صراط مستقیم (andheron Se Roshni Ka Safar)

  • Work-from-home

Aks_

~ ʍɑno BɨLii ~
Hot Shot
Aug 2, 2012
44,916
17,651
1,113
صراط مستقیم
(Andheron se Roshni ka Safar)


kehte hain ke jab kisi insaan pe agahi ke dar khulte hain toh aisi bohat si baaten us pe waziyah hone lagti hain jin ka ab se pehle usey zara sa b tudarak nahin hota. yun toh is dunia ki gehma gehmi aur rangeeniyon main insaan kuch aisa kho jaata hai ke apni ana, izzat-o-muqaam, daulat aur jhooti shan-o-shaukat hasil karne ke liye apni rooh ki asal pehchan tak kho deta hai . magar andhere main roshni ka ek chota sa nuqta bhi kabhi kabhi zindagi badal dene k liye kaafi hota hai.
yeh kahani ek aise shaks ki hai jo shayed dunia walon ki nazar main khush kismat tareen insaan tha kyun k us k paas be inteha daulat, gariyan, bangla, aish-o-ishrat, karobar tha aur shayed yehi wajah thi ke woh in sab main itna gum ho gaya ke insaniyat ke haqaiq se bohat duur ho gaya jabhi ghuroor aur ana ki daldal main aisa phasa jahan se nikalna ab us k liye dushwar tha.
ALI mills sheher ki jaani maani factory thi jisey Pakistan ke taraqqi yafta businesses main shumaar kiya jaata tha aur is ka malik ALI ZAIN apne karobar ko bohat behtareen tareeq se chala raha tha. abhi woh sirf 30 baras ka tha magar us ki shaksiyat ki sanjeedgi aur had darja karwe pan ne us ki umar ko bhi mutasir kiya jabhi dekhne wale usey ziyada umar samajhte. us ke office main sabhi workers siwaye kisi zaroori kaam ke baat cheet nahin karte the kyunki woh jaante the ke kab boss ka mood kharab ho aur kab woh daant den kyunki us ka yeh usool tha ke apne agar woh apne workers ko poori pay deta hai toh unhain bhi apna kaam baghair ek lamha zayah kiye karna chaiye aur isi wajah se woh ab tak bohat se acche acche workers ko bhi kaam se nikaal chuka tha jo apna kaam thori takheer se karte.
aaj bhi hasb-e-mamool woh apne office waqt pe aaya aur apne cabin main masroof tha ke us ka ek worker jis ne pichle hafte join kiya, andar dakhil hua,
"may i come in sir?"
"jee agar koi zaroor baat karni hai tou"
us ne ek sarsari si nazar us worker pe daal kaha.
"sir, woh asal main mujhe ek zaroori darkhast karni thi aap se"?
"jee farmayieh?"
"sir, woh, asal main.......woh...:"
worker jo ke us ki age ka tha, us se baat karte hue hichkicha raha tha kyunki Ali ke chahre pe pheli sard mohri us ki saari himmat cheen rahi thi
"dekhiye, agar aapko aise hi apna aur mera waqt zayah karna hai toh aap jaa sakte hain"
us ne kaafi ghusse aur talkhi se worker ko ghoor kar kaha.
worker- " sir asal main mujhe yeh kehna tha ke kya mujhe is maheene ki tankha advance main mil sakti hai?"
"kyun?"
"sir woh meri ammi bemaar hain aur hospital main admit tou mujhe un ke ilaaj ke liye kuch rakam darkaar hai"(worker ne nazren neechi kar k kaafi multajana awaaz main kaha)
yeh sunte hi Ali ne zor se pen table pe patkha aur khara ho kar us k pass aa gaya aur us ki taraf tanziya dekhte hue pooch:
"tumhain yahan aaye kitne din he hain?"
"sir.........ek hafta"
"hmm............tou goya tum ne yahan bheek maangne ke liye mera office join kiya hai, rite?"
"nahin sir...woh..."
(woh worker sharam aur dukh se zameen main gadha jaa raha tha)
"sir meri ammi parson hi hospital admit hui hain aur bar waqt sahi ilaaj se woh jaldi theek ho sakti hain sir, warna bemaari bigadh bhi sakti hai. mere pass itne paise nahin ke main hospital ke akhrajaat poore kar sakun, is liye.........agar aap...........advaance........de dete.........tou"
"look" (ALI ne talkh lehje main us se kaha) "aaj tak maine kisi worker ko advance nahin diya aur na hi main apna yeh rule badal sakta hun. haan, agar tum pichli ek week ki tankha chahte ho tou woh main tumhain de sakta hun."
