(debate By Tm Members)kia Electronic Media Bachon Ki Taleem Pe Asar Andaz Hota Hay!

  • Work-from-home

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
Super Star Group
1. Hansmukh (c) captain
2. Sweet Maha
3. Asma 24
4. Ssafi
5.S_Chiragh
6. Khushi
Bright Star Group
1. Aaraaf (c) captain
2. Faari
3. Hooria
4. SHB
5.Sabah
6. Mashriki Larka
Q: Kya Electronic Media Hamare bachon(kids) ki taleem aur terbiyat pe bura aser dalta hei ya nahi? Note: Electronic media se murad tv, tv shows, computer etc tamam cheezein is sawal mein shamil hein.
Super Star Group is debate k topic ka favor lein ge, wo ye explain karein ge k Electronic media bachon ki taleem o terbiyat pe bura aser nahi dalta.
Bright Star Group is debate k topic k against jain ge, wo ye explain karein ge k Electronic media bachon ki taleem o terbiyat pe bura aser dalta hei.
Debate started by Miss Khushi

Aslamoalikum
muaziz dosto aaj mujhy jis mozoo pr lb kushae ka moqa mila hai us ka unwaan hai
kia electronic media hmary bchon ki taleem pr asr andaz hota hai k nahi....
to main kehti hoon k electronic media hmary bachon ki taleem pr asr andaz hota hai lakin negatiive nahi positive.....
kion k computer to aaj kal taleem ka aham hissa bn chuka hai is k bagher koi b kaam nahi kia ja skta...
this age is called as the era of IT and we can not imagine a world without computer...
computer bohat say mushkil kaam asaani say or tezi say kr deta hai....
or hmaary bachy is era ka hissa hain or un ka future bright dekhny k liye computer is very important....
kion k bachy computer k zariye asaani say apni taleemi mushkilaat ko hul kr skty hain....
bchon ko agr course main koi mushkil pesh aati hai to asaani say apni mushkil ka hul net say nikaal skty hain..
achi achi cheezen achy achy projects and courses net say download kr k apni taleem ko behtar bna skty hain...
yahan tk k doosry countries k course b asaani say hasil kr skty hain or apni taleem ka myaar brhaa skty hain...
jo bchy tution waghera afford nahi kr skty wo net say mustafeed hoty hain....ghar bethy bohat c sahooliaat is aik adad computer say hasil ki jati hain to main kaisy keh doon k is say hmaary bchoon ki taleem pr bura asr prta hai.....
computer to hr shoby ka aham juz bn chuka hai or agr bchon ko is say door rkha jaye is say faida hasil na krny dia jaye to wo aagy kaisy bren gay?
bchy hi Pakistan ka future hain to ye bchy hi doctor bnen gay...yahi teachers hon gay...journalist,officer,pilot,engeeniers,business man,cashiers etc to in sb main electronic media k bagher kaam nahi hota....
aisy hi TV main b bchoon k liye bohat kuch seekhny ko miilta hai....
specially Quraan Paak prhaya jata hai....islam k mutaliq information di jati hai....
or agr hmaary bchy TV say islam ko Quraan ko seekhty hain to is main kia bura hai?
aaj kal to cartoons k zariye hi bchon ko bohat kuch sikhaya jata hai...
aik to din bhar ki thkaan ko door krny ka zariya bnta hai k bchon ka mind fresh ho jata hai thora enjoy kr lety hain 2nd kuch na kuch seekhty hain....
or khaas baat ye k ghar say bahir na jany k liye Electronic Media aham kirdaar ada krta hai....aaj kal ka mahol aisa hai k bchy ghar say bahir qdm nahi rkh skty....
lakin agr unen ghar main hi sb kuch muyassar ho to wo khud ba khud bahir jaany say gurez kren gay....
jaisy ye duniya fast chl rahi hai us k liye hamen b fast hona pry ga wrna hmary bchy bohat peechy reh jayen gay....
or mera yahi kehna hai k electronic media bchon ki taleem pr gehra asr krta hai lakin negative nahi positive :)
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
[DOUBLEPOST=1359257781][/DOUBLEPOST]Mr. S-chiragh (team super star)


jaisa ke humare mukhalif team ke member aur beshaq mere eik achhe dost khud hi keh chuke
ke har cheez mein achhaiy buraiy hoti hai faraq is baat ka hai ke hum use kaise istemaal karein

is hi tarah agar aap is nuqta e nazar per electronic media ko qasoorwaar karengein to
schools mein studnets aur teacher ke bhi affairs hote hain aaj kal to 25% larke school
jaate hi teachers ke liye hain

2.aur agar aaj ki tareekh mein electronic media jahaan buraion mein kisi se peechhe nahin wahin
achhaiyan bhi bohot saari hain misilan

NEWs channels aur unke sms service se bakhabar rehne ki wajeh se laakhon loug hangama aaraiy wale ilaqon mein
jaa ker khatraat se guzarne se bach jaate hain

Moviez.... eik baat to saaf hai ke har film mein kisi family balke around the world per 3 ghante mein
banaiy jaati hai to kisi bhi bache ko agar unme se achhe points samjha diye jaayen misilan
Baabarr se us film ke end ke nuqte se bachon ko hum achhi naseehat dila sakte hain
aur aisi eik do nahin balke har film is hi tarah se hoti hai (in super stars point of view)
phir aate hain Veena malik ki taraf to jahaan janaab humein Veena malik ke charche yaad hain
is mein humari hi khata hai ke humein Veena ji yaad hain humein to Kousar TV ke adakaarayen
yaad rakhni chahyein jo bina scarf o naqaab ke nahin aate

jis tarah aaj jadeed dour ke electronic media pe tanqeed kiya ja raha hai younhi
aaj se kuch baras pehle mobiles per aur cars per bhi shayad hoti thi magar aaj
yeh har fard ki zaroorat aur har fard ke paas hain
aur bohot se loug phone ko chechora pan be haiyaiy kidnapping ke jaise kaamon ke liye
istemaal karte hain

wahin doosri taraf jo baap eik sheher se doore sheher yaa eik mulk se doosre mulk chala
gaya hai uske bachon se uska raabta nahin ho paa raha wahan bhi yehi phone kaam aata hai naa???

at the end i will say ke faqat eik knife se pyaz bhi katta aur gala bhi
to qasoorwaar aur khaami wala kniw nahin huwa istemaal karne wala huwa [DOUBLEPOST=1359257939][/DOUBLEPOST]
[DOUBLEPOST=1359257978][/DOUBLEPOST]By khushi!

Jese k mere aziz dost ne kaha k inhon ne chand bachon ko ikhatta ker k kalma suna aur phir pasandidah gane k bare mein. to hum in sahab se ye pooche k janab ferz karein k ager tv aur cable na hote to kya is se bachon ko kalma yaad ho jata. mere kehne ka matlab hei k ye kalme yaad karana ye terbiyat ka aik hissa hei aur ye maa baap, aur ustad-e-mohtaram ka kaam hei. k wo apne bachon ko sakhti se in gane bajano se rokein aur in ki terbiyat ache se karein, aur tv mein jo is kism k wahiyaat programs lagte hein aise channels hi tv ki ahem nashist nahi is k ilawa bohot ache programs hein. like Qtv. peace tv, etc jese bohot se ache channels hein, jo bachon ki islah ker sakte hein, aur doosri baat k purane zamane mein ager tv nahi tha to aap dekh sakte hein k kis qader jahalat aur fasadaat the, log choti choti baaton ka batanger bana lete the mager aaj k technology dor mein log kuch sambhal gai hein.
THINK.[DOUBLEPOST=1359258003][/DOUBLEPOST]by Mashraki.larka:

[DOUBLEPOST=1359258061][/DOUBLEPOST]By asma24:


  1. ASSALAM WALIEKUM

    MERE QABIL DOST TAYAB NE KAFI ACHI ROSHNI DALI HY BUT
    JAHAN TAK DEBATE KI TOPIC KI BAAT HY ME SABSE PEHLE APNI RAYI ELCTRONIC MEDIA PER DENA CHAHTI HON

    elctronic media has so many advantages not only for evry person but for children also,
    duniya ki tareekh me hmara mulk pakistan kun peeche hy bcoz her foriegn country elctronic media apne logon ko elctronic media farahim kerti hy...bachon se leker boorhon tak sab ki soholat k liye ..
    hmare pakistan me hm bachon ko en sab cheezon se door rakhte hain bcoz hamen lgata hy en se banchey apna time waste karenge aur study per concentrations nahi denge..but b4 this kya kbhi hm ne aisA socha hy k es technology se bachon ki tallem aur bhter tarbiat m e b izafa hoskta hy..
    let me give some exmapless....tv,mobile,computer,,wgera ,,tv per islamic shows k sth sath informative programmes b atey hain ..jinse na sirf knowledge me izafa hota hy,,ghar bethe bachey IsAlmic education se b arasta hote hain aur even aise programme jn se kuCh na kcuh ssekhne ko milta hy wo unki knowledge Me izafa kerta hy balke bachey en me ziyadA tar interst b lete hain....

    zara hamen apni mulk ki taraki ka b sochnna chaiye ...
    hm apne bachon ko dosre mulk study k liye bhejte hain ..kya ye kam example hy ka hamre han wo sab facilities nahi ahin jo dosre mulkon me hian eska sabse bara hath elctronic media ka hy ..bcoz wo sab apne mulk k bachon ko technology se ralted studies dete hain..jis se bachon ki zahanat ka sabse aehm qirdar ada hota hy
    ghar beteh unka mulk taraki kerta rehta hy,,
    tv per bht se informative shows aatey hain ,,geo jesa channal ghr ghr aata hy js se duniya ki news maloom hoti hain..islamic programmes aatey hain aur dosre b bht se entertainments ki channal aatey hain..js se bachey na sirf kuch different talent sekhte hain balke wo study se hut ker apne passand ki cheezon per b enjoy ker lete hain:)
    tarbiat agr kharab hy to eskla relation media se nahi.
    her nature me trbiat ka asar hota hy
    50 sal pehle jab media nahi thi tab kya log bure nahi the?
    unka ikhlaq bura nahi tha..aaj agr ye sahoolat hy jse se hamen kuch bashour hone ka chance mil raha hy to hm es se kun peeche rahen..
    aur mere qabil dost tyaab ne uper veena malik ka zikar kiya hy jahan tak mera khayal hy veena ka es topic se koi relationship nahi coz mere khayal se veena ka shumar bachon me nahi hota:)
[DOUBLEPOST=1359258103][/DOUBLEPOST]by khsuhi:

my dear friend

30 40 saal pehly duniya itni fast b nahi thi...

us zmany main b log un salooiaat say mustafeed hoty thy jo muyassar hoti theen...

or ab b log un cheezon say mustafeed hoty hain jo muyassar hain jin ka dor hai....

aisy to aap 30 40 saal say pehly ka zmana dekh lain tb wo kuch nahi tha jo 30 40 saal pehly tha oor ab wo sb hai jo 30 40 saal pehly nahi tha....

or doosri baat ye k agr R john and indian mahr e nafsiaat ka aisa kehna hai to wo ye kion nahi kehty k agr bchon ko bura e ki bjaye acha e dikha e jaye to kia hota hai?

