Debate Round - Team A Vs Team B - 2nd Round ( Back To Back Games Again)

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

Asif_Khan

* L0vE FoR ALL*
TM Star
Aug 9, 2013
4,804
1,987
263
In FrienDs HEART Always...
DUA SE TAQDEER/KISMAT KA BADAL JANA:)
Taqdeer aur Kismat do words hain merey khayal me aik hi cheez ke liye. Taqdeer sirf "dua" se badli jati hai Hadees hai is barey me ke duaoon se kismat badal jati hai. aur wo dua ka kabool hona bhi humari kismat me likha ja chuka hai is liye duaein kerni chahiye hamesha ALLAH(SWT) se mangna chahiye. even though dua kabool na bhi hogi to kayamat ke din us mangi hui dua ka itna sawab hoga ke banda kaheyga "meri duniya me koi dua bhi kabool na hoti to aj muje un sab ka sawab aur naikiyaan milti". ALLAH (SWT) jo kerta hai wo taqdeer me likha ja chuka hai aur duaoon ka kabool hona bhi likha ja chuka hai....
 
  • Like
Reactions: Mahiya

shzd

*$* ShAzi Ch00zA *$*
Super Star
Jun 24, 2013
5,292
1,542
1,313
jannat
DEAR ORGANIZERS
ABI KISI KO KOI AITRZZ KOI SHK NI HY. AAAP SAARI BATAIN DAIKH RAY HAIN KISI KO KOI BAAT NI SOOJH RAI HY HAMARY MAZBOOT DALAYL K SAAMNY. ABI KOI KASMSAA B NI RAHA HY.
YEH IS BAT KI SB SE BARRI DALEEL AUR SB SE BARRA SABOOT HY K HUM HI THEEK POINT OF VIEW K HAMIL HIAN. AUR YEH BATT SCH AUR BEAITRAAZ HY K TAQDEER KA BADALNY K SWAL HI PAIDA NI HOTA. HAR CHEEZ TAQDEER MN HY HAMRY AAMAL , HAMARA ACCHA BURA , HAMRI SAANSAIN, HAMARA UTHNA BAITHA SB TAQDEER MN HY. AUR AGR YEH TAQDEER BADLTA KA KABI KAHEEN KISI DOUR MN SAWAL BHI PAIDA HUA HOTA AUR KISI NE KOI TEHQEEQ KI HOTI TO WO INSAAN SBB SE PEHLY APNI SAANSON KI LIMIT BADAL LETA MTLAB ZINDGI.AUR HUM NE KOI INSAAN AISA NI DAIKHA JO AAJ TAK ZINDA HOTA EK TAWEEL ARSY SE..............................
TO MERA ORGANISERS SE GUZARISH HY K HAMRY POINT OF VIEW KO TASLEEM KR K NEXT TOPIC KI TARF BARRHA JAY.
KIUN K ITNY DALAYL BAAD JAB BAAT MUSALLAM HY TO MUSALLAM BAT KO BAR BAAR TASLEEM KRWANY KA KOI MTLAB NI .
SO PLZZZZZZZZZZZZZ

