Bdal Jate Hain Mosam, Phool Mein Khushboo Nahi Rehti

  • Work-from-home

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Musafir to bicharte hain, Rafaqat kab badalti hai
Muhabbat zinda rehti hai Muhabbat kab badalti hai

Tumhi ko chahte hain, hum tumhi se pyar karte hain
Yehi barson se Aadat hai aur Aadat kab badalti hai

Tumhein jo yaad rakha hai Yahi apni Ibaadat hai
Ibadat jis tarah ki ho Ibadat kab Badalti hai

Kli ka Phool Banna aur Bikhar jana Moqaddar hai
Yahi Qanoon e Fitrat hai to Fitrat kab badalti hai

Jo Dil hi naqsh kar jaye nigahon mein simat aaye
Alamat hai yeh chahat ki to Chahat kab badalti hai

Bdal jate hain mosam, Phool mein Khushboo nahi rehti
Magar chahat ke Phool ki latafat kab badalti hai

Usay chaha Usay Pooja, Yahi toqeer hai apni
Hamein gumrah mat samjho, ibadat kab badalti hai

Purane Zakham ko Arshad bhula dena hi acha hai
Na chahe aap hi koi to Qismat kab badalti hai
 
Top