~bazm-e-sukhan Anaaya Ali K Sath~ *saviou*

  • Work-from-home

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
aur ALLAH tala aap k dost ko sehat_tandarusti ata farmaayain AAMEEN
INSHAALLAH jaldi theek ho jaayain gaye wo :)
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313


g g MASHALLAH bohat farmabardaar ho aap

bilkul maire bachpan k tajurbey ki qadar karain aur apne pachpan ko safe karain :p ;))
jee apse to roz apki bachpan ki kahaniya sunte hain aur jab ham bhi pachpan ke hogne jab ham bhi apne choton ko aise hi sunayenge :p


aur ALLAH tala aap k dost ko sehat_tandarusti ata farmaayain AAMEEN
INSHAALLAH jaldi theek ho jaayain gaye wo :)
summa Aameen
jazakallah khair :)
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
nasir bhai sare questions k jawab ek sath hi dy diye..{(doh)}
{(haha})
baki sara week kya kren ge yahan..{(thinkg)}
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113



to apne sare sawal ek sath puche na /:)
ek ek karke puchna chahiye tha ya batana chahiye tha
koi baat nahi abhi ek ke karke aur bhi kuch puchen ham batayenge inshaAllah :)
han g..hume ap ko batana chaheye tha..
chalen koi baat nhi..
abi ap ek week k lye yahan hi hain..
to ap ka interview chalta hi rahe ga..:)
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113


Wa Alaykum Assalam Wrwb :)

1. shayari me to hame school ke dino se dilchaspi thi lekin utna samajh nahi pate the hamare yahan har mahine ya phir do ya teen mahino me ek baar mushaira hua karta tha wahan jate aur khaas kar mazahiya mushairey me bohot maza aata tha, to yahin se shuruat huyi :)


wah..ap k skol boht maze ka tha..:) (humare skol me to ese koi mushaire nhi hote the..ek hasrat hi rhi :()
ap ne us dor me kbi mushaire me participate kia..?
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
wah..ap k skol boht maze ka tha..:) (humare skol me to ese koi mushaire nhi hote the..ek hasrat hi rhi :()
ap ne us dor me kbi mushaire me participate kia..?

school me to salana hote the annu
lekin ye hamare shahar me hote the har mahina ya do mahino me ek baar school se alag
waise school me ham kayi baar alag alag mauqon par hissa lete the jisme drama bhi tha
aur mazahiya khabren padhna tha to usme bohot maza aaya kash wo sab abhi likha hota hamare paas to aap sabke sath share karte :)
 
  • Like
Reactions: Aara'af and ~Zeest~

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113


Wa Alaykum Assalam Wrwb :)



2. waise to bohot sher rehte hain lekin aksar jo sher se hame hausla milta hai aur phir se umeed jagti hai wo ye share hai

Dekhne Wale Meri Tooti Huyi Kashti Ko Na Dekh
Hausla Abb Bhi Hai Toofano Se Takrane Kaa

wah..boht khoob..
ise kehte hain shair sirf shair hi nhi hote apne andr zindgi ki umeed liye huve hote hain

3. ye sawal samjhe nahi kya shayari sach bolti hai
ye to shayar ke upar hai ke wo apne ashar me kya kehna chahta hai
haan ham ek baat keh sakte hain jo muqarreer kayi ghante apne taqreer me kahe wo shayar do line me keh sakta hai yane samundar ko surayee me sametna ye shayar karsakta hai :)

ye baat to ap ne 16 aane sahi kahi..ek jo baat 2,3 pages me ho..shayer use ek shair me sameet k bayan kr dete hain...or yahi shairy ka husan hai..
shairy sach bolti se ye matlb b tha k baz'ukat esa b hota hai shairy me boht mubalgha aarai ki jati hai..ye b thek kaha ap ne ye baat ko shayer pe munhisar hoti hai k woh kya likhta hai or us ka likhne ka andaz kesa hain...
 