@Hoorain
@faari
@Shiraz-Khan
@DuFFer
@Mahiya
 

Jahil

Banned
Jul 1, 2011
9,323
3,289
363
Karachi
duniya main boht se log aye or boht se log chale gaye
duniya main or bhi log ayenge or hum log bhi chale jainge lekin Allah ka nizaam koi change nhi kr sakta ap apni saari tadbeeren azma len ap apna sara dimagh chala len lekin jo Allah ne hamare muqaddar main likh dya hai jo kuch hamari taqdeer main likha ja chuka hai usse koi change nhi kr sakta insan be sabra hone ki wajah se Allah ki tarf se ane wali mushkilat per sabr nhi kr pata Allah ki tarf se azmayish ki surat main milne wali takaleef bardasht nhi kar pata to apna dimagh istimal krta hai un mushkilaat or un takaleef se chutkara hasil karne ke liye lekin in sab ke bawajod bhi wohi hota hai jo Allah ki marzi hoti hai Allah hi chahe to woh unki preshani or unki mushkilaat solve kr deta hai or Allah hi chahe to unki sari mehnat pr pani bhi pher deta hai
lekin insan chonke khud ko boht zaheen or aqalmand samjh rha hota hai isliye some time jab aisa hota hai ke Allah ki tarf se usse koi preshani milti hai or woh apna dimagh use krta hai or Allah uski preshani khtam kar deta hai to usse yeh feel hone lagta hai ke yeh preshani dene wali zaat to Allah hi ki thi or is baat pr tamaam logon ka ek hi aqidah b hota hai lekin yeh jo preshani abhi khtam hoi hai is main sirf mere dimagh ka kaam tha mere apne zehn ki baat thi to aise log ghalt sochte hain kyunke azmayish aati bhi Allah hi ki marzi se hai or Azmayish jati b Allah hi ki marzi se hai lekin Allah zalim nhi hai isliye insan ko utni hi takleef or utni hi preshani deta hai jitni takaleef or jitni preshani ek insan bardasht b kar sakta hai or jb koi takleef had se barh jati hai ya bardasht ke qabil nhi rehti phir woh apni makhloq ko mout ki surat main apne pas bula leta hai ya phir usse shifa de deta hai lekin yeh jo kuch bhi hota hai woh taqdeer main likha hone ki wajah se Allah hi ki marzi se hota hai is main insaan ki apni koi tadbeer apni koi marzi or apni koshish nhi chal pati @Mahiya
 

Abid Mahmood

~I AM ANTI ESTABLISHMENT~
Super Star
Sep 22, 2012
6,908
4,390
1,313
Allah Taala ne jo hamari qismat main likha ha,wohi hamari taqdeer hoti ha lekon ye Allah Taala ka banaya hua nizam he ha k insan k amaal ki waja se usski taqdeer badal jati ha.agar aisa na hota to insan burai kar k kehta k yo to taqdeer main likha tha,lekon zahir ha aisa nahi ha.
Sheikh Saadi ki aik hakayet paish kar raha hoon,mulahiza kijiyay,
aik aadmi jo berozgari aur tangdasti se preshan tha,aik din aik jungle main ja nikla aur aik drakht k saaye talay betha gaya,samnay nazar parri to aik boht he laghir loomri wahan bethi hui thee,aisa lag raha tha k wo boht bhooki thee,achanak wahan aik shaer aa nikla,jo apnay sath shikar kiya hua koi janwar ghaseet k la raha tha,shaer ne wahan aa kar apnay shikar ko cheer phar kar khana shuru kar diya,jab usska pait bhar gaya to uss ne kuch hissa wohien chora aur chala gaya,
ye dekh kar loomri aagay barhi aur shaer ne jo kuch chora tha wo khanay lagi aur iss tarha apna pait bhara,
ye sab dekh kar aadmi ki aankhain chamak uthien,wo sochnay laga k agar Allah Taala iss loomri ko rizq dae sakta ha to mujhe kioun nahi dae sakta,ye soch kar uss aadmi ne b wohien daera laga liya aur kisi ghaibi imdad ka intezar karnay laga,kuch din guzar gae magar kuch b na hua, bhook se nidhal hogaya to ronay laga aur kehnay laga.."ya Allah tu iss loomri ko rizq dae sakta ha to mujhe kioun nahi dae sakta.."
Ghaib se awaz aai..
"teray samnay 2 misaalain paish ki gaien,aik loomri ki jo beth kar rizq k aanay ka intezar karti ha aur aik shaer ki jo apnay rizq ko talash karta ha,afsos tum ne loomri ban'na pasand kiya,shaer nahi...uth aur shaer ban aur apni taqdeer hasil karnay k lie jado jehad kar."