main btaati hoon

bchy wahi dekhty hain jo hum dikhaaty hain....

agr hum bchon ko achy programs dikhayen or net ki acha e dikhayen to wo zaroor dekhen gay...

kehty hain na bchy bron say seekhty hain to agr hum ghlt kaam kren gay to wo b ghlt kaam hi kren gay

agr hum achy kaam kren gay to wo b achy hi kren gay....:)[DOUBLEPOST=1359258137][/DOUBLEPOST]By dawn(araaf) replying to Asma24:

walaikum assalam wrwb :)
aap tamam ki posts parhkar kaafi khushi hui.har koi apne favour me acchi baat rakhne ki koshih kar raha hai.ab aate dear asma(lecturer) sis k post ki taraf inki post maine parhi.is post se maine chund nukaat note kiye.wo ye k ksi mulk ki taraqi me electronic media ka amal daqal hota hai.jabke hum acchi tarha jante hain k mulk ki taraqi me media ka koi daqal nahi hota.balke mulk ki taraqi ka inhesaar uski GDP rate par munhasir hota hai.jo country jitna ziada apne daraamadaat karegi utna uski economic position strong hogi.aap dekhiye america ka gdp rate 22.6% hai jabke hamare mulkaon ka ba mushkil 10% bhi ho.

aur rahi baat bacchaon ki taleem ki to main kahunga k internet ya tv k zarye chund ek programmes ya syllebus faraham kiye jaate hain.laikin aise sites ya programmes ko hum apni ungliaon par gin sakte hain.aur iski misal aate me namak k barabar hai.electronic media ki jitni bhi cheezen hain unse faayede kum aur nuqsanaat ziada hote hain.aur uski misal aaj hamara muashera khud hai.

bacchon ki pahli darsgah uski maa ki goad hoti hai.baccha pahle apni maa se seekhta hai.laikin hum dekhte hain k kitne aise ghar hain jahan maa baap khud apne bacchaon k saath baith kar gandi aur behuda filmein dekhte hain.kitne aise news channels hain jinse hame waqayi sacchi news mil paati hai.aaj is electronic media hi ki wajah se islam ko itna ghalat tareeqe se logon me dikhaaya jaata hai.kaun iska zummedaar hai. aaj har news channel ksi k hathaon bika hua hai ksi na ksi siaysi party se ye mile jule hote hain.aur usi ki ashaayat me masroof rahte hain.jinse awam tak sacchi qabren bhi nahi pahunch paatin.[DOUBLEPOST=1359258196][/DOUBLEPOST]By Khushi replying to mAshraki.larka:

mery muaziz dost ny kaha k bchon ko kalma nahi aata tha or songs suny to gaany lgy....

to my dear friend unen computer,TV,Mobile etc ny to nahi kaha na k kalma na pro or gaany gao....

computer ya TV main b kalma sikhaaty hain....Quraan prhaaty hain smjhaaty hain is main electronic media ka to koi qasoor nahi k bchon ko kia ata hai or kia nahi.....

aap khud sochen na k agr wo tution say jaldi aa jaty hain aishwrya ki beti ki ya kisi dramy ki wja say to is main TV computer ka kia qasoor?

ye to parents ka qasoor hai na unen dehaan dena chahiye....

or agr parents tng hain k bchy raat der tk mobile pr baaten krty hain to is main mobila ka kia qasoor?

mobile khud to un k paas chl kr nahi aya na?


parents bchon k haath main aisi cheezen dety hain to hi wo ye sb krty hain :)[DOUBLEPOST=1359258271][/DOUBLEPOST]Khushi replying to Aaraaf

dear brother

agr chnd aik syllebus kiya jaaty hain to phir hum net pr hr cheez asaani say kaisy dhoond lety hain?

net pr sb kuch hota hai jbi to search main saamny aa jata hai to aisa kehna to theek nahi hoga k chnd aik program ya syllebus milty hain :)

muashra nuqsanaat ki wja say agr apni misaal aap hai to agr yahi muashra in cheezon k fwayed ki trf tawajja day to b muashra apni misaal aap bn skta hai :)

agr nuqsanaat zyada or faidy km hain to un km fwayed ki ahmiyat zyada nuqsanaat say zyada hai :)
[DOUBLEPOST=1359258307][/DOUBLEPOST]By sabah On topic!

k point jho k mai ziker kerna chahungi and jho humare oposition se dekhne ko mel raha hain,
humare group I think yaha pe es bare mei baat nahin ker rahe k electronic system mukamal taur per ghalat hain, chiragh bro kahte hai k en sub se acha use kiya jasakta hain and unhone cell phone and cars waghaira k bhi examples diye k pahlay loug esay bhi ghalat kahte the but ab yeh logo ki zaroorat ban chuke so I wanna se Iam agree with you per yeh serf mature logu k lie hain bacho k lie nai yaha baat about kids hurahe hain, kids k lie kia yeh sub use kerna sahi hain k nahin? so we have to talk about this topic..
and I wanna mention here k ek baar Dr.Zakir naik se kessi admi ne pocha k he wants to watch peace TV and kio k unke gher mei cable nahin hain tu eslie voh nai dekh sakte and cable eslie nai lagaye kio k uske elawa aur bhi aise channels tune hute hain jeska dekhna munasib nahin and jho unke kids pe bura aser karega so then Dr.Zakir naik said k ager aapko mere channel k lie cable connect kerni hain then behter hain aap na kare kio k waha pe peace tv tu ek Islamic channel hugi lekin 100 se zyada aise channels hugi jeska bacho pe bura aser hoga...
beshuk her ek chees ki ache and buri usage huti hain but then hame yeh dekhna hain k kitne percent us chees mei benifit hain achae hain then we should follow, so hum sab jante hain k internet,TV, cell phones etc... bacho k lie koi bhi acha aser nai kersakta even I got to know that k jho immature kids arround 10 to 15 huti hain unke parents unhe net and cell phone laker dete hain yeh soch ker k ab yeh ajkal k zamane k mutabek sub kuch seekh jayenge but voh parents yeh nai dekhta k enke kids akhir us chees ko kaise mis use ker rahe hain internet pe 10-15 yrs old kids nude photos and videos banaker upload ker rahe hain and unke parents ko maloom nai, girl arround 15 to 16 yrs TV mei modelling ka sochte hain, gher se hijab pahan ker yeh loug studio jaate hain and waha pe modelling kerte hain yeh shauk and sab kaha se melte hain humare yahi so called media se jenhe hum kahte hain beneficial hain they are not beneficial in any case khaas ker k tu bacho ko 18 yrs tuk belkul bhi permit nahi kerni chahhye, net mei beshuk Quran tutors hute hain jho buhut mustafeed hain per net ab bana hain es se pahlay kia lougo quran seekhne ko nahin melta ofcourse melta so yeh kahna belkul sahi nahin k net and computer k buhut faide hain there is nothing good it specially about for kids.. ager yeh itna acha hota tu Barak Obama US president aapnay sahab zadio per pabandi na kerti, maloom padha news mei k enke daughters abhi tuk Facbook use nahin kiye and nahin jante hain about it... and abhi aap facebook mei dekho humare he muslims mei 13 yrs old k kids bhi use kerte hain...
[DOUBLEPOST=1359258345][/DOUBLEPOST]Hans-mukh on TOpic:


Assalam o Aliakum hazirainy Majlss


App sub nay apnay apny views paiskiya aur sub nay apny apnay hissab ju be likha acah likha hay hay

now come to sis sabah point, inhon nay kaha k aj kal 10-15 yrs k bachay mobile, internet, TV aur wagaira wagiara use ker rahay hay

tu is ma sub say bara kasoor un parents k hay ju khud apnay bacho ku yah cheezay buy ker k detay hay, ager parents chahy tu bacho ku esily payar say smajha saktay hay k abhi app ki omer nahi n sub cheezo ku use kernay ki, jub hum smjhay gay k app is qabil ho gaye hay tu hum khud app ku dil day gay is liye zidd nahi kertay

aur aik aur baat ju meri qabaly mohtaram sister nay kahi k larkiya 15-20 age ki TV per modeling shows dhaikti hay tu aur phir un ma modeling k shouk paida hota hay aur wo gher say hijab pehna ker jati hay aur studio ja ker sub kuch utar deti hay, tu meri behan pehli baat tu yeh k aisy larkiyon ku pehlay tu studio walay accept he nahi kertay jin ki koe jaan pehchaan na hoo aur dossri baat larkiyon ku bhigarany ma be un k parents k he kasoor hay jis ma un ki maa k role sub say xiada hota hay q k ager Maa chahay tu aisy progrma dhiaknay say rok sakti hay aur un ku un channel per terjeeh day gi jo un ki islah k liye banaye gaye gaye hay

aur phir electronic media itna tarqi ker chuka hay k app easily in channels ku khud gher per bhaith ker lock ker sakti hay aur wohi channel use ker sakti hay jis say un k bacho ku fayeda hoo, becz in this time everything is possible, app chahay usay galt use karay yeah phir achy ma


yeh tu thi chand islaah k liye advices

now lets come to our main point k kiya ajj k media bacho per bura asra daal raha hay yeah fayeday mund hay

tu janb her cheez k do rukh hotay hay , jaha kisi cheez k fayeda ho to waha nuqsaan be hota hay but nuqsaan us surat ma hota hay ager app us ku galt kamo k liye use karay

ager app apnay bacho mobile, internet, yeah koe aisy cheez lay ker detay hay jis k taluk social life say hoo aur app usay apnay fayeday k liye is tarh use ker saktay hay jaisy mobile per app app apnay bacho k liye number fix kerwa day ta ka wo apnay gher walo k elawaa kisi say baat na ker sakay bu can receive from every one , aur internet per be app security provide ker saktay hay jin say koe aisy site open hony ka daarr ju app k bacho k liye achi na hoo aur yeah sub kuch bohat easy hojata hay aur is k sub say bara fayeda yeah hoga k app k bacha maloomat k sath sath zamany walao k sath be chalany k qabil ho jata hay
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
Asma24 on TOpic:

obviously we are talking about kidsss
elctronic media ka bachoon per kesa asr hota hy..
sis sabah ne bht achi achi batein bateyn hain agr tasweer ka dosra rukh dekhen to
her pehloo ke doo roop hote hain acha aur bura,,
bura\e ko bura socho to bura hi lagega na ache ko agr acha socho to zahir hy aacha hi milegeaa.
coz aml to hm per hota hy..
baat aati hy bachoon ki
jo hmare mulk ka mustakbil hain
behter delopments me media ehem qirdar ada kerti hy
net se agr bure asrat hote hain to ache b asrat hote hain her koi logiz bura maan leneg to aagey chal k behter se mehroom hojeynge ..
bachon me ajakl net ka shouq bht ubhar rah hy zaruri nahi hm unhen sirf wasted sites use kerne k liye net lagwa k den ..jabke net se kafi knowledgeable sites b milti hain js se unki study ko supprot milta hy ,,tv per ghalat channal hain to ache channals be hain ..bache jinse se bht kuch seekh saktey hain
hmare gahr me hi peace channal bht dekah jata hy q tv per aur b knowledge me izafa horha hy
ye sab aik saholat hi to hy ,,farz karen agr parents parhe likhe na hoon bache parh skte hain to wo en sab channals ki dtails apne parents ko esily batskte hain..
guzre zamane me ye sab saholatein nahi thi to wo waqt b peeche tha

mere qabil bhai arshad ne meri ponts ko gour se parha
im thanful for that

mulk ki taraki ka darmadaar aik educated aur talented awam per b hota hy bhai

jo information ns hamen net k through milti hain wo mushkil waqt me hamare kaam aaskti hain
jesa k ksi sunjects per deatils history ki batein ...wagera
[DOUBLEPOST=1359258406][/DOUBLEPOST]Mashraki.larka:

[DOUBLEPOST=1359258437][/DOUBLEPOST]Asma24 to mashraki.larka:

ahem ahem tayab

khud se sochen samjhne ki salahiat ti khud insan me hoti hy
phr to bache khud bht masoom kun hote hain
unhe ja bataya aur dikhaya jata hy wo unper hi gour kerte hain jesa k schoolss me..jahan bache taleem se hm ahangi rakhte hain..
bachon ki umar bht kachi kali b hoti hy magr es umar me samjhne ki taqat tezz b hti hy..jesa k hmen bachpna me sikhayi gayi yaad rehi ahin aaj b
bilashuba ye sab taleem se mila hy,,
aajkal k dour me jahan gour o fikar se rehna parta hy duniya aagey ja rrahi sab ekhte hain tarki karo tarki karo ...amgr technogmentss me peche ..kun?bcoz es me kahrabi hy ,,why bachey kahin bigar na jaeyn ,,bachon ka b socho en se bache kya hasil kerskte hain....duniya bha ki knowledge net per moujood hy..parentss bachon ko study me help na ker paeyn to net k through wo unko es mushkil se nikal sakte hain
[DOUBLEPOST=1359258470][/DOUBLEPOST]Mashraki..larka:

[DOUBLEPOST=1359258525][/DOUBLEPOST]Asma24:

hmmm bilkul baat itefaq ki hy tayab,,aajkal ki masrrofiat ko mad e nazar rakhet hue net basaholat dastiyab hy ..js per najne kitni sites aviaable hian..practicalyy agr dekha jaye to eska use bht kamiyab raha hy wrna jadeed saholat aaj hamre gharon me na hoti..beroni mulk se ba asani hm related hain ..duniya bha ki educations unke cultures aur unke bare me news ba asani mil jati hain hamen net per...

zara socho net se tafreeh k sath sath important knowledge b to milta hy..bache apni study aagey aur mnazeed seekh ker apni class me as a good student perform kerskte hain..good performancesss are very hard to acieve but just ail click se wo masla hal b hota hy ...suppose agr kisi subeject me koi dufficulty aarhi ho to use net k through aapke samne aane me dair nahi lagti...tutorss ki bajey net se agr help len to es me kya bura hy
[DOUBLEPOST=1359258555][/DOUBLEPOST]Sabah:

Hans_Mukh said:
Assalam o Aliakum hazirainy Majlss


App sub nay apnay apny views paiskiya aur sub nay apny apnay hissab ju be likha acah likha hay hay

now come to sis sabah point, inhon nay kaha k aj kal 10-15 yrs k bachay mobile, internet, TV aur wagaira wagiara use ker rahay hay

tu is ma sub say bara...
View full quote
Hmmmmm I agree with you, yaha pe baat parents k neglection ki bhi hain per Parents apnay bacho ko advice desakte hain per voh unhe majbor tu nai kersakte... aap internet and TV k facility apnay bache ko do and pir kahna k beta mis use mut kerna and pura ek lecture bhi diye...yeh sub kahna asan hain bache esay kitna serious lete hain yeh baat tub koi rukh legi...
yeh tu vohi baat hue na k kids k hath remote control bomb thama do and usay pir kaho k beta eske buttons press na kerna es se bomb explude hujayega :p sorry its funny but aap usay aise chees use kerne kio de k us se itne nuksaan ho and khud aapko bhi sakoon na ho k pata nahin us se kaise use karenge, yaha pe tu parents ager 24 hrs bacho pe nazar rakhenge tu kia unhe yeh feel nai hoga k unke parents un pe nazar rak rahe hain and jaise k voh koi qaid khane mei rah rahe ho aisa bhi nai hota hum kids pe na tu itna burdan daal sakte hain na he unhe itna freedom de sakte hain so the scale should be balanced from both right and left side... aap electronic system use kerne k huk mei ho per saath mei parents ko bacho k samjhane ka bhi kah rahe ho and un pe nazar rakne ka bhi, so first step yahi so tu shoro huti hain k aap unhe aise cheese farahem kero jes se unhe koi nuksan na ho jes se voh padhaye k bejae bekaar kamo mei involved na ho... yeh baate mei koi khudse na kah rahe balke humare gher mei same mere chote bhai k situation ko define ker rahe hu... before he was so intelligent and genius too ab bhi hain per ab school mei unke buhut kharab marks athe hain TV pahlay dekhta tha per ab unhe laptop mela hain with internet so all the time voh online games mei busy ya pir koi cartoon or youtube mei funny videos dekhta rahta hain and he is just 12 yrs old, MashaAllah zaheen hain and he knows much about how to use net lekin sub vaise kaam hain jho baad mei unka koi help nahin hoga jub k mai apnay father se baar baar kah chuke k school mei enke laptop and net use kerna band kare exams mei padhaye nai karega mere father baar baar unhe pyar se samjhate hain ya kabhi gussa bhi kerte but unhe serf us time yaad rahta hain baad mei bhol jata hain and mujhay afsoos hota hain k kio yeh en cheeso mei involved hain, unhe dekh ker mera chota bhai bhi en sub ka khwahish kerne laga hain and he comes to me and asks me sis can I use your computer for a while just wanna play some games!!
OMG i just hate it jub voh yeh sub kahne lagta hain but choote bhai ko mai yeh sub facility nai deti so MashaAllah voh ab padhaye and Quran k reciting mei masroof hota hain and today he started praying Salah just because he is not involved with that and yeh sub mere bade bhai nai kerta so khud soche ab....ab pirse na kahye k yeh parents ka ghaflat hain haa yahi mistake hue k unhe chote age mei bhai ko itne facility de hain watching TV and using net and mere father k intentions bhi yahi tha k chote age mei voh computer seekhe and electronic media ko ache se samajh sake and sharp ho, he is sharp but studies ko jho ignore kerta hain here its a negetive point...
[DOUBLEPOST=1359258585][/DOUBLEPOST]Hooria on Topic:

Assalam-o-Alikum

Mujhay Jis Topic pe apnay Khyalaat K Izhar ka moqa mila hay woh hay " Kia ElectrOnic Media Humray Bachon Ki taleem-o-tarbiat pe bura aser dalta hay yah nahi..?

Tu Janab mEra Jawab hay Bilkul bOhat bura aser dalta hay..! Laken humari mukhalif team k dost is baat se mutfiq nahi..! Jaisay k mEray aak muazaz Bhae nay kaha k aaj kal 25% Larkay SchOol sirf Teachers se affair k chakr main Jatay hain..! tu maafi Chahti hon mujhay yah baat aak lateefy se zyda nahi Lagi, aray Janab zara Zehan pe zor day k sochiye, K ab Computer yah TV k samnay Beith k Koi Doctor, Engineer, Pilot, Banker yah Business Man tu banany se raha, Kyun K Computer yah TV Information tu detay hain Laken Degree nahi..! Electronic Media k buray asraat humari pori society ko apni Lapait main liye huye hain, Jis se zyda mutasir Nojawan Nasl aur Bachay hain..! Is nay Jahan Bachon se un ka masOom Bachpan dor kia hay tu wahan unhain zahaini aur Jismani tor pe bhi maflooj ker dia hay, aur haal yah hay k aaj k bachay "Kunwain Ka maindak" Ban k reh gaye hain, Jin ki pori duniya us kamray tak mehdod hay Jis main un ka computer yah TV rakha hay. Bachon ki Outdoor Activties na honay k baraber hain, unhain social values se awareness nahi ho Pati, aak hi area main rehtay huye Jab wOh apny hi humsaye k bachon se miltay hain tu un k dermain bohat ajnabiat se hote hay. Jab Bachay Computer yah TV pe Movies, CartOons yah aise programs dekhtay hain Jin ka haqeeqat se koi link nahi hota tu un k liye haqeeqat main hOnay walay waqiyat aur Changes ko accept kerna mushkil ho Jata hay. un ka mind issi baat pe main uljh Jata hay k such kia hay aur JhOot kia.

Media bachon ko un ki age se pahlay mature ker deta hay..! Jis k society pe negtive asraat ho rahay hain. Bohat afsos hota hay k yah hain humaray Mustqil k maimaar Jinhain Finger tips pe movies k name, actors k name aur Gaanay tu yaad hotay hain Laken unhain baray ho ker mulk k liye kia kerna hay yah swal unhain hyrat aur preshani main daal deta hay. Yah hain Iqbal k Shaheen o par Bachay Jin ki uraan sirf TV yah Computer screen tak mahdod hay.

Ager Mukhalif team k dost yah kehtay hain k Electronic media ReligiOus values ko promote ker raha hay, Logo ko Deen se agahi day raha hay tu bataiye kitnay aisay bachay hain Jinhain Islam se agahi hote hay? Jin ko yah pata ho k un k asal Heros Kaun se hain..? laken afsos der afsos un k hero tu woh movies yah daramay main dekhiye janay walay Jhotay Kirdar hotay hain..! Jin se woh itna inspire hotya hain k apna hair style, dressing, even life style bhi un k Jaisa banany ki koshish kertay hain..! aur apni Cultural n religiOus values ko bhool Jatay hain..! Maghirb aur Ghair Musalimo ka Culture Media k through humray gharon main araha hay..! un Ki tahzeeb humari tahzeeb banti Ja rahe hay aur Is main media ka Major role hay..! Tu kia aap samjhtay hain k Humray Bachay Kal ka mustaqbil Jin shakhon pe ashianay bana rahay hain woh paydar bhi hain yah nahi..! Iqbal ka shair Jo unhon nay aise hi moqa k liye likha ho ga share kerna Chahon ge..!


Tumhari Tahzeeb apnay Khanjer se aap hi Khudkushi Keray gi
Jo shaakh-e-Nazuk pay Banay ga Aashiana, Na Paidar ho ga
[DOUBLEPOST=1359258623][/DOUBLEPOST]Asma24:

hmmm saba sis ne kafi acha jawab diya hy with example:)
aatey hain phr apni raye per...
agr aap esko khud se zimedar theraogye to zahir hy ye ghalat sabit hoga...magr eske oppsote aap jhankogey to dosra rukh milega ..wese to aise hazaron batein hain js ka asar bura aur acha hota hy
magr her baat ka zimedar sirf media nahi hota....
agr kcuh bachon ne ese negetively liya hy to possitively b liya hy jesa k mere apne bhai ne net k throgh bht kuch seekha hy ...js me adopephotoshop aur msword k courses aatey hain ....
ye dour english dour b kelata hy aajkal bht se courses me english ka istemal hota hy ..bachen chaehn ghar bethe english seekh skte hain....
parents ki rok tok se hi ye sirf bat nahi banti kayi baar bache khud es me intersted rehte hain....
her wqt study ka pressure sirf bachon per laad dena b theek nahi hota es se hatker b unke liye kuch entertainments and activities hoti hain jo net se mil pati hain....
tv per bht se channal aise hain jahan per bachon ka khas programme aatye hain jesa k poggo aisa channal hy jahan bachon k liye different different cheezen banaker unklie entertainment ka bandobast kiya gya hya..js se bachon ki zahanat me izafa hota hy aaur parents b bachon ki aisi zahanat se khush hote hain:)
[DOUBLEPOST=1359258660][/DOUBLEPOST]Shb(shoaib) on TOpic:

Assalamo Alaikum

Aaaj mujhe jis eham mozo pe lab kushae ka mooqa mila hai woh hai Electronic Media ke bachon ki taleem o terbaeat pe nuqsan deh asraat .... Me apni baat ka aaghaz me Electronic Media pe roshneee dalnaa chahoun ga keh electroni media hai kya?