" magar sir!"
worker ne multaji nazron se usey dekha
" u may leave now!!!"
yeh keh kar woh wapis apni chair per aa ke beth gaya
wo worker kaafi der aas-o-umeed liye kahara usey dekhta raha aur phir wapis palat gaya.
us ke baad bohat din guzar gaye ke dubara us worker ne us koi baat nahin ki. shayed us k zameer ne dubara haath phelane ki ijaazat hi nahin di thi usey.
aur phir kuch hi din baad usi worker ka resigning letter mila. yeh dekh ker usey kaafi hairat hui kyun k us ki job ba mushkil ek maheena hua tha, ooper se pichle dino us ki pay ki demand aur ab yeh resign!!! sab baaten usey hairat main daal rahi thi
us ne ghusse per qaboo paate hue foran apne mujtaba(worker) ko apne room main bulwaya.
Mujtaba- "may i come in sir?"
Ali ne sir utha ke dekha toh usey thori si hairat hui kyunki wh shaks jisey woh pichle 3 hafton se afsurda aur preshan sa dekhta aaya tha, aaj chehre pe zindagi ki ramaq liye khara tha.
"yes"!
Ali ne mukhtasir sa jawab diya aur letter us ke saamne karte hue pooocha
"what's this?"
Mujtaba ne muskurate hue jawab diya ke" sir mujhe ek doosri firm main job mil gayi hai. main aapka shukar guzar rahunga ka itna arsa aap ne mujhe meri salahiten manwane ka mauqa diya"
Ali ek dum cheekh kar khara hua" toh goya tum yahan apna aur mera waqt barbaad karne aaye the? tumhari jagah agar main kisi aur ko ye position deta toh woh ab tak koi kaam kar ke dikha chuka hota, naa k tumhari tarah sirf advance ki farmayesh karta"
Mujtaba "Sir"...
"just get out from here" us ne darwaze usey darwaza dikate hue kaha
Mujtaba ek khamosh si nazar se usey dekh kar darwaze ki taraf murne laga toh Ali ne usey rokte hue kaha:
"suno"
Mujtaba ne mur kar dekha toh us ne ek check us ki taraf barhate hue kaha
"yeh tumhari ek maheene ki tankha"
Mujtaba ne ek nazar check ki taraf dekha aur phir usey dekh kar bola
"nahin sir, is ki ab zaroorat nahin rahi mujhe"
Ali- "kyun?"
Mujtaba- " kyun ke sir jis company ko maine join kiya hai us ke malik bohat rehem dil insaan hain. ALLAH ne unhain be shumaar diya hai, shayed aap se bhi ziyada magar woh ALLAH ki di hui dolat ko apne saath saath ALLAH ke bandon tak bhi pohnchate hain"
Mujtaba ne ek nazar ALi ko dekha jo isey hi tiktiki baandhe dekhe jaa raha tha
" meri maa ek maheene se bemaar pari thi sir, bohat takleef main thi woh aur usey takleef main dekh ke jitni mujhe takleef hui woh main shayed alfaaz main nahin bayaan kar sakta"
Mujtaba ki awaaz aur aankhen ansoo main dhoob gayin, jese abhi ro de ga woh........us ne gehri saans le kar baat ko jaari rakhte hue kaha
"meri ammi ne bemaari main bhi mujhe duayen di aur mere ALLAH pe bharosa rakhne ki talqeen ki. yunhi ek shaam main dil ka bhoj halka karne ek shaam ek park main betha tha ke meri mulaqaat ASHRAF saab se hui aur ajeeb baat hai ke un ka husn-e-ikhlaq dekh kar maine apne dil ka saara dard un ke saamne undhel diya. shayed tab ALLAH ne unhain mere liye rehmar ka farishta bana kar bheja tha jabhi unhon ne sab sun kar mujhe apni company main job ki offer ki, aur mere saath mere ghar aa ke meri maa ko khud hospital admit karwane gaye aur mujhe 2 maheene advance pay dene ka vaada bhi kiya"
" shayed aap jaante nahin sir, jitne unhon ne is dunia main paaya hai, us se 20 gunah woh akhirat main payenge kyunke jo shaks doosron aur ALLAH ki khushnodi ke liye jeeta hai us ki dunia aur akhirat dono sanwar jaate hain"
Mujtaba ne aansoo ponch kar muskarate hue kaha " sir aap yeh check rakh lijiye, agar kabi aap ke kisi worker ko advance chaiye hua toh aap yeh unhai de dijiye ga"