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar


Wa Alaykum Assalam Wrwb :)

1. shayari me to hame school ke dino se dilchaspi thi lekin utna samajh nahi pate the hamare yahan har mahine ya phir do ya teen mahino me ek baar mushaira hua karta tha wahan jate aur khaas kar mazahiya mushairey me bohot maza aata tha, to yahin se shuruat huyi :)

2. waise to bohot sher rehte hain lekin aksar jo sher se hame hausla milta hai aur phir se umeed jagti hai wo ye share hai

Dekhne Wale Meri Tooti Huyi Kashti Ko Na Dekh
Hausla Abb Bhi Hai Toofano Se Takrane Kaa

3. ye sawal samjhe nahi kya shayari sach bolti hai
ye to shayar ke upar hai ke wo apne ashar me kya kehna chahta hai
haan ham ek baat keh sakte hain jo muqarreer kayi ghante apne taqreer me kahe wo shayar do line me keh sakta hai yane samundar ko surayee me sametna ye shayar karsakta hai :)

4. jee aise badalte mausam aur aise thar tharati shamen to bada pareshan karti hain :p
har umar wala apne hisab se aise mausam ka lutf utha ta hai
aise mausam me ham chahte hain ke akele na rahen koi sath ho jisse ye mausam ke maze sath lesaken sath me garma garam chai bhi honi chahiye aur kya wagairah wagairah /:)

5. jee do teen dost hain jo hame yaad hain jinhone us mauqe ke hisab se hamare bare me share kaha

ek hindi shayar hain jo ek ghazal likh rahe the aur uska matla unhone hame dedicate kiya wo is tarah se hai
इक शख्स क्या बतायें कि कैसा दिखाई दे?
जो देख ले, उसी को वो अपना दिखाई दे...


Ek Shaqs Kya Batayen Ke Kaise Dikhayi De?
JO Dekh Le, Ussi Ko Wo Apna Dikhayi De...

aur ek hamare bohot ache dost hain wo bhi shayari karte hain unhone bhi apne alfazon se hame nawaza tha

tareef me teri mein likhun kya naseer???
qalam ki roshnai ke tere sub hain aseer....

shaad rahe abaad rahe tu is hunar ke saath
jaani hai humne duniya padhkar teri tehreer

soncha na tha ek ajnabi ban jaega rafeeq
samjha hamesha dosti ko hum ne sirf zanjeer

Khuda de aur zoq aur hunar-e-shaeri.....
kalaam tera lage subko pyar ki tasweer

***Salaam***



bas ye abhi yaad hain

6. jee haan lekin abhi to yaad nahi hame

7. haan hamne yahin TM par bohot se nazm aur ghazal bhi post kiye hain jinme se hamne sana aur sabah ko dedicate kiye aur ek khud hamne apni ahlia k liye likhe the wo bhi yehin par post kiye aap dekh sakte hain :)

http://www.tafrehmela.com/tms-contest/130513-your-own-poetry-contest-3.html

http://www.tafrehmela.com/tms-poet/140007-phir-dil-mein-ek-hasrath-si-hone-lagi.html

http://www.tafrehmela.com/tms-poet/137774-khuda-ka-nayaab-tohfa-hai-wo.html

http://www.tafrehmela.com/tms-poet/141396-dedicate-marina.html

http://www.tafrehmela.com/tms-poet/141100-bhula-chuka-hun-main-ab-wo-din-purane.html

http://www.tafrehmela.com/tms-poet/138133-aye-musalmaan-tujhe-kya-ho-gaya-hai.html

http://www.tafrehmela.com/muhabbat-shayari/103482-mere-mehboob.html

http://www.tafrehmela.com/muhabbat-shayari/106924-mujhe-tum-se-mohabbat-hai.html

http://www.tafrehmela.com/religious-shayari/107185-taqdeer-me-likha-barhaq-hai-ye-juz-e-imaan-hai.html

http://www.tafrehmela.com/greeting-congras-sorrow/128275-nazm-dedicating-tm.html


bas itne mile :p
jo yahan share kiye hosakta ho aur bhi hon
aur bohot se hamne yahan share nahi kiye aur kuch likh bhi rahe hain :)

8. pasandeeda share ghazl nazm to bohot hain aur khaas kar Allama Iqbal ka likha har kalam hame pasand hai to unhi ki ek nazm jo ke ek dua hai wo sab jante bhi hain wohi share karte hain :)

Lab pe aati hai dua banke tamanna meri
Zindagi shama ki surat ho khudaya meri

Door duniya ka mere dam andhera no jaaye
Har jagah mere chamakane se ujaala ho jaaye

