Aakhirat ka muflis koun ?

  • Work-from-home

misskarwa123

Newbie
Mar 10, 2009
286
207
0
35
myanmar
Ayk baar rasool (saw) ne sabaha -e- karaam (rd) se daryaft farmaya ke ' muflis koun hai '? .....to sahaba -e-karam (rd) ne araz kiya ....'jis ke paas rupiya paisa na ho..........rasool (saw) ne farmaya ; nahi me batata hoon ke muflis koun hai.............qiyaamat ke din kuch log is haal mein aayenge ke unke aamaal name namaaz ,rozah ,zakaat , haj ,ishraaq ,chasht ,sadqah , kheraat garz ye ke tamaam ibadaat se bhare hounge ;lekin hisaab kitaab ka waqt shoroo hoga to ayk taraf se ayk shakhs khara hoga aur kahega 'ya allah ' is shakhs ne meri haqtalfi ki hai ..... Allah taala us ke iwaz me us zalim ki ibadaat se mazloom ke nama -e -aamaal mein dakhil farmadenge....isi tarah ayk aur shakhs khara hoga aur kahega 'ya allah' us ne mujh per falan zulm kiya hai allah taala isi tarah us doosre mazloomke nama - amaal me is zalim ke amaal-e -swaleha se kuch dakhil farmadenge......isi tarah bohut se log apne , apne huqooq ka mutaliba karenge ....allah taala un sab ke huqooq ko is zalim ke aamaal aur ibadaat se poora farmayenge......... Yahan tak ke uski tamaam ibadaat khatam ho jayenge lekin huqooq ke dawe khatam na honge........... To allah taala un mazloomoun ke gunaahoun ko uske nama-e- amaal me dakhil farmayenge jis ki wajah se woh shakhs dakhil kiya jaayega 'yeh hai muflis ".................................dekha mere dosto woh naik shakhs apne zulm karne ki wajah se jahannam me chala giya...............
 
Top