Debate Round - Team A Vs Team B - 2nd Round ( Back To Back Games Again)

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

Jahil

Banned
Jul 1, 2011
9,323
3,289
363
Karachi
wese ek baat main or kahonga ke maar se bachon ki shaksiyat bigar jati hai or woh life main hr cheez ko pane ka zariya maar ko hi samjh lete hain kyunke bache to kora kaghaz hote hain hum in kaghaz per aaj jo kuch likh dete hain kal ko wohi kuch hamen parhna bhi parta hai
to phir hamara farz b banta hai ke hum in kore kaghazon per piyaar likhen taake kal yeh bare ho ker piyaar bikheren
 
  • Like
Reactions: Mahiya

Jahil

Banned
Jul 1, 2011
9,323
3,289
363
Karachi
phool jaise bachon per haath uthana maar peet karna i think hamare muashre ka ek bara almiyah hai aj kal ke logon ke zehno pr yeh baat sawaar ho chuki hai ke bachon ko agar achi tarbiyat deni hai to unke saath mar peet krna boht zarori hai jabke yeh na sirf ghalt hai balke meri nazr main zulm hai or bara hone ki wajah se choton pr zulm krna hai insaan ko ek deo ki tarha taqatwar zaror hona chahiye lekin ek deo ki tarha apni taqat ka najaiz istimaal nahi karna chahiye kyunke yeh zulm main hi aata hai
main maanta hon kuch bache thore ziddi hote hain baat ko dair se samajhte hain kam aqal hote bad dimagh hote hain chalo theek hai yaar maan leta hon @Mahiya ki two copy hote hain lekin iska matlb yeh to hargiz nhi hota na ke unhe choti choti baat samjhane ke liye maara jai aap piyaar se b samjha sakte ho yaar beshak mahiya ki tarha kamaqal hone ki wajah se thora dair se samjhe ga apki baat lekin mahiya ki tarha kasam to nhi kha lega na na samjhne ki so mera mashwara yehi hai ke bachon ke sath hamesha piyaar se baat karen kyunke parwarish ke douran jo kuch ap apne bachon ko sikhayenge kal wohi kuch apke saamne ayega ap maar peet sikhainge to kal woh bare ho ker apke poto or nawason ke sath maar peet karenge to apka kaleja b jale ga lekin ap apne bachon ki parwarish main piyaar ko importance denge to kal ko woh b apni ulaadon ke sath piyaar se pesh ayenge or jab har insaan apne se choton se maar peet karne ke bajai piyaar baante ga to hamara muashra piyaar ka gehwara ban jaiga har tarf gali muhalle main khirkiyon balkaniyon or ghar ki chatton per sirf piyaar hi hota nazr ayega internet use karenge to yahan b sirf piyaar karenge school collage jainge to wahan bs piyaar hi karenge jahan nazar dorainge koi na koi larka kisi na kisi larki ko piyaar se ishare kr rha hoga har tarf piyaar piyaar or sirf piyaar hi hoga
 
shzd

*$* ShAzi Ch00zA *$*
Super Star
Jun 24, 2013
5,292
1,542
1,313
jannat
AAAJ K TARQQI YAFTA DOR MN PURI DUNYA K PSYCHOLOGISTS NE TAALEEM O TARBIAT K LIY IS BAAT KO TASLEEM KIA HY K TAALEEM O TARBIAT K MAQASAD K HASOOL K LIY SIRF AUR SIRF PAYAR HI AISA TAREEQA HY.JIS K TARBIAT K MAQASA HASIL KIY JAA SKTY HAIN.
SB LOGON PE YEH BAAT AYAH HY Y ABB PAKISTAN MN BHI ISKO HAKOOMTI SATAH PAR APPLY KR DIA GAYA HY.
MAAR TO NA KISI CHEEZ KA HAL HY NA HI USKA KOI FAIDA ULTA NUQSAAN HY .
AUR PURANY AUR FARSOODA TALEEM O TARBIAT (MAAR WALY) WALY SYSTEM KO ABB KHATAM KR DIA GAYA HY.KIUN LOG ABB JAHILIAT SE NIKAL AAY HAIN.
PAYAR SE HI BACHON KI BEHTREEN SE BEHTAR TARBIAT KI JA SKTI HY
 
Jahil

Banned
Jul 1, 2011
9,323
3,289
363
Karachi
abi chonke team A ka koi b member online nhi hai isliye hm unki adam mojodgi ka najaiz faida nhi uthainge or unke online aane ke baad hi replies karenge
 