@Mahiya @Hoorain @fareena_01 @Prince-Farry @Asif_Khan @Asheer @Iceage-TM @faari
 

faari

Super Star
Nov 13, 2009
6,380
4,321
713
Allama iQbal ki zameen
ye hmari taqdeer thi new country hmari qismat thi ap janti hoon gi iqbal ne pakistan ka khawab dekha aur usay takmil di quaid ne ye khawab allah ki taraf se tha kiyu ke esa hona tha aur dekho ho gya sab ne zoor laga ke na bany lkn jo hona hota hai ho kr rehta hai koi nae taal sakta
 

Asif_Khan

* L0vE FoR ALL*
TM Star
Aug 9, 2013
4,804
1,987
263
In FrienDs HEART Always...
ye hmari taqdeer thi new country hmari qismat thi ap janti hoon gi iqbal ne pakistan ka khawab dekha aur usay takmil di quaid ne ye khawab allah ki taraf se tha kiyu ke esa hona tha aur dekho ho gya sab ne zoor laga ke na bany lkn jo hona hota hai ho kr rehta hai koi nae taal sakta
mis ye bi btao k is mulak k liye Kitni DUAON ki gai thi jis ny ye taqdeer/kismat badli???
 
  • Like
Reactions: Mahiya

Jahil

Banned
Jul 1, 2011
9,323
3,289
363
Karachi
DUA SE TAQDEER/KISMAT KA BADAL JANA:)
Taqdeer aur Kismat do words hain merey khayal me aik hi cheez ke liye. Taqdeer sirf "dua" se badli jati hai Hadees hai is barey me ke duaoon se kismat badal jati hai. aur wo dua ka kabool hona bhi humari kismat me likha ja chuka hai is liye duaein kerni chahiye hamesha ALLAH(SWT) se mangna chahiye. even though dua kabool na bhi hogi to kayamat ke din us mangi hui dua ka itna sawab hoga ke banda kaheyga "meri duniya me koi dua bhi kabool na hoti to aj muje un sab ka sawab aur naikiyaan milti". ALLAH (SWT) jo kerta hai wo taqdeer me likha ja chuka hai aur duaoon ka kabool hona bhi likha ja chuka hai....

taqdeer ki haqiqat ko sabit karne ke liye apka yeh msg hi kafi hai asif bro
apki is baat se ye pehli bat yeh sabit hojati hai ke hota wohi hai jo taqdeer main likh dya jata hai
dusri baat yeh show hoti hai ke jab taqdeer main dua krna likh dya jata hai to insan dua bhi kr leta hai right na?
teesri baat yeh sabit hoti hai ke jab taqdeer main dua karna likha ja chuka hota hai to dua ki qaboliyat ya rejection b likhi ja chuki hoti hai right?
to chohti baat phir yeh b show hoti hai ke taqdeer dua se badal jati hai or yeh baat hamari taqdeer main bhi likhi ja chuki hoti hai ke ek time ayega jb yeh insaan Allah ke huzor dua kare ga or Allah subhana tala uski dua qabool farma ker uski taqdeer change bhi kar de ga right?
to apki puri baat ka nichoor sirf itna hai ke jo kuch bhi hota hai woh taqdeer main likhe hone ki wajah se hi hota hai @Mahiya
 

Jahil

Banned
Jul 1, 2011
9,323
3,289
363
Karachi
by the way meri team ke muazizz saathiyon muje isi topic per hi baat krni haina? kahin pehle ki tarha mukhalif team ka sath dene wale points to nhi dene lga main? jldi se btao plz
 

shzd

*$* ShAzi Ch00zA *$*
Super Star
Jun 24, 2013
5,292
1,542
1,313
jannat
DUA SE TAQDEER/KISMAT KA BADAL JANA:)
Taqdeer aur Kismat do words hain merey khayal me aik hi cheez ke liye. Taqdeer sirf "dua" se badli jati hai Hadees hai is barey me ke duaoon se kismat badal jati hai. aur wo dua ka kabool hona bhi humari kismat me likha ja chuka hai is liye duaein kerni chahiye hamesha ALLAH(SWT) se mangna chahiye. even though dua kabool na bhi hogi to kayamat ke din us mangi hui dua ka itna sawab hoga ke banda kaheyga "meri duniya me koi dua bhi kabool na hoti to aj muje un sab ka sawab aur naikiyaan milti". ALLAH (SWT) jo kerta hai wo taqdeer me likha ja chuka hai aur duaoon ka kabool hona bhi likha ja chuka hai....

