Daily Back To Back Poetry !! (fav Word)

  • Work-from-home

Armaghankhan

Likhy Nhi Ja Sakty Dukhi Dil K Afsaany
Super Star
Sep 13, 2012
10,433
5,571
1,313
KARACHI
Kal halki halki barish thi
Kal sard hawa ka raqs bhi tha
Kal phool bhi nikhray nikhray thay
Kal un pe aap ka aks bhi tha
Kal badal kalay gehray thay
Kal chand pay lakhon pahray thay
Kuch tukray aap ki yaad kay
Bari dair say dil main thehray thay
Kal yaadain uljhi uljhi thin
Aur kal tak yeh na suljhi thin
Kal yaad bohut tum aye thay
Kal yaad bohut tum aye thay …
 
  • Like
Reactions: Fanii

Bird-Of-Paradise

TM ki Birdie
VIP
Aug 31, 2013
23,935
11,040
1,313
ώόήȡέŕĻάήȡ
Assalam O Aalikum


Frendz Aj se ye sisila shuru kiya ja raha hai Daily ap sb ko
yahn aik word diya jayega
or apko us word se apni fav PoetrY Share
krni hai wo poetry kuch b ho sakti hai Nazam Ghazal, Qata, 2 lines poetry
jo apki fav ho but main wo
word hona chahiye jo word apko daily diya jayga :)


Today's Word : Barish


suna hoga bohat tum ne ….
kahiN aankhoN ki rim jhim ka
kahin palkoN ki shabnam ka…
parha hoga bohat tumne ….
kahiN lehjay ki barish ka
kahiN sagar ke aansoo ka…
magar tum ne kabhi humdam …
kahin daikhay? kahin parkhay?
kisi tehreer ke aansoo??…!!
mujhe teri judaai ne …
yehi mairaaj bakhshi hai…
ke main jo lafz likhta hooN …
woh saray lafz rotay hain
ke main jo harf bunta hooN …
woh saray bain kartay hain
mere sang is judaai main …
mere alfaz martay hain
sabhi tareef kartay hain …
meri tehreer ki lekin..
kabhi koi nahin sunta …
mere alfaz ki siski…
falak bhi jo hila daalay..
mere lafzoN main hain shamil …
usi taseer ke aansoo…
kabhi daikho mere humdam…
meri tehreer ke aansoo..!!!
Khyalon mein wahi, sapno mein wahi,
Lekin unki yaadon mein hum the hi nahi,
Hum jaagte rahe duniya soti rahi,
Ek baarish hi thi, jo humare sath roti rahi....
 
  • Like
Reactions: Fanii

Armaghankhan

Likhy Nhi Ja Sakty Dukhi Dil K Afsaany
Super Star
Sep 13, 2012
10,433
5,571
1,313
KARACHI
Uski Yaadon Kee Barish Jab Bhi Barasti Hai Mujh Par,
Main Bheegta To Jarur Hun Lekin Palkon Kee Had Tak!
 

Armaghankhan

Likhy Nhi Ja Sakty Dukhi Dil K Afsaany
Super Star
Sep 13, 2012
10,433
5,571
1,313
KARACHI
Barishon k mausam main
tumhe yaad karne ki aadtein purani hain
Ab ki baar socha haipurani aadtein badal dalein
Lekin phir khayal aaya…
aadtein badalne sebarishein nahi rukti?.
 

Armaghankhan

Likhy Nhi Ja Sakty Dukhi Dil K Afsaany
Super Star
Sep 13, 2012
10,433
5,571
1,313
KARACHI
Main Muntazir Hoon Barish Ka, Fasl-E-Bahar Say Pehlay
Main Muntazir Hoon Phoolon Ka, Rahon Main Khaar Say Pehlay
Haan Us K Wastay Sooli, Pe Char Gaya Tha Main Laikin
Maktal Main Sang Utha Paya, Koi Na Yaar Say Pehlay
 

Armaghankhan

Likhy Nhi Ja Sakty Dukhi Dil K Afsaany
Super Star
Sep 13, 2012
10,433
5,571
1,313
KARACHI
Waqt Ke Sath Anaasar Bhi Rahe Sazish Mein;
Jal Gaye Pair Kabhi Dhoop Kabhi Barish Mein;


Woh To Ik Saada-o-Kam Shauq Ka Talib Nikla;
Hum Ne Naahiq Hi Ganwaya Use Aarayesh Mein;


Zindagi Ki Koi Mehrumi Nahi Yaad Aayi;
Jab Talak Hu Mathe Tere Qurb Ki Asaayesh Mein;


Ek Duniya Ka Qaseeda Tha Agarche Mere Naam;
Lutf Aata Tha Kisi Shakhs Kee Fehmayesh Mein;


Us Kee Aankhen Bhi Meri Tarah Se Girdi Kahi Aur;
Khwab Ka Karz Barh Jata Hai Ik Khwahish Mein!
 