yeh keh kar Mujtaba chala gaya magar ALI toh shayed apne hawaas main nahin tha. us ke kaanon main ab tak Mujtaba ki baaten aandhi ban kar ghoom rahi thi aur ek aise shaks ka naam jisey woh acchi tarah jaanta aur pehchanta tha.
usey barson pehli baat yaad aai jab baba ke chale jaane ke kuch saal baad amma bhi usey 15 saal ki umar main akela chor kar chali gai aur woh rozgaar ki talaash main phira karta jab Ashraf saab use miley aur unhon ne us ki madad ki. yahan tak ke taleem mukammal karwane ke baad apna business shurooh karne ke liye bhi usey raqam di jo is ne business chalte hi lauta di thi.
us ki aankhon ke saamne sab kuch ek film ki tarah chal raha tha. sharmindagi aur nadamat se us ki aankhon main ansooo aaye hue the aur us ka zameer us pe kooore bharsa raha tha ke kyun tum khud ko, apne khaliq-o-malik aur aur us ke bandon se anjaan rahe? kyun tum ne har ek ko haqeer samjha jab ke tumhain dene wali zaat-e-baari ta'ala ne toh hamesha tumhain be hisaab diya aur kabi de kar wapis nahin liya tou kyun tum ne us ke diye maal ko us ki makhlooom main taqseem karne main bukhal kyun kiya?
us ka dil chah raha tha ke woh cheekh cheekh kar apne rab se maafi maange aur un insaaano se jin ka us ne dil dukhaya. usey ehsaas hua tha ke asal main woh kitna khali haath hai ke itni daulat hone k bawjood bhi woh apni maa, apne muslim bhaion ki duaon aur apne ALLAH ki mohabbat se tahi daman hai.
Aagahi ke is lamhe ne goya us ki poori kaaynat badal daali. wohi ALI Zain jo ghuroor aur ana ki daldal main phasa tha, aaj apne husn-e-sulook se jaana jaata hai. Mujtaba us ka behtareen dost hai aur us ki maa ko woh apni maa ki tarah pyar karta aur un ka har lamha khayal rakhta hai. un ki duayen paa ke jo sukoon us ke qalb ko milta hai, woh ab se pehle usey kabhi nahin mila tha.
Ali ne ab qaida nimaz aur Qur'an ki tilawat ba-tarjuma parna shurooh kar diya tha aur Qur'an main usey bohat kuch seekhne ko mila, bohat se baaton se aagahi hui jo woh pehle kabhi nahin jaanta tha. woh apne rab se girgira ke apne pichle gunahon ki muafi maangta hai aur us se apne liye siraat-e-mustaqeem ki dua karta hai. usey yaqeen hai ke us ka rab usey yaqeenan muaf kar dega beshak woh apne bandon se ziyada dar guzar aur rehem farmane wala rehman hai Raheem hai.
ab Mujtaba ki behen Ali ki shareek-e-hayat hai aur ALI aaj bhi sheher ka namwar business man hai. farq sirf itna hai ke kal ka ALI khud ke liye aur apni ana ke liye jeeta tha, magar aaj ka ALI doosron ke liye, ALLAH aur Rasool(S.A.) ki khushnodi ke liye jeeta. woh har pal apne liye aur sab muslim ke liye siraat-e-mustaqeem ki dua karta hai kyunki yehi woh raasta hai jis per chal parne se dunia aur aakhirat dono sanwar jaate hain
 

xortica_

Banned
Dec 30, 2012
18,770
737
153
♥ Neptune ♥
@Seap dear sorry tym ni or artcl bht bra ha so ni pad skta bs itna kahu ga k apko tagging se prob thi na to ab to mane har tagging list se ap ka name hata dia ha or @Fanii ne b.... or jhn tk bat mazq k thi to hmne wh kbi kya h ni infact uh only siso thi cutepie :p wrna ma kbi ksi ko sis bnata ni hta ... take care n best of luck in ur lyf :) Allah Hafiz
 

Aks_

~ ʍɑno BɨLii ~
Hot Shot
Aug 2, 2012
44,916
17,651
1,113
@Seap dear sorry tym ni or artcl bht bra ha so ni pad skta bs itna kahu ga k apko tagging se prob thi na to ab to mane har tagging list se ap ka name hata dia ha or @Fanii ne b.... or jhn tk bat mazq k thi to hmne wh kbi kya h ni infact uh only siso thi cutepie :p wrna ma kbi ksi ko sis bnata ni hta ... take care n best of luck in ur lyf :) Allah Hafiz
Aap ny sahi nhi read kiya tha i just said post increase karny k liye mazak me beauful na na kahen :D
 
Top