Bas Likh Diya

  • Work-from-home

vamp545

Ì míśš ůř šťůpîđ fâćë
TM Star
Nov 29, 2012
2,278
722
413
Searching.....
Dekho ye mere khawab thay,Dekho ye mere zakhm hain

"Main eik shayer se mohabbat kerti hon"

uss ke ye ilfaaz mujh per kisi bomb ki tarah giray

aur main hairaan-o-pareshaa'n sirf itna hi keh saka..."Magar ?"
wo meri bokhalayee huyee shakal dekh ker khilkhila ker hans di aur
kehnay lagi...magar kya....yehi na ke main to tum se mohabbat kerti
hon!
so wo to paglay main kerti hon aur hamesha kerti rahon gi.
Main sach much abb bhi uski baat ka matlab nahi samajh saka tha aur
mere chehray per aatay jaatay rung dekh ker wo mehzooz ho rahi thi.
Phir khamoshi ka kufal kholtay huye wo boli:
Main chahati hon,jissay main chahati hon...wo eik shayer (poet) ho.Mere
dil main ye ajab si shadeed se shadeed-tar hoti ik khawahish hai,jo tum
se aaj keh di.

Main kuch deir khamosh raha aur phir qehqaha mar ker hans dia,ye soch
ker k main kya samajh raha tha aur nikla kya.Abb hairaan honay ki bari
uski thi...boli: "tum hasay kyun?"
main ne baat taltay huye kaha .. aisay hi.
Aaj tum bohat pyari lag rahi ho....wo khoyee huyee nazron se mujhe
dekhtay huye boli: ye to tum roz hi kehtay ho.
Aur kuch samajh na aaya to main bhi khamosh ho gaya aur phir ye
khamoshi phelti hi gayee...aur phir yehi khamoshi meri zindagi main
toofaan layeee.....jab uss ne mujh se kaha: "Suno jaan! tum shayer
ban jao !"
Aur main sirf ussay takta hi reh gaya, phir hairaangi se bola:
"Main kaisay shayer ban sakta hon,pagal ho gayee ho kya!"
"Kyun...kyun nahi ban saktay...itna acha to boltay ho...bus thori si
koshish kero to achi khasi shairi bhi kernay lago...haye kitna maza
aaye ga jab main sab se khaon gi ke mera mehboob eik shayer hai...
plzzzz meri khatir ban jao na,
tumhen meri qasam!"

Magar pagli janti ho na ke shayer kya hota hai,
lahoo ugalta hai...dard sehta hai...Aansoo peeta hai...aur kuch nahi
bus jeeta hai.
Tum kya samajhti ho ke daad wasool kernay ke liye likhta hai shayer...
sun'ney walay to daad detay hain....wah wah kertay hain...kuch ihtraam
detay hain..kuch hamdardi jitatay hain aur phir ghar ko chalay jatay
hain...aur peechay reh jata hai shayer...tanha aur akela
Shayer ke andar kuch toot raha hota hai...kuch xxxxxt raha hota hai...
koi loott raha hota hai....uss dard ko...haan usi dard ko...jisey wo
lafzon main dhaal ker shairo'n ki shakal deta hai...uss dard ko koi
mehsoos nahi kerta...aur wo akela hi tarpta rehta hai...tarapta
rehta hai.../// aur tum chahati ho ke meri zindagi bhi wesi ho jaye...
uffff...Allah bachaye aisi zindagi se . Please yaar! aisi baaten matt
kero...abhi hamari mangni huyee hai ...shadi ki bohat si tayariyaa'n
baqi hain aur tum kaisi baaten le bethi ho.
"Plzzz plzzzzzz....ye kaisi mohabbat hai tumhari jo meri itni si
khawahish poori nahi ker pa rahi...tumhen meri qasam!"
per tum meri baat bhi to suno na jaan....tum bohat bholi ho...shayer
aisay hi nahi ban jata koi....iss ke liye bara hosla chahiye hota hai,
jab tak koi chott khayee na ho....koi dard pala na ho...koi mehboob
herjai na ho...koi dariya bahaya na ho...shayer nahi bana ja sakta....
aur meri mohabbat adhoori nahi hai...mera koi mehboob herjai nahi hai
..main ne koi chott khayee nahi hai, to main kaisay shayer ban jaon...
hamari shadi honay wali hai iss liye tum plzzz iss chapter ko yahan hi
close ker do..abhi bohat kaam baqi hai.
Abb uss ke pass koi jawaz nahi tha...isi liye wo ye sab sun ker sirf
"acha" hi keh saki aur khamosh ho gayee.
Hum kafi deir yunhi chlaty rahay...per aaj pehli baar sab kuch ajeeb
ajeeb lag raha tha halankey wohi patay,wohi hawaein...wohi phool,wohi
shabnami qabayen...wohi dagar,wohi rahein...magar ye sab kuch aaj
ajeeb lag raha tha kyun ke wo khamosh thi...aur main yehi soch raha tha
ke kesi ajab si khawahish thi iss pagli ki.

Aur phir kuch din baad uss ka khat mila:
"Jaan se pyaray!
Mohabbat rooh ka rishta hai ye tumhi ne kaha tha,
main tumharay alawa kisi aur ko chah ker bhi na
chaah sako'n gi...ye bhi sach hai.Magar main kya
keroon ....main chahati hoon ,jissay main chahti
hoon ... uska yani tumhara naam ho...log tumhara
hi ziker keren...tum eik shayer ho,"shayre-waqt"
kehlao...to mera sir fakhar se buland ho jaye ga
main keh sakon gi ke dekho ye meri mohabbat hai.

Main ne apni aur tumhari mangni tor di hai...aur
aglay maah apne cousin se meri shadi hai.....tum
mujh se aur main tum se abb koi rabta nahi rakhe
gay......hamari roohein to eik doosray main sama
chuki hain to phir humein kya parwa...kaheen per
bhi rahen hum tum...mohabbat phir mohabbat hai..
tum mere raho gay aur main tumhari.

Dekho jaan! yun samajh lo, hamari mohabbat ka ye
imtihaan hai...abb koi bahana nahi chalay ga....
tumhen chott ho chuki hai...tumhari bhi mehbooba
tumhen chor ker ja chuki hai.........abb to sari
CONDITIONS hain na..abb to tum shayer ban saktay
ho na,hai na.....to bus tumhen meri qasam....abb
inkar matt kerna.....bus shayer ban'na."


So aaj main eik shayer hon.
lahoo ugalta hoon...dard sehta hoon...Aansoo peeta hoon...aur kuch
nahi bus jeeta hoon.
.________________________ _______.

"Dekho ye mere khawab thay,Dekho ye mere zakhm hain
Hum ne to sab hissab-e-jaa'n barsar-e-aam rakh diya"
 
Top