MASHAALLAH
KIA BAT HY HAMRY BRO KI.
HADITH KA NAAM LY DIA NAA HADITH ATA PATA BATAYA.SUNI SUNAI BATAIN NI KRTY .YEH DEBATE HY.AUR YEH BATAIN AAJ K BABA AAMIL NAJOOMI BANGALI SB KRY HAIN JO AAP KR RY HAIN,
AUR DUSRI BAAT AAP NE JO DUA KI BAAT KI TO KOI INSAAN TAQDEER KA BADLANA TO BAAD KI BAAT HY TAQDEER MN LIKHY BAGHAIR WO DUA NI KR SKTA . USK BAAD KI BAAD BAHUT DOOR HY. DUA KRNA B TAQDEER MN HO GA TO DUA KI TOUFEEQ HO GI NI TO NI...
YEH AAP KI SAARI DEBATE HY BUSSS.
AS A MUSLIM YEH HAMRA AQEEDA HY K ACCHI HO YA BURI . IS MN IBADAT B HY AUR GAUNAH B. IS MN RIZQ KI TANGI B HY AUR FRAKHI B.IS MN ACHY LOGON KI SOHBAT B HY AUR BURY LOGON KI. IS MN HAMARI ZINDGI KI CHLATI SAANSAIN B ACCHI HAIN AUR SAANSON KA RUKNAA BURI. IS SB PAR IMAN HAMARA FARZ HY.

AUR ISKO BADALNY KA SWAL PAIDA NI HOTA.
AGR AISA HO TO ISKA MTLAB TAQDEER ALLAH KI TARAF SE NI NAOOZUBILLAH HUM SE HO GI KIUN K HUM KUCHH KR K ISKO BADAL SKTY HAIN.
NI MERY DOSTO AUR SATHIO.
TAQDEER KA BADALNY KA SWAL HI PAIDA NI HOTAA.
@Mahiya
@faari
 

Asif_Khan

* L0vE FoR ALL*
TM Star
Aug 9, 2013
4,804
1,987
263
In FrienDs HEART Always...
taqdeer ki haqiqat ko sabit karne ke liye apka yeh msg hi kafi hai asif bro
apki is baat se ye pehli bat yeh sabit hojati hai ke hota wohi hai jo taqdeer main likh dya jata hai
dusri baat yeh show hoti hai ke jab taqdeer main dua krna likh dya jata hai to insan dua bhi kr leta hai right na?
teesri baat yeh sabit hoti hai ke jab taqdeer main dua karna likha ja chuka hota hai to dua ki qaboliyat ya rejection b likhi ja chuki hoti hai right?
to chohti baat phir yeh b show hoti hai ke taqdeer dua se badal jati hai or yeh baat hamari taqdeer main bhi likhi ja chuki hoti hai ke ek time ayega jb yeh insaan Allah ke huzor dua kare ga or Allah subhana tala uski dua qabool farma ker uski taqdeer change bhi kar de ga right?
to apki puri baat ka nichoor sirf itna hai ke jo kuch bhi hota hai woh taqdeer main likhe hone ki wajah se hi hota hai @Mahiya
aik bazurg se kisi ne poocha keh jab sab kch pehle se kismat main likha hy to hum dua kiu mangtay hain?
To bazurg ne jwab diya keh ho sakta hy keh kismat main yeh likha ho keh dua mangnay se milay ga. To dua per hmaisha yakeen rakho.
Aur baki raha reference to Hazrat Muhammad (PBUH) bhe dua mangtay thay. To mere khayal main is se barh kr koi reference nahi ho sakta....

@Hoorain @Mahiya @Abidi
 
  • Like
Reactions: Mahiya

shzd

*$* ShAzi Ch00zA *$*
Super Star
Jun 24, 2013
5,292
1,542
1,313
jannat

Asif_Khan

* L0vE FoR ALL*
TM Star
Aug 9, 2013
4,804
1,987
263
In FrienDs HEART Always...
Hamarai sab say bari kamzoori yeh hay kay haamra eeman kamzor hay. Ham dua mangtay hain k Ya Allah hamain iss imtihan main pass karday. Ham yeh dua nahi mangtay k Ya Allah jesa too behtar samjhta hay wesa kar. Agar ham nay mehnat ki hay sincerity k sath aor ham Allah say uski raza k mutabiq uska ajar mang rahay hain to woh hamain zarror ata karta hay. Basharteky k hamari niyat khalis ho k agar main paas na bhi bhi huwa to koi baat nahi k Allah nay mery liye is say behtar socha hoga. Jub yeh cheez haamray andar ajaye gi to hamrai duyain bhi qaboll hongi aor qismat bhi tabdeel hogi.
bas apny emaan ko mazboot karo or DUA mango or phir dua per yaqeen bi rakho.... INSHALLAH kismat badly gi :)

