Din Ki Dastak Pe Jaagne Waalo!(imran Narmi)

  • Work-from-home

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
tum ne ye maajra suna hay kia
jo b hona hay ho chukka hy kia

ye jo tadbeer kar rha hun main
ye b taqdeer may likha hy kia

din ki dastak pe jaagne waalo
phir koi khawab bunn liya hy kia

wo musafir jo raaston may nhi
manzilon se guzar gya hy kia

urtey phirtey ho kin hawaon may
zair-e-paa koi aabla hy kia

aey maseeha muje bta to sahi
dard hi ab meri dawa hay kia

dil badal jaaye ghar badal jaaye
aadmi ka koi pta hay kia

kia kahun kia samajh may aaya hy
dar-haqeeqat ye sisila hy kia

manzilon se guzar k samjha hun
ye safar kia hy,,rasta hay kia
 
Top