Electroni media aik aisa information system jo sari dunya me phela howa hai jo khabar rasaani ka aik aisa zareeya hai jis ne logon ko aik doosre ke qareeb ker dea hai, dunya ki her qaum ki saqafat, rehan sehan aur zindagi ke aslooob ko hum bakhoobi jaan sakte hain her kisim ki maloomat aur tafreeh hasil ker sakte hain lakin sawal yeah peda hota hai keh kya hum in aloom se is saqafat ki shanasae se kuch seekh rahe hain ya faqat khud ko dhoooka de rahe hain..... kya hamari aane wali nasala yani hamare bachee is electronic media se kitne barey aalim ban rahe hain..... to jab hum yeah sawal khud se poochte hain to jawab bohat afsoosnaak hai..... Nahi balkeh hum sub kuch janne ke chaker me khud ko bhoooltey jaa rahe hain...

hamari Qaum ke meymar hamare aaj ke masooom bache is Electronic Media TV computer Internet ka sub se bara shikaar hain kyon ke un ke kache zehan bohat jald her baat ko maan lete hain.... Aaj ka bacha ki zindagi ka sub se eham maqsad hai aik Imaginary Hero banna jo sub kuch ker sakta hai.... hawa me urr sakta hai ... buron ko maar sakta hai... us ki shaksiat banne ke eham dinoo me woh khaboon khaylooon ki dunya me khoya howa hai aur is ka zimedaaaar koun hai....? Kya yeah Cartoon aur Movies dekhne se bachoun ki theek terbeat ho rahi hai.... kya Pogo aur Cartoon Network ko tafreeh kehne wale hum log apne he bachon ko haqeeqat ki dunya se door rakhe howe hain.... kya hum aaj ke bache ko aisi tafreeh fraham ker ke aane wale kal me us ko kamyaab insaan ki khawish ker sakte hain....??? bilkul nahi to fir akhir kyon hum sub kuch dekhte hoye bhi undeekha kea hoye hain? Sirf is lea keh hamare pass apne he bachon ke lea time nahi un ke sath baat kerne ko un ko tafreeh fraham kerne ko unhe sabaq aamooz kahaniyan sunnane ko unhe apne he rasmooo riwaj sikhane ko hamare pass time nahi hai...

Hum ne apne bachon ko us Media ke hawale ker dea jo inhe apni saqafat apni pehchan se door bohat dooor le jaa raha hai ... Aaj hamare muslim gharon me quran pak perhne ki sadaa buland ho naaaaa hooo per her ghar me tv se uthteee hoi bhajan aur pooja ki ooounchi aawazz zaroor sunae deti hai.... aur hamare bachon ki zubaan pe koi Kalmaaaa ya Aayat ke wird ke bajae Filmi gaane sunne ko miltey hain... is ki wajah sirf aur sirf yeah hai keh ek Bache ki misaal saaf shifaaf pani ki hai aap usey jis qism ke bertan me daaloooo woh aap ko waisaa he dikheee ga.... To jab hamare gharon me Hinduism culture ko dekhaaa jaye ga un ke rehan sehan ko pasand kea jaye ga to hamare bache bhi to yeah he seekhen ge keh jo hamare parents ko itna pasand hai woh he sub se acha hai.... per haqeeqat to yeah hai keh hum tafreeh ke naam pe Electronic media ke hathon tubaho berbaad ho rahe hain.....

hum apne bachon ko computer le ke dete hain taleeem ke naam pe keh hamara bacha zamane ke sath chalnaaa seekh sakheeey lakin kitne Parents hain jo palat ke dekhte hain keh humara bacha kitna faida uthaaa raha hai aur yeah to nahi keh woh zamane ke un logon ke sath chal rahe hai jo pastioun me girey hoye hain. shayd bohat he kum hon ge aise waldain ... Internet pe Chatting, video games aur Ikhlaaq se giri hoyee web sites betahaaasha milen gi aap ko aur kachi aur naa baligh umer aisi umer hai jis khudser ghoree se mushabah kea gaya hai keh ager aik baar ghoora bidak jaye to us ko sanbhalna naaa mumkin ho jata hai to hum kis tarah is umer me apne bachon ko us media ke hawale ker dete hain jo in ki ragon me zehar bhar de in ke dimagon ko aashiq mizaj bana ke naaa kaara ker de... Hum sub jaante hain keh Neeki aur achaee kaa raaaste pe chalnaaa bohat mushkil ha ba nisbaat buraee ki janib marghoob hone ke to kis tarah hum apne bachon se yeah umeed ker sakte hain keh woh keechar me reh ke apne kaproon pe dagh naa lagne den.... hum aub sochnaa ho ga hamare bachon ki taleemo terbeat ki zimedari hum pe farz hai aur hum un ko Aazaadi ke naam pe tubah ker ke apne aane wale kal ko tareek kerte jaa rahe hain....

Electronic Media ke wajood ki wajah se hamari aane wali nasloon ki pehchan khatam hoti jaa rahi hai, hume is baat ko tasleem kerna ho ga keh Electronic Media Elm ka samunder nahi aur naaa he hamare bachon ki taleemo terbeat ka zariya balkeh Electronic Media aik Khoobsurat Saanp hai jise hume jaaan naaa hooga…. Aur apne bachon ko is se bachan hogaa

Aur akhir me Allam Iqbal ka mashoor shair arz kerna chahoun ga

KHUDA ne aaj tak is qoam ki halat nahi badli
na ho jis ko khayal aap apni halat k badalne ka
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
S_Chiragh:


*SHB* said:
Assalamo Alaikum

Aaaj mujhe jis eham mozo pe lab kushae ka mooqa mila hai woh hai Electronic Media ke bachon ki taleem o terbaeat pe nuqsan deh asraat .... Me apni baat ka aaghaz me Electronic Media pe roshneee dalnaa chahoun ga keh electroni media hai kya?

Electroni media aik aisa information...
View full quote


Wa'alaikum assalam Shoaib bhai aapka post dekh kar khushi huwi:)

ji bilkul electronic media ko humare bachon ke kache zehen jaldi maan lete hain
to same baat mene ki hai ke bachon ko electronic media se jore rakhna chahiye
per uske saath sath eik guide karne wala bhi jo har jageh aur har jiski har kaam
mein har bache ko need hoti hai kyunke achhe bure ki pehchaan usme nahin
hoti aur na hi nanha sa uska dimagh har baat samajh paata hai tabhi
electronic media se door nahin bhaagna humein electronic sahi dhang se bachon
tak pohnchaana hai ji agar hum bachon ko pogo aur cartoon network ke saath
saath khud se achi tarbiyat dein aur cartoon network tafreeh ki shey hai bachon
ke zehen ko aisa banaen ke woh use tagreeh tak hi rakhein to woh tasawuraat
mein nahin khowengein aur agar hum aisi cheezon se tarbiyat per biru asar
parne ka gila karein to bohot se aisi storiez books hain jinhein parh ke loug
aise bhatke hain ke apne ghar walon ka qatl kar beithe hain ab kya us kitab ka
qasoor hai.???


electronic media ke naam se sirf wohi kyun mention kiya jaa raha hai jo humare culture
se milta julta nahin??? youn to humein apne politicians ko bhi dekhna hi nahi nchahiye
unke bhi suits unka bhi pehnawa baaton ka andaaz humare culture se alag hai aur naa
hi oxford ki kitaabein parhni chahiyen woh bhi to humare liye nahin hum URDU books parhengein
aur Arabic laayengein PAKISTAN mein taake PAKISTAN achha bane agar INDIAN rasoomaat
ko sirf T.V pe dekhne se hum itne gumraah ho jayengein to un hone wale qurbaanion ka kya.???
jo us waqt PAKISTAN banane ke liye kate jab woh un rasoomaat ke andar hi reh rahe the
aur kabhi kisi ko us waqt bhi unke rasoomaat ko dekhne se koi shikwa na tha.?? so aaj agar
30 mins ke episode se aap 10-18 saal ke darmyan ke bache ko eik achhi naseehat dein
aur unke pooja paat na seekhne ki hidayat iske saath saath woh episode se entertain bhi
ho jaayega to kya bura hone wala hai.???

bhai jan bilkul yeh nuqta aapka sahi hai gharon se gaanon ki sadayen buland hotin hain
ispe aapko shikwa jab ke Qur'an e pak ki ayaat ka hona chahiye bilkul sahi ab yahan ghalti
parents ki hai ke bache ko nahin samjhaya ke kab kya aur kaise karte hain

to hum yahan yeh bhi kahein ke yehi hathiyar zimmewaar hain ke 14 saala larka qatal kar aaya
naa ke koi deeni kaam ji nahin agar woh yeh qatal 9mm se na karta to kisi aur shey se kar leta
agar use karna hi hota agar electronic media na bhi ho to bhatakne ke raste aur bhi bohot saare
hain per electronic media se fawaiyd bohot se milte hain jaise ke mein bhi 16 ka tha jab
pehli dafa mera kisi site pe account bana tha aur wahan ke har odst ki har achhi baat mujhe
aaj bhi yaad hai aur insha'ALLAH sada yaad rahengeen

Eelctronic media nahin humare naslon ki pehchaan us paanch waqti musalmaan ke wajeh se khatam ho rahi
hai jo khud to paanch waqt ka namaz parh bhi leta hai parhwa bhi leta hai aur paas wali masjid mein jaane
se rouk kar kehta hai ke woh loug to mushriq hain yaa phir kaafir hain koi kehta hai Rasool ko nahin maante
koi kehta hai mazaron ko poojte hain sirf firqe ke sabab ab is tarah sacha musalmaan banengein to bigrengein hi

baat agar aaye internet ki to internet ne itni asaani to kar hi di hai ke saare Karachi ke exam results
eik hi site mein de diye aur kahin nahin daalne ki jagah mili sub se achhi jagah yehi mili aur un lougon ka kehna
hai ke humare results barbaad ho jaate aur hum inhein shaayad na dekh paate agar teachers loug inhein upload na
karwate ab agar kisi shey ke zyada istemaal se koi bigre to isme cheez ki ghalti nahin jaisa ke zyada mirchi se
bohot si bimaariyan milti hain to mirchi ki ghalti nahin khaane wale ki hai

@end mein kahoonga ke

Electronic media eik bejaan shey hai jo sirf maloomaat aur har tarah ke maloomaat se bhari hai
isse caroron lougon ko rizq milta aur kaiin ka bhala hone ke saath saath bohot hi asaan tareeqe
se bachon ko entertain karta hai jiske sabab aap kisi bhi bure mahol mein rehte huwe apne bachon
ko ghar hi mein apne saamne deikh sakte samjha sakte rouk sakte aur apni marzi se guide kar sakte hain

thats it
[DOUBLEPOST=1359258719][/DOUBLEPOST]Mashraki.Larka:

[DOUBLEPOST=1359258754][/DOUBLEPOST]Shoaib:

S_ChiragH said:


Wa'alaikum assalam Shoaib bhai aapka post dekh kar khushi huwi:)

ji bilkul electronic media ko humare bachon ke kache zehen jaldi maan lete hain
to same baat mene ki hai ke bachon ko electronic media se jore rakhna chahiye
per uske saath sath eik guide karne wala bhi jo har jageh aur har...
View full quote
Mere mohteram Sathi aur Dost Chiragh ke khyalat aur azam qabil e tareef hai....

aap ki sari baat is ke gird ghoomti hai keh Parents ko bachon ki terbeat kerni chahiye un ko Electronic Media ke burey asraat se bacha ke rakhna chahiye... aur Sirf electronic media ke ache pehloo dekhne ke lea aamada kerna chahiye aur aap kehte ho keh hamare bachon ko her saqafat ka knowledge hona zaroori hai woh kuch seekhna chahiye jo hamari saqafat me nahi hai.... aur aap kehte ho Electronic media ne nahi hamari pehchan ko nuqsan howa hai hamare paanch waqti muslimaan ki wajah se...