Ho mere dam se yoon hi mere watan ki zeenat
Jis tarah phool se hoti hai chaman ki zeenat

Zindagi ho meri parwaane ki surat ya rab
Ilm ki shama se ho mujhko mohabbat ya rab

Ho mera kaam garibon ki himaayat karna
Dard-mandon se zaiifon se mohabbat karna

Mere allaah buraai se bachaanaa mujhko
Nek jo raah ho us raah pe chalaanaa mujhko


9. Allama Iqbal :)

10. jee zaroor

Tumhari Kamiyabi Rahe Hazar Baras
Har Baras Ke Hon Din Pachas Hazar :)


umeed hai ye sab padh kar aap sab bore nahi huye honge
bohot bohot shukriya ap sab ka aur khaas kar hamari bahen mohtarma Anaaya ka :)
Jazakallah khair :)
MashAllah hame tu shoro se pata tha k baki famous shayer k terha kabhi aapka bhi poetry interview hoga aur abhi belkul poets k jaise aap kalam ferma rahe hain...
read ker acha laga and aapke dosto ne jho apako poems dedicate kiye wakiye mei ache the... :)
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~ and saviou

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
g to saviou baya maira sawal ye hay kkk

koi aisa shaer jo aapko lagta ho k sirf aap hi k liye bna hay :p

i mean k jisse parh k ya sun k lagta ho k wo shaer aapki zindagi ya kissi waqea k bohat qareeb hay?
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
.yeh bahaar ka dimaag kharab hogia hai.
.yeh bahaar ka dimaag kharab hogia hai.
.yeh bahaar ka dimaag kharab hogia hai.
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
walaikum assalam
wow annu, din ba din bare creative n motivated hoti jaa re ho hmmmmm:D lagta hai mera asar ho gaya8->:p
anyways, bohat accha silsila shurooh kiya hai:) hope it stays alive
n welcum Saviour bhai

shukran behna :)


waalaikum assalam

MASHAALLAH mohtarma bohat acha silsila shuroo kiya hay aap ne :)

WELCOME saviou bhaya :p

shukran mohtarma didi /:)
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313

wah..boht khoob..
ise kehte hain shair sirf shair hi nhi hote apne andr zindgi ki umeed liye huve hote hain

jee bilkul ye share me wo baat hai jo bhi ghamo me ya musibaton me dooba hua ho isko padhle to usse hausla mil jaye

hame to ye bohot baar kaam aata hai aur nayi umeed dikhata hai Alhamdulillah :)


ye baat to ap ne 16 aane sahi kahi..ek jo baat 2,3 pages me ho..shayer use ek shair me sameet k bayan kr dete hain...or yahi shairy ka husan hai..
shairy sach bolti se ye matlb b tha k baz'ukat esa b hota hai shairy me boht mubalgha aarai ki jati hai..ye b thek kaha ap ne ye baat ko shayer pe munhisar hoti hai k woh kya likhta hai or us ka likhne ka andaz kesa hain...

jee yehi to hai
kyun k kayi aise shayar guzre hain sirf urdu ya farsi k nahi balke arab k shayar bhi jinhone apni mehbooba k upar jab kuch likha to hadd kardi aur aisi tareef ki k shayad hi aise kuch mumkin ho to isme koi haqeeqat nahi hoti isliye shayar par hai kya wo apne kalaam se kya bayan karna chahta hai

hame Allama Iqbal ka kalaam isliye pasand hai k unhone shayari k zariye taheed ko phailaya haq baat ko samne rakha padhte hi josh ajaye aur sath me haq baat bhi samajh me ajaye subhan Allah
 
  • Like
Reactions: Aara'af and ~Zeest~

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313


MashAllah hame tu shoro se pata tha k baki famous shayer k terha kabhi aapka bhi poetry interview hoga aur abhi belkul poets k jaise aap kalam ferma rahe hain...
read ker acha laga and aapke dosto ne jho apako poems dedicate kiye wakiye mei ache the... :)

bohot bohot shukriya mohtarma :)
waise to ham bas toota phoota likh lete hain
ye sab to aap sab ka pyar hai jo hame itni izzat aur hausla afzai milti hai
apke itne ache alfazon k ham mashkoor hain
jazakallah khair
 
  • Like
Reactions: Aara'af and ~Zeest~
Top