Shadi Ke Baad Kisi Aur Se Muhabbat Hojay Tou....

  • Work-from-home

Blue-Black

chai-mein-biscuit
TM Star
May 27, 2014
1,921
607
1,213
KARACHI
bilkul sahi kaha hy... INSAAF pehli shart hy her cheez main... mard ko 4 shadion ki ijaazat di gai hy mager zaroori qaraar nai dia gia.. 1 successfull shadi b bandy ko utna he imaan wala banati hy jitni 4 waly ko bana sakti hein...

sab sy barhi misaal Hazoor-e-Akram (S.A.W.W.) ki hy.. jab tak Hazrat Khadija (R.A.) hayaat theen unhon ny doosari shadi nahi ki. or us ky baad jo bhi shadi ki us ky peechy koi na koi siyaasi ya deeni waja thi (siyaasi word in +ve sense like kisi doosary tribe sy sulaah karny ky liye etc.)

jahan tak baat hy shadi ky baad muhabbat ki.. tu chahy wo mard ho ya aurat mera tu khiyal hy ky yeh saraasar behakna he hy ky aap ki biwi / shohar hy phir b aap doosaron per nazar rakhy howy hein...



aajkal ka jesa muaashra hy doosari shadi ki bohat se doosari reasons hein un mein ek reason girls being WIFE khud bhi hain... mian biwi ka rishta aisa hy ky like dono ko ek doosary ky liye banaya gia hy... wives kaam kaaj mein bachon ko sanbhalny mein ghar daari mein or doosary bohat sy kaamon mein lag ker apny shohar ko tawajja daina kam kar daiti hein jis sy shohar frustrate hoty hein or tawajja or muhabbat ki khatir doosari jaghon per dekhna shuru ker dety hein.. shayad kuch log is cheez sy ikhtelaaf karain mager yeh meri personal observation hy ky kuch ghar sirf is waja sy toot jaaty hein ky biwian apny shohraon ko wo tawajja nahi deti jis ka woh khwahishmand hota hy -----
sahi kaha aapne
 

candy

TM Star
Jun 5, 2007
1,274
360
1,183
Canada
shadi hojane ke bad kisi or larki ko dekhne pasand krne ya love krne ki zarorat hi nhi honi chahiye
lekin tamam koshishon ke bawajod aisa ho b jata hai to islami tarika use kar ke wife ko razi karne ke bad hi dusri shadi kr leni chahiye
dosri shadi k lain wife ki ijazat Islami tareeq nahi he- but according to Pakistani law u need to get permission
 

فہد

Super Star
Dec 12, 2009
10,225
3,548
1,313
karachi
dosri shadi k lain wife ki ijazat Islami tareeq nahi he- but according to Pakistani law u need to get permission
to phir apke hisab se islam dusri shadi ki ijazat kaise deta hai?
pehli bv se chup kr?
pehli bv ko mar kr?
ya pehli bv ko talaq de kr?
 

DesiGirl

TM Star
Dec 14, 2013
2,291
935
113
34
Faisalabad
dosri shadi k lain wife ki ijazat Islami tareeq nahi he- but according to Pakistani law u need to get permission
haan... islami roo sy aadmi ko zarurat nahi hy apni biwi ki permission for 2nd marriage.. mager ager us ki pehli ya koi bhi biwi us sy na khush hy.. not-satisfied hy.. tu is baat ky liye mard ko Allah ky saamny jawab deh b tu hona parhy ga na
 

Khurram119

Newbie
May 20, 2014
46
6
8
aik shadi shuda admi ko ye sab zaib nae deta k wo ye sab kaam kerta pire apni to zindagi berbaad hogi hi uski bhi kero gay/? ye sab sahi nahi hai bhai na hi aisa kerna chahiye. ya shaadi achi terhaan dekh ke kerni chahiye thi
 

Abdul_SaLaM

Newbie
Oct 21, 2023
1
0
1
Allah maf kary main bohat rok rha lekin shadi k bad ab mujhe 2 larkyan like karti smjh ni aa rha kia karon galti meri b he mene un ko lift karwae ab bat b karna chahta hon un se or pareshan b hota hon k ye galat he wife se dokha he smjh ni aaya ab in ko kesy choron dokha karon in se ya apni wife se boaht tenshan men hn
 
Top