@Hoorain @Mahiya @Abidi
 

Asif_Khan

* L0vE FoR ALL*
TM Star
Aug 9, 2013
4,804
1,987
263
In FrienDs HEART Always...
ARY DOST MN AAP LOGON KO KRACHI SHEHR MN HAZAROON LOG AISY MILAATA HUN JO APNA KAROBAR BANA K BEHTHY HIAN. AAMIL BAABA TAQDEER BADAL JAATHI HY K NAARY LAGATY HAIN ISKA MTLAB WO SACHY HIAN KIA??
KABI NI AGR SACHY HOTY YEH KEHNY WALY TO ISLAMI JAMHOORAIA PAKISTAN KI GOVT. KABI UNK KHILAAF OPERATION NA KRTI.
Ary yar DUA ko karoobaar to mat bolo .. jo dil main ata hai bol dety soch to lia karo... dua khud kiya karo
 

shzd

*$* ShAzi Ch00zA *$*
Super Star
Jun 24, 2013
5,292
1,542
1,313
jannat
aik bazurg se kisi ne poocha keh jab sab kch pehle se kismat main likha hy to hum dua kiu mangtay hain?
To bazurg ne jwab diya keh ho sakta hy keh kismat main yeh likha ho keh dua mangnay se milay ga. To dua per hmaisha yakeen rakho.
Aur baki raha reference to Hazrat Muhammad (PBUH) bhe dua mangtay thay. To mere khayal main is se barh kr koi reference nahi ho sakta....

@Hoorain @Mahiya @Abidi
AASIF BRO AAP IS BAAT MN B AAP HAMARI TAAEED KR RAY HIAN K BAZURG NE B YAHI KHA K KISMAT MN BHI YHI LIKHO HO.
TAQDEER MN BHI YHI LIKHA HO.ISK ELAWA KUCHH NI HY BRO.....

POINT TO B NOTED YEH ASIF BHAI HAIN.JO HAMARY HI TOPIC KO DEFEND KR RAY HAIN. @Mahiya @Hoorain

G TO MN NE YEHI KAHA HY K DUA KRNA BHI TAQDEER MN HY AUR JO KUCHH BHI AAP AAMMAL KRTY HIAN SBB TAQDEER MN HY.
TO IS MN TAQDEER KA BADALNA KHAN SE AA GYA.

APKA SHUKRIA AAP NE @Mahiya SISTER KI MUSHKIL AASAN KR DI HUM SE AGREE KR K
 

faari

Super Star
Nov 13, 2009
6,380
4,321
713
Allama iQbal ki zameen
AASIF BRO AAP IS BAAT MN B AAP HAMARI TAAEED KR RAY HIAN K BAZURG NE B YAHI KHA K KISMAT MN BHI YHI LIKHO HO.
TAQDEER MN BHI YHI LIKHA HO.ISK ELAWA KUCHH NI HY BRO.....

POINT TO B NOTED YEH ASIF BHAI HAIN.JO HAMARY HI TOPIC KO DEFEND KR RAY HAIN. @Mahiya @Hoorain

G TO MN NE YEHI KAHA HY K DUA KRNA BHI TAQDEER MN HY AUR JO KUCHH BHI AAP AAMMAL KRTY HIAN SBB TAQDEER MN HY.
TO IS MN TAQDEER KA BADALNA KHAN SE AA GYA.