  • Like
Reactions: shzd

Abid Mahmood

~I AM ANTI ESTABLISHMENT~
Super Star
Sep 22, 2012
6,908
4,390
1,313
Team b k meray muazaz sathi bogus arguments se ye sabit karnay ki koshish kar rahay hain k bachay ki tarbiyat siraf piyar se hoti ha halan k practical surat hal iss se mukhtilaf ha,yaqeen nahi to govt school k teachers se puchiyay,kuch arsa qabal govt ki taraf se talemi adaron main saza par pabandi lagai gai aur mar nahi piyar ka naara buland kiya gaya,lekon ye concept buri tarha nakam hua aur govt school k teachers be basi ki tasweer banay nazar aatay hain aur shikwa kartay hain k saza na honay se bachay bigar jatay hain aur teachers ki bat b nahi mantay.
@Mahiya @Hoorain @Asif_Khan @Shailina
 
  • Like
Reactions: Shailina and Mahiya

attiya

TM Chiryah
TM Star
Feb 2, 2013
3,974
1,473
813
Lahore
ASSALAM ALIKUM
hmm jo aj topis mila ha hame woo ha "BACHOO KI TARBIAT ME MAAR BHI ZARORI HAI "
ye bt bikul sahi ha ke bachooo ko tarbiat me maar bhi zaruri ha kiun ke bache zaida pyaar se begar jae hai jis ki waja se wo bdtameez bhi ho jate hai age bachoo se zaida paar kia jaee tooo woo kharab ho jate hai tarahn tarahn ki frmaisheey krte hai is me waldein ki bhi gafhlat ha ke wo bachoo ko payaar zaida krte hai beajjee un ki najaeez bt ko bhi mantee hi ladd krte hai bachoo
mgr waldein ko chahiyee ke wo payar ke sath sath apne bachoo pe sakhti bhi krein take in ko bachein zaida begreein na .
MAAR ab aise bhi ni krni chahiye ke bachaa dheet ho jaee r waldein ki bt ka koe asar na krein.aise bache jin ke waldein in ko payarr zaida dete hai in ke bache hi begr jate hai na hi woo apni aprhaee pe dehaan dete hai r na hi tameez anme ki koe cheeez un me hoti ha
HAZRAT MUHAMMAD (P.B.U.H) ne kaha ha bachoo se payar kia jaee mgr 1 hadd me rah kr :)
is liye jin bachoo ke waldein un pr towajja dete hai in ke bachee MASHALLAH boht hi tammez dar r deendar bhi hote hai
sooo is se bt sabit ho gae ha ke zaida PAYAAR bachoo ko begaarta ha jis se un ki tarbiat achi ni hoti ha r jis ka sara ilzam bhi waldein pr ata ha.
soo bachoo ko na zaida paayar kai jaee r na hi zaida marr bhi zaruri ni ha bt ha bhi jb bachaa zaida choor ho jaee too boht zaruri hoti ha

hmm thnkxx bs abhi itna hi zehan me tha @Mahiya
 
  • Like
Reactions: Mahiya

Jahil

Banned
Jul 1, 2011
9,323
3,289
363
Karachi
dekhen govt idaaron ka kya haal hai yeh pakistan main rehne wala har shaks hi janta hai govt idaaron main parhane wale na ehel teachers ki na ehliyat ka blame hum masoom bachon per nahi laga sakte kyunke govt schools main hi to teachers shenshahon ki tarha beth ker bachon per hukum chal rahe hote hain maar peet kar rahe hote hain taleem ke naam per sirf maar peet di jati hai inhi sab reasons ko dekhte hoye to private schools manzar e aam per aaye jahan na sirf bachon ko achi taleem se nawaza jata hai balke uske sath sath unki achi parwarish bhi ki jati hai
govt schools main parhayi ka nizaam itna acha hota to mere bhai private idaaron ko kabhi reason nhi milti schools qaim karne ki or na hi govt ki sasti taleem ke bajai log apne bachon ko in mehenge private schools main admit karwana pasand karte
jis dewaar ki buniyad hi teerhi hoti hai woh puri ki puri dewaar hi teerhi tameer hoti hai
govt schools ke teachers ko bachon ko maar peet na sakne ka shikwa karne ke bajai apni qabliyat ko sanwarna chahiye or govt teachers b mayari hi rakhne chahiye in govt schools main
kyunke walden apne bachon ko schools main parhne ke liye bhejte hain taake woh parh likh ker ek acha insaan ban sake
isliye bilkol b nhi bhejte ke maar peet dekh ker maar peet krna seekhen or phir apne ilaqe ka badmash ban jain @Mahiya
 
