abhi tu ishq main

  • Work-from-home
Dec 11, 2008
932
510
0
dammam
Bari ajab be-hisi chai hey….
Mur key deekhon tu door talak….
Doooooor talak…….
ruswai hi ruswai hey….
Samney hey tou baas wohi aik sodai hey….
chorney waley kabhi ye bhi soocha huta …..
Terey janey se meri jaan pe ban aayi hey….
Raat be faiz-karon , Din ko wafa-sooz kahon….
Teri kwahish mein sanam kyesi saza pai hey….
Rastey Aahh bharein, Chandni bhi raah takey…
Ba khuda teri kami shaam o seher pai hey….
Khamoshi been karey, Dharkanein bhi shoor karein…
Bichartey waqt ki mulaqat kyon yaad aai hey…
Mera kya doosh jo mein matti ka badan rakhta hoon
Mein ney mana key tu aik pa’ekar-e-raanai hey
Aaaj shiddat se teri yaad jo yoon aai hey…
Mein ney khud apney kiye ki yeh saza pai hey…
Char so aik… yehi aik sada aai hey….
Meri qismat mein sada aabla paii hey…
 
Dec 11, 2008
932
510
0
dammam
my fav poem
Maa! mujhay neend nahin aate hai

Aik muddat say mujhay neend nahin aate hai
Maa! mujhay lori sunao na
Sula do na mujhay
Maa! mujhay neend nahin aate hai
Rat-jaggay aab to muqadar hain meri palkoon ka
Neend aay to leay aati hai BAGHDAD kee yaad
Aankh lagtay he koi bewa (widow) utha daitee hai
Paet kitna he bharoon bhook nahin mittee hai
Jaltay BASRA kee mujhay payaas jaga daitee hai
Koi KANDHAAR kee wadi say bulata hai mujhay
Zikar QANDOOZ ka aay to mujhay lagta hai
Kaat krr ser koi hansta hai, Jalata hai mujhay
Bum kee aawazain mujhay kuch nahin kehti hain magar
Zakhm un bachoon k soonay nahin daitay hain mujhay
Maa, meri aankhain to pathar kee hui jati hain
Nojawaan lashay yeh ronay nahin detay hain mujhay
Meray seenay pay rakho haath
Rula do na mujhay................!!
Maa! mujhay lori sunao na
Sula do na mujhay................!!
Maa! mujhay neend nahin aate hai
Aik muddat say mujhay neend nahin aati hai........................!
 
Dec 11, 2008
932
510
0
dammam
tum merii aa.Nkh ke tevar na bhulaa paaoge
ankahii baat ko samajhoge to yaad aa_uu.Ngaa

ham ne Khushiyo.n kii tarah dukh bhii ikaTThe dekhe
safaah-e-ziist ko palaToge to yaad aa_uu.Ngaa

isii andaaz me.n hote the muKhaatib mujh se
Khat kisii aur ko likhoge to yaad aa_uu.Ngaa

sard raato.n ke mahakate hue sannaaTo.n me.n
jab kisii phuul ko chuumoge to yaad aa_uu.Ngaa

ab tere ashk mai.n ho.nTho.n se churaa letaa huu.N
haath se Khud inhe.n po.nchhoge to yaad aa_uu.Ngaa

shaal pahanaayegaa ab kaun disambar me.n tumhe.n
baarisho.n me.n kabhii bhiigoge to yaad aa_uu.Ngaa

aaj tum mahafil-e-yaaraa.N pe ho maGaruur bahut
jab kabhii TuuT ke bikharoge to yaad aa_uu.Ngaa

haadase aaye.nge jiivan me.n to tum hoke niDhaal
kisii diivaar ko thaamoge to yaad aa_uu.Ngaa

is me.n shaamil hai merii baKht kii taariikii bhii
tum siyaah rang jo pahanoge to yaad aa_uu.Ngaa
 

namrish

Newbie
Apr 23, 2009
8
6
3
36
Khwahish-e-deed hai ya kisi bosey ki talab

Khwahish-e-deed hai ya kisi bosey ki talab
Aaj kis jazba-e-wehshi ke tehet mein jaga

Saya jalad ka dekha to Wasi kanmp utha
Aur ik dhaj se maqtal main qaza se bhaga

By Wasi Shah
 
Top