Barish me phool khilte hain

  • Work-from-home

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
Mirab haathon me bhap urate huve 2 chaye(tea) k cup tham kr bahir lawn me aa gyi..subho subho pehli khush'numa roshni or fiza me phela sakoon har so bikhar rha tha,lawn me har tarh lge aadh khile phool Qudrat k husan ko char chand lga rhe the,badalon ki oor se soraj ankh macholi khel rha tha...Ali b ek tarf rang bikher kr kuch bnane me masroof tha..
Mirab, Ali k pas aa kr ruki or chaye ka cup table pe rakh diya,Mirab ki ungli me pori aab-o-taab se chamkta nag,aj b 3 saal pehle ki tarha roshan tha..shyd ye jazbon ki sachai hi thi k aj shadi k pore 3 saal ho gye the..lekin in dono ki Muhabbat me roz-e-awal se aj tak zara barabr farak nhi aaya tha..MIrab sath pari ek chair pe beth gyi or Ali se mukhatab huvi..
kya bna rahe ho?
batao aj tumhare liye kya banaon?Ali ne bari apnayat se pocha tha..
acha..Mirab ne rangon ki tarf dekha phr Ali ki tarf dekh kr muskarai or bolo chalo Ali aj hum khud ko paint krte hain..kesa?
hmmmm..Ali ne irad gird nigah kaha tha..
to phr kya paint kro ge Ali humare liye..? Mirab ne bari dil'chaspi se pocha tha...
tumhe pata hai Mirab main jb jb is Kainat ki jis cheez ko dekhta hon..us us cheez me muje muhabbat ka aks nazr aata hai..bnane wala(Allah) jis ne insan par apni inaayaton ki intiha kr di..use har qadam har mor pe apni rahmaton k saye me ly lia..use ye itni khoobsorat kainat di,phr is me rang bharne k liye itne khoobsorat or khaloos se jure rishte diye..hum kitne khush'kismat hain na Mirab..humara Rab kitna Rehman hain..
MIrab ne Ali ki baat se itifaq krte huve han me sar hilate huve Beshak kaha tha..
Ali phr rangon me mehav ho gya or canvas me kuch rang bikher diye..Mirab kisi soch me dubi kbi Ali ko dekhti or kbi canvas pe bikhre in rangon ki tarf..
Ali ne 2 boht khoobsorat phool banaye the..jise dekha kr Mirab ne be'ikhtiyar kaha tha..boht khoobsorat..
asman par badal cha gye the..
Mirab ne muskarate huve Ali se KAHA THA..
ye mukamal ho gyi na..lao do ab mujhe mera gift..
Ali ne bari beniyazi se jawab diya "Nhi"
chalo phr andr chalte hain shyd abi barish ho jaye gi..mirab me mashwara diya tha..
nhi MIRAB ..abi is painting me kuch baki hai...yahan hi thehro..
acha..mirab ne kaha tha..
itne me halki halki barish hone lgi..barish k katre jb canvas pe bani painting pe parne lge to sare rang ek dosre me milne lge..dono Phoolon k rang ek dosre me jazab hone lge..
Mirab ne kuch smjhate huve or phr muskarate huve Ali ki tarf dekha tha..han boht bare philosopher ho Ali..
is k sath hi dono k kehke fiza me bhikhar gye the..
is mephilosopher ki kya baat hai..har MUhabbat krne wala apni muhabbat ko kisi shakal me pesh kr skta hai.,,main ne b kia..in rangon ki mdat se ye phool banaye jo HUM dono hain..or jb in par Muhabbat ki rimjhim barsi to dono k rang ek duje me mil gye...Muhabbat b bilkul esi hi hai Rangon ki tarha..jo jb b pori sachai or khaloos se yon milti hai or jb jb is par Sawan ki bondain barasti hain ye sare rang mil jate hain or dhanak k ye rang zindgi ka husan bharhate hain..
or phr hume lgta hai humare Khaliq ko hum se kitni muhabbat hai jis ne na sirf hume apni muhabbat di thi bal'k us k sath sath is kainat me basne wale boht se logo se humare khaloos ka rishta jor kr hume khush kismat'tareen bna diya tha..
Mirab ki ankhon me kahi kahin nami thehar gyi thi..
Ali main tumhe kya don...
phr woh khud hi boli thi..

TUM ko sochon to esa lgta hai..
Jese..
jese khushbu me rang milte hain
jese Barish me phool khilte hain..
jese khawab haqiqat me dhalte hain..
Jese do bichre panchi milte hain..

TUM ko sochon to esa lgta hain...



sare mosam sare manzr bheeg rhe tha...
 

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
wah wah wah abhut khoob Annu..................
Barish me phool khilte hain...Mohabat k phool,khushi k phool wafa k phool..............
Lazawaal mohabat kabhi kahtm nahi hoti chahe mausam koi ho.....
Zindagi me sabse khubsurat Khaliq e Kayenat ki nemat hai Mohabat..
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
Muhabbat b bilkul esi hi hai Rangon ki tarha..jo jb b pori sachai or khaloos se yon milti hai or jb jb is par Sawan ki bondain barasti hain ye sare rang mil jate hain or dhanak k ye rang zindgi ka husan bharhate hain

mashaAllah bahot khoob sawanji kia baat hai.
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
subhan Allah :)
annu bohot hi ache aur pyare andaz me apne isko likha hai
parhte huye dil kar raha tha ke parhte hi jayen
masha Allah apne haq baat bayan ki hai Allah ne hame kitni nematen di kitna ham par maherbaan hai

Allah hame uski mansha ke muwafiq apni zindagi guzarne ki taufeeq de Aameen
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
Muhabbat b bilkul esi hi hai Rangon ki tarha..jo jb b pori sachai or khaloos se yon milti hai or jb jb is par Sawan ki bondain barasti hain ye sare rang mil jate hain or dhanak k ye rang zindgi ka husan bharhate hain

mashaAllah bahot khoob sawanji kia baat hai.
shukaria...
sawanji.{(wacko)}
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
subhan Allah :)
annu bohot hi ache aur pyare andaz me apne isko likha hai
parhte huye dil kar raha tha ke parhte hi jayen
masha Allah apne haq baat bayan ki hai Allah ne hame kitni nematen di kitna ham par maherbaan hai

Allah hame uski mansha ke muwafiq apni zindagi guzarne ki taufeeq de Aameen

shukaria ..
ji bilkul...
sum Ameen..:)
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
bilkul esi hi hai Rangon ki tarha..jo jb b pori sachai or khaloos se yon milti hai or jb jb is par Sawan ki bondain barasti hain ye sare rang mil jate hain or dhanak k ye rang zindgi ka husan bharhate hain..
or phr hume lgta hai humare Khaliq ko hum se kitni muhabbat hai jis ne na sirf hume apni muhabbat di thi bal'k us k sath sath is kainat me basne wale boht se logo se humare khaloos ka rishta jor kr hume khush kismat'tareen bna diya tha..


ahaaaaaan

bohat khoobsurat :)
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~
Top