Bar Bar Becha Hai

  • Work-from-home

Aks_

~ ʍɑno BɨLii ~
Hot Shot
Aug 2, 2012
44,916
17,651
1,113
Sar jalayen gay roshni ho gi
us ujalay men faislay hongay
roshnai b khoon ki ho gi
aur wo faqa kash qalam jis men
jitni cheekhon ki dastanen hen
un ko likhnay ki arzoo ho gi
na he lamha qarar ka ho ga
na he rasta farar ka ho ga
wo adalat gareeb ki ho gi
jaan atki yazeed ki hogi
aur phir aik faqeer ka bacha
masnadon par bithaya jaye ga
aur tarazoo k dono palarron men
surkh lamhon ko tola jaye ga
saabqa hakmeen hazir hon
naam aur wald bola jaye ga
jo yateemon ki taraf uthy thay
aisay hathon ko tore dalen gay
aur jisnay rondi gareeb ki asmat
us ki gardan maror dalen gay
jis ne bechi hai qalam ki taqat
jis ne apna zameer becha hai
jo dukanen sajaye bethay hen
sach se daman churaye bethay hen
jis ne becha azaab becha hai
muflison ko saraab becha hai
dil ko be hisaab becha hai
kuch ne roti ka khawab becha hai
ab kis tarah kahen hum
k qom ne khud ko
kis taraha
bar bar becha hai
kis taraha
bar bar becha hai
faiz -o- iqbal ka parosi hun
ek tarap maray khoon men b hai
aankh men silsila hai khawabon ka
ek mehak maray chaarsoo b hai
jhoonpari k naseeb badlen gay
phir kahin inqilaab aye ga
beth rehnay se kuch nahin ho ga
aik din inqilaab aye ga
 
Top