Mujhe aap ki baat se ikhtilaaf hai...

pehli baat aap kehte ho hum apne bachon ko guide kerna chahiye to kitne parents hon ge jo apne bachon pe 24 ghante nigraani rakh sakte hai yeah Electronic Media TV aur Internet se hum ne her burae apne ghar me laa khari ki hai aur yeah bilkul aisa hai jaise aik doodh ka bowl laa ke billi ke saamne rakh dea jaye aur usey kaha jaye isey mut peena... aur us pe nigrani bhi rakh di jaye.... to aap kya samjhte ho aap ke kehne se usey nafrat ho jae gi us se.... bilkul nahi balke aap ka bacha us tuk pohanchne ke raaste dhoonde ga... Jis se us ki shaksiat per burey asraat parey ge... Beshak burae se rookna chahiye bilkul rookna chahiye per Burae ke aaala kaar se apne bachon ko door bhi rakhna chahiye...

aap ki dosri baat hamare bachon ko doosron ki saqafat aur culture bhi seekhna chahiye who book bhi perhni chahiye jo hamare culture ka hissa nahi lakin kya aap aik aisi building khari kerne ja rahe ho jis ki basement kamzoor hai to who building ka kya injaam ho gaa… Insaan ki basement us kaa deen aur us ki saqafat hai aur bache ko mere khayal se sirf apna deen aur saqafat seekhani chahiye aur jab who mature ho jayen aur apne Deen aur saqafat pe un ko ubooor hasil ho jaye to un ko is baat ki ijazat honi chahiye keh who dosre deen aur culture ke barey me jaan is se un ka dimaghi soch muntashir nahi hoga aur who sari zindagi just mawazana kerne me surf nahi Karen ge un ki shaksiat mazboot hogi aur who apne deen aur mulk ki saheeh se pehchan bhi ban saken ge aur jab us ko apni saqafat ka complete knowledge ho ga to us ke mutaliq logon ki peda ki gae ghalat baton ko point out ker sake ga aur un ka tasali bakhsh jawab bhi de sake ga… so characted development ki age me bachoo aur naujawanoo ko zaroorat se zyada knowledge ki frahmi aur gumarah kun zaraye se hasil hone wala elm just soch ko diversify kerta hai aur zehni kashmakash berhata naa ke un ko koi aalim banata hai… so Electronic Media woh dikhata hai jo keh hamare bachon ko dikha ke gumrah kea jaa raha hai jis ki koi haqeeqat nahi lakin aik jhoooti baat ko bhi ager aik bache ke saamne aap baar baar bolo to woh us ko such maan nee me dair nahi lagaye ga to akhir kab tuk apne bache ko tv ke saamne bitha ke her jhooti baat ko point out Karen ge hum us ki kachi umer me us ko TV se door rakh ke un mashaghil me kyon nahi laga sakte jo us ki zehni nashoo numa me madad karey… missal ke toor pe us ko tafreeh ke lea physical game me lagana zyada acha hai keh tv ke saamne bith ke cartoon dikhana ya computer ke saamne bitha ke us ko video game khilana… Electronice Media ka sub se bara tohfa hamare bachon ke lea chooti umer me nazer ki kumzoori hai … to hum kyon aisi muzer tafreeh ko select Karen apne bachon ke lea jab ke dosrey zaraye bhi maujoood hain…

Aur aap ki third baat panch waqti musalmaan aur firqon me bati hoi baat se mutaliq me itna he kehna chahoun ga keh yeah sub miscommunication he hai Electronic media ke phelaya howa zehar he hai aap jis ko knowledge ka zareya sabit kerne pe tulle hoye hai actually who gumrah kun khyalat ko phelane ka aur aapis me nafraten berhane ka sub se bara zareya hai…. Aaj ke news channel news kum aur afraah tafreeh zyada phelate nazar aate hai aaj ke dramas aur movies bina kisi sabaq aamooz story ke just romance aur fashion ka perchaar kerte nazar aate hain aur aaj ke Islamic Channal ko aap kya samajhte ho Islam ki baat batane tuk to theek hail lakin firqa wariat ki baaten phailane me bhi in ka sub se bara haath hai…. Choote bachon aur khasoosan naujawanoo ko ager hum Is Electronic media ke zehar se door rakh ke just Islam ki basic baton pe tawajah dilayen aur un ko Anbia Karam ki sabaq aamooz Quranice qise aur kahaniya perh ke sunayen aur un ko deen pe chalne wala banayen aur yeah baat sikhaen keh muslim se nafrat kerna ghalat hai us ki buri baat ko bura kaho lakin is tareeke se us ko zalalat feel naa ho balkeh us ko sochne ka mooqa do us ko tanza ka nishana naa banao balkeh ho sakta hai keh Allah ke nazdeek us ke derjaat tum se zyada buland ho… Firqa wariat ke mutaliq me itna he kehna chahoun ga keh kisi firqe pe ghalat baat ker ke ya kisi ko kafir thehra ke usey ghussa dila ke hum us ki islaaah to nahi ker sakte balkeh us ke dil me apne lea nafrat zaroor bhar sakte hain… so jahan ghalat dikhe usey islah ki nazar se dekho… nafrat ki nazar se nahi…. Aur jab hamare bachee yeah baat seekh jaen ge keh muslim se nafrat nahi kerni Muslims aapis me bhai bhai hain aur ager koi ghalat kaam ker raha hai to usey us ki baat ka ehsas itne naram alfaz me dilaoo ke woh apni islah ka soche aur ager nahi sochta to usko zaleel naa kero keh ho sakta hai yeah fayal Allah ke nazdeek na pasand ho jae aur hum jo poori umat ka theeka apne ser samajh ke logon ko theek kerne nikle the apne he eeeman se hath dhoo bethe….

Khuda raaa tanz ki zuban deen ke maamle me use kerne se bohat perhaiz kea kero aur naram lehje ko ikhtiyar kero aur ager nahi ker sakte to chup rehna seekh lo kyon ke aap ki aik chup shayd aaap ki akhrit me nijat ka zariya ban jae…. Aur yeah baat hume apne aane wali kal ke maymaar apne bachon ko samjhani chahiye…
[DOUBLEPOST=1359258796][/DOUBLEPOST]S-chiragh:
*SHB* said:


Mere mohteram Sathi aur Dost Chiragh ke khyalat aur azam qabil e tareef hai....

aap ki sari baat is ke gird ghoomti hai keh Parents ko bachon ki terbeat kerni chahiye un ko Electronic Media ke burey asraat se bacha ke rakhna chahiye... aur Sirf electronic media ke ache pehloo dekhne ke lea...
View full quote
Ji bhai jan mene zaroor kaha ke paanch ka namazi per woh paanch ka namazi jo kisi aur paanch waqt ke
namazi ko kaafir kehta hai sirf firqe ke sabab aap meri baat ko adhoora samjhe the
aur uske baad agar parents ke paas waqt nahin ke bachon ko 24 hours guide hi karte rahein
to bachon ko T.V dekh kar woh training nahin milti jo galion mein awaara gardi se mil jaati hai
so woh agar bachon se poochh bhi lein ke bachon aaj kya kya kiya to us hisaab se bhi bachon
ko sab kuch samjha sakte hain electronic media mein masrufiyat laakh gunna behetter hain
aur kaamon se misilan awaara gardi se chori dakeiti se jhoot bolne se

aur mohtaram mene jinpe tanz kiya woh islam nahin tha woh firqa wariyat nahin thi firqa wariyat
yeh hai dar haqeeqat ke apne firqe ke usoolon ko nahin chhorna

yeh qat'an matlab nahin ke auron ko ehl e kuffaar kaha jaye

to eik 12 saal ke bache ko romance ke film dekhne se entertain nahin hona chahiye bhai
agar woh hota hai to woh film dekhne se pehle hi bigra huwa tha film dekh kar nahin
bigra eik 12 saal ke bache ko cartoon type ki aur action moviez pasand honi chahiyen
aur unme eik naseehat zaroor nikal aata hai

aur jo aap ne humein imaan aur humare zaati raaye pe tanz diya ghalat kiya
mera lehja naram hi hai aur islam ka to mere khayal se mene ab tak zikr hi nahin
kiya kyunke dar haqeeqat ke islam walon ko bhatkane ke liye koi namaz parhe
to woh namaz islam ka hissa hi nahin banti

agar T.V dekhna films dekhna is qadar ghalat hai bachon per itna hi ba asar woh
bure raah se daalta hai to ghar se baahir kya milta hai bache ko??? aap us mutaliq
bhi yehi kahengein ke 10 se saal ke bache ko ghar se baahir nikalne ke liye
uska koi bada saath hona hcahiye??? is hi tarah theek is hi tarah electronic media
se bhi connect rehne ke liye eik guide karne wale ki need hogi aur bina kisi samjhane
wale ki bacha bina baahri gaye aur electronic media se door reh kar bhi bigdega hi

aur mein aakhir mein phir wahi kahoonga jisse koi munh mor nahin sakta aur jo haqeeqat
ki baat hai ke E media eik be jaan cheez hi hai ise jaise istemaal karoge waisa hi asar paoge
[DOUBLEPOST=1359258823][/DOUBLEPOST]Aara'af:

S_ChiragH said:


Ji bhai jan mene zaroor kaha ke paanch ka namazi per woh paanch ka namazi jo kisi aur paanch waqt ke
namazi ko kaafir kehta hai sirf firqe ke sabab aap meri baat ko adhoora samjhe the
aur uske baad agar parents ke paas waqt nahin ke bachon ko 24 hours guide hi karte rahein
to bachon ko T.V dekh...
View full quote
Assalam o alaikum Wrwb :)

mere qaabil e ehteraam dost main aapki baat samajhta hon k baccha agar pahle se hi bigra hua hai to wo film dekhne ya na dekhne se bhi bigre ga hi.laikin main aapko ani hi ek misal deta chalun k maine facebook me apna account create kia chund hi din istemal kia baad me ek facebook hi ka member blue videos share karne laga dil chaha k aaqir kia hai ek baar dekhlun laikin mujhe pata tha k ye kaam ghalat hai isliye maine isse chor diya aur facebook par jaana hi band kardiya jab kabhi mujhe koi dawat ya koi khaas kaam hota hai tabhi main facebook istemal karta hon aur fir close kardeta hon.laikin aap batayen ek baccha jo abhi kum umr ho usko itni samajh kahan hoti hai k wo acchi ya buri cheezon me tameez kare.wo to yahi chahega k jaldi se jaldi aisi cheezein collect karun aur uska rujhaan aisi cheezon me aur ziada hojata hai.aur ek baat bacche ki taleem ki sahih jagah uski darsgaah/school hoti hai.aur ussi school k satndard par depend karta hai k wo bacche ko kitna qaabil banate hain.

main aur ek misal k zarye aapko ye baat waazeh karta chalun k kayi ek websites ya forums kum umr bacchon ka koi account create hi nahi karte.agar eitebaar na ho to ek account facebook ya ksi aur website/forum me create karke dekhne aur apni age below adult den.wo accept nahi karenge to hum kaise apne bacchon ko aisi cheezein istemal karne ki aazaadi deden.

main ek aur misal apne dost k larkon ki deta chalun k wo kum educated hain laikin wo chahte hian k wo apne bacchon ko acchi taaleem o tarbiyat den.isiliye unho ne apne ghar labtop aur net connection lagwaya.shru me unke bacchaon par wo net use karne ki ek hadd lagadi.k main rahunga to hi net istemal karna warna tumhe abhi nahi maloom isliye tum akele me isteml nahi karna.bacchon ko bhi kuch ziada iske taaluq se nahi maloom tha.laikin jab dheere dheere waqt guzarta gaya.aur wo ane doston se new games k sites waghera lekar ghar aate aur usse download karke bus ussi me mashgool rahne lage.mere dost bhi kabtak unki nigraani karte jab bhi wo bahar rahte unke bacche study kum aur net par games khelne me masroof ziada rahte.

to marks bhi kum aaye.jab teacher se unho ne shikayat ki k pahle bacche k marks acche aate thei kyunk ab ki baar unke marks bahot kum hoagye to techer ne unse sawal kia k kia aap apne bacchon ko ghar par taleem dete hain.to mere dost ne kaha k han dete hain balke pahle se kahin ziada aur acche andaz se hum apne bacchon ko guide kar rahe hain maine apne ghar laptop aur net connection bhi lagaya hai.

to jhat se teacher ne kaha k aapne yahin ghalti ki.k aap apne bacchon ko wo ghiza nahi derahe jo unhe is umr me darkaar hai.main bhi teacher ki is baat se muttafiq hon bacchon ko unki umr k hisab se ghiza deni chahiye agar hum 1 ya 2 saal k bacchon ko mutton ya aur koi dosre foods denge to wo badhazmi ka shikar hojayega.aur uski sahat par farq parega.

main nahi kahta k electronic media sarasar ghalat hai.laikin uska sahih umr me hi istemal sahih rahta hai.warna usse faayede kum nuqsanaat ziada hojayenge.
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
Wa'alaikum assalam Aara'af bhai masha'a'ALLAH se aap ne mere hi baaton per jaise roshni daali
ho:) matlab ke jab tak aapke dost ki nigraani mein net sitemaal huwa koi masla nahin tha
to jaate jaate net band karna aana chahiye tha dost ko phir jab moujood hote tabhi net chalane
dete

is tarah bachon ki tafreeh bhi hoti rehti aur parhaiy bhi achhi chalti

aur jis tarah aap ne Face book wali baat kahi hai to uspe mein kehna chaahunga
ke FB mein sirf woh to nahin naa available jiske baare mein aap mazkoor hain
Face book to itna pheil gaya hai ke face book mein hi aise aise friendz ne group
banaye hain maano ke Face book ke against hi banayen hain to itne bade meidaan
mein agar 10 phool milengein to khaar bhi laazmi hone hain ab eik khaar ke
khatre mein bachon ka gulistan tabah nahin karna

aur jis 18 ka aap zikr kar rahe hain woh sirf eik formality hai mein khud forums
ke members aur adminz ko keh chuka ke mein 18 ka nahin jab ke unke rulez mein
sakhti se likha below 18 not allowed aur masha'a'ALLAH waise site ka s.mod reh
chuka jab ke us waqt mein 18 ka nahin tha

aur phir aakhir mein aap ne meri wali hi baat ki hum bache ko agar woh ghiza de dengein
jo bache ke liye achhi nahin to qasoor ghiza huwa.???

koi curropt minded fard net mein buraiy pheilata yaa usse buraiy hasool karta hai to uski
misaiyl usse di jaaye ke bukhaar mein roti zeher barabar

per khata roti ki nahin hoti

is hi tarah E.media ki ghalti nahin woh corrupt minded banda maghfirat ki duayen
bhi is hi net se le sakta hai aur woh janaab jiske bache net use karke parhaiy mein
week huwe hain use chahiye tha ke apne bachon ko net se pehle limit sikhaaye
mera apna chhota bhai Net bhi use karta hai games bhi kheilta hai apne mob
mein games masha'a'ALLAH khud hi daal leta hai games bhi install kar leta hai
aur 1st se 4th ke darmyan hi har baar uska result aata hai jiski wajah
yeh ke mein aur family ke baaqi loug bhale hi 24 hours uspe nazar nahin rakhte
per uske zehen mein bitha diya hai ke kya ghalat kya sahi

kya karna hai kya nahin karna aapke liye kounsi site hai kounsi badon ke liye aur
kounsi bad kaaron ke liye hai aaj tak use Gmail tak mein mene khud account
banane nahin diya per usne kabhi aetraaz nahin kiya aur naa hi mujh se jhoot kaha
kyunke mene uske zehen mein bina kahe samjha ke ehsaas dila ke sikha diya hai
ke hum jo chaahengein aap ki bhalaiy ke liye hoga aapko rokengein to aapki
achhaiy ke liye warna kyun rokengein.??? is hi tarah agar kisi bache ko

net diya jaaye T.V di jaaye iske saath saath eik tarbiyat dene wala bhi jo sahi
ghalat ka faraq aise bataye ke uske zehen mein baat beithe tabhi
eik bacha genious banne ki ibtidah kar sakega aur khaaskar
to bacha tab bigrega agar hum khud NET use karein aur use kahein yeh
bachon ke liye achhi cheez nahin to woh ghar se baahir nikal ke yahan wahan
kahin naa kahin se net ki biraiyon se jurh kar dekhna chaahega ke how
is it bad.??? aur uski is harkat ka aapko bhanak bhi nahin lagega

ji aap ne sahi kaha sahi umr mein sahi istemaal jaise har kahani har waqiya
2-14 saal ke bachon ke aage nahin sunaate isse unke zehen pe bura
asar par sakta hai to kami uske imr mein hai khaami kahani mein nahin

yunhi E.media se games gine chune sites T.V ke sum channels
allow kiye jaayen to kal barh kar woh bacha hum se bhi achha ban sakta hai
achhi soch wala ban sakta hai


mere ilaqe mein eik 12 saal ki bachi gungunati
rehti hai munni badnaam gaana aur aise bohot se gaane jaante hain
isme heirat ki baat kya hai us uske ghar mein T.V nahin
hai naa hi MP3 wagheira bas uske ghar walon
ne apne bachon ko ghar se nikalne ki azaadi di hai
kyunke bachon ko baahir
nikalne ki bhi need to
hogi hai aur is hi
ke mad e muqabil mein 12 saal ke
larke ko jaanta hoon jo Q'ranhifz karne
wala hai uske ghar mein net bhi hai
uske paas phone bhi hai
sms package bhi aur woh khoob
t.V shows bhi dekhta hai
per itni awaaz mei n gungunana be adabi samajhta hai

aur ALLAH sub ko achhi samajh wala banaye Ameen


S_chiragh:[DOUBLEPOST=1359258914][/DOUBLEPOST]By MAshraki.larka:

[DOUBLEPOST=1359258942][/DOUBLEPOST]Asma24:

ASSALAM WALIEKUM

TOPIC KO AAGEY BRAHTEY HUE ME CHUND BATON PER BAAT KERNA CHAHTI HOON
TAYAB NE KAFI IMPORTANT POINTS PE BAAT KI HY ..UN SE KCUH BATON PER ME AGRRE B KERTI HOON:)
aapki kuch baton se mujhe corruption k points b mile..jese k ye duniya nasha aur zehreely dawaon se bhari padihy....mere dost duniya me najane kitne aise shobey hain jahan gair qanooni kaam hotey hain ajakl dekha jaye to bht si cheezon me milwat horhi hy ....magr hm system ko change nahi kerskte ..wel ye baat ko leave kerte hue barhte hain topic ki taraf..
electronic media ajakl js tezi se use horha hy ..bachon me dilchspi aur knowledge b bshaour horha hy,
aik negetive mind se agr hm sochenge to her choti si baat b nigetive lagegi,,but think poositive if tehre could b possitively my frd..
her baat ka control khud hm per hota hy ye baat to hm mantey hain na..manti kuch logon ne media ko ghalat nazrye se liya hua hy ..js se kcuh ghalat kaal smne aarhe hain aur society per bura asar horha hy,,
magr jahan tak achey ki baat hy to aaj zara her city her gaon her country her area me jhank ker dekhen ..lakhaon karaoron log es techonolgy se jur gaye hain....
behte rnzrey se socha jaye to es technolgy se najane kitne good effectss samne aaskte hain..js se na sirf her zindgi per acha tasur balke bachon k liye future me kamiyab hone ka aik behtreen zriya sabit hoskta hy...
khane me agr koi dish kese bani hy ..hmen tab tak pata nahi chalta jab use chakhte nahi hain wese hi agr possative thinking se socha jaye to wo dish hmen yakeenan zayekedar lagegi..
bachon k futire me e.media bht ehem aur kamiyab zirya hy:
[DOUBLEPOST=1359258966][/DOUBLEPOST]Mashraki.Larka:

[DOUBLEPOST=1359259012][/DOUBLEPOST]shoaib:


Waalikum Assalam

Miss Asma ne jis khoobsurati se apna nukta nazer peesh kea woh waqae qabil e tareef hai..... Jis tareeke se unho ne kaha keh hume positively deekhna chahiye jis cheez ko hum negatively dekhen ge woh hume buri he lage gi per mera aik sawal hai jo un ki baat perh ke sub doston ke zehan me aaya hoga keh kya ager hum aag ko positively sochen keh yeah aag hamare room ko garam rakhe gi aur jo ke rakhti bhi hai aur hum room ke under lakrian akhti ker ke aag laga len aur door band ker len to kya hooo ga???