  • Like
Reactions: shzd

Jahil

Banned
Jul 1, 2011
9,323
3,289
363
Karachi
ASSALAM ALIKUM
hmm jo aj topis mila ha hame woo ha "BACHOO KI TARBIAT ME MAAR BHI ZARORI HAI "
ye bt bikul sahi ha ke bachooo ko tarbiat me maar bhi zaruri ha kiun ke bache zaida pyaar se begar jae hai jis ki waja se wo bdtameez bhi ho jate hai age bachoo se zaida paar kia jaee tooo woo kharab ho jate hai tarahn tarahn ki frmaisheey krte hai is me waldein ki bhi gafhlat ha ke wo bachoo ko payaar zaida krte hai beajjee un ki najaeez bt ko bhi mantee hi ladd krte hai bachoo
mgr waldein ko chahiyee ke wo payar ke sath sath apne bachoo pe sakhti bhi krein take in ko bachein zaida begreein na .
MAAR ab aise bhi ni krni chahiye ke bachaa dheet ho jaee r waldein ki bt ka koe asar na krein.aise bache jin ke waldein in ko payarr zaida dete hai in ke bache hi begr jate hai na hi woo apni aprhaee pe dehaan dete hai r na hi tameez anme ki koe cheeez un me hoti ha
HAZRAT MUHAMMAD (P.B.U.H) ne kaha ha bachoo se payar kia jaee mgr 1 hadd me rah kr :)
is liye jin bachoo ke waldein un pr towajja dete hai in ke bachee MASHALLAH boht hi tammez dar r deendar bhi hote hai
sooo is se bt sabit ho gae ha ke zaida PAYAAR bachoo ko begaarta ha jis se un ki tarbiat achi ni hoti ha r jis ka sara ilzam bhi waldein pr ata ha.
soo bachoo ko na zaida paayar kai jaee r na hi zaida marr bhi zaruri ni ha bt ha bhi jb bachaa zaida choor ho jaee too boht zaruri hoti ha

hmm thnkxx bs abhi itna hi zehan me tha @Mahiya
piyaar ki zid maar peet hoti hai?
zyada piyaar dene se bachne ka tarika kam piyaar dena nahi hota?
ya zyada piyaar na dene ka sirf ek yehi tarika hota hai ke unke sath mar peet ki jai?
beshak bache to bache hi hote zidd kr lete hain achi buri hr baat ka to aap piyaar se samjhao
pyaar se nhi samjhte to sakht lehje main samjha do
lekin bachon ko samjhane ke liye maar peet hi krna kahan ka insaf hai yar?
woh agar bache hain aisi farmayishen kar dete hain to hum to bare haina? hum to unhe samjha sakte haina ke beta yeh apke liye achi cheez nahi ya yeh ghalt cheez hai falan falan lekin hum khud abhi bache hain
aik aise schools ke bache jahan humne hr baat sirf pit pit kr hi seekhi hai ek aise ghar ke bache jahan hamare maa baap ne hamen hr buri cheez se sirf maar maar kr hi roka hai aik aise mahool ke bache jahan hr baat hamen maar peet ke zariye hi sikhayi gayi hai isliye humare zehno pr sirf ek hi baat qabiz rehti hai ke bachon ko agr kisi baat se kisi kaam se rokna hai to bs maar peet hi karni hai jabke bure kaam se rokne ke liye sab se behtar tarika muhabbat hoti hai ke muhabbat se samjha dya jai
uske bad dusra tarika narazgi hoti hai ke muhabbat main naraz hojaya jai uske bad thrd tarika sakht lehja hota hai ke sakht lehje main samjhaya jai maar peet ke liye to jagha hi kahan bachti hai yar? kisi b bache ko samjhane behlane ke liye yeh 3 tarike hi kafi rehte hain han jo kuch hamare saath hamare bachpan main hoa hai hum agr uska badla ya uska intiqaam hi lene ki gharz se bachon ke saath maar peet krte hain to woh baat or hai phir
@Mahiya
 
