishq mein bhi milawat likh do
likhni hai to subhi ki haqeeqat likh do

kar rahi hai jo tabaah musalmaanon ko
use maghrib ki tum syaasat likh do

bachegi jaan jo hubbe watni ko ghote
tum is adaalat ko haqqi adaalat likh do

ulfat nahin yeh saadgi hogi jo tum
pur suroor adaon ko sharafat likh do

mein andaz e likhaiy se pehchan loonga
bhale hi khat me jhooti haalat likh do

jab bhi koi haal e watan poochhe tum se
yahan kaafiron ki hai hukoomat likh do

kabhi koi talkh pan pe sawal kare to
ashaar ko hoti sach ki zaroorat likh do

***S_ChiragH***
 
  • Like
Reactions: Asma24 and Sabah

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Wah wah wah excellent saviou....
bahut umdaaa
aur Saifooo apke ashaar bhi qabil e tareef bhayi...
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Walaikum Salam Wrwb :)
pahlay bhi read ker chuke hu aur ek bar pir read ker k acha laga
aap ne es poem k zeryia ek buhut acha msg likha hain aajke youth k lie...
aur poetry MashAllah as usual superb hain :)
keep it up...

Khate Hain Yatimo Ka Maal Aur Mathe Par Bal Nahi
Yateemo Ki Lut'ti Amanat Likh Raha Hun

Zulm Dekh Kar Muskurate Hain Ye Loog
Inke Cehron Ki Laanat Likh Raha Hun

Insaaf Ki Nahi Rahi Aub Dunia Yaron
Logon Ke Badalte Nazriyat Likh Raha Hun

Insano Ki Shakl Me Darinde Base Hain Yahan
Insano Me Basi Haiwaniat Likh Raha Hun


belkul sahi kaha, something we All have to ponder about...
bohot bohot shukriya mohtarma :)
waise abhi bohot saari poetries hain jinhe aap ko design karna hai tayyar rahiyega :p
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Masha'ALLAH bohot khoob likha nasir bhai aapne..

Bohot khoobsurat intekhaab bhai aur kya khoobsurti se aapne zindagi ke baare me likh diya...

Ye ek haqeeqat hai, aage bhi likte rahiye....

bohot bohot shukriya janab :)
zaroor aap sab ki hausla afzai milti rahe to likhte rahenge inshAllah
 

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
Wa'alaikum assalam bhai jan bohot hi achhi ghazal likhi hai

aur haqeeqat per mabni hi likhi hai be shaq aur bohot hi khule

alfaaz mein sach mein wazahat hi hai isme

hum bhi kuch toota phoota peish kiye dete hain
itna umdah parhne ke baad itna to karna chahiye

ke


Hoti rang e ishq mein bhi milawat likh do
likhni hai to subhi ki haqeeqat likh do

kar rahi hai jo tabaah musalmaanon ko
use maghrib ki tum syaasat likh do

bachegi jaan jo hubbe watni ko ghote
tum is adaalat ko haqqi adaalat likh do

ulfat nahin yeh saadgi hogi jo tum
pur suroor adaon ko sharafat likh do

mein andaz e likhaiy se pehchan loonga
bhale hi khat me jhooti haalat likh do

jab bhi koi haal e watan poochhe tum se
yahan kaafiron ki hai hukoomat likh do

kabhi koi talkh pan pe sawal kare to
ashaar ko hoti sach ki zaroorat likh do

***S_ChiragH***
very nice aapka poetry bhi behtereen hain :)
keep it up...
 

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar


bohot bohot shukriya mohtarma :)
waise abhi bohot saari poetries hain jinhe aap ko design karna hai tayyar rahiyega :p
yeh tu aapke TM pe ane se pahlay he dehan mei tha
k aap ayenge tu humare, aapke de gaye hue tasks pir se shoro...
but honestly as usual I'll be glad to design your poetries :)
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313


yeh tu aapke TM pe ane se pahlay he dehan mei tha
k aap ayenge tu humare, aapke de gaye hue tasks pir se shoro...
but honestly as usual I'll be glad to design your poetries :)
shukran shukran :)
agar aap na karte to phir wo tareeqa istemal karna parhta hamen pata hai na /:)
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Wa'alaikum assalam bhai jan bohot hi achhi ghazal likhi hai

aur haqeeqat per mabni hi likhi hai be shaq aur bohot hi khule

alfaaz mein sach mein wazahat hi hai isme

hum bhi kuch toota phoota peish kiye dete hain
itna umdah parhne ke baad itna to karna chahiye

ke


Hoti rang e ishq mein bhi milawat likh do
likhni hai to subhi ki haqeeqat likh do

kar rahi hai jo tabaah musalmaanon ko
use maghrib ki tum syaasat likh do

bachegi jaan jo hubbe watni ko ghote
tum is adaalat ko haqqi adaalat likh do

ulfat nahin yeh saadgi hogi jo tum
pur suroor adaon ko sharafat likh do

mein andaz e likhaiy se pehchan loonga
bhale hi khat me jhooti haalat likh do

jab bhi koi haal e watan poochhe tum se
yahan kaafiron ki hai hukoomat likh do

kabhi koi talkh pan pe sawal kare to
ashaar ko hoti sach ki zaroorat likh do

***S_ChiragH***
shukran bro :)
aur bohot khoob
lag raha hai ye hamare hi kalaam ka hissa hai alag zaviye se
jazakallah khair
 
  • Like
Reactions: S_ChiragH

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
waliekum assalam bht gehrayi hy apki poetry me bht gehra sach aur umda poetry hy janab keep sharing:)
 
Top