~*~ cigarette smoking is injurious to health ~*~

  • Work-from-home

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
assalam o alaikum doston

main arshad kaafi dinaon baad firse aapki khidmat me ek naye thrd k saath haazir e khidmat hon.waise naam se hi pata chal gaya hoga.laikin main yahan saath hi saath is laanat se kaise chutkaara paaya jaaye uski chund shaklen bhi bayan karunga.

cigarette naushi turk karne par jo pareshanian aapko pesh aayengi usse kis tarha nimta jaaye.

pareshanian : cigarette naushi ki chahat aur uski yaad.
solution : mufeed aur pasandeeda cheezaon ki aadat daaliye.fruits ka istemal karte rahiye.

pareshanian :mizaaj tabdeel hone ka ehsaas.
solution :gahri saans lia karen.

pareshanian :susti aur thakaan ka ehsaas.
solution :neend keliye munasib waqt dijiye.

pareshanian :mu aur halaq ki khushki ka ehsaas.
solution :ziada meqdaar me paani aur juice ka istemal kijiye.

pareshanian :sur chakrane ka ehsaas.
solution :fresh air me chahalqadmi kijiye.

pareshanian : bhook ka ehsaas.
solution :chewing gum ka istemal karen.

pareshanian :hazame ki shikayat.
solution :fruits ka istemal kasrat se karen.

isi tarha aur bhi dosri mushkilat ka samna karna padh sakta hai.laikin saath hi uska hul bhi maujood hai.lehaza hame is khatarnak aadat se chutkaara hasil karna chahiye.

ab aayie cigarette naushi turk karne par hone wale fawayed par nazar daalte hain.

1 . aakhri cigarette naushi k 2o min.k baad.
qoone(blood circulation) ka dauraan normal hojata hai.
dil ki dhadkan normal hojati hai.

2 . 8 hours k baad (after 8 hours).
qatarnaak corbondioxide ka blood se kum(less) hona shru hojata hai.
blood me aam taur par oxygen ki meqdaar ziada hojati hai.

3 . after 48 hours.
saare aasaab nicotene ko qatam karna shru kardete hain.
hazame ki salahiat me bahetri aajati hai.

4 . after frm one week to 3 weeks.
blood circulation baheter hojata hai.
runnig karte waqt thakaan ka ehsaas nahi hota.
20% se ziada lungs work karna shru kardete hain.

5 . ek mahine k baad se 9 months tak.
khaansi aur thakaan ka ehsaas qatam hojata hai.
jism ki quwwat ziada hojati hai.
lungs se siah maadda(black colour) ghayeb hona shru hojata hai.

6 . after one yr
dil ki bimariaon ke sabab wafat ka ehtemaal qatam hojata hai.
cancer ka qatra kum hojata hai.

to ye rahe fawayed to cigarette naushi turk karne par hame milte hain.to doston hum aaj hi ye tahiyya karen k hum is laanat se chutkaara haasil karne ki bharpoor koshish karenge.

*honey*

TM Star
Nov 2, 2010
2,107
256
83
mashallah behoot achi sharing ke hai hamery erd gird behoot sy log hain jin ko main yeh beta sakoon ga k kesy chutkara hasil kia ja sakta hai ......
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Wa Alaykum Assalam Wrwb :)
bohot hi umdah sharing janab

cigarette smoking sirf sahet k liye hanikarak hi nahi balke Islam me ye haram hai
deen e islam paak hai aur paak chizon ko hi pasand karta hai

kuch dalail Quran se mulahaza farmayen :)

اور پاک چیزوں کو ان کے لیے حلال کرتے ہیں اور ناپاک چیزوں کو ان پر حرام ٹہراتے ہیں sure araf (7) aayat (157)

اور اپنے آپ کو ہلاکت میں نہ ڈالو sure araf (2) aayat (195)

اور اپنے آپ کو ہلاک نہ کرو کچھ شک نہیں کہ خدا تم پر مہربان ہے sure araf (4) aayat (29)

aur bhi bohot si aayaten hain jo dalalat karti hai is tarah ki halakat wali cheezon par

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
 
Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
mashallah behoot achi sharing ke hai hamery erd gird behoot sy log hain jin ko main yeh beta sakoon ga k kesy chutkara hasil kia ja sakta hai ......
mashaAllah aapki soonch bahot acchi hai.hame aisi cheezaon ke baare me jo bhi ilm ho dosraon tak pahunchana chahiye.jazakAllah khair
 