  • Like
Reactions: Fanii

Armaghankhan

Likhy Nhi Ja Sakty Dukhi Dil K Afsaany
Super Star
Sep 13, 2012
10,433
5,571
1,313
KARACHI
Laakh Zabt-E-Khawahish K
Be Shumaar Daway Hon
Uss Ko Bhool Jany K
Be Panah Iraday Hon
Aur Iss Muhabbat Ko Tark Kar K Jeeny Ka
Faisla Sunany Ko
Kitny Lafz Sochy Hon
Dil Ko Uss Ki Aahat Peh
Bar-Mala Dharakny Se Kon Rok Sakta Hy
Phir Wafa K Sehra Mein Khushbo’on Ko Choony Ki
Justju Mein Rehny Se
Roh Tak Pighalny Se
Nangy Paaon Chalny Se
Kon Rok Sakta Hy
Aanso’on Ki Barish Mein Chahy Dil K Haathon Mein
Hijar K Musafir K Paaon Tak Bhi Chu Aao
Jiss Ko Lot Jana Hy
Uss Ko Door Jany Se
Rasta Badalny Se
Door Ja Nikalny Se
Kon Rok Sakta Hy…..!
 
  • Like
Reactions: Fanii

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Assalam O Aalikum


Frendz Aj se ye sisila shuru kiya ja raha hai Daily ap sb ko
yahn aik word diya jayega
or apko us word se apni fav PoetrY Share
krni hai wo poetry kuch b ho sakti hai Nazam Ghazal, Qata, 2 lines poetry
jo apki fav ho but main wo
word hona chahiye jo word apko daily diya jayga :)


Today's Word : Barish


suna hoga bohat tum ne ….
kahiN aankhoN ki rim jhim ka
kahin palkoN ki shabnam ka…
parha hoga bohat tumne ….
kahiN lehjay ki barish ka
kahiN sagar ke aansoo ka…
magar tum ne kabhi humdam …
kahin daikhay? kahin parkhay?
kisi tehreer ke aansoo??…!!
mujhe teri judaai ne …
yehi mairaaj bakhshi hai…
ke main jo lafz likhta hooN …
woh saray lafz rotay hain
ke main jo harf bunta hooN …
woh saray bain kartay hain
mere sang is judaai main …
mere alfaz martay hain
sabhi tareef kartay hain …
meri tehreer ki lekin..
kabhi koi nahin sunta …
mere alfaz ki siski…
falak bhi jo hila daalay..
mere lafzoN main hain shamil …
usi taseer ke aansoo…
kabhi daikho mere humdam…
meri tehreer ke aansoo..!!!

Wa Alaykum Assalam Wrwb :)
isi tarah baki aur silsile bhi shuru hone chahiye
 
  • Like
Reactions: Fanii

Fanii

‎Pяiиcε ♥
VIP
Oct 9, 2013
61,263
16,095
1,313
Moon
Khyalon mein wahi, sapno mein wahi,
Lekin unki yaadon mein hum the hi nahi,
Hum jaagte rahe duniya soti rahi,
Ek baarish hi thi, jo humare sath roti rahi.
 

Fanii

‎Pяiиcε ♥
VIP
Oct 9, 2013
61,263
16,095
1,313
Moon
Aj sawan meri aankhoon men utar aia hai .....
Aj lagta hai bre Zoor ki barish ho gi
 

Fanii

‎Pяiиcε ♥
VIP
Oct 9, 2013
61,263
16,095
1,313
Moon
Dharti se sawan ki bundein milne jab bhi aati hain,
Uski shikayat karti hain kuchh apna dard sunati hain.
Kuchh rishte naye banati ehsaas naya de jati hain,
Har ek kali ko phool baag ko gulshan kar jati hain.
Chahat nayi si hoti hai armaan naya de jati hain,
Kuchh khushi ke pal kuchh muskan nayi de jati hain.

Dharti se sawan ki bundein milne jab bhi aati hain,
Uski shikayat karti hain kuchh apna dard sunati hain.
Sukhe kheton se jab saundhi si khushboo aati hai,
Suni aankhon mein phir se ek khwab naya de jati hai.
Kahin pyar naya hota hai kahin judaai de jati hai,
Kahin sawan ke jhoole kahin birha ke geet sunati hai.

Dharti se sawan ki bundein milne jab bhi aati hain,
Uski shikayat karti hain kuchh apna dard sunati hain.
 