APKA SHUKRIA AAP NE @Mahiya SISTER KI MUSHKIL AASAN KR DI HUM SE AGREE KR K

:-bd:-bd
 
  • Like
Reactions: shzd

Jahil

Banned
Jul 1, 2011
9,323
3,289
363
Karachi
insaan ke saath jo kuch hota hai woh taqdeer main likha hone ki wajah se hi hota hai
or jo log yeh samjhte hain ke amal ki wajah se taqdeer badli ja sakti hain to woh log yeh jaan len ke insaan ke amaal bhi uski taqdeer main likh dye jate hain tabhi to woh taqdeer bhi kehlati hai ek insaan sari zindagi naik kaam krta hai to yeh bhi uski taqdeer main likha hota hai ke woh duniya main aker Allah ka pegham phelayega naik amaal kare ga or jo insaan bure amaal karta hai yeh bhi uski taqdeer main hi likha hota hai ke woh duniya main jaa ker burayi phelayega or bure kaam kare ga lekin yeh Allah ki hum insano per boht bari meherbani hai ke usne hamare liye touba ka darwaza khol rakha hai isliye Allah hr musalman ki taqdeer main touba likhna b nhi bholta or yehi wajah hoti hai ke har musalman apni zindagi ke kisi na kisi mor per kisi na kisi marhale pr Allah se touba kar hi leta hai or phir Allah us touba ko hi reason bana ker ummati hone ke naate musalman ko jahannum ki aag se bacha kar jannat main bula leta hai lekin yeh sara credit Allah ka hi hota hai bcoz woh raheem bhi hai woh ghaffar bhi hai woh rehman bhi hai insaan ke amaal ki koi importance hi kahan rahi yaar moqe ki munasibat se muje bhi ek waqia yaad agaya jiska reference to filhal nhi hai mere pas lekin muje yeh b yaqin hai mukhalif team members ke sath sath or bhi baqi logon ne yeh waqia ya yeh hadees zaror suni hogi ke
ek shaks nihayat hi naik hota hai subha shaam Allah ki ibadat karta rehta hai duniya jahan se bekhabar bas Allah ko yaad karta rehta hai or samandar ke jis pathar per beth kr woh Allah ki ibadat kya karta tha wahan Allah ne anaar ki ek bell uga di thi or rozana us bell pr ek anaar lag jata tha or woh usse kha leta tha isi tarha uski puri zindagi guzar jati hai phir jab woh qayamat ke roz Allah ke saamne khara hota hai to Allah usse hukum deta hai ke jaa Allah ki meherbani se tu jannat main dakhil hojaa
to woh shaks kehta hai Allah ki meherbani kaisi?maine puri zindagi Allah ki ibadat ki hai main agr jannat main jaa rha hon to apne amaal ki badolat ja raha hon is main Allah ki meherbani kaisi?
to Allah usse kehta hai tere amaal tujeh jahannum ki aag se nhi bacha sakte the or yeh Allah ki meherbani hi thi ke usne tujhe us fitne wale duniya main mashghol hojane ke bajai apni yaad main masrof rakha yeh Allah ki meherbani hi thi jo usne tere un amaalon ko qabool bhi kya or yeh bhi Allah hi ki meherbani thi ke usne tuje jannat nasib ki thi lekin Allah ki yeh bhi Allah hi ki marzi hai ke woh tere amaal qubol nhi karta or tujh per jannat wajib nhi krta
to mere doston insaan jo amal karta haina woh taqdeer main likhe hone ki wajah hi se karta hai is main uski apni koi khasiyat apni koi marzi nhi hoti balke uski taqdeer main hi likh dya gaya hota hai ke usse duniya main jaa ker kaise amaal krne hain @Mahiya
 

shzd

*$* ShAzi Ch00zA *$*
Super Star
Jun 24, 2013
5,292
1,542
1,313
jannat
Ary yar DUA ko karoobaar to mat bolo .. jo dil main ata hai bol dety soch to lia karo... dua khud kiya karo
HAHAHAHA
JI MN NE YEH NI KHA HY KAROBAR HY LAKIN LOG KAROBAR BANAY BAITHY THY YEH HAQEEQAT HY AAP INKAAR KR NHI SKTY .
INKAAR KR K KAHAN JAIN GY.
AB MN YEH KAHUN K KAFIR KHUDA KO NI MAANTY TO ISKA MTLAB YEH NHI K YEH MN KEH RAHA HUN,
MN NE EK HAQEEQAT BATAI HY AAP LOGON KO.

AAP KO TO KUCHH SMJH HI NI AA RAHA BRO.
MN THEEK THA US POINT MN
POINT TO B NOTED @Mahiya
 
Status
Not open for further replies.
Top