Hum ne to aag positive way me soch ke lagae keh yeah hamare room ko garam rakhe gi lakin yeah aag se peda hone wala dhoan kamre me berh gaya aur dum ghutne laga to hum us waqt aag bhujane nikle per aag bhujate bhujate hum ne haath bhi jala lea aur room ka kuch saaman bhi....

Yeah kya howa???? Kya humare positive sochne se aag ne apni nature badal li??? Aur kya aag ne jo aik baar jala dea aap us ko wapis laa sakte ho..???

Yeah Electronic media bhi us aag se kuch kum nahi hai.... Hum jitna bhi positive soch len is ke nuqsanat se hum bach nahi sakte..... Aik baar aap TV ghar me le aaye to aub aap bachon ko lakh kehte raho ke free time me tv dekho aur perhne ke time perho per perhae tub aik majboori ban jao gi aur tv dekhna ek raahat... Aur I think koi bhi parents bachon ke ser pe twenty four hours nahi reh sakte to bachon ki poori koshish hogi keh perhae ko choro tv pe cartoon or movies deekho... Jis se un ke under kaam choori peda hogi....

Aur issi tarah computer la ke de dea keh bache computer seekh ke apne aap kod dunya ke level pe le aaen ge lakin aap ka bache ka zehan abhi kaam se zyada tafreeh se zyada tafreeh ki janib zyada mutwajah ho ga aur computer games me aik baar lag gaya to perhae me utni mehnat nahi ker paye gaa jitni woh us ki ghair maujudgi me kerta thaa... Plus internet ke zarea students ko herinformation bina dimagh khapae mil jati hai bane banae notes her tarah ki help mil jati hai jis se un ke ander book perhne ka shooq aur apne notes khud banane ka talent kum se kum ter aur bila aakhir khatam ho jata hai..... Aur video games khailne se bachon jismani tor pe waise fit nahi rehte jaise physical games se ho sakte hain aur plus chashme alag bonus ke tor pe miltey hain nanhe nanhe bachon ko.....

So hum positively soch ke Electronic media ke side effect se apne bachon ko kabhi bhi nahi bacha sakte....
[DOUBLEPOST=1359259037][/DOUBLEPOST]asma24:

janab tayab i agree with ur pointsss{(thx)},,,ab zara hamri baat pe b gour karen,ye sach hy k bewaqt aur fuzul using of net bachon k liye theek nahi hy ..hmne kab kaha k her waqt betho ya daily lagey raho ,,bachon ki age studies k liye most important hoti hy ,,hm b to use baat ko bar bar duhra chukey hian k e meida b aik zariya hy jahan bachey bht kuch ssekh skte hain..
aap dekho ajakl private schools,tutions and privates insitutess per computer ka use kitna common hogya hy parents khud bachon ko institutes bhej rahe hain ta ke unka typing power unki learning and knowledge barh ske ..ye techonology hi to hy js se tarha trha ke softwares,learning cds wagera dastyab horhi hain ta ke media se bachon ko aisi facility mili js se bache aur mazeeskuch behter practical aur activites seekh saken...u know why teachers aur school k poora staf kun es baat ko favour kerta hyk schoolon me ye tehnoligical cheezen farahim ki jaye ..coz unki soch b yehi kehti hy k barhti duniya ko agr aik kamiyab zriya support ker rah hy to wo elctronic media hy:)
[DOUBLEPOST=1359259075][/DOUBLEPOST]Aara'af:

Asma24 said:
janab tayab i agree with ur pointsss{(thx)},,,ab zara hamri baat pe b gour karen,ye sach hy k bewaqt aur fuzul using of net bachon k liye theek nahi hy ..hmne kab kaha k her waqt betho ya daily lagey raho ,,bachon ki age studies k liye most important hoti hy ,,hm b to use baat ko bar bar duhra chukey hian...View full quote
Assalam o alaikum wrwb lecturer saheba :)
main aapki baat se muttafiq hon k bacchon ko school me computer ki taleem di jaarahi hai taake aage chal kar unki typing speed aur unki maloomaat me izafa ho.laikin kia aapne ye baat ghaur ki k bright star group me se ksi ne electroni media ki mukhalifat nahi ki.laikin bus ye kaha k usse ek hadd tak hi rahna chahiye aur iskeliye maine aur mere ahbaab ne bhi kaafi acche dalayel bhi diye.

ab aate hain firse aapke jawab ki taraf jitne bhi school aapne dekhe honge un sabme bacchon ko computer ki classess ka aaghaaz 8th standard se kia jaata hai.us waqt bacche ki umr 11or 12 saal to hoti hi hai.is umr me unhe jo classess di jaati hain wo basically hoti hain naake totally.aur aisa nahi hota k bacche ko net service aur dosri deegar filmen ya isi tarha ki aur cheezein provide ki jaati hain.aur ye mahdood waqt keliye hota hai.jisme unke teachers unki nigraani karte hain.taake koi problem create hoto bacchon ki rahnumayi ki jasake.

laikin kia humne ye ghaur kia k agar hum bacchon ko jinhe sahih aur ghalat me farq karne ki tameez naho.aisi cheezen thama den jinke baare me hame imkaan ho k iska ghalat istemal bhi kia jasakta hai.to kia hum usse denge.nahi na.ab maa baap hain kahan tak uski nigraani karenge.chalo agar ghar me hoto maan lete hain laikin agar wo ghar se bahar hoto kia karenge.isliye bacche ko ghiza utni hi dena chahiye jitni k wo hazam karsake.

main ye baat isliye kah raha hon k bacchon me apni zummedaari ka ehsaas badaon ki banisbat kum hota hai jab wo games ya aur dosri cheezon me mashghool hojayenge to unhe apni parhayi ya ghar k kaam ya dunya ki koi parwah nahi rahti.aur is tarha wo taleem k maamle me nakaam hojayenge.jaisa k mere bhayi tayyab ne kaha k jab har cheez unhe ready made milne lage to unhe ye pata nahi chalega k 2+2 kitne hote hain.wo jhat se clculator nikalega aur usi par apna claculation karlega.halanke clculator ka istemal bahot mufeed hai jiki wajah se ghanton ka kaam minton me hota hai.laikin ye tabhi sahih hai.jab koi aadmi business man ho ya aur ksi field me ksi ohde par kaam karta ho.
[DOUBLEPOST=1359259128][/DOUBLEPOST]Asma24:

ASSALAM WALIKEUM
HAZRREN AUR NAZREEN
HAZIR HOON APNE TOPIC K LOYE NAYI SUBHA K SATH{(thx)}

mere bhai arshad ne bht achi daleel di hy...khas to rper mere point spe mazeed roshni dali hy,well bhai school life wale bache kya bache nahi hote.11,12 age k bachey mashallah apni study aur activites me tez aur fastest hote hian.unki es age me parents mazeed unk liye pareshan rehte hain...mene kab kha k schoolon me dosri cheezon ka khulasa hota hy computer per,,but jahan mene apni bateein batayi hain un per b gour karlen:)

aik aur khas baat janab shb ne elctronic media ko aag ka example dekar aik ghalat tarha se define kiya hy,,we dont belive k e media aik aag hy..ye point to bilkul ajeeb aur gareeb hua:-/e media se related ache use b hain janab..

jo muda hy usi per baat karen ab bateyn bhai arshad ye point favour hua ya against?aap keh rahe ho k bright star ne koi khilafat ki baat nahi hy..
tayab ne jahan examples diye hain i agree unke points kabil ittefaq hain..magr bhai aik baat me batana chahti hoon

jo log ye soch rahe hain k 24 hours bache e media per lagey rehte hain ..aisa to shayed kabhi ddekha b nahi mene..
coz zimedar maan baap apne bachon ko aisa qatan nahi krene denge ...bachey subha school jatey hain tutions jatey hain aur quran pak parhne jatey hain es bech agr unko thora time milta hy to wo games khelne me bzi hojatey hain ,phr conputer jese invention ka just use kerte hain..ache games khelne me unka iq tez hota hy aur ghar per tv dekh ker wo apni knowldege me b izaaf kerte hain...

hm ne b esi baat ko favour nhi kiya hy bhai k e media per her ghanta betha nahi ja skte no one can use it aur phr to bachon k liye ye namumkin baat hy...
e media is not bad for kidsss
[DOUBLEPOST=1359259177][/DOUBLEPOST]Aara'af:

Assalam o alaikum dosto.
jaisa k hum dekh chuke hain k electronic media bacchaon par kis tarha asar andaz hota hai.unki taleem aur unki sahat par main is par tawwajeh chahunga k aajke daur me bacche games khelte hain to kaunse aur kahan?ye nayi nasal keliye ek bahot bada masla bangaya hai.pahle wasi maidanon ki itni ahmiyat thi k governament ko bazabta games keliye stadium banane parte thei.jisme bacchon ko schools k zarye games khilaye jaate thei.jiski wajah se bacchon ki sahat bhi mashaAllah theek rahti thi aur wo tarha tarha ki aane wali bimariaon se mahfoos rahte thei.

laikin jab hum aajke daur me dekhte hain to hame pata chalta hai k 90% bacche computer ya ksi paly station aur isi tarha dosre aise games khlene ko tayyar nazar aate hain jinme unhe jismani mehat na karni pare aur ek jagah baithe hi ye saare kaam poore hojayen.jinki wajah se bacchon ki sahat par bhi qaatir qawah asar parta hai aur unki sahih nashonuma nahi ho paati.isiliye hum dekhte hain.aajke bacchon me wo tandurusti ziada dekhne me nahi aati jo pahle daur k logon me dikhaayi deti thi.isliye hame chahioye k hum apne bacchon ko in open door games ka aadi banayen taake unki sahat aur nashonuma sahih dhang se ho paaye.

waise elcetronic media me bus ye do cheezein hi nahi rah gayi hain jiske hum bure asraat yahan bayan kar rahe hain.unme ek mobile fone bhi hai.jahan iske kayi ek fawayed hain wahin iske nuqsanaat bhi bahot ziada hain.jabse net ki sahulat hogayi hai.iske nuqsanaat me pahle se ziada izafa hogaya hai.bacche tarha tarha k ghalat kamon me mulawwis paaye gaye hain.jo cheez keliye inhe pahle chund ek mushkilaat ka samna karna parta tha ab wo cheez inhe apne hathaon me dastyab hogayi hai.isiliye ab fone ka ghalat istemal pahle se kahin ziada barh gaya hai.aur hamara muashera ghair aqlaqi taur par pasti ki taraf gaamzan hota chala jaa raha hai.ab ye bacchon me itni samajh kahan hoti hai k iska sahih istemal karen.wo to yahi chahenge k hamara timepas ksi tarha aisi cheezon me hojaye.
[DOUBLEPOST=1359259201][/DOUBLEPOST]Asma24:

