<<<Dard bhar ghazaliyat>>>

  • Work-from-home

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
Mein mar jaaun waisi mohabbat se pehle

Mein mar jaaun waisi mohabbat se pehle
ke khud ka na rahoon izhar ki fursat se pehle

khatam hone ko hain meri zindagi ki ghadiyan tamam
meri khushion ki mujh tak aane ki mahullat se pehle

ik ajab hi hota hai har baar yahaan per ke
haqeeqat samne aa jaati hai haqeeqat se pehle

mout ki sachai per kyun parda e shoq o rang dalta hai
kar le tu bhi apni maghfirat qayamat se pehle

hans ke hansaane ro ke rulane wale bohot mile mehfilo mein
ab uski talash hai jo na aaye mehfil me meri shirkat se pehle

***S_ChiragH***

---------- Post added at 06:39 AM ---------- Previous post was at 06:38 AM ----------

Apnon ko youn rulaya nahin karte

Apnon ko youn rulaaya nahin karte
dil na mane to dosti jataya nahin karte

milne hai to aa kar milo hum se is tarah
yaadon ko bhej kar waqt churaya nahin karte

aaj ke janbaz bhi kuch ajab kaam karte hain
kehte hain jaan apna kahbi lutaya nahin karte

khud apni taareefein wahi log kiya karte hain
jo kisi gunah se bhi sharmaaya nahin karte

humdard nahin yeh sab tamashai hain dost
ghar ki baat kisi ko bataaya nahin karte

na do dars bhalai ka tum logon ko yaar
youn ghar ke liye dushman banaya nahin karte

tumhaari kahan yeh khoobi paak zaat ki hai
kuch chhupa pate nahin kehte ho chupaya nahin karte

***S_Chiragh***

---------- Post added at 06:41 AM ---------- Previous post was at 06:39 AM ----------

Dard hi dard mere muqaddar mein hai

Is tarah dard hi dard mere muqaddar mein hai
jaise kashti e hayat doobi dukhi samandar mein hai

mitaata nahin bhula to deta hai saare ghum
jo tere ghar me nahin wo baat meqade ke dar mein hai

matlab badal gaya hai maqsad kahan badla
bas eik naya raah shamil us safar mein hai

hindu bana eesaai na riwaaj hdaaye islaami
jo tujh mei honi thi wo ada kaafar mein hai

aashiq kab ke jaan haar ke ishq jeet chuke
tu aaj bhi atka afsos magar mein hai

apne hi lahoo ke zouq se pur lutf hai wo
phir yeh aqal kahan kisi nidar mein hai

zehen se dil tak dil se manzil tak theek hain
sirf sach kehne ki bimaari har shayar mein hai

***Saifali_Chiragh***
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~ and Zee Leo

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
itni sari ikathi hi share kr di..
alag alag thread bna kr krte
 
Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
boht khoob..
boht umdah..{(ok)}
 
Ocean-of-love

Hot Shot
Nov 13, 2014
23,099
5,146
513

Behtreen.
 
Top