shzd

*$* ShAzi Ch00zA *$*
Super Star
Jun 24, 2013
5,292
1,542
1,313
jannat
Team b k meray muazaz sathi bogus arguments se ye sabit karnay ki koshish kar rahay hain k bachay ki tarbiyat siraf piyar se hoti ha halan k practical surat hal iss se mukhtilaf ha,yaqeen nahi to govt school k teachers se puchiyay,kuch arsa qabal govt ki taraf se talemi adaron main saza par pabandi lagai gai aur mar nahi piyar ka naara buland kiya gaya,lekon ye concept buri tarha nakam hua aur govt school k teachers be basi ki tasweer banay nazar aatay hain aur shikwa kartay hain k saza na honay se bachay bigar jatay hain aur teachers ki bat b nahi mantay.
@Mahiya @Hoorain @Asif_Khan @Shailina
HAHHAHA
BILKUL ISI LIY GOVT. SCHOOLS KI POSITIONS B AATI HN.....
AJEEB BAT KHI HY BRO NE MERY.
AARY BRO WO MARTY HIAN ISI LIY TO WO LOG POSITIONS LY JAATY HIAN JIN SCHOOLON MN MAAR WALA NI BALK PAYAR WALA CONCEPT HY.
ALLIED SCHOOLS
DANISH
DAAR E ARQAM
AUR BAHUT SE HAIN.
BAT TARBAIT KI KRN TARBIAT TO UNKI B HOTI HY JO BIGARR JATY HAIN. USKO B TARBIAT HI KEHTY HAIN.LAKIN BURI..
TARBIAT SE MTLAB KISI KAAM KI TARBIAT HY BRROO.
@Mahiya
 
shzd

*$* ShAzi Ch00zA *$*
Super Star
Jun 24, 2013
5,292
1,542
1,313
jannat
ASSALAM ALIKUM
hmm jo aj topis mila ha hame woo ha "BACHOO KI TARBIAT ME MAAR BHI ZARORI HAI "
ye bt bikul sahi ha ke bachooo ko tarbiat me maar bhi zaruri ha kiun ke bache zaida pyaar se begar jae hai jis ki waja se wo bdtameez bhi ho jate hai age bachoo se zaida paar kia jaee tooo woo kharab ho jate hai tarahn tarahn ki frmaisheey krte hai is me waldein ki bhi gafhlat ha ke wo bachoo ko payaar zaida krte hai beajjee un ki najaeez bt ko bhi mantee hi ladd krte hai bachoo
mgr waldein ko chahiyee ke wo payar ke sath sath apne bachoo pe sakhti bhi krein take in ko bachein zaida begreein na .
MAAR ab aise bhi ni krni chahiye ke bachaa dheet ho jaee r waldein ki bt ka koe asar na krein.aise bache jin ke waldein in ko payarr zaida dete hai in ke bache hi begr jate hai na hi woo apni aprhaee pe dehaan dete hai r na hi tameez anme ki koe cheeez un me hoti ha
HAZRAT MUHAMMAD (P.B.U.H) ne kaha ha bachoo se payar kia jaee mgr 1 hadd me rah kr :)
is liye jin bachoo ke waldein un pr towajja dete hai in ke bachee MASHALLAH boht hi tammez dar r deendar bhi hote hai
sooo is se bt sabit ho gae ha ke zaida PAYAAR bachoo ko begaarta ha jis se un ki tarbiat achi ni hoti ha r jis ka sara ilzam bhi waldein pr ata ha.
soo bachoo ko na zaida paayar kai jaee r na hi zaida marr bhi zaruri ni ha bt ha bhi jb bachaa zaida choor ho jaee too boht zaruri hoti ha

hmm thnkxx bs abhi itna hi zehan me tha @Mahiya
@Azeyy
BRO YEH ATTIYA K MESSAGE ZARA AUNTY KO DIKHANA .
TAA K NEXT WO ISKI TABIAT THEEK RAKHAIN.
BAQI MN ISKO DUSRY MSG MN DAIKHTA HUN

KOI EK B HADITH YA KOI HAWALA AISA NI HY JIS MN YEH LIKH HO K K NABI PAK (SAW) NE KAHA HO K BACHON SE PAYAR EK HAD TAK HONA CHAHIAY,....