ASSALAM WALIEKUM

MOIZIZ HAZREEEN AUR NAZREEN
DEBATE KO AGEY BARAHTE HUE ME KUCH AUR TAFSEEL BAYAN KERNE KI IJAZAT CHAHTI HOON {(thx)}
AHEM AHEM..HMM hamre dear brother arshad bhai ne khoob wazahat ki but ene me unhon ne wohi points share kiye hain jo already unke team members bayan ker chukey hain bhai kuch naya aur khasta exmaple b den...:)
mafi bhai agr kuch bura laga ho to well e.medai se related jitni b inventions hain unka sab estimal agr zaruri tareeke aur ehtiat k sath kiya jaye jo yakinan wo bilul moaser hoga bachon k liye..
aj k dour per bhai aapn ne kush khulasa diya hy .to me ye batana chahti hoon k ,,agr hm ghoom phir ker dekhen to aaj be ground games me sabse ziayada ehmiat bachey circket ko dte hian ..ass pass aap dekhogye to ye wo game hy jo mostly sab jaga khela jata hy..phr aap kese keh sakte hain k estrha ki games kam kheli ja rahi hian.
bhai bachey to bachey hain unka jab dil karega wo circket kheleney ya computer per aker vidio games khelnege..
mene to dekha hy aksar bachey 3d games b khelte hain pc per ..jo ke zehni tor per aik moral support kerti hain unkee mind ko jese k game me hero apni manzil tey keerta hy .ab bachey sochenge ese kese paar karenge...hehe
ye to aik chota sa example hy ...tiny miny sa,,well mind ka ziyada use mind aur strong kerta hay.....trha trha ki tachnique ese hi hi to kehte hain..
schoolon me bachon k liye trha trha k sports hote hain....jese k footbal,wliball,cirket wagera ..es k sath agr bachey thora sa entertainment aur pc per game khel liye aur tv dekh liye to kya bura hy es me bhai..:)
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
Sabah:
Asalam-o-alaikum Wrwb!
Well I dont know k itne choti se topic ko itna lengthy kio bana ja raha hain, baat electronic media se play ground game tuk kaise aa phaunche hain yaha pe baat ager serf kids+electronic media ki hurahe hain so we should intend to talk about these subjects guys... yaha waha k baat add kerna and topic and replies ko zyada bana ne se I dont think so sahi ghalat and ghalat sahi mei badal jaate hain so yeh kaam chahe humare group ki member kerte hain ya pir oposition groups k members... baat choti ho but logical ho tu kuch sahi hain awie kuch bhi kahne ka kia maksad...

and now comming to the topic and replying to my sister Asma:
aap ne kaha k kabhi kabhi kids pc mei video games bhi khelte hai
zahni taur per yeh ek moral support kerti hain but I'm not agree jaha tuk mai ne suna hain and mere khud ki knowledge hain, kids zyada se zyada voh kaam jaldi seekh jaate hain jes pe voh aapna mind and hath donu use kare, means koi creativity kare jaise k schools mei arts zyadater kids k subjects mei shamil hote hain and khaas ker Marshal arts jho khud he mei ek physical strength and power generating game hain so such games are more reliable and worth playing than video games, because ager ek baar aap ne bache ko tv mei cartoon and PC mei video games and playstation pe games khelne de then yeh loug addicted hujayenge and padhaye ko bye bye kahenge uske baad serf yeh cheese honge and kids so unke future and ek ache mustaqbel k lie hume unhe aise cheeze frahem kerne chahye jes se voh kuch seekh sake future mei kuch ban sake baki computer se shinasi tu InshAllah teen age mei zaroor hugi jub enke perfect time hugi... so thats All we can say and we have to make them do..
[DOUBLEPOST=1359259246][/DOUBLEPOST]Mashraki.Larka:

[DOUBLEPOST=1359259268][/DOUBLEPOST]
[DOUBLEPOST=1359259301][/DOUBLEPOST]S_chiragh:

Wa'alaikum assalam doston :)

Games ko aur electronic media ko najaane kyun ghalat view se dekha jaa raha hai
agar bacha apne time ke hisaab se kheile to hi sahi hoga zyada kheilna kya eik
saath zyada parhne se bhi insaan ko nuqsaan pohnchta hai to parhaiy buri?
yaa parhne wale ki ghalti.???

PAKISTAN sameit dunya bhar mein bache games kheil kar sharp minded ban rahe hain
aaj ki tareekh mein jinke paas PC games available hain wahi top positions lete hain
mera apna chhota bhai 1st-4th pozition har exam mein laata hai he is free to use net
he iz free to play games when he wants exam dayz bhi kaam yaad karne ke baad agar
bache ke entertanment ke liye use PC use karne ke liye diya jaaye to uska bhi mind yunhi
set hoga ke pehle kaam karwaya ab meri marzi mein bhi ghar walon ne raza milaiy hai???
agar bacha sirf games ya cartoons se hi aapki baat na maanne lage to bacha pehle se
corrupt minded hai tab to aap zaroor sub se pehle yeh tarbiyat dein ke woh aap ki
baat na taalein agar eik bacha ghar mein rahe uar un cheezon ko istemaal kare jinse
walidein waaqif hain to yeh cheezein walidein ke anjaan doston se kaafi achhi hain
eik jageh mere azeez dost Aara'af bhai ne kaha tha ke jin schools mein computer
classes lagti hain wahan 8th class se start hotin hain to mein kehna chahoonga ke
yahaan to 1st class se hi PC classes start ho jaati hain aur parents per
teachers is hi baat ka zor de rahe hote hain ke bache ko ghar mein PC muhaiya karo
taake yeh jald az jald iska istemaal seekhe

janaab taiyab bhai ne second last point per meri hi baat ki ke taqreeban walidein
ka yehi shikwa hai ke bache nahin sunte unki to iski wajah electronic media nahin
iski wajah aap khud hain

agar electronic media hi wajah hai nafarmaan aulaad ki to kya aulaad ka nafarmaan
hona aaj ke din ki baat hai.??? yaa ibtida se bohot se bache aise hote hain
aur aaj kki tareekh mein bohot se bache aise bhi hain jo apne walidein ki tahe dil
se qadar karte hain aur unhein games cartoons muhaiyya hain hatta ke walidein
keh dein ke falan show tumhein nahin dekhna to aainda kabhi nahin dekhte

muazrat chaahoonga Taiyab bhai aapke last point se aisa lagta hai jaise saari behaiyaiy
E media laaya hai jabke mein is point ke khilaaf hoon

kya jab E media yeh dikha raha tha ke aurat ki sundarta saadgi mein hai aur achhe izzatdaar
kapre pehenna achhi baat hoti hai aur aur bahu ko aise show karte the ke bohot achhi hai
aur kehti thi ke saas ki har baat maanni chahiye us doar mein kya be hayaiy nahin thi.???
thi bilkul thi kuch bachon mein be hayaiy E media ki taraf aane se pehle hi hoti hai per
nikharti hai baad mein so is tarah bechaara E media bad naam kar diya jaata hai
aur mein pehle bhi keh chuka ke agar films se bacha bigarne wale nuqte nikaalta hai
to pehle aap ne use samjhaya kyun nahin ke kounsi cheez inme se amal mein laani
hai koun si nahin kyunke agar walidein ne yehi bachon ke nahin sikhaya to bacha
kuch bhi dekhega aur same dohraane mein laga rahega tab to ban gaiy baat

aaj ki tareekh mein to students ke rezults bhi FB pe upload ho jaate hain aur unhein
kaha jaata hai wahin ikhatti rakh di hain jaa ke dekh lijiyega apna rezult

aakhir mein kehna chahunga

its not badness in what you use the badness is in how you use
[DOUBLEPOST=1359259334][/DOUBLEPOST]Aara'af:

Sabah said:
Asalam-o-alaikum Wrwb!
Well I dont know k itne choti se topic ko itna lengthy kio bana ja raha hain, baat electronic media se play ground game tuk kaise aa phaunche hain yaha pe baat ager serf kids+electronic media ki hurahe hain so we should intend to talk about these subjects guys... yaha waha k...
View full quote
ab kia batayen main bhi is baat ka qaayel nahi hun laikin ek hi baat ko baar baar jo dohrana par raha hai.to zahir si baat hai topic se hat kar baat shru hojayegi.isliye meri aap debate administration se request hai k ksi bhi topic keliye sirf 3 din hi den.taake baat topic par aur logical ho sake.:)
 

manahil98

Newbie
Dec 18, 2013
1
1
3
Assalam a aluikm....i thnk kids kia pic kr rahy hey hein or kahn sey kr rahy hein ,iss ka taulq parents sey hey.agr wo theek trah sey unki terbiyat krein to tv cable net koi frq nean prtta....iss main faaida b hey nuqsaan b....or ,milta wohi hey jo insaan khud leta hey....thankx
 
  • Like
Reactions: Hoorain

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
Assalam a aluikm....i thnk kids kia pic kr rahy hey hein or kahn sey kr rahy hein ,iss ka taulq parents sey hey.agr wo theek trah sey unki terbiyat krein to tv cable net koi frq nean prtta....iss main faaida b hey nuqsaan b....or ,milta wohi hey jo insaan khud leta hey....thankx
waalaikum assalam
so true :-bd
 

LaaraibLikhaari

Senior Member
Dec 14, 2013
629
360
63
Mumbai Meri Jaan...........
main koi lambi chaudi baat nahi kahungi..........................
jaisa mahol ....waisi parwarish......tv aur media daur e haazir ki eejaad hai jis se faraar mushkil hai.......
koi cheez bazaat e khud kharaab nahi hoti.....us ka achchha aur bura istimaal karne waalaa use achha aur kharaab banaata hai.................

andhere ko kausne se behtar hai banda ek chhota sa charaagh jala kar raushni kar le...........
islami channels ki kami nahi hai magar dekhne waale hi jab............................................

bas Allaah paak is khwaab e ghaflat mein soi ummaat ko jaga de................
saaraa sunehraa mazi laut aayega aur yahi tv channels jo bachchon ko bigaar rahe hain un ki islami aur taleemi hawaale se madadgaar saabit honge...............
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
main koi lambi chaudi baat nahi kahungi..........................
jaisa mahol ....waisi parwarish......tv aur media daur e haazir ki eejaad hai jis se faraar mushkil hai.......
koi cheez bazaat e khud kharaab nahi hoti.....us ka achchha aur bura istimaal karne waalaa use achha aur kharaab banaata hai.................

andhere ko kausne se behtar hai banda ek chhota sa charaagh jala kar raushni kar le...........
islami channels ki kami nahi hai magar dekhne waale hi jab............................................

bas Allaah paak is khwaab e ghaflat mein soi ummaat ko jaga de................
saaraa sunehraa mazi laut aayega aur yahi tv channels jo bachchon ko bigaar rahe hain un ki islami aur taleemi hawaale se madadgaar saabit honge...............
very very true :-bd
 

danishkhan

Newbie
Oct 31, 2014
2
7
3
main koi lambi chaudi baat nahi kahungi..........................
jaisa mahol ....waisi parwarish......tv aur media daur e haazir ki eejaad hai jis se faraar mushkil hai.......
koi cheez bazaat e khud kharaab nahi hoti.....us ka achchha aur bura istimaal karne waalaa use achha aur kharaab banaata hai.................


andhere ko kausne se behtar hai banda ek chhota sa charaagh jala kar raushni kar le...........
islami channels ki kami nahi hai magar dekhne waale hi jab............................................


bas Allaah paak is khwaab e ghaflat mein soi ummaat ko jaga de................
saaraa sunehraa mazi laut aayega aur yahi tv channels jo bachchon ko bigaar rahe hain un ki islami aur taleemi hawaale se madadgaar saabit honge...............
agree... ameen
 
Top