  • Like
Reactions: nininini

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
Wa Alaykum Assalam Wrwb :)
bohot hi umdah sharing janab

cigarette smoking sirf sahet k liye hanikarak hi nahi balke Islam me ye haram hai
deen e islam paak hai aur paak chizon ko hi pasand karta hai

kuch dalail Quran se mulahaza farmayen :)

اور پاک چیزوں کو ان کے لیے حلال کرتے ہیں اور ناپاک چیزوں کو ان پر حرام ٹہراتے ہیں sure araf (7) aayat (157)

اور اپنے آپ کو ہلاکت میں نہ ڈالو sure araf (2) aayat (195)

اور اپنے آپ کو ہلاک نہ کرو کچھ شک نہیں کہ خدا تم پر مہربان ہے sure araf (4) aayat (29)

aur bhi bohot si aayaten hain jo dalalat karti hai is tarah ki halakat wali cheezon par

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
jazakAllahu khairan janab aapne quran ki aayataon k hawale se bhi mazeed hame samjhaya.
 
Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
wssalm u alaikum
shandar sharing..ek bar phr apki itni umdah or mufeed sharing parh k humri malumat me izafa huva..
cigarette naushi ki na to humare mazhab me koi jaga hai na humari zindgi me honi chaheye..bcoz ye nasha ghron ko ujar deta hai sehat or zindgiyon ko tabah kr deta hai..
Allah hume esi cheezon se bachaye
Ameen
 
Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
wssalm u alaikum
shandar sharing..ek bar phr apki itni umdah or mufeed sharing parh k humri malumat me izafa huva..
cigarette naushi ki na to humare mazhab me koi jaga hai na humari zindgi me honi chaheye..bcoz ye nasha ghron ko ujar deta hai sehat or zindgiyon ko tabah kr deta hai..
Allah hume esi cheezon se bachaye
Ameen
shukriya janaba pasand karne keliye.:)
 
*honey*

TM Star
Nov 2, 2010
2,107
256
83

mashaAllah aapki soonch bahot acchi hai.hame aisi cheezaon ke baare me jo bhi ilm ho dosraon tak pahunchana chahiye.jazakAllah khair
g behoot achi baat hai

wesy main too apny dostoon ko pehly kehu ga kush hain un main wo ager pass khery ho k pety hain too jab booj k hamery pakroon py duwa phankty hian tak hamary kaproon sy be boo aye aur gher sy dant pery :p
 
Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
hmmm JazakAllah Khair kafi time k baad aapke thread read kerne ko mela so acha laga :)
and now I come to the point! cigarette jub itne complications k bayes hain tu phir loug itne addicted kio hain... smoking sehat k lie theek nahin yeh tu khud tobacco companies aapne cigarette packets k slogan mei bhi warnings add kerte hain have a look:

but sawal hain k koi esay kaise chor de?
smoking na tu serf khud smoker ko harm kersakta hain balke uske aas paas k logu k lie bhi problems and disease create kerte hain tu yeh muashre ka ek subse harmful usage and sabse awful smoke tobacco smokes hain...

so I hope k her koi es baato ko note kareand I hope k yeh kafi logu ko help kersake if they truly want to get rid of smoking..Else aapne buhut acha topic post kiya hain
Regards
-Sabah
 
Sara Cilli Milli

!*!Bulbul!*!
Super Star
Oct 21, 2010
13,389
6,751
513
disney land (-'')
hmmm JazakAllah Khair kafi time k baad aapke thread read kerne ko mela so acha laga :)
and now I come to the point! cigarette jub itne complications k bayes hain tu phir loug itne addicted kio hain... smoking sehat k lie theek nahin yeh tu khud tobacco companies aapne cigarette packets k slogan mei bhi warnings add kerte hain have a look:

but sawal hain k koi esay kaise chor de?
smoking na tu serf khud smoker ko harm kersakta hain balke uske aas paas k logu k lie bhi problems and disease create kerte hain tu yeh muashre ka ek subse harmful usage and sabse awful smoke tobacco smokes hain...

so I hope k her koi es baato ko note kareand I hope k yeh kafi logu ko help kersake if they truly want to get rid of smoking..Else aapne buhut acha topic post kiya hain
Regards
-Sabah
very nyc shabha :-bd
 
mashaAllah thrd par to baazi aapne maarli.bahot khoob information jazakAllah khair saba.
 
Top