MN NE KAHA HY K JO B HY MUJHY NABI PAK (SAW ) KI ZINDGI SE KOI BACHON KO MAAR KA WAQEA NI MILAA .
SIRF PAYAR HI PAYAR HY. USY KOI THORRA SMJHY YA ZIADAAA .MERY NABI (SAW) BAHUT ZIADA PAYAR KRNY WALY THY BAHARHAL.................
HAHAHA AUR ATTIYA NE BAT SABIT B KRDI JHOOTI BAT AP(SAW) K SATH LIKH K.
ALLAH MAF KRY.
MERI ARZ HY SAB DOSTON SE K AP (SAW) SE JHHOTI BAAT NA JORRAIN PLZZZZZZZZZZZ
JO HAQEEQAT HY US PE HI APNY DIL PE RAAZI KRN BESHAK KRRVI HI HO. K BACHON KI TARBIAT SIRF AUR SIRF PYAR SE HI MUMKIN HY BUSSSS.

@Mahiya
 
Asif_Khan

* L0vE FoR ALL*
TM Star
Aug 9, 2013
4,804
1,987
263
In FrienDs HEART Always...
kehty hain na k ziyada piyar bi insaan ko bigar deta hai.. to bigry howe insaan ko maar he sudhaar sakti hai..
ALLAH ny bi aik tarf piyar or dosri tarf marny ka bola hai...

HAZRAT MUHAMMAD (PBUH) ny bi farmaya k agar bachaa 7 saal ki umar main namaz na pary to sakhti se kaho or agar 10 ki age main na parhy to usy maar kar parhao..
is se sabit hota hai k Piyar k sath sath maar bi zaroori hai..

@Hoorain @Mahiya @Abidi
 
  • Like
Reactions: Mahiya

Asif_Khan

* L0vE FoR ALL*
TM Star
Aug 9, 2013
4,804
1,987
263
In FrienDs HEART Always...
aesy he ALLAH ne MAA main piyar bhaar dia hai jo apny bacho se bht piyar karti hai laken dosri tarf baap ko thora sakht banya hai ... wo piyar to karta hai lekn apny bachy k achy mustakbil k liye us par sakhti bi karta hai or maar bi leta hai..
humy baap ki maar waqti toor per to bht buri lagti hai lekn yaaqeen mano ye maar he insaan ko kanha se kanha pohncha deti hai ...
agar bacha maar bardasht kar ly ga to aik aesy mukaam per pohnch jaye ga janha pohnch ker wo kahy ga k PAPA TUSI GREAT HO G....!!!{()|dddd
agar papa ny na mara hota to aj wo yanha na hota ..

@Mahiya @Hoorain @Abidi @Asheer @Shailina
 
  • Like
Reactions: Hoorain

Asif_Khan

* L0vE FoR ALL*
TM Star
Aug 9, 2013
4,804
1,987
263
In FrienDs HEART Always...
ziyada ladd piyar bi bacho ko bigaar deta hai hai jo agy ja kar nuksaaan dy sabit ho sakta hai maar he wahid hal k agar piyar k sath thora maar bi liya jaye to nuksaaan se bacha ja sakta hai ..
 
  • Like
Reactions: Hoorain

Asif_Khan

* L0vE FoR ALL*
TM Star
Aug 9, 2013
4,804
1,987
263
In FrienDs HEART Always...
ziyada piayaar insaan ko galt side per ly jata hai.. or ziayda piyar ka bachy galt istamal karty hain...
agar bacho ko mara na jaye to bht bigrty hain..
maar ka daar bacho ko galt kamo se bachata hai
 
  • Like
Reactions: Hoorain

Asif_Khan

* L0vE FoR ALL*
TM Star
Aug 9, 2013
4,804
1,987
263
In FrienDs HEART Always...
wese ek baat main or kahonga ke maar se bachon ki shaksiyat bigar jati hai or woh life main hr cheez ko pane ka zariya maar ko hi samjh lete hain kyunke bache to kora kaghaz hote hain hum in kaghaz per aaj jo kuch likh dete hain kal ko wohi kuch hamen parhna bhi parta hai
to phir hamara farz b banta hai ke hum in kore kaghazon per piyaar likhen taake kal yeh bare ho ker piyaar bikheren
aesa piyar bi kisi kaam ka nahi mere bhai jo bachy ko bigaar dy.. agar maar ka dar bachy main nahi hoga to wo piyar se bigry na k acha bany ga :)
jitna piyaar ka haq hai utna he maar ka bi..
mar to baro baro ko seddha kar deti hai . bachy maar k dar se ziyada party hain :)
 
  • Like
Reactions: Hoorain
Status
Not open for further replies.
Top