dukh k jangal (ghazal)

  • Work-from-home

dream girl

Khwabon se bahre Naina
VIP
Jul 30, 2008
20,331
11,629
0
ITALY
dukh k jangal maiN phirtay haiN kab say maaray maaray log
jo hota hai seh laitay haiN, kaisay haiN baicharay log

jeewan jeewan hum ne jag maiN khail yehi hotay daikha
dheeray dheeray jeeti duniya, dheeray dheeray haray log

waqt singhaasan par baitha hai, apne raag sunata hai
sangat dainay ko patay haiN sansoN k uktaray log

naiki ik din kam aati hai, hum ko kia samjhatay ho
hum ne bay bas martay daikhay kaisay piyaray piyaray log

is nagri maiN kiyoN milti hai roti sapnoN k badlay
jin ki nagri woh hi janaiN, hum thehray banjaaray log!
 
Top