Fanii

‎Pяiиcε ♥
VIP
Oct 9, 2013
61,263
16,095
1,313
Moon
Ab k baras koi na ho ga Chatri le k barish men
Ab k baras Bhegay Qadmoon se ghar wapis a jayen gay
 

Fanii

‎Pяiиcε ♥
VIP
Oct 9, 2013
61,263
16,095
1,313
Moon
Sawan Ki Pehli Barish Mein Bachpan Mein Nahana Yaad Hai,
Rim-Jhim Rim-Jhim Tap-Tap Tap-Tap Barish Ka Gana Yaad Hai,
Wo Badlon K Majme Ko Dekh Kar Wo Hum Sabka Shor Machana,
Wo Bheeg-Bheeg Kar Nach-Nachna Ban Kar Deewana Yaad Hai,
Badlon Ka Garajna Bijli Ka Chamakna Savan Ki Barsaat Me,
Koyal Ka Metha-Metha Pyara-Pyara Sundar Tarana Yaad Hai,
Masti Mein Doob Jana Sab Bandishe Bhool Khushiyan Manana,
Zameen Pe Gire Paani Mein Sab Dosto Ko Bheegana Yaad Hai,
Baarish Ke Pani Ko Chakhna Mausam Ki Pehli Barsaat Me,
Sawan Ki Pehli Barish Mein Bachpan Mein Nahana Yaad Hai.
 

Fanii

‎Pяiиcε ♥
VIP
Oct 9, 2013
61,263
16,095
1,313
Moon
Is Barish Se Mujhe Pyar Hai Bohat,
Meri Tanhaiyon Ka Ise Abhaas Hai Bohat,
Jab-Jab Ye Barish Aayi Mujhse Milne,
Chehre Pe Ashq Hote Thhe Mere
Meri Tanhai Samajh Gayi Thhi Yeh,
Hamesha Saath Mere Roti Rahi Yeh,
Maine Kaha Tum Jao,Mujhe Akele Rehne Do,
Is Par Wo Boli,Mujhe Bhi Apne Saath Rone Do,
Phir Na Wo Kuch Boli,Na Main Kuch Boli,
Gumsum Roti Rahi Main Akeli
Jab Jab Wo Aati,Muhe Issi Haal Me Paati,
Main Bhi Usse Ankhe Na Thhi Mila Paati,
Aaj Phir Bohat Din Baad Ye Barish Aayi,
Aur Aaj Usne Mere Hothon Pe Hansi Payi,
Khush Ho Gayi…..Tej Baras Padi
Mere Saath Woh Bhi Khilkhilakar Hans Padi,
Maine Poocha Tum Kyon Hans Rahi Ho Aaj,
Usne Kaha Meri Dost Jo Khush Hai Aaj
Phir Ansoo Jhalak Pade Meri Ankho Se,
Par Is Baar Khushiyon Ki Chamak Thhi In Ankho Me,
Phir Maine Use Sab Kuch Bataya,
Dil Ka Kissa Usko Sunaya
Bohat Khush Hui Wo Sab Kuch Sun Kar,
Phir Chali Bhi Gayi Duayein De Kar,
Wada Liya Maine Usse Phir Jaldi Aane Ka,
Use Har Baat Dil Ki Batane Ka…..,
Phir Maine Socha Yahi To Hai Meri Saathi,
Mera Chehra Dekhkar Jo Hai Hansti-Roti.
 

Fanii

‎Pяiиcε ♥
VIP
Oct 9, 2013
61,263
16,095
1,313
Moon
aaj bohat din baad suni hai BARISH ki awaz
aaj bohat din baad kissi manzar nay rusta roka hai
rim jhim ka malboos pahan kar yaad kissi ki aaye hai
aaj bohat din baaad achanak aankh younhi bhar aaye hai
Ankh aur manzir ki wus'at mein charon janib barish hai
Aur barish mein, duur kahin ik ghar hai jis ki
Ek ek eent pe terey merey khwab likhey hain
Aur us ghar ko janey wali kuch galiyan hain
Jin mein hum dono ke saye tanha tanha bheeg rahey hain
Darwazey per qufl para hai aur dareechey sooney hain
Deewaron per jami hui kai mein chup kar
Mausam humko dekh rahe hain
Kitney badil, hum dono ki ankh se ojhal
Baras baras kar guzar chukey hain...

Ek kami si,
Ek nami si,
Chaaron janib phail rahi hai,
Kai zamaney ek hi pal mein
Baham mil kar bheeg rahey hain
Andar yaaden sookh rahi hain
Bahir manzir bheeg rahey hain!!!
 
Top